Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Jeevniya Ayurveda, Panchkarma, Ksharsutra Clinic

Jeevniya Ayurveda, Panchkarma, Ksharsutra Clinic

Ayurvedic Doctor Clinic

H.No.2, Sector-4, Railway Road, Prakashpuri Chowk
4.5
60ratings
1 Doctor
₹ 500 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Ayurveda, Ayurvedic Specialist, Dermatologist, Diabetologist.We like to think that we are an extraordinary...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
05:00 PM - 06:15 PM
09:30 AM - 11:30 AM

Clinic Location

Videos

Anorectal Fistula - How Can Ayurveda Treat it?
Anorectal Fistula - How Can Ayurveda Treat it?

Namaskar,

Mein Dr. Sunil Arya, MD Ayurved. Main aapko bhagandar athva anorectal fistula ke bare mein batana chahta hoon youn to gudmarg mein kafi sari samasyen ho sakti hai piles and bavasir, fissure mane guddh chir, aise hi ek rog hai anorectal fistula, fistula ka matlab hota hai ki yadi guddha ke 2-3 inch ke dayre mein koi chhoti funsi hoti hai usse mawad ka risaab hota hai, khoon aata hai, dard hota hai athva abscess ban jata hai aur ek baar dava khakar theek ho jaane ke bad fir dobara agar wo banta hai to wo anorectal fistula ho sakta hai, maane bhagandar ho sakta hai use bhagandar ke treatment ke vishay mein aajkal thoda sa jankari lena bohot jaruri hai kyunki sabse pahle aaj ke samay mein fistula ko lekar ke patient jata hai surgeon ke pass to surgery ho jaane ke bad kabhi bhi koi bhi surgeon ye nahin keh sakta ki isko ek bar surgery ho jaane ke baad dubara nahin hoga, manne dobara hone ke chance bane rahate hain, aisi sthiti mein patient dayen-bayen ghumta hai aur puchta hai koi aisi treatment bataiye jisse is fistula ka sampoorn vinaash ho sake to aise mein ayurved ki Ksharsutra vidhi jo chikitsa vidhi hai ye aapko sat-pratishat nishchit roop se ek treatment uplabdh karati hai, Ksharsutra vidhi se ho jaane ke pashchat recurrence ke chance almost nahin ke barabar hote hain.

Ksharsutra hota kya hai?? Ksharsutra 1 medicated thread hai mane ek cotton thread per kuch davaon ke lep ke madhyam se, athva Kshar ke madhyam se ye taiyaar kiya jata hai aur isko bhagandar mein athva anorectal fistula main aar paar karke band diya jata hai anus per aur uske paschat har hafte use dhaage ko ham change karte hain dheere-dheere vahan se khoob mawad nikalta-nikalta rojana aur dheere-dheere wo track chhota hota chala jata hai aur dheere-dheere ek din fir wo smapt ho jata hai aur uske fir dobara hone ke chances nahin hote. Sabse acchi kya baat hoti hai is treatment ke dauran, na to patient ko bharti karna padta hai OPD level per hi uska treatment aaram se ho jata hai, na behosh karna padta hai athwa koi lumbar anaesthesia ki jarurat nahin padati hai local anaesthesia mein hi ye treatment ho jata hai aur na tissue loss hota hai, blood loss bhi aam taur per nahi hota hai hota hai aur na ke barabar hota hai, roj-roj painful dressing karni padati hai aur usse bhi acchi baat kya hai ke patient ko apne chhutti karne ki avashyakta nahin hai rojana apna kam karte rahte hue aur is treatment ko liya ja sakta hai.

Koi bhi vyakti jo is treatment ko chahta ho athva is rog se pidit ho, surgery ho chuki ho, fail ho chuki ho surgery to nishchit roop se use ksharsutra ke vishay mein jaana samajhna chahiye aur ksharsutra ka treatment nishchit roop se karana chahiye, bohot upyogi hai, labh-pradya hain aur recurrence ke chance nahi hai. Yadi aap mein se koi vyakti sampark karna chahe to lybrate ke through kar sakte hain.

