Natural Look
Ayurvedic Doctor Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Abdominal Imaging Specialist, Allergist, Asthma & Allergy Condition Specialist, Asthma & Allergy Specialis...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hi,
I am Dr. Amarjit Singh Jassi, Ayurveda, Delhi. Today I will talk about the most important organ liver. Liver humari body mein 80% kam karta hai. Jaise body ka immune system badhana, metabolism, toxins ko bahar karna, vitamins banana.
Humari body ke dusre parts ko paushtik tatva dene mein help karta hai. So, doston aaj kal ki unhealthy diet and lifestyle hai uske bahut sare cases humare pass aate hain. Humnein fatty liver, liver psoriasis dekhen hain. Iski vajaha se bimariyan badh rahi hain. Iska main karan hai bigda hua lifestyle, unhealthy diet, Jyada alcohol lena, acidic food lena, jyada spices consume karna and bahut der tak sona aur der tak sote rehna.
Hormonal imbalance ka effect bhi liver pe padta hai. Aaj hum janenge ki iske lakshan kya hain. Jaise skin kharab hona, itching hona, Gehre rang ka urine aana, kam bhook lagna, maan khatta hona ya fir vomiting hona, ye sare lakshan liver se related hote hain.
Toh aap ko kya karna chaiye, aap ko LFT test karana chaiye. Aap ko apni diet change karni chaiye and lifestyle change karna chaiye. Aap ko hari sabaziyan khani hain, fresh fruits khayein. Fresh fruits ke sath aap apne sone ka fix time kijiye. Morning walk karein. Ye sari chizen aap ke liver ko healthy rakhane mein help karti hain.
Fatty liver ke lia humare pass kuch ayurvedic upaye hain. Liver fat ko kam karne ke lia aap aadha liter pani lijiye, ek chamach ajwain and adha chamach kala namak daal ke aap kache ghade aur kanch ke bartan mein raat ko rakh dijiye.
Morning mein saade pani mein mila ke use pijiye. 5-6 times aap ne us pani ko peena hai. 1-2 months aap ko aisa hi karna hai and aap ka liver detox hoga. nimbu paani se bhi aap ke lliver detoxify hota hai.
Green tea ke fayde bahut sare hote hai jese ki yeh apki body ko detoxify karti hai. Jinko liver psoriasis hai vo tomato jyada lein. Milk with turmeric lein. Aap ko pranayam jarur karna hai. Green tea peene ka sahi samay subh ke waqt hai. Ap din bhar me 3-4 cup green tea pee sakye hai.
Junk and fried foods na khayein. Bahut log radiyon ka khana khaate hain and vo khana dhaka hua nhi hota, vahan se bahut sare patients aate hain jinko hepatitis ki problem hoti hai. Iske lia humein falaahar jyada lena chaiye taki aap ka liver detox ho jaaye. Aap humare sath banne rahiye aur hum aap ki jaankari alag alag tarikon se karate rahenge
Namaskar!
Hello friends,
I am Dr. Amarjit Singh. I am from Natural Look. Natural Look ek ayurvedic sansthan hai. Jisme sabhi hi chronic disease ke upar hum kaam karte hain. Jitni bhi bimariyan aaj ke daur mein chal rahi hai. Jaise females ki agar hum baat kare to female ki mostly problem ye hai ki unke period disorder hote hain aur period bohot chhoti age mein hote hain ya fir bohot der baad hote hain. iske alawa Jaise PCOD hai aur aaj ki bohot saari naariyo ki jitni bhi main problem hai PCOD aur PCOS hai. Iske alawa jo hain leukorrhea ki problem. To aise hi skin ki problem hai, joint ki problem hai, hair ki problem hai, abdomen ki problem hai to in sabhi ke jitne bhi maine naam liye in sabhi chronic disease ke upar natural look hamari sanstha jo hai wo chronic disease ke upar kaam karte hai inka proper curable treatment hum karte hain. To sabse pahle mai baat karunga ki ye bimariyan aaj ki date mein chronic kyu ho rahi hain?
