The Neuro Psychiatric Centre
Psychiatrist Clinic
About Clinic
Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Impact of Stress on our health
Mera naam Dr. B S Arora hai. Mai peshe se ek manochikitsak hoon. Kya aap apni Zindagi Tanav Mukt Jeena Chahte Hain? Kya aap Chahte Hain ki aap ke Jeevan Mein Koi Tanav Na Ho? Agar aap ka Uttar haan me Hai To Mujhe Gaur Se suniye. Aaj Mai aap se Tanav aur Tanav se Mukti ke upaay ke baare mein sankshipt vartalap karunga. Pehle tanav Kya Hota Hai? Tanav ke kya Karan Hote Hain? Tanav Mujhe Kaise prabhavit karta hai aur Tanav ki avastha kya hoti hai? Aur fir mai aap ko bataunga Tanav Mukti ke upay. Pehla toh tanav Kahin Bhi, Kisi Ko Bhi, Kabhi Bhi Prabhavit kar sakta hai. Tanav Zindagi Ki Ek Sacchai hai. Tanav ka Sahi Prabhadhan hi ek upaay hai.
Pehla tanav Hota kya hai? Ek avastha Hai jis mein kisi kaaran se mera Shaareerik, Mera maansik Mera Bhavnatmak santolan Bigad jaata hai. Yeh Karan antrik bhi ho sakte hain aur Bahri bhi ho sakte hain. Ye vastavik bhi ho sakte hai ya Kalpanik bhi ho sakte hain. Tanav ko do bhago Me Baanta Gaya Hai 1 positive or negative. Jaise aap apni Pariksha ke liye taiyari karte hai, agar tanav na ho to aap apni Pariksha ki taiyari nahi kar Payenge. Isliye Hum usko kehte hain positive tanav, Ek positive tension. Ab humein dekhna chahiye ki tanav ki avastha kya kya hai. Tanav ki teen avastha hoti hai. Jaise ki hum Apne Jeevan Kaal Ke Andar 3 Kaal Se Guzarte Hain - balyavastha, Yuva avastha aur vridhavastha.
Tanav ki bhi theek 3 Avasthaayein hoti hai. Pehli stage Hoti Hai alarming stage, 2nd Stage hoti hai stage of resistance and Third stage hoti hai stage of exhaustion. Jab Ek vaigyanik addhyyan kia gaya Pata Laga ki Hamare Tanav Ke Karan alag alag ho sakte hain lekin Hum usko Jis Tarah se pratikriya karte hai uska 1 definite pattern hai Jisko Hum Log Kehte Hai generalized adaptation system. Ye ek jatil prakriya hai. Mainw uska Ek thoda sa sarili Karan aap logo ke liye Kiya Hai. Ab Hum Chalte Hain Tanav ke kya kya Karan ho sakte hain. Pehla Karan Ghar Mein Kisi ki mrityu ho jana. Kisika ghar mein janam lena. Kisi Ko Kisi ke ghar mein Achanak aapka financial status ya Naukri ka chhoot Jaana. Ya phir ek samay nirdharit k andar aapka Karya ko karna.
Tanav ke aur bhi Karan ho sakte hain jaise aapka traffic me fas Jana, Pariksha ka nazdeek Aa Jana aur ek pariwarik Kalah jisske anar Divorce Bhi Ek pramukh Tanav ka Karan Hota Hai. Ab Hum Chalte Hain Tanav ke baare mein Humne Charcha kar li. Tanav ke Karan, tanav ki avasthayein. Ab baat karenge tanav Hame Kaise prabhavit karta hai. Hum Shareerik taur pe baat kare to Tanav Hame Rakta Chap yani hypertension, BP Ka mareez Bana sakta hai. Humko Heart Attack De sakta hai. Agar ye tanav accumulated hokar daily Jo Hamare tanav hai Aage chal kar Hame hriday Rog se bhi Prabhavit kar sakta hain. Tanav Hume anxiety, depression, psychosis Ka mareez Bhi Bana sakta hai. Agar tanav bahut jyada ho To kitne log Tanav se prabhavit hokar aatmhatya Tak kar lete hai. Abhi jo vaigyanik addhyyan Huye hai usse ye Pata Chala Hai ki Bada Tanav ek ho toh itna prabhavit nahi karta Magar Chote Chote Kah tanav Hame Jyada prabhavit karte hai. Aur Ek Aur tathya nikla hai. Cancer of tanav. Jo log bahut sara tanav lete hain unke andar Yeh Pata Chala Hai cancer hone ke Pravarti bad rahi hai. Ab mai aap ko Tanav Nivaran or tanav ka prabhandhan Hum Kaise Kare.
