Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
 healing tree hospital

healing tree hospital

General Surgeon Clinic

30/1, shakti khand 3, indirapuram
4.6
46ratings
9 Reviews
1 Doctor
₹ 500 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of General and Laparoscopic Surgeon.We are dedicated to providing you with the personalized, quality health c...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
04:00 PM - 07:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Gallbladder Stone - How To Treat It?
Gallbladder Stone - How To Treat It?

Hi,

I am Dr. Gaurav Shrivastav, General Surgeon. I would like to discuss a very common disease gallbladder stones. Aam bhasha mein log ise pit ki thaili ki pathri bolte hain. Ye bohot hi common problem hai North India mein. Kyuki humari dietary habits aisi hain. Hum oily chizen jyada lete hain. Humare is area mein ye bohot common bimari hai. Gallbladder stones ko log confuse karte hain kidney stones se. In dono mein ek basic difference hai ki kidney ke stones ke nikalne ka ek natural rasta hai toilet ke through. Isliya specific size ke stones ka ilaj medicines se kiya ja sakta hai. Gallbladder stones ka body se nikalne ka rasta natural nahi hai. Isliya inko nikalne ki liya kis bhi type ki koi medicine available nahi hai. Gallbladder ke stones ka treatment surgery hi hai. Agar aap ko aisi koi problem hai to aap ko surgery hi karani padegi. Aaj kal iske liya surgery ka gold standard hai laparoscopic surgery. Dubin se surgery ki jaati hai jismein 3-4 cut lagte hain body mein. Jiske dwara gallbladder stones ke sath nikal diya jata hai. Ab question aata hai ki agar stones hain to kya operation krana jaruri hai.

Gallstones ka kyuki koi ilaj medicines se nahi hai aur agar ye stones koi complications karte hain toh ye manage karna mushkil ho jata hai as compare to agar aap sidha gallstones ki surgery karayein toh. So, agar aap ko pata chal gaya hai ki gallstones hain toh aap ko operation jaldi hi kara lena chaiye. Kyuki agar inke complications hue toh iski surgery karana mushkil ho jata hai. Aap ko jyada preshaniyan jhelani padti hai. Cost wise bhi aap ka ye surgery mehenga pad jata hai. Laparoscopic surgery se aap ko ye fayada ho jaata hai ki normaly ye daycare procedure hai. Subha operation kara ke shaam tak aap ghar ja sakte hain. Agar fir bhi aap ko hospital mein rukna pada toh ek din aap ko rok ke agle din aap ki chuti kar di jaati hai. Kisi tarah ka bed rest advisable nahi hota hai ismein. Aap apna routine work 2-3 days mein shuru kar sakte hain. 10-12 days ke baad aap apni physical activities kar sakte hain. Dusra question hai ki agar gallbladder nikal diya gaya to patient ki diet mein kya changes honge. Toh aisa kuch nahi hoga. Gallbladder mein agar ek baar stones ban gaye toh gallbaldder apna kam karna band kar deta hai.

Stones ke satth gallbladder aap ko problems hi de sakta hai. Koi benefit nahi hota hai uska aap ki body mein. Rather aap weight kar rahein hain ki kab complications ho jayein, unki vajaha se dard ho jaye toh isliya use nikalne se aap ko koi farak nahi padega. Jo normal person ko dietary restrictions hote hain, toh sargery ke baad bhi same restrictions rehte hain. Medicines aap ko operation ke baad 4-5 days tak di jaati hain. Uske alawa aap ko koi alag se treatment nahi diya jata hai. Ismein bhi stitches aate hain. But ye bohot hi chote hote hain ki visible bhi nahi hote hain. Ab baat ye hai ki kaise pata chalega ki aap ko gallbladder stones ho sakte hain. Kys symptoms hain iske. Sabse common problem hoti hai ki peat mein dayin upar ki taraf pain hota hai. Badhasmi rehti hai, khana khane ke baad peat mein kafi bharipan lagta hai. Baar baar acidity ki medicines leni padti hai. Agar aap ko aisi problems hain toh aap ko peat ka ultrasound kara lena chaiye aur ye ek simple solution hai stones ka pata lagane ke liya. Agar aisi koi problem dekhti hai toh iska operation necessary hai. Operation ke alawa iska koi aur medical treatment nahi hai.

Iski complications kya kya ho sakti hai. Stones hone ki vajah se gallbladder mein infection ho jata hai. Aap ko pain, fever, jaundice ho jata hai and aap ko hospital mein admit karne ki jrurat pad sakti hai. Iske alawa pancreatitis ka problem aap ko ho sakta hai. Uske ilaj ke liya patient ko 3-4 days ke liya hospital mein admit hona padta hai. Kayi baar ICU mein jaane ki jrurat bhi pad jaati hai. So, agar gallbladder ki surgery time rehte kara li jaye toh ye saare complications aap ki body se haat jaate hain. Kyuki iska koi aur medical treatment nahi hai toh medicines khane se kuch bhi nahi hoga. Balki aap ki body ka aur harm hi hoga. Toh gallbladder ki surgery ke liya laparoscopy ek effective tarika hai. Aap ko jyada din hospital mein rehne ki jrurat nahi hai. Bed rest bhi advisable nahi hai. So, agar aap ko aisi koi bimari pata chali hai toh aap ko operation kara lena chaiye.