Dhanyvad


Skin Related Issue
Skin Related Issue

Namaskar.

Main Dr. Sunil Arya MD Ayurved, aapko aaj chamadi ke rogon ke vishay mein batana chahta hoon, allergy wali chamdi ke rog jitne bhi hote hain un sabme ek sabse bada lakshan jo ek aam aadmi mehsoos karta hai wo hai khujli, chamadi ki khujli ek baar hone lag jaaye to chronic ho jati hai par aam taur par rogi chamdi ki khujli se pareshan rehta hai ho sakta hai usme aur bahut sare lakshan hote ho kabhi-kabhi chamadi par chhapaki hoti hai, mote-mote hives ho jate hain (lal-lal rang ke) aur wo kuch na kiya jaye tab bhi ek ghante, do ghante mein kharish hone ke bad apne aap baith bhi jaate hain. Iske alawa chamadi par chote-chote daane ho jana, lalima bane rehna iske alawa dryness bane rehna kabhi-kabhi usme kuch scales utarte rahana ye sabh hota rehta hai. Chamadi ke is tarah ke rogon mein jalan bhi ho sakti hai, sujan bhi aa sakti hai usko dermititis keh dete hain, allergy keh dete hain, allergy-dermatitis keh dete hain, charam rog keh dete hain, kuch bhi kahiye aap.

Ab is mein ye kyon hota hai aam taur par ismein kahin baar fungus bhi aapko mil jaati hai to is tarah ke jitne bhi chamadi ke rog hai unko 3 category mein mote-mote bant sakte hain ya to chamadi ke rog infective ho, infection ki wajah se ho wo fungus infection ho sakta hai, bacterial ho sakta hai, viral ho sakta hai ya wo charmadi ke rog allergy ki wajah se ho kisi khas wajah se, kisi khaas khaane wali cheez se allergy hoti ho, kahi baar ABCD (airborne contact dermatitis) dermatitis hota hai, matlab koi bhi cheez ke chamadi ke sampark mein aane se athwa sharir ke bhitar jane se jo hypersensitivity hoti hai, jo allergy hoti hai uski wajah se chamadi par wo samasyaein aa jati hain.

Teesri tarah ke chamadi ke jo rog hote hain unko kehte hain autoimmune disorders jisme aapki apni jo immunity hai wo apne aap ko hi nuksan pahunchati hai hamare sharir ko jaise psoriasis usme ek bahut common paye jane wali samasya hai, aam taur par chamadi ke rogon ke mamle mein kaha jata hai ki itne din dawa khao to theek ho jata hai to maine dekha hai aksar, aap ne bhi dekha hoga ki chamadi ke rog ek baar hone shuru ho jaayein to jaldi se theek hote nahi hai khaas taur se psoriasis jaise autoimmune disorder ka koi ilaj kaha hi nahi jata to aise mamlo mein pareshan rehta hai patient, doctor change karte rehte hai lekin aam taur par koi samadhan nikalta nahi hai. Aise mamlon mein ayurved bahut accha upaye aapko sujha sakta hai ek accha upchar aap ko prastut kar sakta hai. Ayurved ke madhyam se hum do teen kaam karte hain. Ek to hum chamadi ki health, chamadi ki immunity ko enhance karte hain, chamadi ki health ko sudhar te hain aur chamadi ki health sudhregi apne sharir ke bhitar ke detoxification karne se aur apne sharir ki apni immunity ko majboot banane se, to uske liye kuch aushadhiyan aur kuch lep aur kuch tel ka prayog kiya jata hai aur sath hi sath panchakarma therapy isse bahut upyogi rahti hai.

