Aastha Ayurvedic Clinic
Ayurvedic Doctor Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Allergist/ Immunologist, Anorectal Disorder, Ayurveda, Dietitian/ Nutritionist, Infertility , Sexologist.O...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Good morning friends!
I’m Dr. Sandeep Madaan, M.D. in Ayurveda. I’m practicing Ayurveda at Delhi since 2004. Aaj ka humara topic hai thyroid problems mei Ayurvedic ka yokdaan kia hai. Thyroid problems bht hi common hoti ja rae hain. Aksar hum dekhte hain k malehaaen purshon ke pasha yadaan pirit rehti hain thyroid k problems se. thyroid humare galey mei ek endocrine gland hai jau butterfly ki shape ki rehti hai. Is ka main karya hota hai humare metabolism ko control kerna. Yani humara jau chaye pachaye hai humari body mei jau regeneration horae hain jau degeneration horae hain tissue ban rahe hain who sab control kerne mei thyroid ka buhat hi mad e pun bhaag hota hai. Aj kal dekha gaya hai k malehaaon mei washesh ker se yeh jau shareerik aur mansik tanao hai jau stress hai apne din bhar ke karye kerne ka plus mental pressure hai use jau yeh hai humare hormone ya emotions ka jau effect hai humare hormones per parta hai aur jau main glands hain pituitary glands hain humara brain hai jau ke isko control kerta hai thyroid gland ko who hamesha ek stress mei rehta hai jiske karan yeh bimari buhat taizi se barhti ja rae hai. Thyroid jau hai 2 parkaar ki bimari hum dekhte hain clinically. Ek tau hota hai hypothyroidism, jab thyroid gland apna kaam kerna kuch kam kerdeta hai isse kia hota hai humara metabolism kam hojata hai tau weight barhna shuru hojata hai, aksar vikti mei motapa dekha jata hai, swelling ajati hai body mei, joints mei kafi stiffness rehti hai, chalne phirne mei dikkat ati hai, vikti ko thank ka adikhanbag hota hai. Woh even garmion mei bhi lagta hai pankha band kerdun ya aur kapray pehan lun. Uske hath paaon thandey rehte hain. Malehaun mei washish ker unke masik surao hai who kam hone lagta hai. Masik surao se pehle unko kuch dard ka ambhav bhi hota hai. Iske elawa vikti ka jau hai heart rate who thora kam rehta hai hamesha hi , bhook kam lagti hai, aur tocha jau hai kafi dry rehti hai thandi rehti hai. Tau yeh condition ayurvedic mei mana gaya hai k vishaish ker jau teen dosh mante hain vaad, pit aur cough tau vaad aur cough ka jau parcob hota hai yeh is bimari ko utpan kerta hai. Aur dusri condition hai jau thyroid ki usko hum bolte hain hyperthyroidism matlab yahan per bhi thyroid apna karye kerna uska adeek hojata hai apne normal se. isme humara metabolism buhat fast hota hai aur ayurvedic ke hisaab se vishaish ker vaad aur pit ki problem se yeh bimari hoti hai. Heart rate is mein barh jata hai, ghabrahat hoti hai, vikti ko adeek paseenay atey hain , hamesha uske hathon per paseena rehta hai chehre per paseena rehta hai. Who hamesha excited rehta hai aur anxiety mei rehta hai uski bowel movements jau hain jau pait saaf hota hai kaye baar din mei do bar teen bar jana parta hai. Weight uska kafi gir jata hai. Ankhon jau hain aisa lagta hai bahar ki aor arahi hain. Tau yeh sab jau symptoms hain iske baad hum investigate kerte hain thyroid profile kerwate hain jante hain k koi aur agar bimari nahi hai tau yeh hyperthyroiyroid se ho sakti hai. Ab allopathic mei kiya hai k who thyroxine hormones ko externally dete hain hypothyroidism mein aur humara jau endocrine balance hai hormone ka balance hai usko balance kerte hain. Ayurvedic k hisaab se hum sab se pehle yeh koshish kerte hain k vikti ka jau khan paan hai kafi sinhimat rahe usme hum kuch ahar jau k swelling ko barhate hain body mei jau thyroid per jau karye kerte hain