Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Evolve The Mood & Mind Clinic

Evolve The Mood & Mind Clinic

Psychiatrist Clinic

C-3/336, Yamuna Vihar
4.5
21ratings
2 Reviews
1 Doctor
₹ 1,200 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Adult Psychiatrist, Headache Specialist, Psychiatrist, Sexologist.It is important to us that you feel comf...read more

Clinic Timing

Tue
Thu
Sat
05:00 PM - 07:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Know More About Bipolar Disorder
Know More About Bipolar Disorder

I am Dr. Manish Jain. Me aaj aap logon se baat krna chahun ga bipolar disorder k bary me. Bipolar disorder ko pehly log Mania Depressive Psychosis k naam se janty thy. But jesy nomenculature vchange hwa to isy hum Bipolar Mood Disorder k naam se janty hain. Is ko mood disorder q kaha jat h q k basically ye mood me esy changes aty hain is me k log ya boht zyada acha feel krty hain ya boht zyada udaas fell krty hain. So I can either be a mania episode or a depressive episode. Agr is prevalence ki baat kren to lag bag 2 se 5 % is ka prevalence hai so at any point of time 2 to 5 % of the population will be suffering from this condition called Bipolar Mood Disorder. It is called a mood disorder because is se mood me esy disorder aty hain k ya to aadmi high feel krta h ya low feel krta h. jb aadmi high feel kry gag a jis ko hum mania bol skty hain to mania k symptoms hoty hain k self-esteem bar jaye ga, confidence bar jaye ga, energy levels bar jaen gay, decrease need for sleep ho jati hai. Esa lgta h k kisi ko soye bina b energy levels on k pury rhty hain. Sexual drive qai baar bhar jati h, demanding behavior bar skta hai, then qai baar khany k liye boht saty on ko interesting cheezien lgti hain k ye khareedna hai, ye khana hai is tareeqy se aa skta hai. Apart from that jb ye zyada ho jata hai phir ye disruptive b ho skta hai. Qai log boht zyada khush b ho jaty hain qai log irritable b ho jaty hain. To ye ek manic phase tha. Ek aur condition hoti h jisy hum Hypomania bolty hain. Hypomania me kiya hota hai k zyada tar disruption ni hoga aur aadmi essa lgy ga boht smart ho gya h, savvy ho gya h evergetic ho gya h, apny kaam ko zyada efficiently kry ga, but koi social ya intellectual disruption ni hogi os me, ek is ka dusra phase hota h jisy hum depression kehty hain. Depression jaisy aap janty hain energy level kam ho jaye ga, kuc krna ka man ni kry ga, confidence kam ho jaye ga, hopelessness aa skti hai, boht zyada depression ho jaye to suicide k bary me log sochny lg jaty hain, os ko esa lgny lg jata h k zindagi jeeny laiq nhi hai, kuch krny laiq nhi hai, ye dusra phase hai jis k bary me batt kr rha tha, depression hai, ye dono phases ye patient me jisy bipolar hota hai dono ho skty hain, zyada tar hum manty hain k jo depression ka phase h wo 3 maheeny se ly kr ek saal rhta h aur mania ka phase hai wo 3 maheeny se 6 maheeny tk rhta hai. I donopahses ki beech me ek boht bra antr b ho skta hai ek chota antr b ho skta hai, jisko hum normal phase bolty hain. To koi bhi esa patient jis me k mania bhi ho rha aur depression bhi ho rha hai, osy hum bipolar bolty hain. Is ka jo identification hai wo kesy kiya ja skta hai? Kisi aap psychiatrist se miley gy to wo identify kry ga k ye tear k test ks hai episode patient ho rhy hain k nhi ho rahy, agr aap kisi esy jany ko janty hain ya aap ki family me koi esa h to aap osy identify kr skty aur os k liye help seek kr skty hain, with a psychiatrist. Is ko, is ko basically mood disorder kaha gya hain to mood changes aa rhy hain aur q k psychiatric condition hai isly psychiatrist deal krty hain. To ultimately, agr aap log ya aap k family me koi is se garrhast hai to aap ek psychiatrist se mil skty hai. Agr aap mery se milna chahty to lybrate k through contact kr skty hain.


Internet Addiction Disorder Effects
Internet Addiction Disorder Effects

Hello friends,

Mein Dr. Manish Jain hn aur me ek consultant psychiatrist hn.

Aaj mein jis topic p aap logon se baat krna chahta hn wo ek interesting topic h aur bht common esa topic h jo bht commonly humein affect kr rha h, Internet Addiction. Time and again mery paas esy patients aty hain jo internet ya gaming addiction k bemari se effected hain. Is ko hum internet addiction ya gaming addiction bhi bolty hain.

Kuch criteria hain - jb wo meet hony lg jaty hain , tb hum keh skty hain k ye addiction h. To kuch esy criteria ho skty hain k aap bht zyada Samay internet k bitaty ho. Generally kuch time bd esy hony lg jata h k log jb pochty hain k aap itna samay internet p bitay ho , to log is k bary me jhoot bolny lg jaty hain k hum inta Samay ni, agr wo 6 ghanty bitaty hain to wo 1 ghanta boleygy, 3 ghanty boleygy.

Phr jo real life contact hain, wo real life contacts chor k wo log internet p profiles bna lety hain. Internet p friends lety hain aur jo human contact h wo km ho jata h. Agar internet se door rkha jaye in logon ko to on me depression k anxiety k, headache k, irritation k ye sary symptoms aa skty hain.

Then ek cheez jo ho skti h k jo personal relationships hain wo kai baar kharab hony lg jati h because aap excessive time internet p bita rhy ho. Log fake profiles ki baar create krty hain fake ID’s create krty hain aur os k through friends bnany ki koshish krty hain. Is se consequence kya ho skya h?

Isolation ho skta hai - Isolation is trh hse ho skta h k aap actually ek room me bnd huay ho aap baahar ki duniya nai dekh rahey, aap logon se rishtey daron se ni mil rhy aue aap infact Depression ki shikaar ho saktey ho.

Ek aur cheez wo ye h k jesy ye barhta jayega, to esa ho ksta hai ki aap ka jo profession h wo hamper ho skta h, aap k jo social relations hain wo hamper ho skty hain, aap k jo personal life h, wo hamper ho skti h. To isliye humien is ko identify krna hai aur identify kr k humien is ke liye treatment seek karni hai. Is treatment k generally psychiatrist and psychologists karengey.

Is baare me aap ko ya aap k near k logon ko kuch hai, to aap mere se contact kar skte hain Lybrate ke through.


Doctor in Evolve The Mood & Mind Clinic

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Evolve The Mood & Mind Clinic

doctor-profile

Dr. Manish Jain

Psychiatrist23 Years Exp.
MD - Psychiatry, MBBS
₹ 1,200 at clinic

Evolve The Mood & Mind Clinic Reviews

V

Verified

Feb 12, 2023

Excellent. He is very quick and intelligent in making diagnosis and planning treatment. Gentlemanly approach.

A

Aakif

Feb 11, 2018

Very good

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Evolve The Mood & Mind Clinic
Your feedback matters!