Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
clinic-icon

Unity Hospital

Orthopaedic Clinic

Aai Mata chowk, Parvat Patiya
4.4
20ratings
1 Doctor
₹ 700 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

By combining excellent care with a state-of-the-art facility we strive to provide you with quality health care. We thank you for your interest in our services and the trust you have placed...read more

Clinic Location

Videos

Knee Ligament Injuries
Knee Ligament Injuries

Hello,

Mya name is Dr. Nandan and I am Orthoscopic Surgery & Sport Orthpaedic specialist. Aaj hum baat karenge knee ligament injuries. Ligaments yaney do haddio ko connect karne waley snayu. Yeh chaar ligaments hotey hain hamare knee mein, do bahar ki taraf aur do andar yaney agey ki taraf ek ligament jise hum ACL kahte hain aur pichhe ki taraf ek ligament jisey hum PCL kahte hain. Sath hi sath humare ghutne mein do meniscus yaney shock absorbers hotey hain ek andar ki taraf aur ek bahar ki taraf. To yeh ligament injuries usually accidents, siriyo se girne se ya phir koi aur injury ki wajah se yeh ho sakte hain. Jab hum doctor ke paas jate hain to X-rays normal hote hain phir bhi ghutne mein sujan bani rehti hai, chalne mein taklif hoti hai, lymph hota hai aur ghutna kabhi kabhi locked rehata hai. Aise injuries ko hum log MRIs pe detect kar sakte hain. 

Ye ligaments injuries ko hume treat karne ke liye orthscopic surgeries ki jaroorat kabhi kabhi par sakti hain. Kuch ligament injuries hote hain jo apne aap hi heal ho jate hain. In mein se sabse important injury ACL ligament injury jo agey ki taraf yani anteriorly rehati hai. ACL ligament injuries ko usually young patients mein surgery se treat kiya jata hain. Kuch patients ko physiotherapy se bhi yeh thik kiya ja sakta hain. Lekin unhe bahut lambi mehnat ya physiotherapy ki jarurat par sakti hain. ACL surgery jo hoti hain wo orthoscopic surgery yane durbin ki surgery se hota hain. Usme humlog andar ki taraf se ek snayu nikalte hain jise humlog hamstring kehte hain. Hamstring graft ka hum log artificial ACL banate hain aur usse ghutne ke andar hum log orthoscopic surgery ke through daal sakte hain. Yeh ek bohot hi common surgery hai. Aur ye surgery ke baad mein jo recovery hoti hai bahut hi fast aur achhi hoti hai.

Kabhi kabhi ACL ligament ke saath baki ke tino ligament mei se ek ya do ligament bhi injured ho sakte hain. Isse complex injury bhi kaha jata hain aur in complex injuries mein bhi surgery ki jarurat par sakti hain. Kabhi kabhi ACL ligament injuries ke saath mei yeh jo meniscus hote hai yani shock absorber jin ka bhi injury ho sakta hai. Orthoscopic surgery se ye jo meniscus ki injuries hoti hain inka bhi illaj bohut achhi tarah se ho sakta hai. In sab injuries ke baad mein physiotherapy ka bohot mahatwapurna role hota hai jismei physiotherapy karne se dhire dhire dhire recovery aati hai aur patients apni normal zindagi mei phir se laut sakte hain.

Thank you!


Doctor in Unity Hospital

Get Help
Services

Doctor in Unity Hospital

doctor-profile

Dr. Nandan Rao

Orthopedic Doctor19 Years Exp.
MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MS - Orthopaedics, Fellowship& Shoulder & Elbow Surgery, Fellowship In Sports Orthopaedics, Arthroscopy And Shoulder Surgery
₹ 700 at clinic
300 online

Patient Review Highlights

Very helpful

2 reviews

knowledgeable

1 reviews

Professional

2 reviews

Prompt

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for Unity Hospital
Your feedback matters!