Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
National Homeopathic Clinic

National Homeopathic Clinic

Homeopathy Doctor Clinic

A4,5, Raju Park, Khanpur, Devli Road, Near Sunder Lal Hospital
4.4
215ratings
1 Doctor
₹ 500 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

By combining excellent care with a state-of-the-art facility we strive to provide you with quality health care. We thank you for your interest in our services and the trust you have placed...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Sun
10:00 AM - 01:30 PM
05:00 PM - 09:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

Videos

Thyroid Disorder - Things To Know!
Thyroid Disorder - Things To Know!

Hello, 

My name is Dr. Jagdish Gupta. I have done BHMS, I am a classical homeopath and I am a psychological counsellor. Doston aaj hum baat karenge thyroid ke bare mein. Doston thyroid ka topic aaj maine isiliye chose kia hai because thyroid aaj ke yug mein bahut hi common bimari hogayi hai aur bahut sare patients isse suffer kar rahe hain. I have seen that ki 75% of women are suffering with this disease and 45% male. Doston dekha gaya hai ki jaise ki hypertension, diabetes, thyroid, heart problems bahut sari bimari aisi hai jisme ek bar allopathic medicine aapki shuru ho jaaye especially if we are talking about thyroid, thyroid mein agar aapke thyroxin medicine shuru hojati hai to aap lifelong khate rehte hai. Doston sabse pehla humara prashn yeh hai ki kya thyroid treatable hai? Is it permanently curable? Doston han! Ye thyroid jo hai apka permanently curable hai, this is permanent treatable.

Friends, main aapko kuch reports dikhana chahunga, aap dekh sakte hai kuch reports hain yeh mere hath mein jo ki patients jinka thyroid bilkul theek ho chuka hai. Vo thyroxin medicine se bilkul bahar aa chuke hai, they are permanently cured, kisi ko 6 mahine treatment kiye huye ho gaye hain, kisi ko saal ho gaya hai and they are till cured till now a date. Doston when I started my early practice to mere liye bhi ek bahut bada prashn tha ye kya thyroid theek hota hai. Jaise jaise mai practice mein jata gaya jaise jaise maine apni research kari, jaise jaise maine dekha toh maine ye patient ko medicine dena shuru kiya toh nowadays I am getting a very good result about a thyroid. Mere pass bahut sare patients aise hai jo thyroid se bilkul theek ho chuke hai, especially young age.

Agar kisi ko bhi young age mein, early ages mein thyroid hota hai to yeh 100% treatable hota hai. Agar aapko 10 sal, 15 sal, 20 sal thyroxin medicine lete huye ho gaya hai, aapka thyroid bada hua aa raha hai, hyperthyroidism aa raha hai, hypothyroidism aa raha hai, apko 15-20 sal, 25 sal medicine lete huye hogaya hai; to doston thoda sa usme hum keh sakte hai ki usme cure ke permanent cure ke chances thode se kam hote hai because body ka adaptation hojata hai. Jisne medicine start nahi kia hai thyroxin ya medicine ko start kiye hue kuch hi samay hua hai mai unhe ashwasan deta hoon ki thyroid theek hojata hai.

Doston, kuch reports mere hath mein hai, ye main video pe apko dikha raha hoon, isme ki kayi patients ka thyroid bilkul theek ho gaya hai. Mere pass ek patient tha jisko 22 sal se thyroid tha uski 30 saal ki age thi, vo patient mere pass bilkul theek ho gaya hai pichle 2 sal se uska report normal aa raha hai, woh har 3 mahine mein apna test karwate hain. Doston, main aapse request karunga if you have thyroid, please follow homeopathy. A classical homeopath, a good homeopath can solve your case. To doston, mai apse itna kehna chahunga ki agar aapko thyroid hogaya hai, aap thyroid ki bimari se suffer kar rahe hai toh please follow homeopathy, please consult me. Main aapko aashwasan dilata hoon ki aapka thyroid theek ho sakta hai.

