Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
KDC Skin, Hair & Laser Clinic

KDC Skin, Hair & Laser Clinic

Dermatologist Clinic

5 B/28, Block B, New Industrial Township 5, New Industrial Town
4.4
27ratings
14 Reviews
1 Doctor
₹ 400 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to provide a compassionate professional environment to make your experience comfortable. Our staff is friendly, knowledgable and very helpful in addressing your health and fina...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
10:00 AM - 02:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer

Videos

Warts - Things To Know About It
Warts - Things To Know About It

Hello friends.

 

I am Dr. Archit Agarwal hai. Mai aaj apse warts ya verruca ke barein mein baat karna chah raha hoon. Warts ek basically viral infection hota hai jo ki HPV naamak virus ki vajah se hota hai, khaskar yeh masso ke tarah se nikalte hai. Warts vaise to bacho mein jyada common hote hain lekin bado mein bhi ho sakte hain. 3-4 prakar ke warts hote hai. Common warts jo ki verruca vulgaris hote hai vo khaskar chehre pe, hath pe, pair pe nikalte hain. Safed ya fir skin coloured ke rough masse hote hain aur ye contagious hote hai, yeh failte hai ek janah se doosre janah ko failte hain aur ek jagah se doosre jagah failte hain. Doosre hote hain philiform warts jo ki keel jaise nookile hote hain aur khaskar chehre pe, aankhon ke aas pass aur naak ke aas pass aur muh ke aas pass hote hain. Fir hote hai aapke plantar warts jo khaskar pairon mein hote hain aur kayi bar voh pain bhi kar sakte hain, weight bearing areas mein. Agar yeh bahut saare hote hain toh isi ko mosaic warts bhi bolte hain. Fir hote hai aapke venereal warts jo ki sexually transmitted hote hai aur genital organs ke aas pass hote hain. Yeh warts ko treat karna isilye bhi jyada important hota hai kyunki yeh pre-cancerous hote hain, cervical carcinoma ka chances hota hai is mein agar isko treat nahi kiya jaye to.

Warts hote kyu hai? Jaisi ki maine aapko bataya contagious hote hai, HPV virus ki vajah se hote hai, lekin jaha pe cuts hote hain jaise ki hath ho gaye vaha pe jyada failne ke isko chances rehte hain. To warts ka treatment jo hai vaise to bahut jyada YouTube pe aapko videos mil jaengi jisme garlic paste ke bare mein bahut bataya gaya hai lekin garlic paste vagarh patients bhi lagake aate hain hamare pass, garlic paste lagane se kya hota hai ki aas pass ki skin jal jati hai aur kyunki wart thoda deep hota hai islye vo wart theek nahi kar pata aur sabse important main yeh batana chahta hoon ki isko hume kam se kam touch karna chahiye to yeh kam se kam failega. Iske andar agar aap ghar pe isko treat karna chahe to salicylic acid ke paint aate hain bazar mein. Aap phle lukewarm water mein usko thoda sa bhigoiye jo area pe wart ho raha hai, usko fir aapko 5 min bhigone ke baad jab vo soft hojaye toh halka sa rub karna hai file se jisse ki upar ka dead skin utar jaye, fir salicylic acid lagana hai.

Ye treatment jo hai vo thoda lamba chalta hai lekin agar warts jo hai chehre pe hai, sexually transmitted hai, bahut saare hai, laal ho rahe hai ya fir agar inn cheezon se theek nahi ho rahe to aapko dermatologist ya skin specialist ke pass aake inko theek karana chahiye. Hamare pass cryotherapy hoti hai jo ki liquid nitrogen hoti hai jo hum ispe spray karte hai, jiski vajah se ice formation hota hai aur tissue destruction hota hai. Vo iske andar kafi successful treatment hai. Fir isme hamare pass electrocautery hoti hai. Electrocautery kya hai ek basically electric current se us wart ko jalaya jata hai local anaesthesia mein, sunn karne ke baad. Iske andar khane ki aur lagane ki dawaiyan bhi kuch hai: zinc ke tablets aur levamisole, imiquimod sachet aur flonida ya fir 5-florouracil ki cream, bleomycin ke injection, intralesional vaccines jaise ki MMR ke vaccine, intralesional vitamin D toh kafi sari modalities hain jo ki ek ya fir kafi sari ek sath kii jati hain jisse ki warts jaldi se jaldi khatam hojaye. Aap agar jo bhi aap treatment karana chahe aap karaye lekin aapko har treatment ke faide aur nuksan pata hone chahiye, kitna lamba treatment chalega vo pata hona chahiye aur khaskar jab yeh warts multiple ho to aapko iska treatment theek se lena chahiye.

