Heart & Child Clinic
Cardiologist Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Cardiologist.We are dedicated to providing you with the personalized, quality health care that you deserve...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hi, I am Dr. Ajay Aggarwal, Cardiologist. Today I will talk about diagnosis of heart attack. Hum jante hain ki kuch logon ko kabhi-kabhi chest pain hota hai and humein samajh mein nahi aata hai ki Dr ke pass jana hai ki nahi. Heart ka pain center of the chest mein hota hai. Ismein hamare heart me bohot jayada pressure padta hai. Or agar ye pressure shoulder or jaw ki traf radiate ho and 1-2 minutes tak pain hai to ye heart attack ka sign hai. Agar aap ko picky pain hai ya sui ki tarha chubh raha hai to vo heart pain nahi hai. Ismein patient ko bohot jyada sweating hoti hai, dizziness and vomiting hoti hai.
Pain ko ignore na karen and Dr ke pass visit karen. Agar aap ko pressurized pain hai to disprin 325mg 1 tablet immediately le len. Immediately hospital jayein. ECG karayein apna and Dr ki advice leke treatment karayein. Ek aap CPR technique follow karen patient ke liya jismein aap ko apne dono haathon ko use kr ke chest ke middle mein press karna hai. 1 minute mein 100 times ye aap ko karna hai. Is se aap patient ki jaan bacha sakte hain. Hum aap ko medicines and injection ke through treatment dete hain jis se aap ka blood thin ho jaye and angioplasty or angiography ke through treatment karte hain. Agar kisi ko severe pain hai to 2-3 hours golden hours hain and patient ki jaan bachayi ja skti hai ya fir heart permanent damage se bachaya ja sakta hai. Regular sugar and cholesterol test karate rahen. Aise kar ke heart ki problem se bacha ja sakta hai.
Thank You.
Hi,
I am Dr. Ajay Aggarwal, Cardiologist. Today I will talk about the prevention of heart attack. It is a leading cause of death. Myth hai ki heart attack elder or older logon mein hota hai younger mein nahi. Aisa nahi hai. Agar aap ki family history bahut strong hain to aap ke heart attack se bachne ke kum chances hote hain. Agar aap lifestyle change karen to heart attack se bacha ja sakta hai. Smoking iska main cause hai kyuki arteries mein blockage ho jati hai. Hamare heart ko pump jayada karna padta hai oxygen ko pura karne ke liye. Smoking kisi bhi form mein na karen. Heart attack se bachne ke liye another major factor is exercise. Regular exercise se heart attack se bacha jaa sakta hai. 30 minutes moderate exercises are recommended. Regular 30 minutes bhi agar aap walk karte hain to heart attack se bacha ja sakta hai. Weight training se muscles strength badhati hai use se bhi heart attack, diabetes ke chances kam ho jaate hain. Stairs use karein. Regular activities karein. Healthy diet lena bohot important hain.
Fruits and vegetables ki quantity increase karein. Fats jo aap consume kertey hain uske liye careful rahein. Trans food avoid karen. Fried food avoid karein. Fish aap ke health ke liye achi hai. Nuts and seeds consume karein. Salt kam karein. Alcohol ko thoda kam hi use karein. Alcohol liver bhi damage karta hai. Weight maintain rakhen quki is se aap kafi disease prevent karein. Regular sleep 6-8 hours bahut important hai. Mobile usage avoid karein raat ko. Apko obstructive sleep apnea ka bhi problem ho sakta hai. Isliye aap ko agar koi symptom hai to Dr se consult karein. Stress avoid karein. Isliye aap yoga and meditation karein. Regular screening karayein and Dr se consult karein. Stress ko avoid karen and us se bachne ke liye excessive smoking, drinking and junk food eating ki traf na jayein quki ye heart disease ke risk ko badha deta hai. Regular screening bohot important hai 20-30 ki age ke baad. Cholesterol and sugar ka regular test krayein quki is se aap heart disease se bach sakte hain. Lifestyle apna healthy maintain karein. Diet and exercise regular karein. In sab baaton ka dhayan rakhein kyunki is se aap healthy rahenge kyunki aap ki health aap ke hath mein hai.
Thank you