Dr. Vipin Tyagi Orthopedict Clinic
Orthopaedic Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Orthopedist.We like to think that we are an extraordinary practice that is all about you - your potential,...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hi,
I am Dr. Vipin Tyagi, Orthopedist and I am practicing for 35 years. Ab mera interest joint replacement ki taraf hai. Kyuki aaj kal joints ki bimariyan bohut badh rhi hain jismein jyadatar ghutne ke dard ke bohut patients aate hain. Toh mai aap ko bataunga ki aap ko medicines lene se kab fayda hoga aur kab aap ko joint replacement karana chahiyai. Shuru mein har patient ko exercise karni chahiyai. Aaur thodi medicines le sakte hain lekin jyada bhi medicines nahi leni chahiyai kyuki medicines se kidney and liver pe affect padta hai. Lekin jab ghutne kharab hone lage aur patient ko lage ki vo chal nahi paa raha hai aur daily activities mein problem aa rahi hai tab patient ko joints replacement ka sochna chiaye. Aur kisi ache doctor se treatment lena chahiyai. Aaj kal patients mein bohut myths hai joint replacement ke liya.
Patient ko lagta hai ki jo fat hain unke joint replace nahi ho sakte. Agar aapka sahi time and sahi doctor ke through treatment ho toh aap ke joint replacement ka result bohut acha hai. Kabhi kabhi aap bhi jab kisi doctor ke paas jaate hain toh vo keh dete hain ki joint change kar denge bt vo kisi bhi bahar se doctor ko bola ke aap ka treatment karate hain. Is se baad mein preshaniyan hoti hain. Galat patient ka selection karne se bhi preshaniyan hoti hain. Ye ek fact hai ki jin ke joint replace kiya jaate hain vo sab satisfy nahi hote. Knee joint replacement ke jo satisfaction rate hain, all over the world 70-80% hain. Lekin chalne mein koi preshani nahi hoti. And iske 95% results hain. Koi patient kehta hai ki mere joint mein akdan hai aur koi kehta hai ki joint mein abhi bhi pain hai. Par iske aur bohut sare karan hote hain. Jyadatar patients ka exercise na karna bhi ek karan hai. Artificial joints ke bohut ache results hain jo 25-30 saal chal jaate hain. Thanks to Modi Ji kyuki joints ki cost ab kam ho gayi hai. Pehle joints ki cost 1 lakhs to 1.5 lakhs thi ab 75k tak joints hain. Joints replace karane ke baad mein aap ko exercise karni bohut jaruri hai.
Aur kafi patients nahi karte hain. Joint replace karne ke baad mein bhi kuch precautions liya jaate hain. Jaise aap bohut jyada heavy sports nahi kar sakte. Run nahi kar sakte. Daily activities aap kar sakte hain. Aise joints bhi hain jismein aap niche baith sakte hain. But ye depend karta hai ki aap ki body mein kitni takat hai. Patients ki kayi baar unexpected demands bhi hoti hain. Kayi patients examples dete hain Atal Bihari Vajpayi ki. Mai batana chaunga ki unke doctor ke sath mene US mein kam kiya hai. Vajpayi ji ke sharir mein takat hi nahi thi isliya vo jyada chal nahi paye. Lekin Atal ji ki vajaha se logon mein awareness aa gayi joint replacement ki. Patient ko infection ka darr hota hai. Mai abhi tak 350 patients ka knee replace kar chuka hun. Kafi patients ke ache results rahen hain. Ab ek naya knee aaya hai jise golden knee replacement kehte hain. Iska benefit hai ki ismein allergy ke chances bohut kam hote hain. Kyunki kayi logon ka pata nahi chalta ki unhein metal se allergy hai ya nahi. 100 mein se 1-2% hota hai ki patient ko allergy ho jaati hai like skin black hone lagti hai, itching hoti hai. Isliya golden knee kafi acha hai. Iski cost bhi normal knee ki tarah hi hai. Is tarah ke joints kafi replace kiya hain mene. Patients kafi satisfy hoke jaate hain. Uske baad mein physiotherapy ka bhi dhyaan rakha jata hai.
Thank You.
Doctor in Dr. Vipin Tyagi Orthopedict Clinic
Doctor in Dr. Vipin Tyagi Orthopedict Clinic
Dr. Vipin Tyagi
Dr. Vipin Tyagi Orthopedict Clinic Reviews
Verified
Nov 19, 2023Very good
Shubham
Sep 24, 2019He is an excellent person and moreover excellent doctor i have ever met. He treats you very well. I went two times to him. One time my condition was so severe that i was not able to sit also. I went there first time on stretcher and when i visited him again i went walking by my foot. When first time...read more