Dr.Tanuj Veerbhan
Multi-speciality Clinic (Ayurvedic Doctor & Sexologist)
About Clinic
We will always attempt to answer your questions thoroughly, so that you never have to worry needlessly, and we will explain complicated things clearly and simply....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Clinic Images
Videos
Namskar Doston!
Mai Dr. Tanuj Veerbhan, Senior Consultant, Sanjivani Ayurvedashram, Ghaziabad se. Aaj hum baat krenge psoriasis ke bare me. Sabse pehle hume ye janna hai, psoriasis actual me hota kya hai. Dekhiye, psoriasis ek skin disease hai. Skin disease me bhut se symptoms aate hain. Psoriasis me kya hota hai, apko skin ke upar lal rang ke gol chatte dikhayi dete hain. Aur mostly is disease me jo sabse jyada dikhayi deta hai vo ye hota hai ki ek safed rang ki parat dheere dheere utarna chalu ho jati hai. Dheere dheere ye parat apke sharir me failti chali jati hai. Aur ye psoriasis apka badhta chala jata hai. Mostly ye dryness ki vjha se badhti hai. Winters me bhut jyada badh jati hai. Kuch patient me dekha gya hai ki ye scalp se shuru hoti hai. Jaise kisi ko dandruff ho gya. Bhut lambe time tak agar vo dandruff ban jata hai, to dheere dheere vo kan ke piche bhi aa jata hai or skin ke dusre hisse me bhi failna shuru ho jata hai. Ab hum bat krte hain iske causes ke bare me.
Mostly ye dekha gya hai ki virudh ahar or vihar, mostly jo opposite food hote hain, unse ye disease failti hai. Skin me dryness badhne se bhi failti hai. Agar hum non-veg, baigan, namak ya fir cheeni, is trha k jo foods hote hain, unka agar hum jyada istemal krte hain to bhi ye dikat apki dheere dheere badhti chali jati hai. Ab rhi bat iske treatment ki. Ayurveda me iska treatment bhut ache se describe kia gya hai, Ayurveda me vo sabhi disease, jo mostly kisi or pathy me asadhya ya incurable bol dia jata hai, Ayurveda me uska bhut ache se treatment kia jata hai. Psoriasis ke lia Ayurveda me jo treatment ki shurat ki jati hai, vo hota hai body ke detoxification se.
Jab body detoxify ho jati hai psoriasis, tab kisi bhi trha ki patient ko jo hum medicines dete hain, mostly jyada effective hoti hain or ache uske results dikhayi dete hain. Jaise hmare pas ek sanjeevan ashram me ek swara powder kr k bnata hai, us powder ke through hum kya krte hain, pehle body ko detoxify kia jata hai, sath me blood ko purify bhi kia jata hai or skin ki dryness ko bhi kam kia jata hai. Jab bhi hum Ayurveda me iska treatment shuru krte hain, to ek to hume food avoid krvana hi pdta hai ki apko kya food me lena hai or kya nhi. Lekin isme sabse jyada jo dhyan rkhna hota hai vo ye hai ki apki body ke andar vo ek bhi food nhi jana chaiye, jiski vjha se vo chiz aggravate ho. Mostly, Ayurveda me ye vatta or cough dosh ki badhne ki vjha se mana jata hai. To in doshon k lia bhi hume treatment dena hota hai. Detoxification k bad Ayurveda me panchakarma ka bhut acha use kia jata hai.
