Good Health Clinic
General Physician Clinic
About Clinic
Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Namaskar Doston!
Me Dr. N.N. Jha, senior consultant. Today I will clear your myths about thyroid disease. Thyroid ek gland hai jo butterfly ki shape me hmari gardan ke samne hota hai. Is se nikle hormones hmare metabolic activity me involve hoti hai. Iski kami and jyada hone se iske nuksan hain. Thyroid disease 2 types ka hota hai. Hyperthyroidism. Isme hormones jyada bante hain. Iske symptoms hain fatigue, palpitation, rapid heart rate. Severe case me ankhe thodi bahar ko aa jati hain. Lekin hyperthyroidism jyada common hai. Isme thyroid hormone kam banta hai. Isko diagnose krna itna asan nhi hai. Iske symptoms hain dizziness, joint pain, weight gain, anxiety, depression.
1st myth: ye disease kewal women ko effect krti hai. Ye male me kam hota hai. 1:5 ka rate hai isme men and women ka. 2nd myth: It affects after 50 years of age to a woman. But aisa nhi hai. Ye kisi bhi age me ho skti hai. Iodine ki kami se thyroid ki bimari hoti hai. Namak me iodine hone se thyroid ke chances kam ho jate hain. 3rd myth: Iodine jyada khane se thyroid hi hota hai. Aisa nhi hai. 4th myth: Lump and swelling is the sign of thyroid. Aisa nhi hai.
5th myth: Weight gain thyroid ka risk hai. Aisa nhi hai. Thyroid se weight gain hota hai but jyada nhi. 6th myth: Easy hai thyroid ka pta lgana. Lekin aisa nhi hai. Islia problem hone pe doctor ke pass jayen and check-up krayen. Iska treatment late krna acha nhi hai. Islia patient ko timely doctor se contact kar k medicines start krni chaye. Quki patient ko uska result dikhne me thoda time lgta hai. 7th myth: Logon ko lgta hai ki iska treatment sirf endocrinologist hi de skta hai. But aisa nhi hai. Iska treatment general practitioner ke pass bhi jake aap le skte hain. Soy khane se thyroid ka absorption thoda delay ho jata hai. Moring me jab aap medicines le rhe hain to aap soy protein raat ko le skte hain.
8th myth: Pregnancy me thyroid ki medicines nhi leni chaiye quki ye bachon ko nuksan krta hai. Aisa nhi hai quki bachon ko bhi thyroid hormone uski maa se milta hai. Thyroid ki medicines lene se bache ka treatment bhi ache se hota hai.
Otherwise bache ka vikas ruk jata hai. Mata ko bhi thyroid ki medicines leni chaiye taki uska savasthya acha rhe. Doctor se suggestion lene ke baad correct medicines len. Thyroid bimari khatarnak nhi hai but ye treatable condition hai. Iska treatment bhut acha hai.
Dhanywad!
Jaisa ki aap log jante hain, diabetes is a rapidly progressive disease. Ye sabse zyaada common hai. Diabetes India mein bahut zyaada tezi se badh rahi hai. And Delhi is the capital of the world. Ye itni prevalent hai ki yadi ek jagah 8 log baithe ho, to usme se ek aadmi ko zarur diabetes hoga. Or yadi vo 8 aadmi 50 saal se upar hai, to 4 mein se 1 ko diabetes hoga.
Let's talk about the myths of diabetes
Myth 1: Diabetes is contiguous, jaise ki chuachuth ki bimari hai. Lekin ye galat hai. Diabetes kabhi bhi aise nahi failti.
Myth 2: Yadi aapki family mein diabetes na ho , to aapko kbhi diabetes nahi hoga. Agar family mein kisi ko diabetes ho , to chances zyaada hain ki apko bhi diabetes ho sakta hai. Lekin nahi hoga ya hoga, iski koi guarantee nahi hai. Diabetes aapko ho sakta hai yadi aapka khan-paan, rehen-sehen acha na ho.
Myth 3: Jitni bhi kadvi chizen hai , unse diabetes ka ilaaj ho jata hai.
Myth 4: Diabetics cannot consume fruits. Aisa koi zaruri nahi hai. Hamari diet me 3 mukhye chizen hoti hai - carbohydrates, fat or protein. Diabetics ko bhi carbs 50% required hai. Jo bahut zyaada meethe fruits hote hain jaise aam, chikku, kela, angur, unhe avoid krna chaiye. Baki fruits liye ja sakte hain 100-200 gram, 24 hours ke beech mein.
Myth 5: All artificial sweeteners are safe to consume. Jaise sugar free istemal karte hain , to saara safe nahi hota hain. Kuch sugar-free se cancer hone ke chances hote hain.
Myth 6: Diabetics alcohol nahi le sakte. Lekin, once in a week alcohol lene se koi nuksaan nahi hota hai. Lekin hum aapko recommend karte hain ki alcohol na len.
Myth 7: Diabetics chawal or aaloo nahi kha sakte hain. Aisa zaruri nahi hai. Control me kar ke aap kha sakte hain.
Myth 8: Diabetics bahar khana nahi kha sakte. Aisa bilkul sahi nahi hai. Aap kha sakte hain, par moderate tarike se vo bhi acha khaana.
Myth 9: Sugar zyaada consume karne se diabetes hoti hai. Meetha khaane se diabetes nahi hoti.
Myth 10: Jo overweight hote hain, unhe diabetes hota hai. Aisa kuch nahi hai. Duble insan ko bhi diabetes ho sakta hai.
Myth 11: Diabetics khel nahi sakte. Aisa kuch nahi hai. Hamare paas kaafi examples hain. Wasim Akram is on insulin and he is also a good sportsman. Isliye aap acha khayen or exercise karen, aap koi bhi sports mein involve ho sakte hain.
Myth 12: Insulin ka dose badhne se aapka diabetes kharaab hota hai. Depend karta hai ki sugar level apka kya hai. Ye koi zaruri nahi hai ki insulin ka dose badhne se aapka diabetes kharaab ho raha hai.
Aaj ke liye bas itna hi. Agar apko koi query ho to Lybrate ke through aap humse puch skte hain. Thank You.