Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Shiv Shakti Herbal Multi Speciality Ayurvedic Hospital

Shiv Shakti Herbal Multi Speciality Ayurvedic Hospital

Ayurvedic Doctor Clinic

E-16/29-30 , Sector-8, Rohini
4.4
5ratings
1 Doctor
₹ 1,000 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sun
01:00 PM - 07:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Liver Disorders
Liver Disorders

 

Liver disease is a general term that refers to any condition affecting your liver. These conditions may develop for different reasons, but they can all damage your liver and impact its function.


Vitiligo - What Should You Know?
Vitiligo - What Should You Know?

Hello,

I am Dr. Nishant Mishra, I am Ayurvedic physician. Today I am going to talk about vitiligo. Which you know as safed daag. Vitiligo have major effect on quality of life of patient. Aaiye hum jante hai modern aur ayurvedic perspective se , vitiligo, jise hum safed daag ke naam se jante hai, vo hai kya cheej. It is an auto-immune disorder which attacks its own melonocyte resulting in discolloration of hypopigmentation of the skin. According to ayurveda it is the imbalance of vaat and bhrajkpitt which reside in the skin, Yaani ki ye vaat aur bhrajkpitt ke dosh ki wajah se hota hai jo humari skin ke andar rahte hai. Ye raktpradoshak vikar ke antargat aata hai. Modern medicine mein jo iski treatment hai vo hai UV therapy, corticosteroid, skin grafting. Lekin ye sab temparory treatment hai, yaani ki symptomatic treatment. Ayurved root cause pe kaam karta hai yaani ki ayurved depends on vaat, pitt and cough, ye tridosh ayurved ke stambh hai. Jab inka imbalance hota hai body mein toh ayurved ke jitne bhi physician hote hai vo inko balance karne ke liye kaam karte hai. Jab aapke disease ke route cause pe kaam hoga tab vo disease accordingly thik hoti chali jayegi. Treatment available in contemparory medicine has its own limitations and side effects. Dekhiye, safed daag ke jo patients hote hai vo ayurvedic physician ya ayurvedic medicines ke liye tab jaate hai jab unko 7-8 saal se jyada ho gaye hote hai. Vo kai hospitals aur clinics ke chakkar kaat chuke hote hai, unko iski pathalogy ke baare mein sab kuch pata hota hai par treatment hoti kuchh bhi nahi. Toh mein ye chahta hu ki ayurveda ko last choice of treatment na banake first choice of treatment banaye. Uska reason ye hai ki jitna apki nayi disease hai usko utna jaldi thik karne mein hame kamiyabi mil sakti hai. Aap jitno usko purana karte jayenge utna hi time lagta jayega.

Saath mein mei apko ek cheej aur batana chahta hu ki ayurved mein likha gaya hai ki krichh sadhyay it means it is difficult to cure but it is not impossible to cure, yani ki ye mushkil hai isko thik karna par aisa nahi hai ki ye thik nahi ho sakta hai. Yes, it can be cured, lekin iske liye kuchh jaruri guidelines hai, jaise ki sabse pahli cheej, patient ko patience rakhna hoga. Dekhiye ye koi chhoti beemari nahi hai ki jisko hum mahine do mahine mein thik kar denge, iska ilaz thoda lamba chalta hai, aapko iske andar dhairya rakhna hoga aur apne physician par, apne doctor pe vishwas rakhna hoga. Dekhiye, aap jab isme poori mehnat karenge, medicines apna kaam karengi toh ye jarur thik ho sakta hai. Jaha tak baat aati hai bachcho mein safed daag hone ki, haan ab ye cases jyada badne lage hai, kyuki humari lifestyle aisi ho chuki hai, humara khana peena waisa ho chuka hai. Ayurved mein likha hua bhi hai, abhishandi hhand, it means purana basi khana, heavy food yaani ki jo digest karne mein dikkat aati hai jaise ki non-veg ho gaya, alchohal ho gaya, fast food ho gaya, ye cheeje ab jyada ho chuki hai isliye ye cases jyada aane lage hai. Aisa nahi hai ki ye safed daag koi aaj ka rog hai. Isko humne koi 100-150 saal pahle humne isko dekha tha pahli baar. Ye humare ancients, jo hamare veda hai jo humare shastra hai uske andar ye shwetra naam se varnit hai, iska pura discription waha par hai. Pura detailed ellobrate kar rakha hai humare acharyo ne isko. Aap agar dekhna chahate hai toh dekh sakte hai isko, shwetra ke naam se hai waha per aapko ye milega. Waha par unhone saaf saaf likha hua hai ki inn reasons ki wajah se, vo reasons kon kon se hai, agar apne adharniya vedo ko dharan kiya hua hai that means aapne natural adjust jo body ke hote hai jaise ki urine paas karna ya stool ka, jaise ki aap kahi kisi ke sath baithe ho aapko urine ka urgelaga hua hai lekin aapne use thodi der ke liye time nikal diya aur do-teen ghante lag gaye hai usme, ya aise stoool ka bhi aisa ho gaya, aap kahi drive kar rahe hai, car mein ja rahe hai bike pe ja rahe hai, aur apne uss natural urge ko suppress kar diya waha par, toh ye ek reason mana gaya hai. Dusra ek reason mana gaya hai virudh aahar that means incompatible food, aapne bahut suna hoga ki aap dudh ke sath machli nahi le sakte, non-veg nahi le sakte, ya aisa hi koi khana nahi le sakte. Dekhiye aisa nahi hai ki ek baar lene se ye rog ho jaata hai,continuosly jab aap ye virudh aahar ka sevan karte hai tab ye rog hota hai. Aur ye ekdum se hone wala rog nahi hai, ye time leta hai. Har badparheji ke sath ye rog badta hai.