Mostly, isme vaman or virechan is traha ki detoxification jo process hoti hai, vo follow ki jati hai. Khane me gehun or chane ka aata mix kr ke len to bhut ache results aate hain. Kayi bar dekha gya hai ki genetically bhi ye patient me aati hai. Dryness k lia ek sabse acha me apko treatment btata hun, jinko bhi psoriasis hai, quki mostly jinko psoriasis hai vo itching se kafi preshan hote hai. Or jab ye sharir k kisi or part p hai tab tak koi dikkat nhi hai par face pe jab aana shuru ho jati hai to or dikkat shuru ho jati hai. Face p vaise ye disease kam aati hai. Face p na aane ka hum karan ye maan skte hain ki face pe jo oil gland hoti hai vo overactive hoti hai. Agar patient pani bhi bhut ache se peeye, to bhi body ke andar dryness kam ayegi. Stress badhne se bhi ye disease badhti hai. Quki agar stress badhta hai to body ka vatta badhta hai or us se dryness badhti hai or psoriasis k chance badh jate hain. Agar koi bhi patient March, April, May, June, July mtlb baarish aane se pehle pehle, agar hum gaye ka shudh desi ghee, subha ek chamach khali peat lenge to us apki body ki heat nhi badhegi or ghee apki body me moisture lana shuru kar dega or is se dryness kam ho jayegi. To in chizon ka aap agar ache se dhyan rkhte hain, to kafi had tak hum is chiz ko cure kr k rkh skte hain. Sankramak ye disease nhi hoti hai. Ek dusre se ye nhi failti. Agar hum in chizon ka dhyan rkhenge to psoriasis se hum cure bhi ho skte hain or kafi ache se isko control bhi laya ja skta hai.
Dhanywad!
Namaskar dosto, mai Dr Tanuj Veerbhan senior consultant at Sanjeevani Ayurveda Ashram Ghaziabad. Aaj hum baat karenge Leucoderma ke bare mein, leucoderma jisse hum vitiligo ya safed daag bhi bolte hain, kafi jatil rog hota hai. Sabse pehle hum yeh janana chahege ki actual mein yeh hota kya hai, dekhiye vitiligo mein ya Leucoderma mein kya hota hai ki aap ki body ka jo rang hota hai jo safed daag jis tarike se hum dekhte hain, ki body ka jo rang hai wo ya aap ki skin ka colour hota hai, woh melanin ya ranjak pitt wajah se hota hai. Agar is melanin ya ranjak pitt mein kisi bhi tarah se koi vikriti aa jati hai, toh aap ki body ke upar jo spot bandta hai woh white ya pink colour ka spot ban jata hai aur woh dheere-dheere bad jata hai. Sabse pehle hame dekhna hai ki actual mein hi hota kyu hai, dekhiye ayurved mein toh iska basic cause bataya gaya hai, lekin kafi saree jo aaj ki jo patches hain, ya phir aaj ki jo modern jo science hai usme iska basic cause toh kuch nahi bataya gaya hai ayurved ke according isme bataya gaya hai ki aapka pitt vardhak aahar-vihar ya phir virudh aahar ya vihar ko sevan karne se yeh ismein jo ranjak pitt hota hai, iske andar vikrati aati hai, uski vajah se aap ki body ke upar dheere-dheere jo pink colour ke kuch spot aana shuru ho jate hain aur dheere-dheere unka rang badalte hue woh white colour mein tabdeel ho jata hain. Dekhiye virudh aahar mein sabse pehle kya aata hai, virudh aahar woh cheeze hai jo aapko kuch aise woh product jo aap ko saath mein nahi lene chahiye, jaise ki aapko aaj ke time mein kaafi log fish oil ke jo capsules aate hain woh use karte hain lekin fish oil ke capsule kabhi dudh ke sath na le, non veg ke upar doodh peena, namak ke sath doodh lene jo aaj ke time mein kaafi normal hai, log morning mein sab nashte mein is tarah ke achar ke sath doodh ye sab kuch liya jata hai, yeh saree jitni bhi cheeze hoti hai pitt vardhak hoti hai unke saath agar hum doodh ka sevan karte hain toh yeh virudh aahar hai. Toh virudh aahar ka agar hum sevan karenge to vitiligo hone ke chances ya Leucoderma hone ke chances jyada hote hain.0020Dekhiye waise toh yeh genetically bhi dekha gaya hai, ki