Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan

Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan

Ayurvedic Doctor Clinic

No. 66, Block 12, Raj Nagar
4.5
28ratings
1 Reviews
1 Doctor
₹ 200 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to provide a compassionate professional environment to make your experience comfortable. Our staff is friendly, knowledgable and very helpful in addressing your health and fina...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sun
09:00 AM - 02:00 PM
05:00 PM - 08:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

Videos

Ayurveda Treatment And Its Benefits
Ayurveda Treatment And Its Benefits

Hi,

I am Vaidya Dinesh Kumar hai. Nadi visheshagya ka matlab hota hai ki rogi ki nawaz dekh kar uski bimariyan bata dena. Aajkal vartmaan mein jitni bhi chikitsa padhdhtiyan hain ayurverda sabse surakshit chikitsa padhdhti hain. Aaj bharat mein hi nahi van vishwa mein bhi ayurveda ki prati logo ka bharosa bada hai aur America jaisi super power desh ne bhi ayurveda ko loha mana hai. Aajkal ghutne, liver, gurde badalne ke mamle badhte jaa rahe hain jiska sabse bada karand chemical vali dawaiyon ka atyadhik sevan karna hai, dusra hamari lifestyle aur khaan paan hai.

Yeh ek bahut ki chinta ka vishya hai aur adhiktar dekha gaya hai ki bahut se rogi rog ko aisadhya karke ayurveda ki sharand mein aate hain. Agar samay rehte ayurveda ki sharand mein aaye toh ghutne, liver ya gurde badalne ki nobat nahi ayegi. Dusra aaj kal aam samsya hai ladkiyo mein jaise PCOS, PCOD aur infertility badhti jaa rahi hai, inn sabka ayurveda mein bahut achcha ilaaj hai. Fibroids hote hain jinka ek matra solution operation hai, prostrate gland badh jati hai allopathy mein uska bhi solution operation hain. Lekin ayurveda mein bina operation ke dawaiyon se yeh saari samsyaein bina kisi side effect ke theek hojati hai. Ayurveda ek chikitsa vigyaan hai aur jisme ayurveda ki 2 mukhya priyojan hai: swasthasya swasth rakshanam aatorasya vikas prishnamnam arth hai swasth vyakti ki swasth ki raksha karna aur aator rogi ki vikar ka prishnamnam karna.

Aur yeh dono priyojan tabhi safal hai jab vaid swayam aushdhiyon ka nirmaand karta ho, aur nadi gyaan mein parangat ho kintu adhiktar ayurvedic doctor aisa nahi karte, aushdhiyan swayam nahi banate hai, nadi gyaan bhi unke pass nahi hota. To ayurveda fail hojata hai. Bahut se vyakti kehte hain ki ayurveda mein rog jad mool se kyu theek hota hai. Toh iski sabse badi vajah hai kyunki ayurveda symptom ka treatment nahi karta, cause ka treatment karta hai. Agar cause, karand kya hai bimari ka agar hume yeh pata hoga toh karand ka nivarand karne par rog swayam hi nasht hojata hai. Toh ayurveda mein aaiyen aur apne aur apne pariwar ko bachaiye. Agar aap pareshan hai sugar se, thyroid se, motape se, jodo ke dard se ya varsho purane migraine se ya yon samsyaon ke karand apne jiwan ke anandit shadon se vanchit hai ya aisi kisi bimari se peedit aur pareshan hai jiska ilaaj kara kar thak gaye hai, dawaiyaan kha kha kar pareshan aur nirash ho gaye hai toh aap ek bar zaroor consult karein aapka ek sahi kadam aapki zindagi badal sakta hai, aapke jiwan mein khushiya ghool sakta hai.

Dhanyawad!


Doctor in Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan

doctor-profile

Dr. Dinesh Kumar

Ayurvedic Doctor16 Years Exp.
BAMS, MD - Ayurveda, Diploma in Vaidya Visharad, NDDY
₹ 200 at clinic
350 online
Unavailable Today

Patient Review Highlights

Saved my life

1 reviews

Very helpful

2 reviews

knowledgeable

2 reviews

Professional

1 reviews

Well-reasoned

1 reviews

Prompt

1 reviews

Caring

1 reviews

Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan Reviews

L

Lybrate User

Apr 04, 2019

I found the answers provided by the Dr. Dinesh Kumar to be saved my life, caring and very helpful. thanks Dr main 16 april ke baad aap ko bataungi

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Nav Arogya Kalp Ayurved Bhawan
Your feedback matters!