Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Pulse Skin & Heart Clinic

Pulse Skin & Heart Clinic

Cardiologist Clinic

56 B, Opposite BSES Office, Pocket 1, Mayur Vihar
4.5
19ratings
3 Reviews
1 Doctor
₹ 1,000 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Cardiac Electrophysiologist, Cardiologist.By combining excellent care with a state-of-the-art facility we ...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
07:00 PM - 08:30 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Cardiac Devices
Cardiac Devices

Hi,

I am Dr. Aman makhija hai. Main cardiologist or cardiac device expert hoon. Aaj hum baat karenge heart mein jo devices lagti hai unke baare mein. Heart ki devices jaisi ki jaise aap yaha dekh sakte hai ye pacemakers, ICD yeh ek cardiac devices hoti hain. Kin logon mein is tarah ki devices ki requirement aati hai. Pehle hum aate hain pacemakers ke upar. Kuch logo me umar ki vajah se, badti umar ki vajah se ya heart attack ki wajah se kai baar heart beating slow ho jati hai, dheemi pad jati hai. Jaise aap ke houses mein 2 system hote hain 1 water pipes hoti hai aur ek electrical wires hoti hai waise hai hamare heart ke andar bhi 2 systems hote Hain. Ek to hote hai water pipes means jo arteries hai, jinki blockage se heart attack hota hai, jo aap commonly sunte hai, heart attack ho gaya. Doosra ek heart ke Jo muscles ke andar hoti hai electrical wires, jo ki kaam karti hai or heart ka ek apna pacemaker hota hai jo heart beat ko ek particular range k andar rakhta hai 60-100 ke beech me. Kai logo me pacemaker slow hojata hai ya electrical wires me problem ane se heart beating dheemi pad jati hai.

Heart beating dheemi padne se kya hota hai pulse rate dheemi hojati hai, patient khada hota hai to usko kae bar bihoshi ajati hai, ankh k age andhera ata hai, chakkar ata hai. Is type ke patients me pacemaker lagaya jata hai jo ek tarah ke inverter ki tarah kaam karta hai. Jab bhi heart beating dheemi hoti hai, to vo un usko electrical impulse deke normal range me rakhta hai. Pacemaker ek is tarah ka chota sa device hota hai jo normally yaha pe skin or k niche lagaya jata hai maspeshiyo ke upar or ek wire connected hoti hai jo heart k andar jake connect hoti hai. Normally pacemaker ek ya do chambers me lagaya jata hai jo slow heart beating ko theek karta hai or ye ek pacemaker kam se kam 8 years, 9 years ki uski battery life hoti hai jo chalta hai vo. Fir kuch pacemakers hote hai jo ki hum weak hearts me lagate hai, jisme heart kamjor hogya hai, heart ki efficiency ko improve karne k liye hum pacemaker lagate hai jisme ki ek ya do wire k sath ek extra wire lagti hai jo jisko hum 3 wire vala pacemaker kehte hai ya CRT. Or lastly hote hai ICD, ye jo thoda sa mota sa device lagra hai ye ek tarah ka ICD hai. ICD ka kaam hota hai fast heart beating ko theek karna. Abhi tak hum slow heart beating ki baat kar rahe the, heart beating jab dheemi hoti hai.

Kae bar specially jab heart weak hojata hai, to heart beating ek dum bahut fast hojati hai. Patient suddenly collapse kar jata hai. Us fast heart beating ko ek do minute k andar nahi theek kia to patient normally us stage me age alive ni rehta or jaan nahi bachti hai. Kabhi apne dekha hoga ki ab hospital me emergencies me ya kae bar aap mall me jae ya airport me jae to shock dene vali machines lagi hoti hai har jagah pe. Unka kya kaam hota hai ki jab bhi is type ka koi patient ata hai so suddenly ekdum shock deke usko theek karein. Ab vo itni badi machine ko sochiye ek chote se is device k andar vo shock dene vali machine hai jo jaise pacemaker lagta hai vaise he yaha pe lagti hai skin k niche or ek taar andar connect hoti hai heart ke, vo har pulse ko monitor karti hai. Jab bhi kabhi patient ki heart beating fast hoti hai, to vo shock deke usko theek karti hai. To is cheez ko ICD kehte hai, ye ICD.

To ye ek tarah ke ki life saving device hoti hai jo agar theek kaam kare to bahut bar, ek bar nahi, bahut bar mareez ki jaan ko bacha sakti hai. So aj humne dekha ki jo ye cardiac devices heart ki devices, pacemakers ek wire vala pacemaker, 2 wire vala pacemaker or 3 wire vala pacemaker isko CRT kehte hai or shock dene vali machine jo ICD hai. Aj ki date me lakhon log, all over the world, India me ni, all over the world jinko ye devices lagi hai or ye uske sath lambe time tak log jeete hai or apne normal lifespan age krte hai vyteet karte hai.

Thank you.


Doctor in Pulse Skin & Heart Clinic

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Pulse Skin & Heart Clinic

doctor-profile

Dr. Aman Makhija

Cardiologist26 Years Exp.
DM - Cardiology, MBBS, MD - Medicine, Training in Electrophysiology
₹ 1,000 at clinic
500 online
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

2 reviews

knowledgeable

1 reviews

Caring

1 reviews

Pulse Skin & Heart Clinic Reviews

V

Verified

Jan 26, 2023

Best experience

P

Puspa Mitra Mohanty

Feb 13, 2021

Good

V

Verified

Nov 13, 2018

it was quite good

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Pulse Skin & Heart Clinic
Your feedback matters!