Nano Homeopathy
Homeopathy Doctor Clinic
About Clinic
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Homeopath . Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and ...read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Hello,
I am Dr. Madhav Shyam, Homeopath.Today I will talk about prostate ke baare mein. Jaisa ki hum sabko malum hai ki prostate ek male organ hota hai jo hum purshon mein hi paya jata hai. Prostate humare mutrashaye ke thi niche aur jahan se urethra shuru hota hai, vahan paya jata hai. Iska kam hota hai urine flow ko maintain karna aur prostatic fluid ka formation karna hai. Ye iska kam hota hai Jaisa ki hum baat kar rahein hain toh iske agar hum causes dekhein toh jaise jaise age badhti hai hai vaise vaise preshani badhti rehti hai. Prostate ke size mein cells ki growth badh jaati hai.
Jaise jaise ye narrow hota hai vaise vaise problem badhti rehti hai. Iske symptoms hain painful urination, humko urine pass karne mein time lagta hai, urine ruk ruk kar ata hai, testis mein pain hota hai. Agar prostate mein BPH hai toh humein dhyan rakhna hai ki constipation na ho. Agar diaetic hai toh sugar proper control mein hona chaiye. Dusra humein urine ko bahut time tak rokna nahi chaiye. Agar urine ka flow proper nahi hoga toh kidney mein issue aa jayega. Toh humein bahut time tak urine hold nahi karna hai. Use clear rakhna hai. Is se humara proper urination hota rahega. Kuch investigations hain jo bahut important hain. Ultrasound karna hota hai. PSA level check karna hoga. Humein dekhna hai ki medication pe rehna hai ya surgical.
Hum ye dekhte hain ki prostate ke 60% logon ko BPH ki problem hoti hai. Unmein se 70% log aise hote hain jo medications se recove ho jaate hain. Agar aap ko aisi koi bhi problem hai toh aap homeopathy medicines le sakte hain. Humare pass alag alag medicines hain jo patient to patient vary karti hai. Agar aap ko prostate ki koi problem hai toh aap nearby Dr se milein aur apne lia treatment lein. Aap mujhse bhi consult kar sakte hain lybrate ke through.
Thank You.
Hello friends!
Mai Dr. Madhav Shyam is video mein aap sabka hardik swagat karta hu. Friends today hum discuss karenge diabetes and diabetes mein homeopathy kaise help kar sakti hai. To sabse pehle hum logo ka janna hai ki diabetes hoti kya hai. Friends jaise hum log jante hai ki diabetes hamari ek metabolic disorder ki vajah se hamare blood mein sugar ka level increase ho jata hai jisse kya hota hai ki hamare bohot sare jisko hum hyperglycemia bhi keh sakte hai. Ye basically iska dekha jaye to ye 2 types ki hoti hai: Type 1 and Type 2. Type 1 mein hota kya hai ki jisme hamara jo pancreas hai jaha se hamara insulin ka secretion hi kam hota hai, production hi kam hota hai. Or second kya hota hai usme type 2 mein insulin ka secretion to hota hai vaha pe lekin vo jo convey hota hai hamare cells tak jo pahuchna chahiye insulin ko metabolic disorder ki vajah se vaha tak convey nahi ho pata hai isko hum type 2 bhi kehte hai, type 2 diabetes mellitus kehte hai isko. Aur isme hum log iska cause dekhe basically cause kya hai to cause mein agar hum log dekhe to aaj ke time mein mental cause jo hai iska bohot he zada matlab aap dekhe to 60-70% mental cause he hai iska diabetes ka. Diabetes ka main cause dekha jaye is regular hamari diabetes habits, obesities, mental tensions and mental ho gaya and dusra genetic cause hoti hai and kuch food pois kuch is tarah ke drug induced hai aur kuch poisonous substances hai; to main cause hum jo focus hai hum log ka vo dekhe to mentals matlab different type ke stress abhi job ka stress hai aur in sab cheezon ki vajah se jo develop hoti hai type 2 diabetes mellitus in sab mein homeopathy ka bohot he ek amazing results hai.