This is treatable disease, aisa nahi hai ki thyroid theek nahia hota hai. Sabse pehle logon ko ye hi nahi pata ki thyroid theek hota bhi hai ya nahi hota, unke dimag mein ye hai ki mujhe thyroid ho gaya hai, doctor ne kaha hai ab lifelong dawai khani padegi. Vo aisa allopathy mein hota hai, mai ye nahi keh raha vo system galat hai, vo unka apna part hai, unka apna treatment hai, if you follow that pathy usme aapko lifelong dawai khani padegi. But in homeopathy I have seen many of the cases, I have treated many of the cases and they are treated permanently. To doston, I request you all if you are thyroid, please most welcome.

Dhanyavad!


Piles - What Are The Causes And Treatment?
Piles - What Are The Causes And Treatment?

Hello everyone!

I am Dr. Jagdish Gupta. I have done BHMS. I am a classical homeopath and a psychological counsellor. Aaj hum aap se baat karenge piles ke bare mein. Piles, which is called as haemorrhoids ko hindi mein hum bawaseer bolte hain. Ye aaj ki date mein bohot hi common bimari ho gayi hai aur ye bohot logon ko ho rahi hai. There is a swelling at the rectum part and an inflammation at the rectum part. Sometimes it is painful, number of times it is not painful. Generally dekha gaya hai ki piles ke sath mein aap ko fissure bhi hote hain. Anus vale parts mein aap ko cuts aa jate hain jiski vajah se bohot zada painful ho jata hai. Piles bohot tarah ke hote hain: internal piles, external piles, protruding piles, blind piles aur aage divide karein then bleeding piles, dry piles. Jab ek lump ke tarah se bahar nikal jata hai jis mein protruding piles hoti hai vaha pe aapke anus ke part pe masse ki tarah ban jaate hai, vaha pe ek lump ki tarah feel hota hai.

Jab bhi aap wash karne jate hain to vaha pe aap ko lump feel hota hai kyunki wash karte hue bohot hi itching aur painful condition hoti hai jisko touch karne se kayi baar bleeding bhi aa jati hai. So this is a very common condition. Agar aap ek allopathy doctor ke pass jate hai vo generally aap ko operation ki salah dete hain. Dekha gaya hai ki operation hone ke baad bhi ye theek nahi hota hai because the cause of the piles is present. Jo ek cause hai aap ke piles ka ya jiski vajah se aap ko piles hua hai vo abhi andar aap ke maujood hai, vo cause khatam nahi hua. Simply they have done the operation. Aap 4 mahine, 3 mahine, 6 mahine operation ke baad theek rehte hain uske baad aap ki condition pehle se zada kharab ho jati hai. In homeopathy, it's treatable.

Ek baar theek hone ke baad generally dekha gaya hai dobara nahi hota hai. So common causes of piles generally are lack of exercise, zada der tak baithe rehna, exercise na karna, alcohol consumption, obesity, eating a lot of fats, carbohydrates, spicy food, non- veg and last cause is constipation and a pregnancy. Doston agar aap mein se kisi ko bhi piles ho gaya hai, please aap operation nahi karaiye, you consult with a homeopath doctor, jo ki aap ke nearby ho. Try to search a classical homeopath. This is a part of homeopathy, jo classical homeopath hote hain, they generally follow the principles of homeopathy. Jo doctor ek acha suljha hua doctor hai, jo principles of homeopathy ko follow kar raha hai, vahi aapko theek kar payega.

So doston, piles ke humare paas bohot sare cases theek hue hain. Generally aap ka jo pain hai usmein ek hafte mein relief aa jata hai. Jo blood aa raha hota hai, kisi ko 2 din mein, kisi ko 4 din mein, aur maximum 1 week ya 10 days mein aap ka blood aana band ho jata hai. Ye generally 4-6 mahine ka procedure hota hai. Agar aap ka bohot zada purana piles hai, then it can take more time but it is 100% treatable. So please don't go for an operation.

Thank you very much!


Doctor in National Homeopathic Clinic

Get Help
Services

Doctor in National Homeopathic Clinic

doctor-profile

Dr. Jagdish Gupta

Homeopathy Doctor17 Years Exp.
BHMS
₹ 500 at clinic
250 online

Patient Review Highlights

Very helpful

2 reviews

Thorough

1 reviews

knowledgeable

2 reviews

Professional

1 reviews

Well-reasoned

2 reviews

Helped me improve my health

1 reviews

Prompt

1 reviews

Caring

2 reviews

Submit Feedback

Submit a review for National Homeopathic Clinic
Your feedback matters!