Gnh Excel Medical Centre
Multi-speciality Clinic (Dermatologist, Gynaecologist & more)
About Hospital
Customer service is provided by a highly trained, professional staff who look after your comfort and care and are considerate of your time. Their focus is you....read more
Hospital Timing
Hospital Location
Hospital Images
Videos
Hi, I am Dr. Rhythm A Gupta, Gynaecologist.
Aaj main aapko recurrent IVF failure and pregnancy loss ke baare mein bataungi. Iske treatment me IVF kaise help kr skta hai. IVF krane ke 2-3 times bad bhi treatment successful nhi hua hai. Iske causes egg and sperm quality pe depend karta hai. Ye endometrium pe bhi depend karta hai. Kuch cases mein dekha gaya hai ki dono hi normal hote hain par tab bhi IVF me success nahi milta hai. Fir hum dekhte hain ki quality ko improve krne ke lia hume kisi or medicine ki requirement hai ya nhi.
Egg quality ko imporve krne ke lia hmare pass kuch medicines hi available hoti hain. Sperm quality ko improve krne ke lia bhut jyada medicines available nhi hai. Uterine lining ko improve krne ke lia bhi kafi techniques hain. Isko improve karne ke liye hum PRP karte hain. Par ye unhi logon me kam krta hai jinme lining patli hoti hai. Hum hysteroscopy ke through lining ko improve krte hain. Next procedure hai endometrial scratch. Hum patient ko artificial hormones dete hain tablets ke through.
Ye lining ka tissue sampling ke through remove kia jata hai. Kayi baar dekha jata hai ki egg and sperm dono hi perfect hain to un cases me hum PGS krte hain. Isme genetic test kia jata hai and dekha jata hai ki vo normal hai ya nhi. Agar vo normal hota hai to pregnancy ki possibility kafi badh jati hai. Iske through hum recurrent IVF failure ko treat kar sakte hain. Kayi baar ye bhi dekha jata hai ki pregnancy to ho jati hai but fir miscarriage ho jata hai. Iska main cause genetic bhi skta hai.
Isme genetic analysis kia jata hai. Iska dusra cause ho skta hai uterus abnormality. In problems ko hum hysteroscopy ke through thik kr skte hain. Ek problem hai thrombophilia. Kuch ;adies me nerves me blood clot hone ki possibilities kafi hoti hain. Iska treatment bhi available hai. Kayi bar koi bhi reason nhi hota hai but still pregnancy continue nhi ho pati hai and miscarriage ho jate hain. Aise me hum semen analysis krte hain. Isme IVF se treatment success mil skta hai. Isme egg, sperm ki quality thik ho skti hai. Isme best sperm and egg choose kia ja skta hai. Sime pregnancy ke chance badh jate hain.
Hi, I am Dr. Rhythm A Gupta, Gynaecologist.
Aaj hum baat karenge male infertility ke baare mein. Males are responsible for 50% of infertility cases. Maximum tests ladies ke kiya jaate hain and hum male ke liye husband semen analysis ka test karte hain. Ye test ek ache lab me karaya jaana chahiye. Normal blood test labs iske thik se test nahi karte hain. Kabhi kabhi result bhi positive aa jata hai. Semen analysis mein 3 key factors dekhe jate hain. Ek sperm count dekha jata hai. Sperm motility bhi dekhi jati hai. Sperm morphology bhi dekhi jati hai.
Normal sperm 15 million per ml hona chaiye. Total sperm count should be 39 million. Motility should be more than 32%. Diagnosis ke according hi aapka treatment plan kiya jaata hai. Treatment ART or IVF se diya jaata hai. Agar count normal hai to IUI se treatment dia ja sakta hai.
IUI mein hum husband ke sample ko concentrate krte hain. Ye simple procedure hai bt iske lia tube ka open hona bhut zaeuri hai. IUI karne se pehle female egg ka test krna bahut zaruri hai. Agar semen me kuch kami hai to hum IVF krte hain. Is procedure ke lia female patient ko 10-12 days tak injections dia jate hain. 8-10 eggs bnaye jate hain and unko body se nikala jata hai. Agar semen me sperm kam hai to ICSI procedure kia jata hai. Isme egg and sperm ko milaya jata hai. Iske through embryo bnaya jata hai.
Agar semen ka morphology kharaab hai to hum dusri techniques use karte hain. Isme hum ache sperm ko nikaal ke egg se mila sakte hain. Iske liye hum apni lab me PICSI and IMSI use karte hain. Ye ek dish ke through kia jaata hai. In dono procedure ko hum tabhi use karte hain jab morphology bahut kharaab hoti hai. Ya fir ek lady ki bahut sare abortion ki history hoti hai. Isliye semen analysis bahut important test hai. Ye treatment IUI, IVF, ICSI, PICSI and IMSI ke through hi treatment karte hain.
Hello, I am Dr. Anisha Seth Gupta, Ophthalmologist.
Aaj main aapko refractive error ke baare mein bataungi. Main aapko myopia ke baare mein bataungi. Eye ke aage ke black portion ko cornea kehte hain. Uske piche lens hota hai. Last mein retina Hota hai. Jo bhi image banti hai apki retina me vo optic nerve ke through brain me transfer hoti hai. Brain us image ko read krta hai and fir hum identify karte hain.