unko hum adeek matra mein dete hain. Is mei sabse pehle vikti ko hum advice kerte hain k who kuch cheezon ka jaise k shalgam ka, pethay ka, iske elawa gobi ka istemaal kam se kam Karen aalu ka istemal kam se kam karen, dahi isme nahi khani, dhanday parjaat isme kam kerne parte hain hypothyroidism mei, plus hum koshish kerte hain vikti ko yeh jagruk kerne ki k yeh jau stress hai uska ek buhat bara role hai jau thyroid ko control kerta hai, yeh pranayam k doraha routine exercise k doraha dehaan k doraha aone tanao ko hamesha kamtarik rakhen jab apko lagta hai k hum kafi stress mein humari body arahi hai masik tanao horaha hai sharnik tanao horaha hai tau kuch break lene ki zarurat parti hai us samaye vishishker ujaye pranayam brahimiri pranayam hai inka huma ubehas ker ker ke apne stress no nemat ker skate hain. Thyroid k liye ayurvedic mei bataya gaya hai kachnaar,punarnava, trikatu,brahimi. Vishesh ker yeh roshilia kafi uprye rehti hain. Kachnar aur punarnava inki dono ki chaal ap lekar karhey k roop mein isko bana ker ek glass mein inko ubalenge ek cup tak rehne tak ubalenge, chaan ker usko 40ml subah 40 ml sham ko sewand ker sakte hain. Trikatu jau k sonth, kali mirch aur peepli ka mixture hota hai usko chaye mei ya doodh mei ubaal ker le sakte hain ya waise hi is ka chotai chamach ka matra garam pani se subah sham sewand ker sakte hain. Brahmi jau hai humare metabolism ko kafi barhati hai, brahmi stress ko bhi remove kerti hai tau in teeno ashion ka aur plus ayurvedic k cheezon ka sambaght kerne k baad aap jaan sakte hain kuch therapies bhi hain isme, kuch anhenuchaday bhi hain jau humari immunity ko theek kerti hain, hormones ko balance kert hain unka sewand agar hum karen tau is bimari se chutkara pana koi buhat takleef deh karye nahi hai.
Agar ap humse contact kerna chahte hain tau lybrate k through contact kersakte hain.
Good Morning friends,
I am Dr. Sandeep Madaan MD in Ayurveda, I have been practicing Ayurveda since 2004 at Delhi.
Today we will discuss about the Sinusitis, Sinusitis yaa jise Ayurveda mein hum kehte hain Peenas rog ya Jeerna Pratishyaya, bahut hi common problem hai jo ki baccho mein, javan vyaktiyon mein, bajurgoo mein, sabhi mein milti hai. Aksar hum dekhte hain ki kabhi kabhi jukaam bahut lamba chal jata hai aur dikkat ye hoti hai ki phir chehre pe sujan aana, chinke aana, kabhi kabhi bukhar bhi hona jaise dikkat hoti hai, toh yeh sab sinus ke karan hota hai. Sinusitis ko samajhne se pahle bahut zaroori hai ki hum jaane ki sinus hai kya. Hamare naak aur chehre ki hadiya bahut khokhley hoti hai, taki hum aaram se baat kar paye aaram se hum khana chaba sake, aur baki activity kar paye, yeh jo khokhlapan hota hai jo cavities hoti hai woh sinus kahlati hai. Aur sinus normally Mucus membrane hoti hai usme jisme halka-phulka sarav rehta hai, gila pan rahta hai lekin jab in cavities ke andar kisi obstructions se ya Mucus ya cough jise bolte hain Ayurveda mein, bahut adhik matra mein banne lagta hai, usme infection ho jata hai toh phir isse hum bolte hain sinusitis ya Inflammation of sinus cavities. Naak ke aas paas, aankhoo ke neeche, aankhoo ke piche, chehre mein upar ki taraf, frontal sinusitis isme kahin par bhi jo hai yeh Mucus ka jo hai sarav aadhik ho sakta hai, infection ho sakta hai, usse inflammation ho sakti hai. Ayurveda ke hisab se sabhi vyaktiyon mein cough ka nirman hota hai cough banta hai lekin kuch karno se jaise ki yadi vyakti adhik cough vardak aahar ka sevan karta hai, dahi ka sevan karta hai, urad ki dal ka karta hai, thandi jagah pe adhik rehta hai, dekhte hain log aksar air condition rooms mein, air condition cars mein ghumte hain, iske