Bimari toh hum sabhi ko maloom hai ki ye sabhi hum normal way se chalte-chalte ye dheere-dheere chronic hoti ja rahi hai, chronic hone ka main karan hai hamare jeevan-star ka jo level hai wo change hai, jis dhang se hamari jeevan-shaili honi chahiye us dhang se jeevan shaili nahin hai hum kudrat se bohot pare hain, nature se bohot pare hain. To natural look jo sanstha hain uska yhi maan na hai ki agar hum kudrati tarike aur kudrati aahar ko jyada se Jyada apnayen to hame in chronic disease se nijat mil sakta hai, hum dwaaiyo ke upar depend na rehke agar hum kudrati cheezon ka khan-paan sahi dhang se kare jaise ki ab main females ki dobara baat karunga ki female ki disease hain jaise unke period disorder hote hain to unka main karan hai ki unka lifestyle. Jin females ke lifestyle mein natural tarike se khan-pan nahi hai, overstress hai, proper unki nidra nahi hai unke period disorder hoge.
Dusri Baat, jaise hi period disorder hote hain uske baad second stage aa jaati hai bohot sari female ko PCOD aur PCOS ki problem ho jati hai. Jin females ke periods irregular rehte hai. Premature follicles jo hain unki monthly cycle mein bahar nahin aa paate toh wo premature follicles dheere-dheere cyst ban jaate hain, to dheere-dheere vo cyst jo hai wo multiple cyst ho jate hai, to fir wo bohot hi jyada der tak rehane ke baad unki ovary ko nikalna padta hai kyunki wo cancer hone ke chances rehte hai. To aise hi leukorrhea hai. White discharge ki problem to ye ek bade karan hain hamare, leukorrhea jaise hai. To leukorrhea ki agar hum baat kare to bohot sari grehniyan hai wo na to fruit khati hai, nahi jyada pani piti hain, na time per khana khati Hain, nahi time par soti hain to baat wahin par ghum phir kar aa jaati hai ki lifestyle pe. Lifestyle jo hai unka proper nahin hai jaise ki subah jaldi uthana, raat ko jaldi sona, samay-samay par jo hai khan-paan ka dhyan na rakhna aur agar khana hi hai to unhone jitna bhi khana khati hain wo sara hi aaj ki date mein jitna bhi hum dekhte hain junk food hai.
Usne samay le liya hai. Aaj se agar hum 10 ya 15 saal pahle ki baat kare to PCOD aur PCOS ki itni problems nahin thi. In 10-15 saalon mein kya karan hai ki PCOD or PCOS bada hai uska main karan hai junk food ka badna aur jitne bhi smartphone hai unka badhna uska main karan hai, jitni bhi aap dekhenge ladies hai pahle aaj se agar hum 2000 san ke picche se baat kare to usme PCOS or PCOD ki problem Itni nahi thi, uska main karan tha ki us waqt jyadatar females jo thi internet ke upar nahi rehti thi aur dusri Baat age factor, unka age level jo tha wo tha 30 year ke baad jo tha PCOD aur PCS ki problem. Lekin aaj ki date mein 14 saal ke baad, 15 saal ke baad jaisi hi period start hote hain, chhoti bachiyon ke to unko PCOD ki problem shuru ho jati hai bohot sare case humne natural look mein dekhe hain, aaye hain hamare paas aur cure bhi kiye hain aur un cases ke upar humne ye hi cheez dekhi hai ki usme bacche kya karte hain, khan paan ka dhyan nahi rakhte hain, soft drinks hai unko jyada intake karte hain, jitne bhi frieds hai unko jyada khate hain to ye karan hai unka PCOD ka badhane ka, period disorder hone ka aur dheere-dheere kyunki jo cyst hai wo andar garmi paida karta hai dheere-dheere use leukorrhea ki problem honi shuru ho jati hai.
To uske baad hum baat karte hain apne skin ki problem to fir wahi baat lifestyle ke upar aa jati hai. Jinhe stomach ki problem hai, kya hota hai ki hume skin ki problem hui, acne ki problem hui to hum kya karte hain ki hum koi na koi cream use karte hain in cheezo ko dekhte hain lekin is cheez ke upar hum dhyan nahi dete ki ye problem ho kahan se rahi hai? Acne ki problem hai, skin ki other aur problems hai, scars ki problem hai. To ye main hamari jo jadd hai wo hai abdomen, pet se problems hai. To jitni jyada garmi hamare pet ke andar hogi utne hi hamare effect jo hai face ke upar dikhenge to sabse pahle hum aadat dalen apne lifestyle ki. To lifestyle ko agar hum change karte hain, jaise ki subah uthte hi hamee nihare mooh 3 glass pani peena chahiye, Paanch Paanch minute ke waqt ke upar. To agar hum is cheez ko apna le to hamari 22-23 videos mein maine bataya bhi tha natural look mein ki aap log agar sahi dhang se sara din mein water intake hi apna sahi kar lete ho to aapke 20 se Jyada bimariyan aapka peecha chhod jati hain, jaise ki subah uthte hi 3 glass gunguna paani char chutki glass mein haldi daal kar piyenge, to hamari calcium ki problem bhi cover ho sakti hai.