Jinko specs laga hota hai unhe specs ke bina kyu nahi dikhayi deta hai. Agar eyes size mein choti hoti hai to uska focus piche banta hai. Jab hum specs lagate hain to humein image clear visible hoti hai. Jinko myopia hota hai, means door ki nazar weak hoti hai unki aankhein badi hoti hai. Isme roshni ka focus pehle aata hai. Astigmatism bhi ek refractive error hai. It might be there in the eyes with plus and minus number. Isme cornea perfect shape nhi hota hai. Retinal detachment hone ka bhi risk ho skta hai.
Jaise hi aapka number increase hota hai myopia ka vaise hi aapki aankhon ki wall bhi patli ho jati hai. Isme central ka part generally thik hi rehta hai. Thin area ko hum lattice kehte hain. Unme kaafi hole banne lag jaate hain. Iske symptoms hai floaters ka visible hona which might be black and white in color. The 2nd symptom is flashing. Ye flashes dekhne me jyada problem create nhi krte hain. Jab pani upar se niche aa jata hai usay retinal detachment kehte hain. Usay thik krne ke lia hume surgery krni pdti hai. In holes ko band krne ke lia hum surgery krte hain.
Isay prevent karne ke liye kya karna chahiye. Isko hum laser se band kr dete hain. Ise pani andar nhi jata hai. Ye problem high minus numbers me jyada hota hai. Iske aise koi symptoms initial stage pe visible nhi hote hain. Rest apko jaise hi floaters or flashes visible hote hain, aap immediately Dr ko dikhayein. Agar apko number 2-2.5 se upar hai to aap apna eye ka parda ka test saal me ek baar jrur krayein so that apko retinal detachment se bachaya ja skta hai. Retina regularly check krate rhen. Thank You.
Hello, I am Dr. Anisha Seth Gupta. Today I will tell you about diabetic retinopathy.
Is problem me retina me problem aati hai. Iske hone ka cause kya hai. Jab sugar upar jati hai to vo blood nerves ko block kr deti hai. Is reason se blood supply ruk jata hai. Kuch new nerves bhi develop hoti hai jise microaneurysm kehte hain. Ye nerves weak and kharaab hoti hain. Iski vajah se eyesight affect hoti hai. Ye sugar uncontrolled patient me zyaada dekha jaata hai. Timely treatment se isko roka ja sakta hai. Kaafi logon me late stage tak bhi is disease ko detect nahi ho pata hai.
Patient ko vision me ya to black dikhta hai ya red. Kam blood hone ki vajah se black clouds dikhte hain. Isay vitreous hemorrhage kehte hain. Hum is treat karne ke liye laser use karte hain. Is se blindness ka risk bhi badh jata hai. Agar eyes me kaafi blood aa gaya hai to humein blood clean hone tak ka wait karna padta hai.
Doctors aapko injections bhi dete hain. Or agar blood nhi jaata hai to operation ki requirement hoti hai. Is stage mein patient ki eyesight ko normal karna kaam possible hai. Diagnose karne ke liye angiography ki jaati hai. Humein laser bhi karna pad sakta hai taaki hum excessive blood and water ko band kar sken.
Is treatment ke liye bahut important hai ki aap apne sugar pe bahut dhyaan dein or overall control rakhen. Sugar ko jitna hum rok sakte hain ankhon ke liye, utna pura treatment ke time pe roka jata hai with the help of the injections, laser and surgeries. Agar aapka sugar, BP, cholesterol control me nahi hai to treatment itna successful nahi hota hai. Isliye sugar control pe aap dhyaan dein.
Agar aapko 5 years se diabetes hai to specialist se mil ke eyes me medicine zarur dalvayein taaki sugar ka asar starting me hi detect kiya ja sake. Sugar ka effect aapko blind bana sakta hai. So, timely treatment se isay roka ja sakta hai. Because with modern techniques we are saving many patients. Thank You.
Amenities
Parking
Cafeteria
Online Appointments
Reception
Credit Card
Waiting Lounge
Ac Rooms
Doctors in Gnh Excel Medical Centre
Doctors in Gnh Excel Medical Centre
Dr. Rajat Gupta
Specialities
Dermatology
Gynaecology
Ophthalmology
Cosmetic/Plastic Surgery
Patient Review Highlights
Very helpful
8 reviewsThorough
1 reviewsknowledgeable
4 reviewsProfessional
1 reviewsWell-reasoned
4 reviewsHelped me improve my health
1 reviewsSensible
3 reviewsInspiring
2 reviewsPractical
1 reviewsCaring
2 reviewsGnh Excel Medical Centre Reviews
Ravi
Nov 23, 2019My 17 year son was infected with severe eye problem/infection which reached the cornea of eyes .By the grace of god , we reached the doctor Ms. Anisha Gupta , they diagnosed very well and treatment started .it was a rare to rare infection . They monitor & care by daily checkup carefully , honestly &...read more
Lybrate User
Sep 26, 2019Very good doctor
Verified
Feb 23, 2019Good