Mera baby h jo abhi 6 month ka home wala h 16 ko complete ho jayega wo 3 months ka that use cough ho gaya that doctors use icu me admit3 day s liye admitted kiya and crp36. 7, rbc 3.63, pct 0.550 doctor ne kaha that use flu vacation karna padega abhi 5 day use cough runny nose aur fever hogya h medicine t t98 drop welkminic drop kepler drop swicth drop de rahi hu but cough me aram nhi h please suggest me doctors meri help kare mere baby boy ko kya problem h mai gareeb hu doctor ki fees itni baugt se jada h please.
Ask Free Question
Agar last baar infection jo hua thha woh 3 maheene pehle 3 maheene ki umar pe hua thha, aur beech mein baby theek raha, to zaroori nahin ki is baar ki cough aur runny nose serious beemari ho. Har type ka viral khansi zukam poori tarah theek hone mein time lagata hai. Agar 5 din se dheere dheere behtar ho raha hai, aur bachcha doodh theek se pee raha hai aur khel bhi raha hai to yeh lakshan hain ki beemari theek ho rahi hai. Lekin agar 5 din mein zyada fayda nahin, ya aur koi samasya hai jaise bache ka sust hona. To pas ke doctor ko dikhana chahiye taaki woh bachche ka chest aur baaki check up kar sakein. Jo cheez bachche ko apne saamne check karne mein pata chalti hai, woh poori tarah se online nahin pata chal sakti.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors