Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Sampada Ayurvedic Centre

Sampada Ayurvedic Centre

Ayurvedic Doctor Clinic

Shop No.20, Gaur Gravity, Near Kala Pathar, Vaibhav Khand
4.6
43ratings
1 Doctor
₹ 300 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

By combining excellent care with a state-of-the-art facility we strive to provide you with quality health care. We thank you for your interest in our services and the trust you have placed...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
Sun
07:30 PM - 10:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Premature Ejaculation
Premature Ejaculation

Hi,

I am Dr. Vivek Rathore, Ayurveda. Today I will talk about premature ejaculation. Ye kya hota hai? Iske kya nuksan hain and ise hum kaise thik kar sakte hain? Sabse pehle mai aap ko iska matlab btaunga. Jab bhi koi vayakati apne partner ke sath sharirik samabandh banata hai aur uska semen agar ejaculate ho jaaye toh use premature ejaculation kehte hain. Kayi logon mein kafi severe condition hoti hai ki foreplay ke time pe hi semen dischange ho jata hai and kabhi kabhi penetrate ke time pe bhi discharge ho jata hai. Vaise toh aaj kal ke time mein ye bahut common ho gayi hai. Aur bahut log is se grasat hain. Iska mukhya roop se karan stress hota hai, anxiety and tenshion hota hai. Nayi generation ko kafi preshani ho rahi hai is problem se. Main apne clinical practice mein dekha hai ki mere pass vo log aate hain jinki nayi shaadi hoti hai. Bahut jyada excitement ki vajaha se bhi ye problem ho jaati hai. Ye problem kabhi kabhi time ke sath thik bhi ho jaati hai but kuch logon ko lagta hai ki vo is bimari ke shikar ho gaye hain. Iske 2 karan hote hain: Psycological and physiological.

Stress and depression mein rehne se bhi ye preshani ho jaati hai. Jo log apni sexual life ko leke bahut jyada tenshion lete hain, unko bhi ye problem ho jaati hai. Jinko sex se darr lagta hai unhein bhi ye preshani ho jaati hai. Agar aap ke partner ke sath tunning achi nahi hai toh bhi ye preshani ho jaati hai. Kuch logon ke lia physical relationship ek task ban jata hai. Ya fir aap ka partner kuch aise words use karta hai jis se aap ki ego hurt hoti hai toh us karan se bhi premature ejaculation hota hai. Kuch log intercourse karte time ghadi dekhte hain ya fir apne aap ko dusron se compare karte hain tab bhi unko is tarah ki dikkat aa jaati hai. Kuch logon ko doubt hota hai ki unka time period kam hai ya apne partner ko satisfy nahi kar paa rahe toh bhi premature ejaculation hota hai. Mukhya roop se premature ejaculation ka karan psychological hota hai. Hum jyada sochte hain and dimag mein doubts rehte hain ki time kam hai and shayad isi karan aap ko problem ho rahi hai.

Hum time ko ek task samajh lete hain. Isi karan se aisi preshani hoti hai. Islia aap ka self motivation hona chaiye taki aap is preshani se bach sakein. Ab me aap ko ise physiological karan bataunga. Bahut sari bimariyan hoti hai jinke karan premature ejaculation hota hai. Like chronic diseases, hypertension, blood pressure fluctuation, heart diseases, cholesterol improper, diabetes, obese, thyroid ke patients, sleep disorders se bhi ye bimaro ho jaati hai. Agar aap ka testosterone level kam hai toh bhi ye problem ho sakti hai. Aaj kal log smoking and alcohol ke addicted hain jinse premature ejaculation ho jata hai. Sedentary lifestyle, unhealthy lifestyle and diet, erectile dysfunction ke patients ko bhi premature ejaculation ho jata hai. Agar aap ko lagta hai ki psychological karan hain premature ejaculation ke toh aap apne aap ko self-motivated rakhiye. Apna confidence badhaiye.

