Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Om Eye & Gynae Centre
Om Eye & Gynae Centre

Om Eye & Gynae Centre

Multi-speciality Clinic (Ophthalmologist & Gynaecologist)

5/622, Sector-5, Landmark: Opposite Ramprastha Green Gate 4 , Vaishali
4.3
28ratings
9 Reviews
2 Doctors
₹ 500 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to provide a compassionate professional environment to make your experience comfortable. Our staff is friendly, knowledgable and very helpful in addressing your health and fina...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
10:30 AM - 09:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Spectacle Removal Surgery
Spectacle Removal Surgery

Mai Dr Rajiv Gupta, mera clinic Om Eye and Gynae Centre, Vaishali sector-5, Ghaziabad mein hai. Aaj hum chashma utarne ke operation ke bare mein baat karenge, yeha operation ideally tabhi kerna chahiye jab ankh ka number stable ho jaye. Isliye adhiktar bees saal ke baad kiya jata hai, kyunki adhiatar patients mein bees saal ke aas-paas number stable ho jata hai. Chashme hatane ka kaam teen alag-alag taranh ke operations ke dwara kiya ja sakta hai. Pehla laser dwara, jo sabse common aur popular tareeka hai, jisko adhiktar sabhi log jante bhi hain. Dusra, phakic IOLs dwara, teesra clear lens exchange dwara. Laser dwara chasma hatane ka bases yeha hai, ki jo cornea hai ankh ki, kali putli jo hai usko ek high power lens ki taranh samajh sakte hain. Aur iss lens ki power ko laser ke dawara chashme ke number ke according kam ya jayada kiya ja sakta hai, jisse ki jo kam chashma kr raha tha wo kam uski power mein adjustment karke ho jata hai aur operation ke bad cashma lagane ki zarurat nahi padti. Laser operation kai taranh se kiya ja sakta hai jaise PRK, lasik, lemto laser aur SMILE. Laser ko PRK mein cornea ki superfision layer ko hata kr, cornea pe laser kiya jata hai. Jabki lasik mein cornea ka partial thickness flap utha kr cornea pe laser kya jata hai, phir flap ko deposit kr diya jata hai. Lasik mein flap uthne ka kaam microcreatrom ke dwara kiya jata hai. Femto laser ek aisa procedur hai jissme lasik ki taraf flap uthya jata hai, lkin isme flap katne ka kaam laser ke dwara kiya jata hai aur jayada accurate hota hai. Isliye femto ko lasik se jayada achcha manate hain. Jabki SMILE insabse bhi aur advanced technique hai, jisme laser ka istemal flap banake uthane ke liye nahi kiya jata balki laser ka istemal ek ankh mein se, cornea mein se chota sa piece nikalne ke liya kiya jata hai, jisse ki ankh ki stability, cornea ki strength jayada achchi maintain rehti hai kyunki usme flap nahi badana pada. Koi patient laser operation ke liye fit hai ke nahi, ye janane ke liye ankh ki kuch jaanche ki jati hain. Yadi patient ki ankh uss janch mein fit aati hai, toh uski ankh mein laser operation kiya ja sakta hai. Laser ke results bahut achche hain, success rate more than 99% hai, lekin kisi bhi anya procedure ki taranh success rate 100% nahi ho sakta, aur operation se related kuch problems ya complications bhi ho sakti hain. Infective keratitis or keratoconus aise do uncommon but very important complications hain jinki wajah se ankj ki roshni kam bhi ho sakti hain. Ab hum baat karte hain phakic IOLs ki, jisme natural lens ke upar ankh ke ander hi ek aur artificial lens laga diya jata hai. Yeh procedure khastaur pe unn logon ki choice hai, jo laser ke liye fit nahi hain. Iski uncommon but important complications hain, ankh mein safed motia ya kale motia ka ho jana. Lekin phakic IOLs ki advantage ye hai yadi ye problems aati hain toh zarurat padne par artificial lens ko nikalker inn problems ko dur kiya ja sakta hai. Iska ek aur bada advantage yeh hai ki isme cornea ko chda nahi jata, yani ki conea mein koi cut nahi lagaya jata, jisse cornea ki apni strength maintain rehti hai, jabki laser aur patient mein cornea ki strength kam ho jati hai. Teesar tareeka hai clear lens exchange, isme natural lens ko nikal ker artificial lens laga diya jata hai. Iss procedure ko pentalis saal ki umar se pehle kerna pasand nahi kiya jata, kyunki iss operation ke baad ankh ki dur nazdeek focus kerne ki power khatam ho jati hai, Retinal detatchment yani parde ka apni jagah se hutt jana bhi iski ek serious complication ho sakti hai. Toh kisi specific patient ke liye kaunsa operation jayada suitable hai. Yeha mukhya roop se uski ankh ki condition pe nirbhar kerta hai, yadi uski ankh ki condition ke hisab se, ek se jayada procedures possible hain, suitable hain, toh uss case mein patient ki apni choice aur doctor ki preference nirbhar kerta hai ki uss patient mein kaun se tareeke se chashma hataya jaye.

