Jiva Ayurveda - Bhubaneswar
Ayurvedic Doctor Clinic
About Hospital
Ayurveda for liver, insomnia and stress Do you want to deal with stress, liver disorders and insomnia? Do you want some ayurvedic treatment? Do you want to reduce all these problems for li...read more
Hospital Timing
Hospital Location
Hospital Images
Videos
Dosto liver hamare sharir ka ek bahut mehatvapurn organ hai, sabse bada internal organ hai hamara, hamare jo pasliya hoti hai right side mein uske piche hota hai, aur kaafi saare kaam karta hai bahut mehnat karta hai. Khastaur se jo liver hai hamare sharir mein metabolism se judi jitni bhi kriyaen hai unn mein kaafi labhdayak hota hai, kuch oksins ko, chemicals ko bhi clean karta hai. Liver ko swasth rakhna bahut important hai, aaj kal bahut sare logo mein main dekh raha hoon fatty liver, badi early age mein rehti ho jata hai, aur log uss par koi dhyan nahi dete hain, jayadatar logo ko dekha hai ki ultrasound mein aaya hai fatty liver woh kehte hain ki ji doctor ne kaha koi baat nahi koi chhoti moti cheez hai, aisa nahi hai neglect nahi karna hai kyunki aage chaleke ye hi aapke liver ke damage ka karan ban sakta hai. Cirrhosis of liver badi common aaj kal problem bahut logo ko ho rahi hai, hamare yahan jeeva mein vishesh rup se liver par kafi acchi research ki hai, bahut acchi aushadhi hai hamare paas, bahut acche results hamare paas aate hai, liver ka kisi prakar ka aapka rog ho aap ko turant jo hai jiva mein sampark karna chahiye. Kya kar sakte hain liver ko swasth rakhne ke liye liver ko swasth rakhna hai sabse pahele alcohol, chemicals, chai, coffee, smoking, bahut jayda tali cheeze, bahut jayda fat wali cheeze inka seven nahi karna. Aur liver ke liye sabse badiya hai ki aap agar awle ka churan bhi khana shuru kare that is very good. Ya awle mein bhringraj thoda mila lijiye barabar matra me le lijiye dono ko, unka mixture bana lijiye. Taja aloe vera ghar mein hai roz subah khali pet do teen chamach uska kha jaiye andar se uska ghoda nikal kar kar very effective mooli ka season agar hai toh mooli ke patto ka juice thoda le sakte hain, ya kachi mooli bhi thodi si kaat karke aap uska sevan kare aur iske sath sath jo hai aap bahut important hai ke jo aapki diet hai, diet mein bahut ushan cheeze nahi khaye. Garam cheezon ka sevan na kare papita bahut achha rehta hai papita aaye agar uska sevan kare fruits ka sevan kare iss prakar se liver ke upar jyada load nahi dalna hai jisse ki liver aapka swasth rahe aur liver sambandhit koi bhi rog ho Ayurved mein hai iske bahut acche upchaar.
Aaj ke yug mein shayad hi koi aisa vyakti hoga jisko stress nahi hai, yani ki mansik tanav jisko nahi. Stress kuch amount mein avashyak bhi hota hai, agar bilkul bhi stress nahi hoga life mein to hum kuch kaam nahi karenge, lekin ek limit se jab jyada stress hamare mind mein aata hai hamare sharir mein aata hai, toh woh phir rog paida karta hai. Aapne dekha hoga aaj kal stress ke karan bahut sare rog hote hain, modern science ne khafi research ki hai, ke majority of our physical problems are now connectd with the mental stress. Mental stress kaise dur ker sakta hain? Sabse pehle toh hume dekhna hai ki stress ka karan kya hai, bahut sare karan hote hain environment koi karan hai ya aapke office mein koi problem hai, ya aapke relation mein koi problem hai, financial problem hai, jis tarah ki bhi jo problem hai usko usi tarah se aap uska solution dhoondte hain. Uske liye hamare yahan counselling hoti hai yahan jeeva ke doctors se aap phone pe baat kar sakte hain apni samasya ke baare mein bilkul definitely discuss kar sakte hain. Iske atirikt hamara jo mann hai, man ko agar hum satvik banaenge, satvik bhojan, satvik