Panchakarma ke madhyam se hum na keval sharir ka detox karte hain balki rejuvenation bhi karte hain usse chamadi ke rogon mein hum behtar upaye paa jaate hain. Kayi baar chamadi ke rogon mein discoloration ek factor rehta hai jaise safed daag keh lijiye aap ya aur bhi kahi tarah ke discoloration hote hain unme bhi concept wahi hai, chamadi ke rogon mein ayurved ke madhyam se hum chahe wo allergy ho, chahe wo infective ho, chahe wo autoimmune disorder ho, treatment lagbhag ek jaisa hi rehta hai ki sabse pahle bhitar se saaf-safai ho detoxification ho panchakarma ke through aur kuch aisi aushadhiyan jo hamare sharir ki immunity ko modulate karen to usse hum ek accha parinaam pate hain. Iske saath hi chamadi ke rogon mein ek khaas baat hoti hai ki tanav (stress).

Chamadi ke rogon ko hamesha tanav badhata hai aur tanav ko behtar tarike se manage karne ke liye koi aur aushadhiyan bahut kaamyab ho ya na ho lekin ayurved ki aushadhiyan aur pranayam, yoga abhyas bahut accha kaam karta hai. To ek kul mila kar ke ek poora package ki tarah rehta hai jo ayurvedic ka treatment hai chamadi ke rogon main ek package ki tarah hai jisme aapki mansik swasthya ki bhi hum chinta karte hain, sharirik swasthya ki bhi chinta karte hain, bhitar ka shodhan bhi karte hain aur aesi aushadhiyan jo na to habit-forming ho na aap ko nasha deti ho, na susti laati ho uska prayog karate hain to nishchit roop se khoon ki safai hone se, bhitar ki safai hone se, detoxification hone se chamadi ke rogo mein hum behtar parinaam paate hain. Yadi aap kisi bhi prakar ke chamdi ke rogon se ghrast ho, pidit ho, bahut lambe samay se aap dawa khate rahe ho toh aap nishchit roop se aap mujhse sampark kar sakte hain chahe to lybrate ke through mujhe sampark karen.

Dhanywaad.


Anal Fistula
Anal Fistula

Hi,

I am Dr. Sunil Arya, Ayurveda. Mai aaj aap ko bhagandar ke baare mein btana chahta hun. Ise anal fistula bhi kehte hain. Ye ek aisi problem hai jise lekar patient bohut preshan hote rehte hain. Surgery ho jane ke baad bhi ye problem patient mein rehti hai. Iska symptom hai anal ke aas paas koi pimple jo thik hota hai fir banta hai, pus aata hai, blood aata hai. Commonly is problem ke liya surgery ki jaati hai. Dekha gaya hai ki surgery jyada successful nahi rehti hai. Surgery ke baad bhi vahi problem dubara hone lagti hai. Doctor bhi kehte hain ki ye problem dubara nahi hogi, iski koi garantee nahi hai. Aise samay mein rogi fir dusre upay dhundta hai.

Tab use pata chalta hai ki ayurveda mein chavsutra namak koi vidhi hai jo iska bohut ache se ilaj karti hai. Ayurveda treatment 100% is problem se aap ko relief deta hai. Ismein aap ka blood loss bhi nahi hota hai, tissue loss bhi nahi hota hai, na patient ko behosh karna padta hai, nahi dressing karni padti hai, na hi gud marg ko koi nuksan phuchta hai. Ayurvedic treatment se reccurrance bhi nahi hota hai. Koi medicines bhi consume karne ki awashakta nahi hoti hai. Aap ko kam se bhi chuti leni ki awashakta nahi hoti hai. Aap iske liya mujhe sampark kar sakte hain.

Thank You.


Nasal Bronchial Allergy - Know Symptoms Of It!
Nasal Bronchial Allergy - Know Symptoms Of It!

Hi,

Iam Dr. Sunil Arya, Ayurveda. Mein aaj aap ko nasal bronchial allergy ke bare mein. Kaise pehchana ja sakta hai ki kisi ko ye bimari hai. Ye nose and chest ki allergy hoti hai. Baar baar jhukam ka hona, jukham ka bigda rehna, purana nasala, saans ki samsya, sinus ki samsya in sabko nasal bronchial allergy kaha jata hai.