Thank you!


Fungal Infections - Know The Reasons And Precautions!
Fungal Infections - Know The Reasons And Precautions!

Hi,

I am Dr. Archit Aggarwal, Dermatologist. Aaj humne topic select kiya hai fungal infections. Kyuki ye bohut jyada faile hue hain and log bohut jyada preshan hain. Isliya aaj humne ye topic select kiya hai. Vaise toh ye bohut common term hai. Lekin ek organism hota hai joki skin loving hota hai. Ye skin ko effect karta hai. Uski vajaha se fungal infection hota hai. Hone ko ye nail mein bhi ho sakta hai, hair mein bhi, skin mein bhi ho sakta hai. Simultaneously 2-3 jagah pe bhi ho sakta hai. Lekin commonly ski ke un areas mein hota hai jahan jyada sweating hoti hai ya fir jyada friction hota hai. Jaise breast ke niche, armpits mein ya fir growin area mein ho gaya. Hindi mein isko log daad bhi bolte hain. Iska proper ilaj karna bohut jaruri hai doston. Pehle toh mein aap ko btata hun ki ye dikhta kaisa hai. Ye normally red color ka circle mein hota hai.

Bohut jyada itching hoti hai. Kayi baar ismein pus vale daane bhi hote hain, pustules bhi hote hain and kayi baar ye faille bhi sakta hai. Iska ilaj karna isliya jaruri hai kyuki agar iska ilaj time se nahi kiya gaya toh jyada faille sakta hai. Kayi baar ye puri body mein bhi faille sakta hai. Isko hum arthroderma bolte hain and ye medical emergency hai. Humein isko proper Dr ko dikhana isliya jaruri hai kyuki is se milti julti kayi bimariyan hain jo is se milti julti dikhti hain lekin vo hoti nahi hain fungal infection. Isliya agar hum fungal infection ka treatment karte rhenge toh koi fayda nahi milega. Dusri baat ye hai ki kyuki iska ilaj mehenga hai toh ismein alag alag classes anti-fungal kar ke hum dete hain. Kyuki iske andar drug resistance bohut aa gaya hai. Ek iska karan hai steroids ka use karna. Kyuki patient boht frustrated hota hai. Steroid lene se result jaldi milta hai but fungal infection faille raha hota hai. Aur jab steroids lagana band kiya jata hai toh itching bhi hoti hai. Toh iske andar proper anti-fungal medications jitne din ke liya bola jaye, utne din ke liya karna jaruri hai. Kayi baar ismein anti-fungal medications 2-3 months tak chalti hain.

Is se hafte 10 din mein aram aata hai. Uske baad medications mehngi hoti hai toh patient bich mein hi medications discontinue kar dete hain. Toh us se fungus vapas grow karna start kar deta hai. Isliya jab tak mana naa kiya jaye tab tak medicines nahi band karni chaiye. Proper qualified dermatologist se consult karna hai. Kuch chizen aur bhi hain jo aap ko dhyan rakhni hai treatment ke time. Ek toh ismein personal hygiene pe dhyan dena hai. Anti-fungal shampoo use kar sakte hain. Undergarments alag se wash karne hain. Sugar content kam lena hai. Jyada scratch nahi karna skin ko. Well ventilated clothes pehnne hain. Hope you find good health.

Thank You!


Acne
Acne

Hello Everyone!