Yadi aap aur information chahte hian toh mujhe contact kr sakte hain Lybrate ke through, ya directly clinic par. Thank You.


Diabetes and Eye Problems
Diabetes and Eye Problems

Mai, Dr Rajiv Gupta, mera clinic Om Eye and Gynae Centre, Vaishali sector-5, Ghaziabad mein hai. Aaj mai shareer ki unn do bimariyon ke bare mein baat karunga, headache aur diabetes, unka ankh se kya sambandh hai. Headache bahut si alag-alag bimariyon ki wajah se ho sakta hai, usme ankh ki wajah se headache hona ek possibility hai. Headache ke patient mein hum teen mukhya cheeje ankon mein dekhna chahenge. Ek chashme ka accurate number, yadi kisi patient ka number hai aur weh specs use nahi kerta toh usse headache ho sakta hai, yaw oh theek number ka specs use nahi kr raha tabh bhiheadache ho sakta hai, regular use nahi kr raha, kbhi kiya kabhi nahi kiya tabh bhiheadache ho sakta hai. Aise case mein regular use of specs can be very useful. Dusra eye muscles, weak muscles ki wajah se bhi headache aaj ki tareek mein kaphi logon ko hota hai khas taur pe nazdeek ka kaam kerne se ho sakta hai jaise reading, writing, computers, mobile yadi aapke muscles weak hain tohuss case mein ankhon ke muscles ki exercise kerna important hai, kyunki usse weak muscles ki strength ko recover kiya ja sakta hai, aur jaise-jaise weak muscles normal hote hain humme headache mein improvement mill sakta hai. Teesri cheej important jo hum dekhna chahenge ki wo hai ki ankh ki nas ki kya position hai, nerves mein koi sujan toh nahi hai, kyunki bhut si neurological aur eye problems aisi hoti hain ki jinse ankh ki nas mein sujan aa sakti hai. Yadi aank kin as mein sujan hai toh hum jaanch karke uss sujan ki wajah ko janana chahenge, jisse ki uss wajah ko theek kiya ja sakay. Ab hum baat karte hain diabetes ki, diabetes aaj ki date mein bahut hi common problem hai aur diabetes ki wajah se ankh mein bahut si problem ho sakti hai jaise ankh mein baar-baar infection hona, safed motia ka ho jana ya uska fast progress kerna. Lekin sabse important hai retinopathy, yani parde mein sugar ka asar aa jana. Diabetes retinopathy ki wajah se parde mein khun aa jata hai, sujan aa jati hai, yadi khun aur sujan parde ke dekhne ke sabse important hisse macula mein aa jaye toh ankh ki roshni bhi kam ho jati hai.yadi patient ka sugar uncontrolled hai toh diabetic retinopathy hone ka dar jayada hota hai aur jaise-jaise diabetes ka duration badta hai, tabb sugar control rehate bhi diabetic retinopathy ho sakti ho sakti hai. Isiliye hume ankhon ki janch ko kerte rehna bahut zaruri hai chahe sugar control hee na ho, control ho toh bhi, yadi uncontrol hai toh definitely risk jayada ho jata hai. Iske alawa high blood pressure, pregnancy, smoking, obesity, increased lipid levels in blood yeh sari chhze bhi retinopathy ke risk ko bada deti hain. Diabetic retinopathy ko diagnose kerne ke liye routine eye checkup ki zarurat hai aur uss eye checkup ke baad yadi zarurat lagey toh kuch special jancho ko kerne ki zarurat hai jaise fundus fluorescein angiography or OCD. Diabetic retinopathy ka ilaj kai taranh se hota hai. Sabse pehla main point hai ki sugar ko aur blood lipid levels ko control kiya jaye, dusra laser ke dwara, jo khun aa gaya hai, jo sujan aa gayee hai usko control kerne ki koshish ki jati hai, teesra ankh mein inection lagake sugar ko control kiya jata hai, chautha, yadi inn sabse bhi control na ho aur sugar agar bahut jayada bad jaye toh operation ki bhi zarurat pad sakti hai. Kab konsa operation kerna hai ye eye ki condition pe nibhar karega, yadi diabetic retinopathy ka ilaj na kiya jaye aur weh progress kerta rahe toh blindness ka risk bhi bad jata hai aur ye irreversible ho sakta hai. Yani ki ek baar ankh ki roshni chali gayee toh fir usse wapis lana bahut hi mushkil hai isliye diabetic patients ko regular interval per ankh ki janch karate rehna chahiye, jisse ki jab kabhi bhi aisa lagey ki usme kuch bhi active management ki zarurat hai toh wo kiya ja sake.