Thank You!


Know The Myths About Laparoscopic Surgery
Know The Myths About Laparoscopic Surgery

Hi,

I am Dr. Gaurav Shrivastav, General Surgeon. Aaj hum discuss karenge laparoscopy surgery ke baare mein. Kuch common misconceptions hain logon mein regarding laparoscopic surgery. Ise durbin aur minimal invasive surgery bhi kehte hain. Toh pehle jo conventional surgery kiya karte the, us se kya farak hai, us se kya benefit hai laparoscopic surgery karne mein, patient ko ya fayda hota hai, patient ko karana chaiye ya nahi. Sabse pehle question aata hai ki what is laparoscopic surgery. Kayi log aam bhasha mein ise laser bhi bolte hain. Pehla misconception toh yahi hai ki ismein laser ka koi use nahi hai. Ye durbin se kari jane vali ek surgery hai. Jismein operation special instrument ke through kiya jata hai. Body ke andar ke hisse ko dekhne ke liya special camera ka use kiya jaata hai. So, bade operation or laparoscopic surgery mein difference yahi hai ki laparoscopic surgery chote cut se ki jaati hai. Pehle surgery body mein bade cuts deke ki jaati thi. Aur advancement ismein ye hai ki mini laparoscopic surgery ke cuts ek dot ke size ke hote hain. So, is surgery se kya fayda hai.

Sabse pehla question aata hai ki patient ko kitna time hospital me rehna hoga. Operation ke baad kitna bed rest chaiye hoga. Apna routine work kab start kar payenge. so, in dono surgeries mein major difference hai ki laparoscopic surgery se patient jaldi hi bed se khada ho sakta hai. Quki peat mein jo cut lag rha hai, us se pain kam hota hai, stitches kam aate hain, bistar se uthna jaldi ho jata hai. Ismein aisa koi bed rest recommend nahi kiya jata hai. Patient khud chal ke ghar ja sakta hai. Conventional surgeries mein patient ko hospital mein 2-3 days rukna padta hai but laparoscopic surgery mein majority of the patients ko agle din ghar bhej diya jata hai. Aaj kal daycare surgeries bhi ki jaane lagi hai. Jismein subha operation kar ke sham ko patient ko ghar bhej dete hain. Ek hafte se jyada physical activity karne mein ismein time nahi lagta jaise conventional surgeries me 2-3 weeks lag jaate the. Patient 2-3 days ke baad hi apne regular work kar sakte hain. Bhari saman uthana, long drives, jyada der tak baithna ye sara kam bhi conventional surgery ke mukable jaldi shuru kiya jaa sakta hai.

Toh aap ka jo economic and physical burden hai surgery ka bohot hadd tak laparoscopic surgery ki vajaha se kam ho gaya hai. Dusra jo young log hain unmein bada chira bura dikhta hai. Jayada stitches bhi aate hain. Nishan bhi bada dikhta hai. So, laparoscopic surgery cosmetically beneficial hai kyuki chote cuts 80% logon mein dikhte nahi hai. Mini laparoscopic surgery mein pata bhi nahi chalta hai ki operation hua bhi hai. Aisa hi hota hai ki young logon ko physical activity start karni hai like running, jogging, exercises, ye activities aap 10-15 days mein hi start kar sakte hain. Cost wise laparoscopic surgery conventional surgeries se thodi costly hain kyuki inmein special instruments ka istemal hota hai. Ye har jagha hoti nahi hai. Kuch hi hospitals mein ye surgeries ho sakti hain. Laparoscopic surgery se har type ke surgeries ko kyia ja sakta hai like gallbladder, hernia, appendix, intestine, kidney, chest, thyroid, har problem ko treat kiya jaj sakta hai. In sari chizon ko dekhte hue agar aap afford kar sakte hain toh benefit jrur len. Isliya aap apni surgery jrur laparoscopy se karaiye. Taki aap ko sare benefits mil saken. Laparoscopic surgery is always better than conventional surgeries.

Thanks!


Doctor in healing tree hospital

Get Help
Reviews
Services

Doctor in healing tree hospital

doctor-profile

Dr. Gaurav Shrivastav

General Surgeon21 Years Exp.
MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MS Surgical
₹ 500 at clinic
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

11 reviews

Thorough

1 reviews

knowledgeable

3 reviews

Professional

1 reviews

Well-reasoned

1 reviews

Sensible

1 reviews

healing tree hospital Reviews

R

Ranjana

Jun 28, 2019

He is extremely talented with excellent surgical skills. Highly recommended.

M

Meena Kumari

Apr 17, 2019

good experience doctor and nursing staff

M

Meena

Dec 28, 2018

I consulted him for gall bladder Stone problem and after examination he advised me surgery under him and got operated. his skills and consultation is highly recommend. he is best laparoscopic surgeon my knowledge...read more

K

Kirti

Dec 27, 2018

Best laparoscopic surgeon in Delhi. Very polite and knowledgeable. Good pre and post operation care. I will suggest all patients related to laparoscopic surgery to visit Dr Gaurav Shrivastav. read less

S

Srabani Mridha

Dec 27, 2018

He is a very good Doc. Very much concern about patient's problem. Do take very good care of all the problems. Prescribe perfect medicines.

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for healing tree hospital
Your feedback matters!