lifestyle, satvik vichar usse mann mein jab satvikta aayegi toh mann mein clarity aati hai, mann mein ek prakar ki shanty, peace aata hai, jaise ki stress chala jata hai. Of course there are some nice recipes aap badam le lijiye saat-aath badam raat ko bhigoye, subah chilka utarkarke pees kerke ek cup doodh mein milayen, thoda sa dalchini ka powder, ek aad elaichi jo hai khol karke jo choti elaichi hoti hai, woh aur ussmein daal kar ke aap garam garam doodh piyen usse aapko relief milega, shyam ko bhi isi taranh se pee sakte hain. Doosra jo hai iske sath sath bahut achcha aapko relief milega, thoda sa practice kariye gehari saanse lena deep breathing jisko kehte hain. Jab aap gehri saanse late hain toh aapke brain ke andar adhik oxygen pahunchti hai, oxygen pahunchne se aapka mind relax hota hai. Aur iske atirikt thoda dhyan, meditation, pranayam yadi aap karenge toh usse aapko kafi labh milega. Sabse important cheez hai ki jab aap ka rog ek limit se jyada pahunch jaye, aap ke sharir mein, aapke hormone system mein, aapke jo hai digestive system, mein agar aap dekhte hain stress ke karan kafi problem ho rahi hai, toh phir aapke paas hai hamara sehat ka number 0129 40 40 40 40 zaroor dial kar hamare doctors puri team hamari, kam se kam dosau doctors ki team aapke saath hai hamesha. Kabhi bhi aap unse baat karke apni samasya ka ayurvedic samadhan pooch sakte hain.
Dosto, anindra ya insomnia bahut common problem hai khas taur se aaj kal jo mansik tanav logo ko hai ya mind mein aur jyada kitni pareshaniya hai uske karan hamara jo brain hai woh activate rehta hai,hyper rehta hai, relax nahi kar pata jiske karan neend nahi aati. Bahut sare logo ki problem hai choti si samasya ban jati hai mind mein kuch vichar shuru ho jata hai, toh neend nahi aati hai aur neend na aane se bahut sare nuksaan hame hota hai aur hamare yahan kehte hain sleep is the diet of your mind, agar mind ko neend se hi shakti milti hai aur neend nahi achi nahi hai ki toh mind aapka thoda sa jo hai aur kamzor ho jayega. Not only for the mind, for the body sharir mein kaafi saare cleansing hota hai jab hum sote hain raat ko aur sharirik shakti hai, woh bhi hamari badhti hai use. Toh neend yadi aapko nahi aati hai to kya kar sakte hain kuch cheeze hain choti choti si, try kariye bahut fayde mand hain of course hum baar baar aap ko ek cheez kehte hain ki koi bhi takleef ho toh aapko hamare jeeva ke ayurvedic doctor se paramarsh lena chahiye kyunki ayurved mein har rog ka chikitsa bahut acchi uplabdh hai, aur har rog ka ilaj hamare jeeva mein hota hai. Toh neend ke liye kya kar sakte hain, raat ko sone se pahle thoda sa talvo mein malish kare thoda sa tel laga sakte hain, badam ka tel laga sakte hain, desi ghee se bhi malish karle aur thoda pindliyon mein bhi malish karle, usse neend achi aayegi. Sham ko jab office se aap wapas aate hain ghar par sabse pehle aakarke, sab cheez totally band karke thoda shant mahaul kare shav asan paanch se saat minute ka shav asan kare, shav asan se aapka pura body, mind dono relax ho jayega. Uske baad sir mein thoda sa tel ki malish kare, champi jisko bolte hain aur phir uske baad snan kare, ye karne se aapka poora body aur mind dono relax ho jayenge aur phir uske baad stimulation nahi chahiye, coffee nahi peena hai, chai nahi peena hai, alcohol nahi peena hai, smoking nahi karni hai, tv, computer, mobile se bhi thoda sa perhez kare bahut jyada prayog na kare, toh phir aapko neend bahut acchi aayegi. Ofcourse neend aane ke liye raat ko sone se pehle thoda sa aankhon mein gulab jal daalen usse bhi aapko fayda hoga, aur jaisa maine shuru mein kaha ke koi bhi takleef hai toh ayurvedic chikitsa hai hamare paas inn rogo ki uplabdh hai.