kahi genetically bhi yeh aata hai kuch aage se aapko jaise father ko hai toh bacchoo mein hone ke chances hote hain, lekin yeh abhi scientific proof to hai nahi yeh cheez ke bhy yeh is tarike se ho sakta hai ya nahi. Ab rahi baat is ko treat karne ki toh dekhiye jis tarah se ye mein shuruvat mein bataya ki vitiligo kafi jatil rog hota hai toh isko treat karne ke liye bhi aapko patient ko bhi kafi patience rakhna hota hai, isko treatment ke liye kafi dharaye ki zaroorat hoti hai kyunki isme kya hota hai na jo aapke bade hue jo dosh hote hain body mein unko sabse pehle hame balance karna padega, pehle bade dosh ko balance karne ke baad mein aapki jo raqt hota hai, raqt ko shudhi mein zaroor hoti hai toh raqt ki shudhi karne ke baad mein, raqt ke shudhi karan hone ke baad mein dheere- dheere isme jo aapke jo patches hote hain woh dheere-dheere gulabi rang ke hona shuru hote hain, aur uske baad mein iska dheere-dheere pe black colour ke chote-chote spot aana shuru ho jate hain, aur dheere-dheere wo spot sare mil jate hain aur dheere-dheere ye rog thik hona shuru ho jata hai. Ayurved mein isko jo hai kafi acche se iska upchar bataya gaya hai aur kafi acche isme result bhi aate hain ayurved mein iska. Toh in cheezon ka aap ko kafi acche se dhyan rakhna chahiye ki bhi hame kya cheeze saath mein leni hai aur kya cheeze hai hame sath mein nahi leni hai. Aur ek cheez aur mein batana chahta hoon ki kaafi sare patient aate hain aur wo puchte hain is baare mein, kyuki kafi jagah aisi bhi hai jahan pe is cheez ko chua-chut ka rog mana jata hai ya kuch log maante hain ki bhi yeh isko agar yeh safed daag hua hai toh yeh kuch alag tarah ki koi bimari hai. Toh main aap sabko ye batana chahunga ki aise koi yeh chua-chut ki koi bimari nahi hoti hai na hi yeh ek dusare ko chune se koi fallthy hai. Aur na hi aisa kuch hai ki bhi kisi ne koi burey paap kiye hai, ya phir koi burey karm kiye hai jiski wajah se safed daag hone ke chances hote hai. Aisa kuch nahi hai aap agar chahe toh ye bade acche se treat ho sakta hai lekin iska treatment ke liye aapko shuruvat mein jitna jaldi iska treatment shuru ho jayega utna jaldi isme result aa jata hai. Baccho main toh aur jaldi result aa jata hai, kai baccho mein dekha gaya hai ki bhi unko pet mein keede hote hain, toh un keedo ki wajah se bhi safed daag hone ke chances hote hain. Lekin sabse pehle jo ek bahut zaroori baat hai woh main aapko ye batana chahunga ki aap ko hamesha, normally aap agar kisi bhi tarah ki skin ki disease ho toh uss mein sabse pehle aap ko ye dhyan rakhna hai ki is tarah ki koi bhi cheeze jo saath mein lene layak nahi hoti hai unko aap ko saath mein nahi lena chahiye. Dhanyavad, Thank You.
Namaskar dosto, mein Dr Tanuj Veerbhan senior consultant at Sanjeevani Ayurveda Ashram Ghaziabad. Aaj hum baat karenge lifestyle disorder ke baare mein, sabse pehle main aapko ye batana chahta hoon ki lifestyle disorder hote kya hai aur uske andar kon kon si bimari hoti hai. Lifestyle disorder jo aapki disturb lifestyle ya disturb jeevan shaili ki wajah se paida hote hain, jiske andar obesity, diabetes, high BP, high cholesterol, stress related disease, hormonal imbalance related disease jisme PCOD wagera aate hain. Yeh saree disease or saath mein gastric trouble jisme constipation wagara yeh sab kuch lifestyle disorder ki wajah se paida hote hain. Lifestyle disorder mein hamari jo din charya hoti hai jisme hum subah late uthna, late sona ye saari ki saari jitni bhi hamari problems hoti hai sab lifestyle disorder ki wajah se hoti hain. Lifestyle disorder ki vajah se aab rogo ki utpatti kis tarike se hoti hai, dekhiye jo bhi aap kahte hain, ya jo bhi aap ki lifestyle hoti