Yadi aap iss bare mein aur information chahte hain toh mujhse ybrate ke through ya clinic per contact kr sakte hain. Thank You.


Glaucoma
Glaucoma

Mai Dr Rajiv Gupta, Mera clinic Om Eye and Gynae Centre, Vaishali sector 5 Ghaziabad mein hai. Aaj mai Glaucoma yaani kale moti ke bare mein aapse baat karunga. Glaucoma jisko hum kala motia, kala pani ke naam se jante hain. Yeha cataract yaani safed motia se bilkul alag bimari hai. Lekin hindi mein dono ka naam milta-julta hone ki wajah se bahut se patient inme confuse ho jaate hain. Glaucoma kisi bhi umar mein ho sakta hai, lekin jayadater 40, 50 saal ki umar ke baad hota hai. Jinn logon ki family mein Glaucoma ki history hai unme glaucoma hone ka risk general public ke mukable jayada hota hai. Glaucoma hai kya, ye waha bimari hai jisme aankh ki nas dheere-dheere sukh jaati hai aur kaam karna band kr deti hai. Aankh ki nas mein ye nuksan jayadater, aank ke ander pressure jayada hone se hota hai. Haalnli bahut se cases mein pressure normal hone ke baawajood bhi ankh ki nas ko nuksan pahunch sakta hai. Glaucoma jayadater do taranh ka hota hai ek open-angle glaucoma, dusra closed-angle glaucoma. Open-angle glaucoma adiktar silent killer ki taranh hota hai, yaani ye ankh ki nas ko nuksan karta rehata hai lekin patient ko kabhi koi dikkat nahi hoti, koi dekhne mein dikkat nahi hoti aur usko kai baar jab pata lagta hai, jab ki bahut jayada irreversible loss ho chka hota hai. Dusri taraf angle closer glaucoma mein temporarily ya permanently, ankh ke angle ke close hone ki wajah se ankh ka pressure bad jata hai aur uski wajah se ankh mein laali ho jaana, dard hona, ankh se kam dikhie dena hota hai jisse ki patient ko jald hi pata chal jata hai ki usey koi problem hai. Jahan kuch cases mein glaucoma ka diagnosis bahut hi straight forward ho sakta hai, ankh dekh ke hi pata lag sakta hai ki patient ko glaucoma hai. Wahin kuch dusre cases mein, large number of cases mein glaucoma ko diagnose karne ke liye bahut si jaancho ki zarurat hoti hai. Glaucoma ka ilaj teen tareeko se kiya jata hai, sabse commonly, eye drops glaucoma ke pressure ko kam karne ke liye istmal ki jati hain. Dusra tareeka hai laser, kuch cases mein khasker ke anle closed glaucoma mein laser ka kafi achcha role ho sakta hai aur laser glaucoma ko zindagi bhar ke liye bhi khatam kr sakta hai. Jabki baki aur bahut se cases mein glaucoma mein laser ka role bahut hi limited hai. Teesra tareeka hai glaucoma ka operation, glaucoma ka operation adhiktar unn cases mein kiya jata hai, jinme eye drops ya laser se glaucoma control nahi ho pata hai. Glaucoma ke operation karne ka matlab yeh nahi hai ki glaucoma hamesha ke liye theek ho gaya, balki glaucoma ke operation ke baad bhi zindagi bhar glaucoma ke liye janch karte rehna chahiye aur uspe najar rakhne ki zarurat hoti hai. Yadi kisi patient ko glaucoma hai aur uska ilaj na ho ya ilaj ke baad bhi glaucoma progress karta rahe, toh ankh ki nas dheere-dheere kharab ho jayegi, such jayegi aur kaam karna band kr degi. Phir aisi ankh ko kisi bhi tareekey se dihya nahi ja sakta hai, yaani ki wo ankh blind ho jayegi. Isiliye glaucoma ko khtarnak moti ke naam se bhi jana jata hai. Aur kisi wajah se jin logon mein bhi ye glaucoma ka shakk hai. Unhe regular checkup glaucoma ka karate rehna chahiye, jisse ki jiss stage per aisa lage ki glaucoma hai, ya glaucoma ilaj ke bawajood progress kr raha hai, toh usko control krne ke liye aur effective measures liye ja sakte hain.

Yadi aap mujhse contact karna chahen toh Lybrate ke through, ya mere clinic per direct contact kr sakte hain. Thank You.


Cataract Surgery
Cataract Surgery

Main Dr Rajeev Gupta ek eye surgeon hu. Meri clinic, Om Eye Centre, jo ki Vasishali, Ghaziabad me siddh hai. Aaj me apko Cataract Surgery k baare me batana chahunga.