Iske symptoms hain sneezing, nose and eyes se water niklna, naak ke piche se kuch fluid tapkte rehna, khasi ana, thoda tez chalne pe saans fulna, and asthma hona. 3-4 am ke bich patient ki saans fulne lgti hai and khasi aati hai.

Patient jaisi hi pump lena chorta hai use vaise hi same problem firse start ho jati hai. Iske liye ayurvedic treatment bhut acha available hai. Ayurvedic treatment aap ki root cause ko thik karta hai taki turant rahat mil sake. Ayurveda aap ki immunity ko strong karta hai. Is parkar hum nasal bronchial allergy se chutkara paa sakte hain.

Thank You.


Diabetes
Diabetes

Mein Dr Sunil Arya, MD Ayurveda, Ayurveda Physician. Aaj mein aap logo ko diabetes ke baare mein kuch batana chahta hu. Diabetes ek aisi bimari hai jisme sugar level bad jaata hai, blood glucose bad jaata hai.

Kuch symptom aise ho sakte hai jinko aap detect karke, pehchan karke teh kar sakte hai aapko diabetes hai ki nahi. Confirm toh blood test ke baad hi hota hai. Isse aapko bahut bhuk laga hai, bahut pyas lag raha hai, bar bar sharir mein itching kharish ho raha hai, koi ghaon aapka lambe samay tak nahi mittha ho, tezi se aapka weigh gir raha ho, aksar bahut thakavat rahti ho, haath pero mein jhanjhanahat rahta ho. Toh ye sabhi laxan aapke diabetes ke ho sakte hai.

Diabetes ke baarein mein aam tor pe saare log dawa karte hai ki ye dawa kha lijiye, ye thik ho jayega. Abhi tak jo vigyanik aadhar hai uss par kaha ja sakta hai ki diabetes ko jar se thik karne wale abhi tak koi oshadhi nahi hai. Isliye kuch vishey mein kuch confusion nahi rahna chahiye.

Haan, diabetes ko nischit roop se manage kiya ja sakta hai, bahut ache se manage kiya ja sakta hai. Isse apka jo lifestyle hai, who sedentary hai toh usse bachna chahiye, jhub exercise karna chahiye, walk karna chahiye, khaane peene par niyantran rakhna chahiye, sugar intake carbohydrate intake kam hona chahiye. Stress hamesha diabetes ko badhata hai, isliye stress par kabu rakhna bahut upyogi rahta hai. Iske elava, achi neend ka lena, aur aapki jo dawai jo batai jati hai, in dawao ko regularly lena chahiye, kyun ki diabetes control rehne par bhi, kuch androni badlav aur kuch nakaratmak prabhav lete hai jinko samay rehte hi hum kabu kar sakte hai. Diabetes ke chalte, aakhon mein kuch nuksaan ho sakta hai, nervous system ka nuksaan ho sakta hai, heart per uska nuksan aa sakta hai, maanspeshi par nuksan aa sakta hai, isliye isko samay rahte kabu karna chahiye. Yehi sabse bahtar upaye hai.

Yadi aap mujhse milna chahte hai, ya mere clinic par aana chahte hai, toh mujhe Lybrate ke through mil sakte hai, ya mere clinic par aa sakte hai.

Mere clinic ka address Jeevniya Ayurveda, DSS-6, HUDA Commercial Complex, Old Delhi Road, Gurgaon.
 


Doctor in Jeevniya Ayurveda, Panchkarma, Ksharsutra Clinic

Get Help
Services

Doctor in Jeevniya Ayurveda, Panchkarma, Ksharsutra Clinic

doctor-profile

Dr. Sunil Arya

Ayurvedic Doctor31 Years Exp.
MD - Ayurveda, Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS)
₹ 500 at clinic
800 online
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

5 reviews

knowledgeable

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for Jeevniya Ayurveda, Panchkarma, Ksharsutra Clinic
Your feedback matters!