Aap ismein apne partner ki help bhi le saktein hain. Agar fir bhi aap thik nahi ho paa rahe oh kisi ache doctor se counseling le sakte hain. Agar aap ko koi bimari hai toh uska timely treatment lein. Sath mein kuch physical activities bhi kijiye. Ab mai aap ko kuch tarike btata hun jinse aap is problem ko cure kar saktein hain. Lifestyle change karein, sedentary lifestyle tayagein, physical activities karien, walk and yoga karen. Balanced and nutrtious diet lein. Stress free life aap jeeyein. Neend ki kami jo hai aap ko, office and ghar ka pressure unse aap relax rahein. Agar aap mein koi kami hai toh unhein improve karein. Agar aap alcohol and smoke kar rahein hain toh unhein quit karein. Agar aap fried and junk food le rahein hain to avoid karein. Self-motivation and confidence se aap is bimari se bach sakte hain. Agar aap fir bhi recover nahi kar paa rahein hain toh ayurveda se consult karein. Koi bhi promotional activities ko use na karein kyuki aap ko nuksan bhi ho sakta hai. Koi bhi medicine doctor ki guideline mein hi lein. Ho sakta hai aap ko medicines ki jarurat na ho and sirf counseling ki jarurat ho. Kabhi kabhi sexual weakness se bhi ye preshani hoti hai. Toh aap kisi ache doctor se consult kar ke hi apni bimari ka ilaj karaiye. Agar aap ko mujhse consult karna hai toh aap Lybrate ke through mujhse contact kar sakte hain.

Thank You.


Erectile Dysfunction
Erectile Dysfunction

Hi,

I am Dr. Vivek Rathore, Ayurveda. Aaj hum discuss karenge erectile dysfunction par. Ye aisi bimari hai jismein purush ke penis mein puri tarah se erection nahi ho pata hai jiske karan vo apne partner ke sath relation nahi bana pata hai. Is condition mein penis mein hardness and strength nahi ho paati hai jiske karan vayakti apne partner ke sath intercourse kar sake. Is bimari ko impotency bhi kehte hain. Yeh bimari kisi bhi vayakti ko kisi bhi umar mein ho sakti hai. Generally, yeh bimari 40-50 saal ke vayakti ko jyada hoti hai. Aaj kal ke lifestyle ke karan se yeh bimari kisi ko bhi ho sakti hai at any age group. Agar yeh bimari kisi bhi vayakti ko 2 ya 2 se jyada baar preshan karti hai ya aap ke relation ke bich mein 25% se jyada preshan karti hai toh aap ko maan lena chaiye ki aap erectile dysfunction se garasat hain. Humare body ke sex hormones, brain, blood vessels and nereves ke taal mel se erection hota hai. Agar charon mein se kisi ek mein bhi kami aa jati hai toh erectile dysfunnction ho sakta hai. Erection ki problem 2 tarike se ho sakti hai.

Pehli condition mein purush ke penis mein erection acheive hi nahi ho pata hai. Aur dusri condition mein erection acheive toh ho jaat hai but intercourse se pehle ya bich mein hi khatam ho jaata hai. Ab hum discuss karenge erectile dysfunction ke karan. Erectile dysfunction ke 2 reasons hain: physiological and psychological. Sabse pehle mein physiological karan ke baare mein btaunga. Bohut sari bimariyan aisi hain jinke karan erectile dysfunction ho jaata hai. Jaise diabetes, high blood pressure, hyperlipidemia, obesity, parkinson's disease, stress, sleep disorder, disturbed hormones like thyroid condition, side-effects of allopathic medicines ke karanon se bhi erectile dysfunction ki problem ho sakti hai. Peptic ulcer, heart disease, diabetes medicines, depression medicines, sleeping pills se bhi erection ki problem ho sakti hai. Testosterone hormones kam hone se bhi erection ki problem ho sakti hai. Aaj kal gym mein muscles deveop karne ke liya boys kafi types ke supplements lete hain jiske karan testosterone hormone unka kam ho jaata hai jiske karan unhein erectile dysfunction ka problem ho sakta hai. Aaj kal log tarah tarah ka nasha karte hain jaise smoking, tobacco, coccaine, alcohol consumption se bhi erectile dysfunction ka problem ho jaata hai. Penis ya fir penis ke aas paas koi chot lag jaaye ya fir koi surgery ho like prostate ka operation ya fir spinal cord ke aas paas chot lag jaaye ya fir koi nerve damage ho jaaye toh us se bhi erectile dysfunction ho sakta hai.


