Max Super Speciality Hospital -Shalimar Bagh
Oncologist Clinic
About Clinic
Customer service is provided by a highly trained, professional staff who look after your comfort and care and are considerate of your time. Their focus is you....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hello,
I am Dr. Saurabh Gupta to aaj hum muh aur gale ke cancers ki baat karenge. Inko commonly hum mouth cancer bhi kehte hai. So mouth cancer is a major health concern in India. Purushon ki baat kare to ye sabse common cancer hai aur mahilao mein stan aur cervix cancer ke baad teesre number pe muh aur gale ke cancers paye jate hai. Inka mukhya kaaran tambaku ka sewan hai. Tambaku ka sewan kisi bhi form mein kiya jaye chahe smoking, beedi, cigarette, hookah, e-cigarettes ya chabane ke form mein hum gutka, jarda, supari, paan kisi bhi tarah se agar tambaku ka sewan kiya jata hai to ye paya gaya 90% cancer mein muh aur gale ke cancers mein tambaku ek kaaran hai. Aur 20% cancer deaths tambaku ke kaaran hoti hai. To aap sochiye agar tambaku ka istemaal kam kardiya jaye to muh aur gale ke cancers ko hum kafi hadd tak rok sakte hai. Dusra mukhya kaaran hai alcohol. Alcohol lene valo mein 6-7 guna zada risk hota hai besharte jo alcohol nahi lete aur problem hai agar tambaku aur alcohol dono koi vyakti leta hai to ye 1 aur 1 11 ka kaam karta hai aur lag bhag 35-40 guna risk muh aur gale ke cancers ka badh jata hai.
Iske alawa muh aur gale ke cancers ke mukhya kaaran hai kisi bhi tarah ka chronic irritation yani ki lambe samay se koi dant agar kisi jagah pe chubh raha hai aur ghaav banrha hai to samay ke sath vo ghaav nasoor cancer mein tabdeel ho sakta hai ya fir aap bohot zada lambe samay se mirch masala, garam khana khaa rahe hai ya even supari ke sewan se bhi supari se hone vale choke se cancer mein badlaav aa sakta hai muh mein. Kuch premalignant conditions hai jinme samay ke sath cancer mein tabdeel hone ke chances rehte hai, kitabe kehti hai 3 se 5% chance hai lag bhag 10-15 saalon baad but unme bhi cancer ban sakta hai. To tambaku ki baat karein to vishva mein tambaku ka sewan lag bhag 609 million users karte hai aur jisme se 40% yani 241 million users hamare Bharat mein hai isilye shayad India ko hum oral cancer capital of the world bhi kehte hai. Agar hamare sheher Delhi ki baat karun to 24% log Delhi mein cancer tambaku ka sewan kar rahe hai kisi bhi form mein. Har saal Delhi mein lag bhag 10,600 maute ho rahi hai sirf tambaku ke sewan ke kaaran.
Hisab lagaye to ye lag bhag 29-30 deaths per day pe aati hai, roz ke 29-30 log sirf tambaku ke kaaran apni jaan kho rahe hai. Ek aur survey batata hai ki Delhi mein lag bhag 80 se zada bache daily tambaku ka sewan start kar rahe hai, ye ek bohot alarming situation hai kyunki hum dekhte hai ki aaj kal jo cancer ke rogi hamare pass aa rahe hai unki stage badhti ja rahi hai, pehle early stage stage 1 ya 2 mein aate the aaj kal advanced stages mein patients aa rahe hai aur sabse zada problem vali baat hai ki mareejo ki umar ghatti ja rahi hai. 25 saal, 18 saal, 30 saal; umar aaj kal koi bar nahi reh gayi hai kisi bhi umar pe oral cancers paya ja raha hai aur yahi kaaran hai ki hum log tambaku ke against kafi campaigning karte hai ki tambaku ka istemaal kam kia jaye. Abhi maine baat ki 80 se zada bache tambaku ka sewan start kar rahe hai, to kya kaaran hai ki bache zadatar bache apne teens mein yani 18-20 ki umar ke aas pass tambaku ka sewan start karte hai. To iske mukhya kaaran kya hai? Mai samjhta hu sabse pehla kaaran hai peer pressure. School mein apne dosto ko smoking karta dekh unhe lagta hai ki yahi bus sab kuch isi mein hai aur unse milne julne mein aur unse dosti banane ke liye kayi bar hum pressure mein aake smoking ya tambaku ka istemal shuru kar dete hai.
Doosra kaaran hai filmo mein hamare hero jab kash bharte hai aur fighting karte hai to ek false sense of machismo yani ek mardangi vali feeling aati hai ke bus cigarette pili isi se hum mard ban sakte hai. Teesra kaaran hum apne ghar parivar mein apne mata pita ko ya apne sage sambandhiyo ko smoking karte dekhte hai to hame lagta hai ki ye kar rahe hai to koi galat nahi hai, hum bhi kar sakte hai. Aur chordne ke aankde ki baat kare to 95% log tambaku nahi chord pate start karne ke bad. Less than 5% of the people using tobacco ultimately quit. Toh quit rate itna kam hai aur iske bhi kya kaaran hai, kyu hum chord nahi pate, aam janta zadatar sochti hai ki dependence ho jata hai ji physical ya psychological dependence but woh bohot late stithi mein hota hai. Shuru ka kaaran to hai ki jab hum 18-20 saal ke hote hai hame itna seriousness hi ni hoti ki isse aage kuch hoga to we don't give a damm attitude ki arey yar mujhe kuch nahi hoga, it won't happen to me, agar mere pitaji ko nahi hua vo itne saalo se pi rahe hain to mujhe kyun hoga. To is is bhavna se kayi bar hum chordte nahi hai ya kayi bar baaghi bhavna hoti hai ki dunia ne mujko kuch nahi diya to mujhe kis baat ka dar hai, mai apni zindagi jee raha hu, kuch hoga to mujhe hoga is bhavna se hum nahi chordte ya fir ultimately peer pressure, inferiority complex hame lagta hai ki jo school ka jo bohot famous log hai vo pee rahe hai to mai nahi piyunga to mai unse dosti kaise banaunga, to us inferiority complex ke chakkar mein shayad hum nahi chord pate.