Cataract, jise hum motiyabind bhi kehte h, ankho ki wo beemari hai jisme aankho k lense ki transparency dheere dheere kam hone lagti hai aur isse ankho ki roshni kaafi kam hojati hai. Iska ilaaj cataract surgery he hai. Isme koi dawaiya kaam nahi karti hai. Cataract surgery me ankho k defective lens ko nikal kar artificial lens laga dia jata hai, jisse hume fir se dikhna shuru hojata hai. Aaj kal cataract surgery ki latest technique ka naam Phacoemulsification hai. Isme hume ek chote se cheere se phacoe probe ko ankh k ander dala jata hai. Ye motiye k, yani cataract k defected lens k chote chote pieces ko pighla k bahar nikal deta hai. Aur fir usi cheere se artificial lens ankho k ander laga diya jata hai.

Jo lens ankho ke ander lagaya jata hai, use hum mukhya roop se 2 tarah se divide kia ja sakta h;

  • Unifocal lens
  • Multifocal lens

Unifocal Lens:    Jese ki naam se pata lagta hai, unifocal lens ek point pe focus banata hai. Suppose, agar humara lens door k object pe focus bana raha hai to nazdeeki cheez saaf nazar nahi aegi. Aur agar pass ki object pe focus bana raha hai to door ki cheezein saaf nazar nahi aegi. Islie is lens ke sath hume chashma lagana he padega, jo ki hume patients ko pass ki nazar ka chashma lagana he padta hai saaf dekhne ke lie.

 Multifocal Lens:    Multifocal lens 2-3 jagah pe focus bana sakta hai. Aur iski madad se hume nazdeek or door, dono theek se dikhai de sakta hai. Lekin Multifocal lens has some disadvantages over Unifocal lens. like;

  • Multifocal lens me hume image ka contrast kam milega in comparitive to Unifocal lens.
  • Multifocal lens me Glare and Halos dikhai dene ke zada chances hote hai

Konse patients ko Unifocal lens chahie or konse patient ko multifocal lens chaie, ye patients khud decide kar sakte h, according to their choice and work. Jin patents pe operation se pehle he cylindrical number zada hota hai, un patients ko focus banane k lie aise lens ki zarurat hoti hai jinme cylindrical power ho. Aise lens ko hum Toric lens bhi kehte hai.

Yani ki aise patients k liye, Unifocal toric lens ya fir Multifocal toric lens he zada acche maane jate hai jinko ki wo choose kar sakte hai.

Cataract surgery k results aj ki tareek me bohot acche hai. Lekin ultimate visual gain after cataract after the sugery depends on the condition of the eyes before sugery and how the surgery works on the patients.

Thank you.

 


Amenities

Parking

Parking

Online Appointments

Online Appointments

Reception

Reception

Doctors in Om Eye & Gynae Centre

Get Help
Reviews
Services
Feed

Doctors in Om Eye & Gynae Centre

doctor-profile

Dr. Rajeev Gupta

Ophthalmologist31 Years Exp.
MBBS, MS - Ophthalmology
₹ 500 at clinic
300 online
See all timings
doctor-profile

Dr. Aparna Gupta

Gynaecologist29 Years Exp.
MBBS, D.G.O
₹ 500 at clinic
300 online
See all timings

Specialities

Ophthalmology

Ophthalmology

Gynaecology

Gynaecology

Network Hospital

Pushpanjali Medical Centre

Pushpanjali Medical Centre

A - 14, Pushpanjali Enclave, Vikas Marg Extention
1 Doctor
1 speciality
 4.3
28 ratings

Patient Review Highlights

Very helpful

3 reviews

knowledgeable

1 reviews

Om Eye & Gynae Centre Reviews

R

Raman Bajaj

Jul 01, 2021

Excellent experience with Dr Rajiv Gupta. Treatment and services provided by him are recommendable. Will sure see for his services in future also

V

Verified

Mar 15, 2019

Good

A

Aletrice

Jan 03, 2017

I was shocked to experience the symptoms of eye infection. I have consulted so many doctors , but no one was able to solve my eye infection. Even in case of emergency, the staff is always willing to help. A friend of mine referred to Dr Rajeev Gupta. He doesn't just randomly prescribes medicines, b...read more

H

Harshini

Jul 25, 2017

i coud never have a oculoplastic surgery like this. I am almost my normal self post the treatment and for that Dr Rajeev Gupta is the reason. Both he and staff were very helpful. The lab in the Om Centre was very clean and well managed. He is not just friendly, but also is very motivating. In the ve...read more

D

Dehabhuj

Jul 05, 2017

I was quite depressed due to my condition, but my Dr Gupta guided me to change my attitude. In the past i consulted so many doctors but none suited me, but he did a great lasik surgery, he hashelped me immensely. The overall atmosphere in the Om Centre is very soothing. Rajeev Gupta has a very posit...read more

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Om Eye & Gynae Centre
Your feedback matters!

HealthFeed