Serenity Clinic
Psychiatrist Clinic
About Clinic
Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Videos
Hi,
I am Dr. Anjali Nagpal, Psychiatrist. Today I will talk about bipolar disorder. Bipolar disorder ka pta lagana mushkil hai and agar ise timely treat nhi kia jaye to ye life long aapke sath rehta hai. Patient aapne aap ko superior samjhta hai. Patient me bahut energy hoti hai. Patient ke clear thoughts nahi hote hain. Pateint har choti chiz me bahut khush rehte hain. Patient ko sleep disorder ka problem ho jata hai. Patient ko tiredness feel nahi hota hai. Patient bahut jaldi distract ho jata hai.
Patient ko ek ke baad ek thoughts aate hain. Hum nahi samajh pate hain ki patient kya kehna chahta hai. Patient bhut social rehta hai. Patient ko substance abuse ka problem bhi ho jata hai. Patient nasha karna bhi shuru kar deta hai. Kabhi kabhi confusion bhi ho jata hai ki patient ko bipolar hai ya schizophrenia hai ya depression. Apko dekhna hai ki patient ki kya neend badh rhi hai, bhukh badh rhi hai. Ye sab normally depression me kam ho jate hain.
Ye problem family me run karta hai to aapko genetically bhi dekhna hai. Patient ko hum medicines bhi dete hain. Agar patient ki bimari badhne lage to problem badhne lgti hai. Hume treatment ke time pe decide karna hota hai ki kya hume medicines dete rehna hai. Agar active episode hai to medicines deni padti hai. Quki aise patient dusron ki life pe threat ho sakte hain. Patient ko psychotherapy deni bahut jaruri hai. Patient ki memory bhi effect hoti hai. Kuch log ise cleverness bhi kehte hain. Apko apni aerobic exercise badhani hai. Aap ya to gym karen or hobbies maintain karen. Apko regular therapy me rehna hai. Bipolar disorder me kharcha bhut badh jata hai. Islia aap khaas khayal rakhen and agar koi bhi symptoms dikh rahen hain to immediately Doctor se consult karen.
Thank You!
Hi,
I am Dr. Anjali Nagpal. Hum apki help ke lia hmesha tyar hain. Hum apko best treatment dete hain. Agar hum patient ko therapy se thik kr skte hain to hum patient pe medicines ka load nhi dalte hain. Yhan hum management pe focus krte hain. Aaj kal technology ka addiction bhut badh gya hai especially bachon me. Agar apke ghar me ye problem kisi ko bhi aa rhi hai to apko measure krna hai ki ye problem kis hadh tak badh gya hai.
Apko unhe ye realise krna hai ki vo apna useful time waste kr rhen hai. Aapko unke samne se is type ke sare gadgets htane hain. Bache me fir apko symptoms bhi dikhenge jaise irritate hona, apko khega ki apne life me kya kia hai but apko in sab chizon me react nhi krna hai. Apko aise behave krna hai ki apka baby apki baat sunne lage. Apko time specify krna hai k kab use kya krna hai. Aap healthy activity me involve kriye. Quality time only matters. Apko child ke sath balance maintain krna hai. Apko child ke sath friendship ka relation build krna hai. Hmare clinic me hum emotions ko bhi treat krte hain. Hum hippo therapy dete hain dogs ke through. Ab ye therapy hum bhi apne clinic me use kr rhen hain.
Thank You!
Doctor in Serenity Clinic
Doctor in Serenity Clinic
Dr. Anjali Nagpal
Patient Review Highlights
Very helpful
3 reviewsThorough
2 reviewsknowledgeable
3 reviewsSensible
2 reviewsInspiring
1 reviewsCaring
2 reviews