Ab tambaku ke kaaran kya kya nuksan ho sakte hai, iski baat karta hu. Sabse commonly hame lagta hai cancer lekin cancer hi nahi tambaku hamare shareer ke har hisse ko disturb karta hai, har system ko pareshan karta hai. Heart ki bimariya hoti hai jisme BP badh sakta hai, apko heart ke stroke ho sakte hai, apke naliyo mein khoon ka bahav kam ho sakta hai jisse pairo ki ya hathon ki ungalio mein kaalapan aa sakta hai. Lungs ki bimariya ho sakti hai, bronchitis, emphysema is tarah ki bimariyan ya pregnancy mein low birth weight ho sakta hai bacche ka ya baccha premature deliver ho sakta hai, chote bacchon mein lung ki pareshaniya aaj kal aap dekh rahe hai hamare har bacche ke pass apna khud ka nebulizer hai aur gharo mein hi parents nebulization kar rahe hai because hawa mein hi itna pollution hai ke unke fefdo ko bohot nuksaan ho raha hai. Iske alawa health dusri problem jo ki mai baat kar raha hu cancer to tambaku shareer ke har har hisse ka cancer kar sakta hai, muh se shuru karein, muh, ann nali, pet, fefda, kidney, urinary bladder; aap naam lejiye aur us hisse ke cancer mein tambaku ka role hai. To tambaku har har hisse ko cancer kar sakta hai. Health ki baat na karke agar mai social baat karun to tambaku ke kaaran sirf ek patient hi pareshan nahi ho raha, uska pura pariwar, uske bacche bhi affect hote hai.
Aap apna sara aamdani agar tambaku pe kharch kardenge to baccho ki padhayi kaise hogi, ghar kaise chalega aur isi kaarano se crime rate badh jata hai. To samajik asar bhi bohot hai tambaku ka. Iske sath economical burden bohot hai. Ek survey 2011 mein shayad Bharat mein ek survey hua tha jisme direct aur indirect medical cost due to tobacco was around 1,04,500 crore. 1,04,500 crore rupee sirf tambaku janit bimariyo par bahaye gaye. Agar itna hi paisa kisi aur constructive kaam mein use hota to kafi farak padta. Ecological burden bhi hai, paryavaran bhi isse kharab ho raha hai. Tambaku 1 cash crop hai jisse kisan ko kafi fayeda hota hai, to vo zada se zada apni jameen par tambaku ki kheti karna pasand karte hai. Ek survey ke anusar 4 lakh hectares bhoomi hamare Bharat mein tambaku ke tambaku ki farming mein istemaal ki jati hai. Na sirf bhoomi kharab ho rahi hai, deforestation ho raha hai balki tambaku banane ka ek process hai jisko bolte hai curing jisme tambaku ko thoda seka jata hai to uske liye lakdi jalani padti hai to andazan 300 cigarette banane mein 1 ped katna padta hai.
To aap sochiye kitni lakh cigarettes daily use ho rahi hai. Har 300 cigarettes pe 1 ped kurbaan ho raha hai. Dusra cigarettes ki jo buds hai vo idhar udhar fek di jati hai unka degradation time bohot zada hai aur vo jake sewage blocking karti hai, gandagi failati hai to paryavaran ko bhi nuksan hai. To tambaku na sirf cancer kar raha hai aap ko dusri bimariyan bhi kar raha hai, aap ke samaj par asar kar raha hai, aap ki jeb par asar kar raha hai aur aap ke paryavaran par asar kar raha hai. Tambaku se hone vale cancers ka mukhya lakshan generally muh mein aap ka koi bhi chaala jo ki heal na ho raha ho, 3-4 hafte uska ilaaj lene ke bawjood bhi koi chaala hai jo theek na ho raha ho to vo ek cancer ho sakta hai, uska ilaaj karaiye, apne doctor ko dikhaiye. Koi bhi ulcer jisme se bina kisi kaaran se bleeding ho rahi ho, vo ek risk factor hai. Daanto ka bina kisi kaarano ke hilne lagna, masoodo mein soojan aana, aap ki awaz mein koi badlav aana, khane peene mein koi takleef hona, gatakne mein mushkil aana ya fir gale mein kisi tarah ki gaathein aa jana bhi muh ke cancers ka shuruwato lakshan ho sakta hai. Acchi baat ye hai ki muh aur gale ke cancers stage 4 yani chauthi stage mein bhi curable hote hai, to chauthi stage mein bhi agar unka sahi ilaaj kiya jaye to hum unko cure kar sakte hai. To conclude, agar hum tambaku aur tambaku se bane other utpaado ka sewan kam karde to hum muh aur gale ke cancers ko bohot hadd tak rok sakte hai aur hamari ane vali peedhi ko ek acha jeewan de sakte hai.
Dhanyavad!