Ayurveda mein shwitra yani safed daag ke bahut achche results hai, isme aap ditoxification sabse main part hai iska, yani ki shareer ka sanshodhan, sanshodhan means apki jitni bhi toxins hai apki body mein aam jise ayurved mein kaha jata hai apacoandhras toh vo hume eliminate karna hota hai body se, ayurved mein kaha gaya hai ki shwitra ke liye first line of treatment hai vo hai wamanaurvirechchan yani ki shareer ka shodhan toh vo apko jyada better rahega karana. Apka ye rog hai jo, iske liye nidan, jis wajah se ye hua hai usko band karna hoga. Meine apni practice mein dekha hai ki kuchh patients ka ye kuchh cheeje khane se, khana khate hai bahar ka uss wajah se ye aur badta hai. Yani ki fast food, non-veg, alcohol, spicy food yaha tak ki basi jo khana hota hai, basi bhojan jise hum bolte hai ki raat ko banaya tha, subah usko humne garam karke kha liya ya baar baar garam karke hum usko kha rahe hai, subah ka bana hua rat ko garam karke, do teen baar garam karke fir usko kha rahe hai, toh vo ayurved ke hisab se mana hai aur vo humne practice mein bhi usko dekha ha. Aisa nahi hai ki vo cure nahi ho sakte, vo cure ho sakte hai agar unko proper treatment mile agar unko proper guidance mile, proper diagnose kar sake usko. Dekhiye shwitra sirf ek prakar ka nahi hota hai uske andar ki prakarti aati hai, wataj, kafaj, pittaj, konsi wali unko shwitra hai, kya colour hai uska kya texture hai, uska kaisi skin hai, thik hai, thin hai waha ke jo baal hai vo white ho chuke hai ya abhi bhi black hi hai. Ya kis particular part pe apke body mein. Toh vo cheej ko dekhke treatment kiya jata hai ayurved mein aur har individual apko jaise pata hi hoga, har individual alag hota hai, usko body ki prakarti alag hoti hai, uska aahar vihar alag hota hai, uski adaptability medicine ko lekar alag hoti hai. Isliye koi ek set medicine nahi hai ayurved ki jo aap le lenge to aap thik ho jayenge, nahi aisa kuch nahi hai, har ek individual ki customised medicines hoti hai uski prakarti dekh ke uski nadi dekh ke uska ahar-vihar aur uska khana peena sab kuch dekh ke decide kiya jata hai. Aap Lybrate ke medium se bhi hume contact kar sakte hai.

Thank You!


Doctor in Shiv Shakti Herbal Multi Speciality Ayurvedic Hospital

Get Help
Services

Doctor in Shiv Shakti Herbal Multi Speciality Ayurvedic Hospital

doctor-profile

Dr. Nishant Mishra

Ayurvedic Doctor12 Years Exp.
Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), MD - Ayurveda
₹ 1,000 at clinic
200 online
See all timings

Submit Feedback

Submit a review for Shiv Shakti Herbal Multi Speciality Ayurvedic Hospital
Your feedback matters!