alawa jab vyakti ki immunity kuch kaam rehti hai aur kuch anya karan jaise kuch Polyps hona jaise uske karan naak ki jo hamari nasal cavity hai usme agar kuch Polyp hai koi growth hai toh usse bhi humein obstruction milti hai, Mucus puri tarah bahar nahi aata aur andar hi andar woh infection failata hai. Iske alawa ek aur bahut hi common karan hai DNS Deviated nasal septurm yani isse aam bhasha mein bolte hain naak ki haddi tedi ho gayi. Isse bhi jo hai hawa jo andar hum saans lete hain puri tarah uska flow nahi mil pata aur kahi na kahi lambe samay tak jane par ye sinusitis ka karan banti hai. Jab hum jukam se pidit hote hain, cough ya cold hume hota hai starting mein aur hum kuch anti allergic le liye jate hain, ya phir dhyan nahi dete tab bhi yheh, andar hi andar jo hai Mucus jo hai bahar na nikal ke andar hi jamta rehta hai aur woh bhi kahin aage badkar sinusitis ko kar sakta hai. Sinusitis allopathic view mein dekhe to 2 prakar ka hota hai, acute sinusitis jo ki recently hua hai 4 week tak ka aur chronic sinusitis, jo bahut lambe samay tak kai baar vyakti saaloo se iss bimari se pidit rehta hai dono prakar ki conditions mein Ayurveda mein achha upchar uplabdh hai. Sabse pehle hum jante hain ki iske lakshan kya hote hain, sinusitis se jo pidit vyakti hai usse baar baar naak mein avrodh lagega kai baar uski naak adhik bethi rehti hai, pani ka sarav nikalta rehta hai, saans zor se lene par gale mein piche ki aur balgam girta hai, chehre par, naak ke aas pass, aankhon ke upar, aankhon ke piche kafi swelling lagti hai, aur vyakti ko concentrate karne mein, kuch bhi padhne mein, likhne mein usko bahut takleef hoti hai. Iske alawa agar infection adhik badd jaye toh fever bhi aa sakta hai, chehre ke upar swelling bhi aa sakti hai, aur lambhe samay tak agar yeh bimari rahe toh baaloo ko effect karti hai, baal jhadte hain, safed jaldi hote hain. Isse problem yeh aati hai ki vyakti jo hai uska samanye jivan hai woh asth vyasath rehta hai. Isse upchar ke liye hum sabse jaroori hai hum cough wali cheezon ka kya tayag kare dahi ka seven, urad ki dal ka sevan, ande, cold drinks ka sevan ke alawa hum AC ka kam se kam istemal kare, apni immunity ko strong banaye, mausam mein aplabd jo sabhi fal-fruit hai uska sevan kare, phir bhi kuch khatti cheeze jaise pineapples hai, oranges hai, grapes hai, unka sevan kam se kam karna chahiye. Dusra aap tulsi ka sevan adhik kar sakte hain chai mein, doodh mein, jab bhi hum pite hain tulsi ke patte dal sakte hain. Trikatu ek bahut acchi aushadhi hai Ayurveda ki usme sonth, kali mirch, aur pipal 3 tarah ki jadibutiyo ka mishran hota hai. Usko hum ubal kar sevan kar sakte hain aadha chammach ki matra mein garam pani se bhi le sakte hain. Ayurveda mein bataya gya hai ek bahut acchi therapy jo ki kehte hain Nasya therapy, Nasya therapy mein hum isko hum nasal drop dala karte hain apne naak mein aur Shadbindu Tail hai, Anu Tail hai ya simple ghar mai aap chahe to til ke tail se ya sarso ke tail ka bhi apply kar sakte hain naak mein jisse ki hamari jo cavities hai uski jo usme koi avrodh utpan na ho, jo chipka hua sarav hai waha se aaram se bahar nikal jaye. Yoga therapist ki aap help le sakte hain jo ki aapko jal niti sikha sakta hai, gungune namak ke pani se jal niti karne se jo bhi obstructions hai, jo bhi jivanoo hai, kitanoo hai woh bahar nikal jate hain, bahut soothing rehta hai nasal Mucus membrane ke liye, aur sinusitis ki samasya kam hoti rehti hai. Agar aap kisi doctor say consult kare toh aapko bata payenge ki aap ki uss condition mein kya dawai di jati hai.
Yadi aap chahte hain humse consult karna to Lybrate ke through contact kar sakte hain, Thank you.