Mera name Dr. Archit Aggarwal hai. Me Faridabad me as a skin specialist practice kerta hun. Aaj me apko acne ke bare me bataunga. Acne matlab muhase and pimples. Vaise ye teenage problem hai jo 13-21 ki age tak hoti hai. Logon ko puri jankari na hone ki vjha se vo thik se treatment nhi le pate hain. Or aise unke face pe scars bhi aa jate hain. Acne scars baad me psychological problems bhi karte hain. Pimples ka reasons kya hai? 12-13 puberty age hoti hai jab body ke hormones badhte hain. Hmara scalp, face, chest, back, in sab me special glands hote hain jinko sebaceous gland bolte hain.

Jab hormones in glands pe act karte hain to body jyada oil or sebum produce kerte hain or jab ye oil bahar nahi nikal pata to ye acne bante hain. In acne me bacterial infection ho sakta hai. Isme pus or keel bhi ban sakti hai. Aaj kal treatment advance ho gaya hai and jitna jaldi treatment start ho jaye utna acha hai. Logon ka myth hai ki agar ek bar treatment karao to baar baar treatment karana pdta hai. Jaruri nahi hai ki acne 25 saal ki age tak hi ho.

Ye problem especially ladies me 35 years ke baad bhi ho sakti hai. Isko acne tarda bolte hain. Is problem ke sath unhe hirsutism ki bhi shikayat hoti hai. Ye hormonal balance se associated hai or isko PCOD bolte hai. Isme menses ka bhi problem hota hai. Usme hume hormonal angel se bhi treat krna pdta hai. Acne age group and severity pe depend krta hai. Agar bahut kum acne hai to vo lagane ki medicines se bhi thik ho sakta hai. Agar severity jayada hai to hume antibiotics deni hoti hai. Acne kahtm kerne ke lia kuch procedures bhi hote hain jaise microdermabrasion, chemical peel. Is se severe acne me aram aata hai. Agar kisiko early age pe acne hua hai or uske baad scarring or gadhe hain to unhe sub-sicion surgery, laser, dermaroller se thik kia jata hai. Kayi log puchte hain ki acne prevent kerne ke lia diet ka kya role hai.

Scientific studies proven hai ki oily products and dairy products acne ko badhati hain. Sath me stress bhi acne ko badahta hai. Stress avoid keren, jyada pani peeyen, vegetarian and fibre rich diet acne me fayada kerti hai.

Take care.


Doctor in KDC Skin, Hair & Laser Clinic

Get Help
Reviews
Services

Doctor in KDC Skin, Hair & Laser Clinic

doctor-profile

Dr. Archit Aggarwal

Dermatologist12 Years Exp.
MBBS, M.D - Skin & V.D
₹ 400 at clinic
400 online

Patient Review Highlights

Very helpful

6 reviews

knowledgeable

2 reviews

Professional

1 reviews

KDC Skin, Hair & Laser Clinic Reviews

V

Verified

Feb 16, 2024

Got my two implants done from here. Very good experience. Whole process was painless. Clinic environment is very good and cost is also pocketfriendly. Best clinic in faridabad, sec 35 faridabad. read less

V

Verified

Feb 16, 2024

Well qualified doctor.Thank u for treatment great experience I get results in 6 months I tried supplements for hair treatment but I didn't get results thank u Dr Archit for treatment read less

S

Shweta Yadav

Feb 15, 2024

My hair fall reduced and scalp is better and fuller. It took 3-4 months and 3 consults with Dr.Archit Aggarwal Dermatologists at KDC clinic Faridabad. He also told me few dietary changes, suggested serums and shampoo. The change is noticed by me and family and friends. Great work and I am a happy pa...read more

J

Juli Mehta

Sep 10, 2022

Awesome experience here. Thank you so much Dr. Archit he doing a great job, explain everything to me in very clear manner. He is also kind and friendly. Treatment procedures is great. I love to visit the clinic atmosphere is very good. Very affordable cost of therapy as well. Thank you so much docto...read more

A

Ajit Kumar Jha

Feb 23, 2022

Dr. Rachit is really pleasant and I felt truly comfortable than ever before. He elaborated the problem and symptoms very clearly and I 100% recommend him to the needful patient. Thanks..Nutan Jha read less

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for KDC Skin, Hair & Laser Clinic
Your feedback matters!