Ab hota kya hai kayi bar hum dekhe to diabetes ke maare all over abhi India mein 6 crore log diabetes se grasith hai jo is tarah se hamare shareer ko, diabetes hone se kya hai? Ki diabetes ko agar hum pura proper agar control na karein, to jin logo ko diabetes hai unme dekhe to 50% logo ko heart ki problem develop hoti hai and 40% logo ko diabetes mein kidney ki problem develop hoti hai. To in dono he cheezon ke liye important hai ki hum apne diabetes ko control karein. Diabetes ko control karne mein itni important cheez hai to hamko kya karna hai isme ki jis tarah se hum apni homeopathy medicine ka course kia hai iss diabetes patient ke liye to diabetes patient mein hum dekhenge ki jis tarah se hamari constitutional medicine hai matlab jo cause dekha jaye to mental cause ya jis tarah se logo ka kisika job choot gaya ho aur kisi ko financial stress ho, kisi ko love break up ho, matlab ye jitne bhi stress ke vajah se ho ya shock ki vajah se jitne bhi problem mein ho to usme agar hum constitutional medicine agar select karke holistic approach ke dwara agar dein to bohot he amazing results hai. To homeopathy se kya hota hai ki hum iske puri tarah se ek to sugar level hum complete karte he karte hai aur dusra kya karte hai stimulation, hamari medicine ka work basically stimulation hai.
Jab stimulate karke jab medicine jati hai vaha pe to pancreas se ek stimulation karke vaha se insulin secrete hota hai aur dusra jo hai hamara jo unki jo inefficiency ho jo hoti hai cells ki vo increase hoti hai glucose ko acceptance ki. To iss tarah se jo hai hum karke diabetes ko control kar sakte hai and uske jo mental symptoms hai; sugar level to hum control karenge aur baki jo physical aur mental jo symptoms hai patient ke jo aur unn sab cheezon mein bhi kafi ahem role hai homeopathy medicine se jaise patient ke bohot diabetic patient mein hum dekhe to jo unke bohot jaldi thak jana aur bohot appetite ka loss hona aur sleep na dhang nela, neend nahi aana, in sab disturb karne ki vajah se dekhte hai ki in sab mein bhi kafi acha help milti hai. Aur second hai ki jaise diet ka bhi hum log kafi control karke matlab proper jaise iske control ke liye hum apni exercise thoda karein aur diet control mein bada he ek ahem role hai. To diet mein agar hum dekhe to uss sugar ke liye 2 tarah ke carbohydrates ka main role hota hai jo hamari diet mein agar dekhe to carbohydrates ka he 70-80% hissa hota hai. Carbohydrates mein hamko 2 tarah ke carbohydrates use hote hai. To carbohydrates mein hum dekhe jaise hum log official work vale jitne log hai usme dekhe to 1600 calories ki avashyakta hoti hai aur jo physical work hai jo hard worker hai unme to 2500-3000 tak ki calories ki avashyakta hoti hai. Toh simple carbohydrate jitne bhi hai jaise sugars ho gaye, chai ho gaya toh in sabme hamara jaa kar ke jo ye sab hai inko consume karke 10-15 minutes mein hamare nas mein aa jate hai to ek to hum inko avoid kare, complex carbohydrates ka he use kare aur dusra jo hai hum iske liye kya karein ki jaise apni calories 1600 calories ke liye usme hum divide karle apni diet ko ki hum abhi vegetables part ko abhi increase karlein, salads part ko increase karein, pani ko increase karein or jo simple carbohydrates hai unko avoid karein. To iss tarah se diet aur homeopathy combination se hum apni sugar ke level ko control kar sakte hai. Aur isse hum jo hai heart ki problem se, kidney ki problem se aur retinopathy se matlab in sari problem se hum bach sakte hai. Aur iske liye hamko kya karna hai ki homeopathy ko proper uske lena hai and diet ko control karna hai.
