Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Vibrance Skin Laser & Cosmetic Clinic

Vibrance Skin Laser & Cosmetic Clinic

Dermatologist Clinic

No.412, C-9, Pearls Best Heights-2, Netaji Subhash Place, Landmark : Behind Max Hospital
4.5
56ratings
1 Doctor
₹ 1,500 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Customer service is provided by a highly trained, professional staff who look after your comfort and care and are considerate of your time. Their focus is you....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
12:00 PM - 03:15 PM

Clinic Location

Videos

Facial Scars
Facial Scars

Hi,

I am Dr. Vinay Singh, Dermatologist. Aaj me apse baat krunga facial scars ke bare me. Skin ke lia hmesha qualified dermatologist se hi consult ken. Sabse pehle ye janna important hai ki scars kyu pdte hain. Iska cause teenage me hai pimples. Kuch logon ko bhut jyada pimples hote hai or kuch ko kam and ye depend krta hai apki inherent body pe. Kabhi bhi pimple ko prick na kren. Or agar aap aisa krte hain to scars me ye convert ho jate hain. Skin pe gadhe hone ka risk hota hai. In sab ke lia alag alag treatment hota hai like microneedling, peels, fractional C02 laser. Kuch patients hmare pass ate hain jo purane scars thik kravana chahte hain like 6 months old or so.

But aise time pe aap except for make-up or kuch nhi kr skte hain. Kuch patients parlour jake bleach krvate hain jis se ye burn ho jate hain. Skin ke sath koi bhi experiment na kren. Scars remove krne ke lia kisi qualified dermatologist ke pass hi jayen. Koi bhi medicines kisi normal person ke suggestions se na len quki inme steroids hota hai and ye person to person vary krta hai. Steroid ke side-effects hain skin ka patla hona, hair ana. Agar apne steroid based cream lgayi hai or aap sunlight me chale jate hain ya fir stove ke pas to apka face red ho jata hai jo iska ek side-effect hai. Google pe read kr ke medicines na lena dr. consult kr k hi len. Bhut sare patient home remedies bhi use krte hain. But iske apne side-effects hain islia dermatologist se jrur consult kren koi bhi kam krne se pehle.

Thank You.


Preventing Adverse Effects of Winters & Pollution
Preventing Adverse Effects of Winters & Pollution

Hi,

I am Dr. Vinay Singh, Dermatologist. Aaj me apse baat krunga adverse effects of winters & pollution on your health. In winters, we are bound to bath with hot water. Jinki skin dry hai unke lia advice hai ki unhe shower se nhi nahana chaiye. Hmesha bucket leke nahayein. Quki shower skin me ek jgha pdta hai or vo moisture ki layer ko hata deta hai. We should add one spoon of baking soda in the water. Is se dry skin ko kafi help milti hai. Nahane ke baad aap apni body ko roughly clean na kren. Towel se dab kr ke skin ko dry kren.

Jab apki skin thodi gilli hai to oil-based moisturizer skin pe lagayein. Jin patients me B12 or biotin ki kami hoti hai unhe green vegetables jo zameen me ugti hain vo khani chaiye. Hair wash krte time conditioner jrur use kren. Agar aap 2-3 times head wash krte hain to hair oil us se pehle jrur use kren. Agar apko or koi problem hai to Dr se consult jrur kren.

Agar apko mujhse koi query ho koi ya suggestion lena chahen to aap mujhe Lybrate ki through contact kr skte hain.

Thank You.


Signs Of Aging
Signs Of Aging

Hello!

I am Dr. Vinay Singh. Aur aaj main aapke saamne prastut hoon chehre ke upar jo age lines hoti hai, signs of aging hote hain, unke baare mein discuss karne ke liye, unke baare mein aapko kuch batane ke liye. Sabse pehle toh ham ye janna chahte hain ki age ke signs se aging lines banti kyun hai ? Naam jaise batata hai age lines matlab ki jaise jaise hamari umar badhti hai waise waise hi dheere dheere fine line aana ya crow's feet ho na, ya dheere dheere chehre ki skin ka latak Jana. Ye bahut swabhavik hai parantu young logon mein bahut sare kaaran hote hai jiski wajah se yeh lines jaldi dikhne lagti hai. Doston mein aapko kuch kaarano ke baare mein bataunga. Jaise sabse pehla kaaran hota hai smoke karna, alcohol lena aur gutka pan masala khana. Adhiktar aap logon ko aapke ghar mein bhi mana karte honge.