Ab hum baat karenege erectile dysfunction ke psychological karan. Mansik karan se bhi erection problem ho sakti hai. Jo log jyada depress rehte hain, jinko jayada stress, anxiety rehti hai unko bhi erectile dysfunction ho sakta hai. Jyada shor ya fir shock mein bhi erectile dysfunction ho sakta hai. Jo log jyada emotional hote hain unhein bhi erection ki problem ho sakti hai. Agar aapke partner ke sath aap ki baat cheet achi nahi hai ya confidence kam hai toh erection mein problem ho sakti hai. Agar aap ki expectations bohut jyada hai and aap physical pleasure ko aap task samjhane lagen toh erection mein problem ho sakti hai. Partner ke sath discussion karne se aap apni problem thik kar sakte hain. Aap kisi bhi physician ke paas jake counseling le sakte hain. Ab mein aap ko kuch aise tarike btaunga jis se aap ko agar ED ki problem hai toh solve ho sakti hai. Sabse pehle aap ko apna khan-paan sudharna hoga.

Aap ko ek balanced diet leni hogi jismein carbohydrates, protein, fibre, fruits, green tea aur fat ki matra kam ho. Aap ko balance diet leni hogi. Salt kam use karna hai. Sedentary lifestyle ko tayagna hoga. Physical activities karni hogi. Yoga, gym, walk karein. Nasha karna aap ko band karna hoga. Apne confidence ko badhana hoga. Aap ko agar koi bhi disorder ya disease hai toh aap ko thik karna hoga. Aap apne routine mein bohut sare sudhar kar sakte hain. Timely food bhi bohut important hai. Apne weight ko maintain kijiye. Agar aap ka BMI jyada hai toh use control kijiye. Confidence boost karne se hi aap ki kafi hadh tak problem thik ho sakti hai. Agar aap ko erection ki problem hai toh aap kisi ayurveda se consult karein. Kyuki jab tak ayurvedic aap ke karan ko pakad ke ilaj karenge tab tak aap ko labh nahi hoga. Kis bhi advertised product ko use na karein. Dr ki prescribed medicines hi lein. Agar aap ko mera video acha laga hai to share and like karein. Agar aap ko mere se aur jankari chaiye toh aap mujhse contact kar sakte hain.

Thank You.


Male Sexual Problems
Male Sexual Problems

Namaskar! Mai Dr. Vivek Rathore ek ayurvedic physician hun or Ghaziabad mei practice krta hun.

Aaj hum baat krenge male sexual problems ke baare mein. Matlab purshon ki yaun samasyaein. Aaj kal ke jeevan mein ye pareshaniyan badhti ja rahi hain. Kaafi samay se mai practice kar raha hun or dekh raha hun ki is tarike ke patients badhte ja rahen hain. Uska mukhye kaaran jo hai, aaj kal hamari sedentary life , hamara galat khaan paan, hamara rehen sehan. Aur aaj kal ke jeevan mei stress or anxiety itni zyaada badh gyi hai ki ab is se sambhandit bimariyaan zyaada hone lagi hai. Ye vo bimari hai jo sirf ek purush ko hi nahi, balki uske partner ko bhi pareshan karti hai.Jo married life hai, vo itni zyaada disturb ho jati hai ki agar purshon mein ye kami aa jati hai, to uske partner mein in sari chizon ka aabhaav hone lagta hai or uske saath bahut saari chizen andekhi ho jati hain. To mai iss video ke madhyam se kuch chizen bataunga.

Aur ek cheez maine notice ki hai ki sexual problems jo male ko hoti hai, uska mukhye kaaran is vishye mein agyanta bhi hai. Ye jo ek part hai sex health , isko janna pratyek vyakati ke liye zaruri hai. To main is video ke madhyam se kuch jagrukta paida karna chah raha hun. Jis se log in chizon ko samjhe or usi direction mein jayen. Dekhiye agar purshon mein aisi koi problem aati hai, to vo apna ilaaj karane se bachta hai, doctor ke pass jata nahi hai, sharmata hai ya fir apni bimariyon ko andekha karta hai. Aisa karne se uski pareshani badh jaati hai. Uska confidence kam ho jata hai. Uska manobal dheere dheere girne lagta hai. Jab ye saari conditions aa jati hain , to vo apne partner ke saath achey sambhandh nahi bana paata hai , or is se uska partner satisfy nhi ho paata hai . Iske kaaran un dono ke beech mein tanaav ho jata hai. Aur tanav ke kaaran ghar mei kalesh hota hai, ashanti hoti hai.