To homeopathy mein hamari sugar ko he control karenge balki hamare puri tarah se hamko physically aur mentally bhi fit rakhenge. Aur iska jo approach hai basically ki jo hamare mental stress hai aur in sab cheezon ke to unme bhi hamko kafi help milti hai. To ye hai. To iss tarah se homeopathy ka diabetes ke case mein bohot he amazing results hai. To sab log ko he bataye ki aap log jaha bhi hai ek homeopath ko dikhayein and aap isko kisi bhi stage mein jakar ke kyunki homeopathy mein work jo hai cause ko treat karna hota hai naki disease ko. To is tarah se kisi bhi type 1 diabetes ho ya type 2 diabetes ho usme bohot he ek ahem role hai homeopathy medicine ka jaise kuch hamari selective medicine hai jaise phosphoric acid ho gayi, sergigel ho gayi, gynmema ho gayi, uritic nitric acid ho gayi, sodium nitrate ho gaya to in sabka bada he ek ahem role hai.
Mere is video ko dekhne ke liye aap sab logo ka dhanyava!
Hi,
I am Dr. Madhav Shyam, Homeopath. Today I will tell you about kidney problems. Kidney mein acute and chronic problems ho sakti hain. Acute renal ke 3 types hain: pre-renal, renal, post-renal. Pre-renal mein blood ki supply kam hone lagti hain. Ismein hamari kidney ko nutrients nahi milte jis se kidney damage hoti hai. Iska cause hai shock. Ismein immune system ka disorder hone lagta hai. Isse kidney stones, BPH, bladder stones ke problems ho sakte hain. Isse body ko dynamic disturbance hota hai. Homeopathy aap ko holistically improve karta hai. Homeopathy mein aap ko constitutional medicines diya jaata hai. Homeopathy ka amazing result aap ko milta hai. Aur aap ko homeopath se best result diya jaata hai. For any help or query, you can contact me through Lybrate.
Thank You!
Hello Friends!
Main Dr. Madhav Shyam, Nano Homeopathy, Delhi. Aaj ke time me hum jaise progress kar rhe hain, usi tarike se kidney diseases bhi badhti ja rhi hain. Aaj hum kidney problems ke bare me discuss krenge. CKD me kaise homeopathy medicines help krti hain. Jab kidney thik se kam nhi krti hai to toxins and rest substances pure tarike se bahar nhi ho pate hain. Hmari body bhi thik se function nhi krti hai jaise jldi thakna, loss of appetite. Apko every 3-6 months me kidney test krna chaiye.
1/10 aaj kal ye logon me dekhi jati hai. Agar patient allopathy medicines ke sath sath homeopathy medicines bhi shuru kre to usko kafi benefit hai. Homeopath me jo hum patient ki history leke conclusion nikalte hain, usse medicines stimulation ka work krti hai. Is se hmari kidney ka function 35% improve ho skta hai. Kidney ko 1st se 2nd stage tak lane me mahine or saal bhi lag skte hain. Iske lia apko apne routine or healthy lifestyle ka dhyan rkhna hota hai.
Agar hum diet, exercise and sugar ka dhyan rkhen to hum kidney disease prevent kar skte hain. Homeopathy medicines lene se aap kidney dialysis and transplant se bach skte hain. Homeopathy apko har stage me help krta hai. Allopathy ke sath sath homeopathy continue krne se apko kafi benefit hota hai. Homeopathy apki problem ko thik se manage krta hai. Homeopathy se hmare kidney ko koi side-effect nhi hota hai. Islia apko ye treatment early stage pe hi start kar dena chaiye.
Dhanywad.
Doctor in Nano Homeopathy
Doctor in Nano Homeopathy
Dr. Madhav Shyam Nano Homeopathy Delhi
Patient Review Highlights
Very helpful
12 reviewsknowledgeable
4 reviewsProfessional
2 reviewsSensible
1 reviewsPrompt
1 reviewsCaring
1 reviewsNano Homeopathy Reviews
Darshan Lal
May 11, 2019Good
Verified
May 06, 2019Nice doctor,
Ezaz Ahmed
Jun 23, 2018I found the answers provided by the Dr. Madhav Shyam Manohar to be very helpful. Thank u very much sir for your good advice
Rinky Tiwari
Jun 21, 2018Dr. Madhav Shyam Manohar provides answers that are very helpful. Thank you sir
Verified
Feb 15, 2019Had a really good exprience .Dr listion to the historyof the prolems patiently, carefully examine the patient.This is the first time that any doctor has undrestood what i am going throug which is an essential starting point.The interaction has helped me manage my condition better and more importantl...read more