Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Pooja Clinic

Pooja Clinic

Ayurvedic Doctor Clinic

A-46, Marble Market, Mangolpur Kalan-Mangolpuri, Punjab road, Near Avantika market
4.5
25ratings
1 Doctor
₹ 300 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our mission is to blend state-of-the-art medical technology & research with a dedication to patient welfare & healing to provide you with the best possible health care....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
02:00 PM - 06:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

Videos

Piles, Fissure, Fistula
Piles, Fissure, Fistula

Hi!

I am Dr. Pooja Roy. Today we will discuss about piles, fissure, fistula and anorectal cases. Nowadays, because of disturbed lifestyle and food habits. Logon ko constipation ka problem rehta hai. Log apna timely meal nhi lete hain. Islia logon ko jyada problems aa rhi hain. Piles ek aisa problem hai jisko leke society me jyada awareness nhi hai. Piles ke 2 types hain. Internal and external. Internal me dilated veins hoti hai vo mucus membrane ke andar hoti hain. And externally ye skin ke andar rehti hain. Isme bleeding rehta hai. External piles kya hota hai? External piles me patient ko itching, swelling, pain rehti hai. Stool pass krte time unko bhut pain feel hota hai. Jis ki vjha se vo stool pass nhi kar pate hain. Feeling discomfort while passing stool. Internal piles me bleeding and constipation rehta hai. Aise hi patient me khoon ki kami aati hai. Patient light diet lena shuru kar deta hai.

Jiski vjha se weakness bhi patient me aane lag jati hai. Piles ke 1-4 grades hain. 1st grade andar hota hai or dheere dheere blood niklta hai. 2nd grade me stool ke sath thoda bhut mass bahar aata hai. 3rd grade me mass ko hath se andar krna pdta hai. 4th grade me mass bahar hi rehta hai. Fistula: Ye anorectal ke pass chota dana niklta hai. Thode time baad ye fut jata hai. Uske baad usme se blood and pus discharge hota hai. Uske baad koi dard nhi hota hai. Jaise jaise time niklta hai vaise hi ye infection anus ke andar chala jata hai. Bhut se cases me patient ko fever bhi ho jata hai. Mostly cases me patient surgery krate hain. But surgery se ye bimari thik nhi hoti hai.

Fistula ke sign and symptoms kya hain. Isme swelling, redness, pain, fever and patient is not able to pass stool. Infection andar rectum tak chala jata hai. ye patient to patient depend krta hai. Ye apke immune system pe depend krta hai. Pus discharge hone se kafi smell aati hain and tissues deposit hone lag jate hain. Agar iska imely treatment na ho to ye cancer bhi ban skta hai. Fissure: Constipation ki vjha se forcefull stool pass krne se anorectal me cracks aa jate hain. Ulcers ho jate hain and stools deposit hone shuru ho jate hain. Is vjha se patient khana khana chor deta hai stool pass hone ke darr se. Uske baad is problem ko agar thik nhi kia jaye or patient iska treatment thik se na le.

Constipation ki vjha se piles hota hain and vice versa. Laser surgery se iska treatment kia jata hai. Is vjha se iske recurrence ke chances kafi jyada hote hain. 20-25% iske badhne ke chances hote hain. Ayurvedic treatment se is problem ko hmesha ke lia khtm kia ja skta hai. 99% ayurveda se isko heal kia ja skta hai. Pregnant women me bhi ye problem dekha gya hai. Vitamin supplements se bhi stool kafi hard ho jate hain. Loose motion ka bhi problem ho jata hai. Pilonidal sinus ka bhi ek problem hota hai. Isme pain, swelling, cyst aa jata hai. Isme se pus discharge hona shuru ho jata hai. Bhut discomfort hoa hai baithne and uthne me. Ye treatment apko sharsutra se dia jata hai.

100% ye disease cure bhi ho jata hai. Sharsutra ek medicate thread se dia jata hai. Isme medicines lagi hoti haiin and ye 7-8 days tak work krti hain. Ye medicine infection ko kam krta hai. Pain and swelling bhi kam hota hai. Tabhi pus discharge hota hai or use bhi ye remove krta rehta hai. 7-8 visits me patient cure ho jata hai. In sab bimariyon ki vjha se patient bhut shy feel krta hai. Patient bhut jyada darta bhi hai. Agar ye bimari aise hi chalti rhi to bhut jyada nuksan krti hai. Patient ke andar blood girta rehta hai. Patient weak ho jata hai. Surgery hone se iske recurrence chances bhut jyada rehte hain. Ayurvedic treatment se iske recurrence ke chances nhi rehte hain. Patient ko diet chart bhi dia jata hai. Jisko patient day to day life me follow kre to recurrence ke chances khtm ho jate hain. Is bimari ke bare me agar aap or kuch janna chahte hain to aap mujhe Lybrate ke through contact kar skte hain.

Thanks!


Doctor in Pooja Clinic

Get Help
Services

Doctor in Pooja Clinic

doctor-profile

Dr. Pooja Roy

Ayurvedic Doctor12 Years Exp.
BAMS
₹ 300 at clinic

Patient Review Highlights

Very helpful

1 reviews

Practical

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for Pooja Clinic
Your feedback matters!