Genesis Neurogen Neuro-Rehablitation Center
Speech Therapist Clinic
About Clinic
Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Videos
Hi,
I am Dr. Murli Singh, Speech Therapist. Aaj mai aap ko speech therapy ke bare mein bataunga. Ye kya hota hai and isme kya pareshaniyan hoti hain. Isme main problem hai delayed speech. Iska cause hai mother or father ke through. Working hone ke kaaran bache ko speech therapy nahi mil pati hai. Isliye bache mei speech ka problem hota hai ki use proper training nahi mil pati hai. Iski vajhah se bacha delayed speech mein chala jata hai. Isliye 4-5 years ke bache ki speech ka rate 6-8 months ke bache ke jitna hi hota hai. Agar bache ki speech ko thik rakhna hai to uske liye hume bache ko support karna hoga. Bache ko sahi tarike se stimulation dena hoga.
Agar bache ko speech therapy ka problem hai to aap therapist ke pas jayein or bache ki speech confirm thik ho jayegi. Therapist ke pass visit karne se aap ko permanent treatment mil jata hai. Hum bache ko speech se related kuch exercises karate hain jis se vo 3-4 months mei thik ho jata hai. Agar bache ki 2.5 ki age mei speech delayed hai to aap immediately doctor se contact karein. Delayed speech ko aasani se thik kiya ja sakta hai. Humne apne clinic mei 95% best result diya hai. Agar aap ki family mei aisi koi bhi problem hai to doctor se contact kariye. Ye koi bohot badi problem nahi hai. Iska timely treatment bahut important hai.
Thank You.
Hi, I am Murli singh, speech therapist and audiologist. Me aj apko kuch haklana, jise stammering bhi kehte hai, ke baare me batana chahta hu.
Stammering ek aisi problem hai jise hum bohot he aram se theek kar sakte hai agr use sahi tareeke se treat kia jaae. But zada tar is problem pe tab dhyan diya jata hai jab bacche bade hojate hai. Stammering ke liye agar hum speech therapy ki help le, to har haklaane ki problem ka solution sambhav hai. Haklana ek aisi samasya hai jisme agar baccha 5-7 saal ka hota hai, tab bacche ko kuch pata nahi chal pata. Lekin jab bacche bade hone lagte hai, jese ki jab bacche 18-19 saal ke hojate hai, tab doosre bacche mazak banane lagte hai. Aisa hone se baccha depression me chala jata hai aur acchi education hone ke bad bhi wo apna represesntation nahi de sakta. Speech therapy ke madhyam se haklaane ki beemari 100% tak theek ho sakti hai, agr uska sahi tarah se treatment kia jaae speech therapy dwara.
Ap logo ko ek baat vishesh baat ka dhyan rakhna chaie ki haklaane ke liye speech therapy ka bhi koi aisa jaadui kaam nahi hai ki turant theek hojae. Stammering treatment ke lie speech therapist sabse pehle apni kuch exercise aur kuch tips bataega. Apko mirror ke samne khade ho ke yeh bataega ki kon kon se words ko kis tarah se bolna hai or yeh dekhega ki kon kon se words me wo hakla raha hai. Haklane ke lie speech therapy treatment theek se diya jaae to 100% ye problem theek ho sakti hai. To dosto, agar apko haklane ki beemari se azaadi apani hai to aap isko speech therapy ke madhyam se theek kar sakte hai.
Humare yahan kaafi bacche aate hai jinhe is tarah ki problems hoti hai, aur zadatar bacche theek ho kar jaate hai agr wo humare instructions ko theek se follow kare to. Lekin aisa nahi hai ki 3-4 din speech therapy ke lie aane se haklana band hojaega. Speech therapy koi jaadui dawai nahi hai or na he haklane ki beemari ko theek karne ka koi tonic hai.
Koi bhi ladka ya ladki kitne bhi educated ho, ya kitna bhi paisa ho, lekin agar shadi ki jab baat hoti hai, tab bohot dikkat aati hai. Shadi ke samay ya koi truth face karne ke samay baccho ko bohot problem aa sakti hai aur isse wo depression me bhi ja sakte hai. Islie haklane ki beemari ko theek karne ke lie speech therapy he ek aisa madhyam hai jisse hum ye problem poori tarah se theek kar sakte hai. Yeh ek psychological issue bhi ek, jese ki agar kisiko presentation deni ho or psychologically dimag me yeh aajae ki me hakla na jau to is wajah se maansik pareshani shuru hone lag jaegi.
Aisi problems ke lie agar ap treatment sahi se chahte hai to humare yahan se, Karkarduma ke aage Genisus Neurogen rehabilitation centre pe visit kar sakte hai. Humare yahan pe speech therapy, audiology ki suvidha di jaati hai. Iske ilawa ap hume Lybrate ke through bhi contact kar sakte hai.
Humne ek package banaya hua hai, agar aap us package ke instructions ko follow karenge to apka haklana poori tarah se samaaopt hojaega. To dosto agar apko meri baat samajh aai hai to aap humare paas aiye or humse treatment lijiye. Hum aapko Lybrate ke dwara poori tarah se madad karne ki koshish karenge, text messege k dwara bhi, audio/video call k dwara bhi
Meri taraf se aap sabhi ko bohot dhanyawad.
Doctor in Genesis Neurogen Neuro-Rehablitation Center
Doctor in Genesis Neurogen Neuro-Rehablitation Center
Dr. Murli Singh
Patient Review Highlights
Very helpful
16 reviewsThorough
2 reviewsknowledgeable
6 reviewsWell-reasoned
2 reviewsProfessional
2 reviewsHelped me improve my health
1 reviewsSensible
4 reviewsInspiring
1 reviewsPrompt
1 reviewsPractical
2 reviewsCaring
5 reviews