Agar Aap iske baare mein mujhse koi sujhaav ya mujhse koi suggestion chahte ho toh aap lybrate ke through Mujhse Sampark kar sakte hain.
Here are Symptoms of Depression
Mera naam Dr. B. S Arora hai. Main ek monochikitsak hu. Aksar humare pass log aate hai aur kehte hai, “Dr. sahab, main depression mein hu aur depression ke kya lakshan hai?”
Mitron, main aaj aapko batane jaa raha hu ke depression ke lakshan kya hai. Pehla, agar aap note kare ke pichle do hafton mein ke aapka mann kaafi udaas raha ho ya kaafi bhaari raha ho ya aapko kisi ko dekh kar rone ki ichha ho rahi hai, baat baat pe aap ro rahe hai, ye ek depression ka prarambhik lakshan hai. Aur depression ke lakshan hai jaisi ki bhook ka kam lagna, bhook ka adhyatik lagna, ya neend bahut aana ya neend na aana alas ke roop mein hai, aur dekha gaya hai ki aap ka kaam karne ki prati jo aapki shamta hai ya concentration hai ya attention hai wo kam ho gaya hai aur ye bhi dekha gaya hai ki aap shaaririk roop se aap ki jo activity hai ya toh wo bahut kam ho gayi hai ya bechaini badh gayi hai ya aapke khayalaat mein ye bhi aa sakta hai ki meri jo zindagi hai uska koi mulya nahi hai koi worth nahi hai, meri zindagi ke andar koi ichha nahi hai isko hum kehte hai the idea of hopelessness, worthlessness aur kabhi kabhi patient ko aatmaglaani ke bhav kaafi bhar jaate hai.
Isi dauraan kitne mareezon ko aatmahatya karne ke vichaar, aatmahatya karne ke liye apne aap ko taiyaar rakhna, kitne log depression ke dauraan apne aap ko haani bhi pahucha sakte hai. Ye depression ke prarambhik lakshan kahe gaye hai. Aur aklsar log kehte hai, “doctor sahab, depression ka ilaaj kaise aur kab tak hoga?” depression ka ilaaj do method se kiya jaata hai. Hum agar patient ko evaluate kare aur uske baad hum dekhte hai kis mareezon ko dawai ki zarurat hai ya nahi hai. Jo depression ke andar medicines chalet hai unko hum anti-depressants kehte hai. Wo lag bhag 9-11 mahine tak chalate hai. Usme bhi teen awasthaye hoti hai. Pehle hum mareez ko advice karte hai ki pehle 7-10 din tak aur fir thode samay tak 2-3 hafte tak apne manochikitsak ke sampark mein rahe. Second method, jisse log kehte hai psychotherapy ya counseling. Isme hum mareez ko sikhate hai ke apne aap ko aaram kaise karna, relax kaise karna, aur nakaraatma bhav aur vichaar se kaise chutkara paana chahiye.
Isme hum pehle mareez ko kehte hai ke negative thoughts ko pehchaane yaani aware rahe, unko challenge kare, aur nakaraatma vichaar ko hata ke positive feelings, positive thoughts, positive emotions kaise generate karne hai. Ye sab hum aapko monochikitsa ke dauraan sikhaate hai. Jisme pehle kuch haft eek se do sitting ya kabhi kabhi teen sittinh bhi lete hai. Jaise jaise aap in cheezon ka abhyas karege aapki dawai ki maatra aur dawai ki doses ko kam karte jaate hai. Aur fir ek samay aisa bhi aa sakta hai ke jab aap in cheezon ka niyamit tarah se abhyas kiya toh aapki dawaiyaan bhi chut sakti hai.
Mitron, agar aapko depression ya depression ke upchaar ke hetu agar aapko kuch aur jaankari chahiye toh aap mujhe Lybrate ke zariye sampark kar sakte hai.
Doctor in The Neuro Psychiatric Centre
Doctor in The Neuro Psychiatric Centre
Patient Review Highlights
Very helpful
4 reviewsknowledgeable
2 reviewsSensible
1 reviewsPractical
3 reviewsCaring
3 reviewsThe Neuro Psychiatric Centre Reviews
Verified
Aug 02, 2017Listened patiently and advised to be calm and not to worry
Chirag Seth
Jun 17, 2017Could not meet the doctor as the premises were locked