Jaddi Dawakhana - New Delhi
Sexologist Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Ayurveda, Sexologist.By combining excellent care with a state-of-the-art facility we strive to provide you...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hello.
I'm Dr. Vinayak Abbott, Ayurveda Specialist, today I am gonna enlighten you about some basic concepts of ayurveda and panchakarma. Ayurveda is is a very big science of life. So ayurveda means 'ayur' means life, 'Veda' means science so basically we decode that term to the science of life, yani hamare sharir ke baare mein jo bhi gyaan available hai wo sara ayurveda me chapa hua hai. Ayurveda 3 dosho pe nirdharit hai: Vata, Pitta or kapha. Yahi 3 doosh hai jo hamare pure shareer ko niyantran karte hai or inke sath milte hai 5 dhatu: prithvi, akash, tej, vayu or agni. Ye 5 dhatu or ye 3 dosh, pure shareer ka niyantran karke chalte hai.
Har dosh ke bigadne se koi na koi vyadhi ki utpatti hoti hai. Koi na koi disease hamari body me banta hai. Ab is disease ki chikitsa ayurveda me 2 tarah se ki jati hai. Ek hota hai shaman, ek hota hai shodan. Shaman ke bare me hum log sab jante hai. Shaman ka matlab kya hua ki apko koi bukhaar hai, to aap bukhar ki goli lelenge. Ayurveda me vo koi bhi dawa hoskti hai apke bukhar ke hisab se jaise giloyi ka tablet hogya, ya or bhi kuch. Or shodan ka matlab hua ke 5 prakar ke panchkarma.
Panchkarma ke 5 procedure hote hai: Vaman, Virechan, Basti, Nasya or Raktmokshan. Vaman ka matlab kya hua? Vaman ka matlab aisa procedure jiske andar apki body ke jitne bhi doosh hai, jitne bhi doosho ko sab ikhhata karte hai kosht me, kosht yani ki apka pet, pet me ikhhata hone ke bad un doosho ko ek specific aushadhi ya specific dawai pilakar aap ke sharir se bahar nikala jata hai or ye treatment permanent treatment me se ata hai. Aisa ni ki dawai khayi tabhi aram ayega. Ek bar jisne shodhan kara liya, usko lifelong aram rahega he rahega. Ye hai ayurveda ke panchkarma ka jaadu.
Vaman ek aisi therapy hai jo kusht rog jaisi viyadio me jo amal pitt yani acidity kusht rog yani skin disease koi gambhir psoriasis hai kisi ko ya koi gambhir acidity bahut purani hai, bachpan se chali ari hai, antacid pe jee rahe hai to unko zaroor ek baar karana chahiye. Ek baar. Once and for all, vo doosh sharir se Bahar he nikal dene chahye. Kab tak unko antacid leke dabate rahenge. Agle hum procedure pe jae to vo ata hai Virechan. Virechan ka matlab aisa procedure jiske andar kuch laxative yani kosht kholne vale yani kosht me jo bhi badhhta yani small intestine ke andar agar koi bacteria hai ya koi infection hai ya koi aisi disease panap rahi hai jiske vajah se apko long term constipation reh rahi hai, mall badhhta reh rahi hai, apka pet achche se saaf nahi ho pa raha hai, apka pachan shakti kamzoor hogyi hai, to ek bar aap life me virechan zarur karaiye.
Ache se tareke se kisi vaid ke under agar apne virechan karaya, to apko life me kabhi kabhi bhi indigestion ka problem nahi rahega. Theek hai. Teesra agar hum procedure ko dekhe to vo hai raktmokshan. Aj kal ye leech therapy nam se bahut famous hora hai. Foreign me ye bahut zada tadad me log kara rahe hai leech therapy. Iske gunn itne zada hai likhe hai aap kabhi google padhiye to apko pata lagega.
Indian therapy hai, foreign me zada famous hai. Skin pe pimples ajana, marks ajana, kahi pe bhi stretch marks reh jana ya fir alag alag tarah ke skin par daag dhabbe rehna, leech lagane se sara rakt us area ka shudh hojata hai. Pimples vagarh rehte hai jo females me, jo adolescent age mein zadatar rehti hai, unke pimples pe leech lagate he vo pura ashudh rakt kheech leta hai. Hum ye guaranteed ilaaj hai. Iske bad ye cheez ane ke koi chance he nahi hai.