Hello friends. I am Dr Sandeep Madaan. I am M.D. in Ayurveda from the University of Rajasthan. Now I have been practising Ayurveda in Delhi from last more than 14 years. Today we will talk about Migraine.
Migraine and migraine headaches are very common. The commonly affected people are middle age women in the age of 30s or 40s. It is more prevalant in the families which means that the ladies affected with this problem, pass the disease to the next generation. This disease is characterised by the headcahe. It may be one sided or both sided, but it is always episodic that means it comes in episodes like after few days, few weeks, few months. It is always associated with the diseases such as Nausea, vomiting, sleep disorder. The person find it very difficult to concentrate any needs, good sleep and often vomits and find relief in the headache.
These days many people in long term consume analgesics and many other chemical based medicines. But this is not a solution for Migraine. Ayurveda can be very effective and without side effect medicines or the supplements which are proven to be very effective in the long term.
Also, there is a special therapy called Nasya therapy in which we give special oil drops in the nose for sometime, for example- for a week or two weeks, and patient find it very effective for managing the migraine. Basically the person find that the severity of the headache decrease and the symptoms like Nausea, vomiting, lack of sleep etc. these slowly dimished. It takes around 2-3 months for the response of the therapies. But it is really very effective without any untowards side effects.
If you want to consult, you can consult me through Lybrate.
Thank you very much.
Hello friends, my name is Dr Sandeep Madaan. I have done MD in Ayurveda from the University of Rajasthan. I am practising Ayurveda in Delhi from last 14 years.
Today, we will talk about Allergies- Allergy Rhinitis, Dermatitis, allergy sinusitis.
The modern medical science gives the reasons for allergies, antigens or allergance that are prevalant in our environment. But an Ayurveda differs here that defines that allergy occurs due to low immune system. The person whose immune system is low will be affected by the allergy more than the person whose immunity is very high.
Allergic manifestations like allergic rhinitis can result in running nose, sneezing.
Allergic dermatitiscan manifest some allergic rashes or itching on the skin.
Allergic sinusitis is accompanied by recurrent cold, difficulty in breathing and headache.
In Ayurveda, there is very good treatment for allergic disorders. Many herbs like haldi, ashwagandha, giloe are very effective in fighting with the allergy. Ayurvedic herbs boosts the immunity of the person. Immunity is boosted and adaptogens to the environment. The allergance, the antigens, the toxins present in the environment does not affect the immunity and over the long term when the immunity is boosted, relieved by these conditions.
If you want to contact me, you can contact through Lybrate.
Thank you.
Doctor in Aastha Ayurvedic Clinic
Doctor in Aastha Ayurvedic Clinic
Dr. Sandeep Madaan
Patient Review Highlights
Very helpful
8 reviewsSaved my life
1 reviewsknowledgeable
3 reviewsProfessional
1 reviewsSensible
2 reviewsPractical
1 reviewsCaring
2 reviewsAastha Ayurvedic Clinic Reviews
Nancy
Sep 22, 2018Good
Ajmil
Jun 23, 2017He is so pleasant to talk to and always ready to answer your doubts. I saw Dt.Sandeep Madaan clinic's advertisement in newspaper and that is how we referred him. Hygiene is very important, and I must Aastha Ayurveda Clinic in Delhi was extremely clean. I am really grateful as herdiet planning has gi...read more
Jiganasha
May 09, 2017dr Sandeep Madaan is a trusted name in ayurveda in Delhi. His clinic Aastha Ayurveda Clinic is very famous. My family has been visiting him since long. I recently consulted him for the problem of acidity that was disturbing my health nowadays.The treatment has helped me greatly and now I am perfectl...read more
Advik
Apr 13, 2017I was suffering from diabetes. He is not just friendly, but also is very motivating. Even though the problem was not so big, but still the otherdoctors were not able to treat it. Then I consulted Dr.Sandeep Madaan. The overall cleanliness in the Aastha Ayurveda Clinic in Delho was amazing. Sandeep ...read more
Janesh
Mar 25, 2017Due to my allergyproblem my daily activities were suffering. In the very first sitting, dr Sandeep Madaan clearly told me about the problem and the what the treatment procedure will be in future.Finally with his treatment, I am completely cured from the disease. I went to his clinic Aastha Ayurveda ...read more