Doctor bhi mana karte honge phir bhi aap sochte honge ki doctor khud bhi to smoke karte hain. Lekin dosto yeh scientifically proven hai. Science mein kaha hua hai ki age lines smokers main jaldi aati hai. To mai apne sare youngster dosto se yahi kehna chahounga ki aap log smoking jahan tak ho sake usko avoid karein. Secondly, alcohol ka atyadhik sewan. Ye bhi kaaran hota hai. Pollution exposure bade shehron mein jaise hum Delhi, Mumbai, Chennai, Jaipur, Lucknow, Patna shahar meinrehte hain. Yahan sabhi jagah par bahut jyada pollution hai, vatavaran bahut dushit hai, bahut dushit pani peene ko milta hai.

In sab ki wajah se bhi hamari jo koshikayein hain jo skin ki jo cells hain ya aapko aur detail mein bataun jo Collagen hai ye bahut jaldi uske andar changes aate hain. Aur iski wajah se lines dikhni shuru ho jati hai. Saath-saath agar aapko koi bimari hui hai jaise diabetes hai ya blood pressure hai aur uska treatment nahi le rahe. Toh doston yeh toh kuch kaaran the. Ab hum isko kaise thik karte hain. Mere apne clinic mein in ke baare mein bahut sare features hain. Jaise peel se hum shuru karte hain. Peeling ek bahut hi simple sa tarika hota hai jisme ek medicine hoti hai jo doctor ko pata hota hai kis concentration mei kis skin pe lagana hota hai. usse in age line ko shuru mein jo aati hai unko hum defile kar sakte hain, unko hum delay kar sakte hai. Iske baad MNRF yani ki Microneedling Radiofrequency Technique.

Painless technique hai ise use kar sakte hain. Thread lift kar sakte hain. 10-15 minute mein kiya jata hai. In sabhi mein koi scar nahi padte koi nishan nahi aata. Aap karva karke immediately kisi bhi function mein party mein ja sakte hain, Aur unka jo samay hai wo kafi lamba hota hai. Ek baar aap ne karaya to kam se kam 3-4 mahine tak iska asar rahega. Agar aap isko baar-baar karate hain toh asar bahut lambe samay tak rahega. Fir HIFU technique hai jiska matlab hai High Intensity Focused Ultrasound.

Isse bhi hum aapke deeper layers ko for example jaise press lagate hai jisse hum kapde ki salvaton ko thik karte hain usi tarah se HIFU ke dwara hum log lines ko defile kar sakte hain. Aur isi tarah se Botox bhi hota hai jo bahut suna hoga apne. Simple sa tarika hai. Pinch karke chota sa injection lagta hai jisse ki aap ki muscles bilkul shant ho jati hai aur woh wrinkles nahi rehte hain. Toh dosto yeh kuch tarike the wrinkles ya age-lines ko defile karne ke liye. Sabse important hai aap apni life style healthy rakhein toh age-lines der se aayenge.

Dhanyavad!


Skin Problems
Skin Problems

Hi!

I’m Dr. Vinay Singh. Welcome to Vibrant Skin Laser and Cosmetic Clinic. Dear friends, I believe that everyone is gorgeous, be it a male or female.

Everyone is very pretty and we in our clinic makes you more beautiful. We actually relish in improving your looks, improving your disease. If you are facing any disease, if it’s any skin disorder then we try to cure it completely. And I believe in past two decades what I have done. My moto is whenever my client comes in our chamber he/she must come happily in following appointments with a smiling face. The client should say thank you doctor now I’m completely fine or I have seen improvement. So, friends we have introduces many such treatments in our clinic which makes your outer look better, you will become more presentable and if you are facing any such disease then we cure it. We try to make you comfortable. We don’t make you a fearsome person who feels so scared about his/her disease and its transmission. There are many people having many complications we always give them solutions. You can contact us online we do online consultation or if you want to visit our clinic we try to satisfy you completely. The moto of our clinic is that BE GORGEOUS, WELCOME TOMORROW. So if you or your friend or any of your family member has some skin problem, or they want to make them more beautiful or if there is any small problem like hair or nail related or sexual issues, then please contact me at my clinic Vibrant Skin Laser and Cosmetic Clinic which is situated in India, Delhi Pitampura. And I’m also available online with various media like lybrate.com is there.

You can contact me through that also thank you so much.


Doctor in Vibrance Skin Laser & Cosmetic Clinic

Get Help
Services

Doctor in Vibrance Skin Laser & Cosmetic Clinic

doctor-profile

Dr. Vinay Singh

Dermatologist25 Years Exp.
MD - Dermatology
₹ 1,500 at clinic
700 online
Unavailable Today

Patient Review Highlights

Very helpful

3 reviews

knowledgeable

2 reviews

Well-reasoned

1 reviews

Professional

1 reviews

Sensible

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for Vibrance Skin Laser & Cosmetic Clinic
Your feedback matters!