Chautha procedure par agar hum dekhe to vo hai nasya. Shuruat he kafi saal hogye, kai patient ate hai hmare pass, kehte hai humko migraine hai, humko sir dard rehta hai, humara sir har sadev fatta rehta hai, sir dard ki dawai lerae hai hum, 15-20 saal hogye koi aram nahi milra. Hum unko sirf nasya dete hai. Nasya ka matlab kya hua? Ache se table pe leta kar headline position par patient ke naak me kuch specific aushadhi dalna. Patient to patient vo drug change hota hai, vo aushadi change hoti hai. Or aisa relief ata hai ki dubara vo ye complain nahi lekar ate ki hamare ko kabhi sir dard tha bhi.
Jo panchva procedure or sabse mehtvapoorn procedure jo hai, jo sabse important procedure hai vo hai Basti. Basti ek aisa jaadu hai ayurveda ke andar chupa hua jo har tarah ke vatrog ko nikal leta hai. Vatrog se mera matlab hai kisi bhi tarah ka dard agar apke shareer me hai chahe vo joodo me ho, chahe vo sir me ho, chahe vo pet me ho, chahe kandhe pe ho, chahe kamar pe ho, chahe sir me ho, chahe kahi bhi ho vo vatrog ki vajah se hota hai or vaatrog ki sabse badia chikitsa hai basti. Basti ka matlab aisa aushadhiyon ka prayog karna anal canal ke through. Guda marg ke through kuch aisi aushadhiya apke shareer me dali jati hai, jo samporn shareer ke vaat ko har kar, apke shareer se bahar nikal kar once and for all nikal deti hai jisse ki aapko woh bimari baar baar utpann na Ho.
Agar ek case ko mai discuss karu to ek rheumatoid arthritis ka case tha hamare paas jisko ayurveda mein amvad se mana jata hai, amvad se samjha jaya sakta hai. Unke andar humne vatran yani ki chincha ke yani imli ke imli ke rass se basti banayi, gaumutra ke rass se basti bana kar dia, aj unke joint pains pehle se bahut healthy hai, chalne firne me koi takleef nahi hai. To ye the hmare panchkarma of ayurveda. Ye hai raaz jo maine aj apke samne kuch bataya ayurveda ke bare me. Aap isko zarur ek na ek bar apni life me zarur apply kijiye and you will see the results. Kis tarah se apki jeewan shaili badalti hai, kis tarah se aapka uthna baithna change hota, apke doosh kam hote hai, apke dukh bhi panchkarma kis tarah se harega you can feel the magic if you go once to this procedure.
Thank you.
Doctor in Jaddi Dawakhana - New Delhi
Doctor in Jaddi Dawakhana - New Delhi
Dr. Vinayak Abbot Abbot
Patient Review Highlights
Jaddi Dawakhana - New Delhi Reviews
Sarthak Goswami
Apr 02, 2018The doctor asked precise questions and gave insights into lifestyle changes and gave a plan ahead to induce a better skin regime. My Stomach infection has also been treated with clear cut medicines. its been 3 visits and I am fully satisfied. The clinic is clean and ambient with sufficient amenit...read more
Ajita
Jul 30, 2017I was shocked to experience the symptoms of male sexual problems. In the past i consulted so many doctors, but nobody was able to help me deal with this, but he has helped me immensely.My previous experiences were not so good, but Dr Vinayak Abbot has completely changed my opinion as he is very help...read more
Amal
Jan 06, 2017Dr Vinayak Abbot is not just friendly, but also is very motivating. It was so quite pleasant in his clinic which is in Pune. During the complete erectile dysfunction program he always supported and motivated me. All of sudden I developed this erectile dysfunction and didn't know what to do. Many pe...read more
Anshu
Jan 30, 2017I consulted a number of specialists but the way Dr Vinayak Abbot treated me was the best. I was having this erection problems, but the symptoms were not very visible. He ensures that he listens to his patients. I have consulted so many doctors but nobody till now was able to understand my concern p...read more
Sarvari
May 03, 2017Due to my premature ejaculation I was feeling very depressed and had no hope. Jaddi Dawakhana - Pune can handle all types of emergency cases. I never get sick, but then last year i started developing this issue. The premature ejaculation treatment has helped me greatly and now I am perfectly fine. T...read more