Aur mei aaj kuch aisi hi pareshaniyon ke bare mein discuss karunga jinhe hum kehte hain male sexual problems. Pehli cheez jo main aapko batane ja raha hun , vo hai nightfall matlab swapandosh. Ye bimari generally 14-18 saal ke ladkon mein hoti hai. Or is tarike patients bahut badhte ja rahen hain. Is bimari se bachne k liye in bachon ko raat mein sonay se pehle muh, haath or pair dho ke sona chahiye or ache vicharon ke saath unhe sona chaiye.

Dusri dikkat hai spermatorrhea. Isme peshab me jhaag aana ya fir ise hum viryepaat bhi kehte hain. Ye samasya 18-25 saal ke ladkon ko zyaada hoti hai. Iska mukhye kaaran infections bhi hota hai or galat khan paan, rehen sehan bhi hota hai. Zyaada garam khane se jaise non-veg, dry fruits, ye tez masale khane se ye bimari jyada ho jati hai. Ya pait ka theek se saaf nahi hona bhi iska mukhye kaaran hai. Agar aapko is bimari se bachna hai, to in chizon ko avoid karna hoga.

Teesri ek bimari hai erectile dysfunction. ED ka matlab ye hota hai ki ling me uttejana ki kami hona ya fir ling ka uthan nhi karna. Iske kaaran patient ki sex life disturb hoti hai. Aur agar vo ye saari chizen avoid karta hai to uska confidence kam ho jata hai. ED ka mukhye kaaran 2 hain - psychological or physiological. Patient ko apna confidence badhana chaiye. Physiological agar problem hai , to ayurvedic treatment le ke ilaaj karana chaiye.

4th bimari hai premature ejaculation. Jiska matlab hota hai shighar patan. Iska mukhye kaaran khan paan, rehen sehan, stress aur anxiety hai. Is se logon ko darne ki koi zarurat nahi hai. Ye koi aisi bimari nahi hai jis se bhaaga jaye. Is se aapke sex life mein anand kam ho jaata hai. Agar aap is bimari se bachna chahte hain, to nisankoch treatment karaiye. Aap 100% thik ho jayenge.

Ek pareshani ke baare mei aapko or batana chahta hun. Male infertility. Matlab pita banne ka abhav hona. Iska mukhye roop se kaaran hota hai sperm counts mein kami aa jana. Ye vo bimari hai jo bilkul theek ho jayegi. Iske liye ek test karaya jaata hai semen analysis. Is se ye pata chalta hai ki sperm ke count mei kya problem hai , ya fir morphology mein koi defect to nahi hai. Ye bimari bhi aisi hai jo 100% theek ho jaati hai.

Iss video ke madhyam se main aap sabko ye batana chahta hun,  jo male sexual problems hai inse aapko ghabrane ki zarurat nahi hai quki yahi vo kaaran hai jiske kaaran ghar me kalesh hota hai. Sthiti yahan tak ho jati hai divorce tak ki stihti ban jaati hai. To main aapse yehi kehna chahta hun ki is bimari ka nisankoch ilaaj karaiye. Ye bimari aisi hain ki chupane se theek nahi hogi. Iska ilaj zaruri hai, or iske theek hone se aapke jeevan mein khushiyan aa jayengi. Dhanyewaad.


Doctor in Sampada Ayurvedic Centre

Get Help
Services

Doctor in Sampada Ayurvedic Centre

doctor-profile

Dr. Vivek Rathore

Ayurvedic Doctor20 Years Exp.
Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
₹ 300 at clinic
300 online
Unavailable Today

Patient Review Highlights

Saved my life

1 reviews

Very helpful

10 reviews

knowledgeable

5 reviews

Well-reasoned

1 reviews

Professional

1 reviews

Helped me improve my health

1 reviews

Sensible

1 reviews

Prompt

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for Sampada Ayurvedic Centre
Your feedback matters!