Dusri baat khana khane ke aadhe,ek ghante pahle agar hum pani pee lein to usse kya hoga ki khana khane ke turant baad (khane ke dauran paani nahi pina) aapko urine pass hoga, peshab jo aayega usme saare toxins jo hai aapke remove ho jayenge to bohot sari bimariyan aapki bahar nikal gayi. To aise hi humare subah uthkar chai peene ki bohot saare logon ki aadat hai, hamari bhartiya paddhati mein, Indian style mein is cheez ko jab se apnaya hai tabh bimariyon ne jyada is cheez ko gadh bnaa liya hai. To ek bohot ahem baat hai ki hum subah uthte hi jo khali pet hum chai peete hain usse bohot saari bimariyan hamare andar paida hoti hai. To subah uthkar 3 glass gunguna paani peejiye aur uske baad paani ko kaise peejiye? Subah utth ke 3 glass pani peene ke baad, khana khane ki ek ghante pahle pani peejiye, aadha ya ek ghanta ke pahle, khana khane ke ek ghante baad pani peejiye, uske baad chai peene se pahle pani peejiye aur jyada log maine dekha hai jyada doodh wali chai jaise peete hain to wo bhi ek bohot bada karan hai jisse cholesterol paida hota hai, ye bohot saare main apni case history mein dekha hai ki aise log jo hain jo bohot gaadi chai peete hain ya jyada chai peete hain unka bhi cholesterol level badhta hai. Ye cheez dheere-dheere chronic ho jati hain. To fir sara din mein aap jitni baar bhi pani piyo kam se kam char-paanch baar aadat daalo ki paani maine peena hai aur 2 glass jab bhi paani peena hai ghut-ghut karke paani piyo aur baith ke pani piyo aur koshish kijiye jaise abhi garmiya aane wali hai to garmi start ho gayi hai to hum bohot Jada chilled paani pite hain, ye bhi ek ahem baat hai, jyada thanda aur jyada garam ye dono hi aap ko nuksan karte hain, aapki aanto ko nuksan karte hain, jo hamari small intestine hai ya large intestine hai, unko hamari respiratory jo hai usko nuksan deta hain isliye hamesha koshish kijiye ki jyada garam na khaye gun-guna hi khaye.
To subah utth ke jaise maine bataya gun-guna paani pina hai to ye nahi hai ki apne saara din hi gun-guna pani peete rehna hai bohot sare log aise hain jo apna weight loss karne ke liye sara din hi garam paani peete hain. Jayada garam paani peene se weight kam nahi hota aur weight to kam agar ho bhi jaaye kisi case mein lekin aapki immunity down ho jati hai is cheez ka aapne dhyan rakhna hai. To isliye gun-guna pani hi pijiye aur ho sake to normal pani pijiye. lekin 10 se 12 glass sara din mein pani pijiye uske baad isse jitni bhi abdomen se related problem hai wo apse chutkara ho jayega. Ab dusra hai humare yahan par jo maine dekha hai hamare jitni bhi metro cities hai, Delhi hai, Bombay hai aur in sabhi jagha par mai jaise gaya hoon to maine dekha hai ki logon ko cholesterol ki problem, constipation ki problem hai, gastric problem bohot hai to agar aapko jo maine paani ki vidhi btaayi hai, agar aap isko hi apna loge to aapko liver ki jitni bhi problem hain, constipation ki problem hai, gastric problem hai un sabh se nijat mil jayegi. Dekhiye kudrat ke aap jitne nazdeek rahenge, kudrat ko jitna apnaenge, utne hi aap sukhi rahoge.