Doston, indigestion, badhajmi, ajeern, apacch yeh naam aksar apne sune honge. Kya hota hai isme aap jo khana khate hain wo khana purn roop se pachta nahi hai, jab khana pachega nahi toh anek prakar ke symptoms aapko ho sakte hain. Aapko pet mein gas ho sakti hai, aapko acidity ho sakti hai, pet me bharipan ho sakta hai, pet mein dard bhi ho jata hai of course undigested food jab hota hai hamare small intestine ke andar toh wahan par ek vishala tatva banta hai jisko hum aam bolte hain. Is tarah se hum apne pachan ko thik kar sakte hain? Simple cheeze hai jo aapki rasoi mein maujood hai, yadi aap hara dhaniya aur hara pudina le uska dono ka mila karke sambhag mein uski chatni bana lijiye thodi si taji adrak bhi peesenge thoda sa aur accha taste bhi aayega aur nimbu thoda sa usme daliye, khatta taste bhi aayega very tasty khane ke saath kha sakte hain pachan ke liye bahut achhi hai. Sauf, jira, dhaniya aur pudina sab barabar-barabar 20-20 gram le lijiye isme 10 gram aap milaye kala namak aur 5 gram isme milaye hing aur thoda sa anardana 10 gram ke kareeb woh bhi isme millaye bahut tasty aap ka churan banega. Tasty bhi hai digestive bhi hai, yeh aap bana sakte hai bilkul. Bhojan se pahale taje adrak ke tukde thoda sa nimbu ke ras mein mila kar ke unko sevan karne se bhi aap ki agni bhi pradeept hoti hai aur aap ka bhojan bhi thik se pachta hai. Lekin dhyan rahe ki hamesha jo hai uchit matra me bhojan karna hai, aisi cheeze combine na kare jo bahut heavy hai aapas mein, idhar mithai bhi kha rahe hain, fried cheeze bhi kha rahe hain aur bahut jyada garisht bhojan bhi sevan kar rahe hain aisa nahi karna hai. Aur niyamit roop se aapko exercise zaroor karni hai, exercise karne se bhi hamara pachan thik hota hai aur hamari agni jo hai woh majboot hoti hai. Toh choti-choti si cheeze hain lekin bahut important hai hamara pachan sansthan. Yadi hamara digestive system thik rahega, toh hum bahut sare rogo se bilkul apne aap ko bacha karke rakh sakte hain.
Namaskar, dosto aaj baat karenge, ke kis prakar se aaj kal ki bhag daud bhari zindagi mein aur jo hamara yeh jo vatavaran hai jo pollution se bhara hua hai kis tarah se hum apni twacha ki raksha kar sakte hain. Kis prakar se hum apni tawacha ko java banaye rakh sakte hain. Aapne dekha hoga aaj kal bahut young age mein chehra jo hi aise murjha jata hai black pigments jhaiya ya phir skin ka thoda lose hona. Kya kar sakte hain, simple tarike agar aapko jhaiya hai blemishes hai to aap thoda sa nimbu lele aadha kat karke usse gentle massage karenge bahut fayda hoga. Aaloo ka rass nikal kar ke usse massage karne se bhi aapke pigmentation or jhaiya thik hoti hai. Iske attirikat yadi aapko chehre par glow chahiye chammak chahiye toh chemicals mat lagaye, papita lijiye papita ka paste banaiye aur uska mast bana kar ke 15-20 minute rakhiye uske baad usko gungune pani se dho dijiye. Agar aap ki twacha thodi si loose hai, dheeli hai, wrinkles ho rahe hain toh besan mein thoda sa shahad aur aloe vera ka taja jo guda aata hai, usko mila kar ke paste banaye aur is paste ko apply kar lijiye chehre par poorey aur 15-20 minute baad gungune pani se dho lijiye. Chehre ko jawan banaye rakhne ke liye seb chilka utar kar ke uska paste banaiye aur seb mein thoda sa shahad milakar ke aap iska lep karenge toh aap ka chehra aapki tawcha bilkul jawan aur young bani rahegi. Toh inko prayog kariye natural cheeze hai aur mujhe umeed hai aapka chehra glow bhi karega aur aap jawab bhi dekhenge.
Doctor in Jiva Ayurveda - Bhubaneswar
Doctor in Jiva Ayurveda - Bhubaneswar
Jiva Ayurveda
Specialities
Ayurveda
Network Hospital
Jiva Ayurveda - Faridabad DLF Clinic
Jiva Ayurveda - Jalandhar
Jiva Ayurveda - Mumbai Andheri
Patient Review Highlights
Very helpful
26 reviewsThorough
1 reviewsknowledgeable
15 reviewsWell-reasoned
1 reviewsHelped me improve my health
2 reviewsNurturing
1 reviewsCaring
1 reviews