Uske baad maine jo problems logon ko dekhi hai ki hair fall hota hai, to wo oil ya shampoo dhoondne lagte hain. Main jdd hai hamare abdomen ki, pet ki jitni bhi samasyein hain jaise constipation rehti hai jin logon ko unke baal jhadnge jinko indigestion hoga jinka khana proper dhang se pachega nahin unke bhi baal jhadenge unko bhi skin ki problems hogi. To ye saari cheezein co-related hain. To sabse pahale apne khan-paan mein aap sudhar laye, dusra mausam ke anusar fruit jitne hai un sabko aap lein. Bohot sare logon ka ye maan na hai ki hame doctors kehte hain ki aapko sugar hai to aap ne fruits nahi khaane, nahi aisa nahi hai jitne bhi aap fruits khaate hain to aapko usme natural sugar milti hai to jo natural sugar wo aapko kabhi bhi nuksan nahin deti. To doston aap Jitna kudrat ke nazdeek rahoge, natural look ka yahi maan na hai aap jitna nature ke nazdeek rahoge, kudrat ke nazdeek rahoge, usko apnaoge, uske dwara di gayi jeetni bhi jadi butiayan hain, herbs hain, fruits hain, in sabko ko aap proper dhang se khaoge jitna junk food se dur rahoge aap utne hi sukhi rahoge.
Aur bohot sare logon ki ek aur maine aadat dekhi hai ki khali pet jo hai green tea bhi peete hain to ye bhi galat baat hai, khana khane ke baad agar aap green tea Piyoge to aap ka digestion system jo hai sahi rahega, aap usme gud, shakkar ya shehad dalkar piyenge to aapko kabhi bhi jitne bhi logon ko intestine ki problem hai, constipation rahati hai, jinko neend ki problem hain, anidra hai jinko, insomnia ki problem, depression ki problem wo bhi dur ho jati hai, walk karen, yoga karen agar hum ye sare hi ayurved ke kudrati strot jitne bhi hai apnate hain, kudrati stroto ke sath hum bandhe rehte hain to koi bimari jo hai hame chu nahi pati. To dosto mera kehne ka main maksad yahi hai ki natural look Jo sanstha hai, ayurved, yoga, acupressure, reflexology iske aadhar par kaam karti hai aur jo log ayurved ko, kudrat ko, aayu ko badhane wale ved ko apnate hain, natural kudrati stroton ko apnate hai wo kabhi bhi bimar nahin hote aur ayurved mein har bimari ka sambhvta ilaaj hai har bimari ka, chahe wo badi se bhi badi bimari ho ayurved mein uske 100% chance hai usko theek karne ke hain. To aap ayurved ke sath Jude rahein, natural look ko ek mauka jarur dein, humein jo kudrati tarike se jo hum jitne bhi hum treatment karte hain unka tarika sabhi kudrati hai or natural look main aap ek baar jarur padhare kyunki hum free diagnose karte hain aur koi bhi humari fees nahin hai.
Thanks!
Doctor in Natural Look
Doctor in Natural Look
Dr. Amarjit Singh Jassi
Patient Review Highlights
Very helpful
49 reviewsSaved my life
1 reviewsThorough
2 reviewsknowledgeable
36 reviewsProfessional
6 reviewsWell-reasoned
4 reviewsHelped me improve my health
9 reviewsSensible
4 reviewsPrompt
3 reviewsInspiring
4 reviewsPractical
5 reviewsCaring
5 reviewsNatural Look Reviews
Dr Amarjit Singh Jassi
May 26, 2017Dr. Amarjit Singh Jassi provides answers that are very helpful and knowledgeable. Timely information for me Thanks Dr Amarjeet Singh Jassi
Shivani Verma
May 24, 2017Dr. Amarjit Singh Jassi provides answers that are very helpful and knowledgeable. Your tips always Dr Jassi
Ashraf Ali
May 18, 2017Dr. Amarjit Singh Jassi provides answers that are very helpful. Sir the answer was very helpful but try to tell in small paragraph to read this much big story we dont have that type of patience but the answer was very helpful sir thank u so much...read more
Akanksha
May 15, 2017I found the answers provided by the Dr. Amarjit Singh Jassi to be very helpful, knowledgeable, inspiring, saved my life and well-reasoned. Wonderful reply
Shivani Verma
May 22, 2017I found the answers provided by the Dr. Amarjit Singh Jassi to be very helpful and knowledgeable. Thanks for that