hai uski wajah se body ke andar vaat pitt cough jo hote hain unme imbalance paida hota hai aur in mai imbalance ki wajah se aapko yeh disease paida hoti hai. Aaj ke time mein jis tarike se hamare lifestyle hoti hai, usme hum apne kisi bhi tarike se apne aap ko santulit rakhne ki koshish nahi karte hain. Sharir ko ayurved mein prakriti ke anusar aap ke sharir ko bata gaya hai. Aur usi prakriti ke anusar aapko aahar-vihar ka sevan karna chahiye tabhi aap apne aap ko swasth rakh sakte hain. Ayurved mein aapki jo 12mahine jo hote hain unko bhi ayurved mein 6 rituoo mein bata gaya. Aur inhi 6 rituoo according aapko aahar-vihar ka sevan karne ki bhi salaha di gayi hai jaise ki sardiyo mein agar aap din mein sote hain, toh aap ki kaff ki vriddhi hoti hai, jabki garmiyon mein din mein sone se aapki body rejuvenate hoti hai. Jis tarah se aap rahi baat vyayam ki, vyayam aap ki body ke liye jitna aap ki body ka baal hota hai sharir ka jo bal hota hai uss bal ke anusar aapko aadhe bal ke hi vyayam karna chahiye jab ki aaj kal hum dekhte hain ki, kaafi sare log din mein 3 ghante, 4 ghante, 5-5 ghante gym karte hain jab ki woh galat hota hai usse kahi na kahi aapko koi na koi disease aage chal ke paida ho sakti hai. Aaj ke time mein jis tarah se PCOD, gallbladder main stone yeh sari jitni bhi disease aaj ke time mein paida ho rahi hai, yeh kahi na kahi vyayam ki kami ki wajah se ho rahi hai. Vyayam kam karne ki wajah se aapke PCOD mein cyst banana shuru ho jata hai, aur gallbladder ka jo biled hota hai woh dheere-dheere gada hona shuru ho jata hai. Kyun ki usme liquid deposit hona shuru ho jata hai aapki cyst mein liquid deposit ho jata hai, ovaries ke aas paas toh uski wajah se ye saari ki saari disease paida hoti hai. Agar aap vyayam kare toh yeh kaafi saree disease aapko na bhi hoon, yeh aur isi ke saath jis tarah se night shift mein jo log kaam karte hain unko constipation ki bahut jyada dikkat hoti hai kyunki unki body ki vayu bad jati hai. Vayu badne ki wajah se unko constipation, gastric trouble, pet mein gur-gur iss tarah ki shikayate hoti hai. Agar woh subah uth ke apni body ke upar ek baar oil ki malish karle acche se toh usse unki badi hui vayu hoti hai wo kaam ho jati hai, unko constipation ya gastric trouble hoti hai wo kafi hadd tak thik ho sakti hai. Aaj ke time mein jis tarike se software engineers hote hain unko kafi saree disease jinme hum computer related diseases CRI inko bolte hain usme unke haatho mein numbness aana, cervical ke symptoms aana, aankhon mein dryness aana yeh sare ke sare jitne bhi symptoms hote hain CRI injuries jo hoti hain computer related injuries jo hoti hai unke andar aati hai. Toh hame unko kis tarike se hum body ko santulit rakhe hum apna aahar-vihar kis tarah se santulit rakhe. Taki hum inn saree disease se bach sakte hai kyunki agar hum thoda sa bhi in choti-choti baaton ka dhyan rakhenge toh hum kafi haad tak in bimariyon se bach sakte hain. Thank you very much.
Diabetes Cure by Ayurvedic Treatment
Diabetes yaani madhumay ek metabolism hai. iska sabse bada kaaran hai aaj ki jeevan shaily. Ye sabse tezi se badhti huyi zada logo ko giraft mein lene wali bimaari hai. sahi ilaaj aur samay pe niyantran na hone pe ye jaan lewa saabit hoti hai. diabetes hone par shareer ke sakhm mushkil se thik hote hai jiske wajah se hath aur pair tak kaatne ki naubat aa jati hai aur ek insaan jeevan bhar ke liye apahij ho jata hai. diabetes kitni khatarnak bimaari hai iske andaaza aap isi tathya se laga sakte hai ke har 1.5 minute pe ek wyakti ki maut diabetes sambhanthit ke wajah se hoti hai.
diabetes nirantar umar ke bahar se nikal rahi hai aur yaha tak ki buddho ke sath sath yuvayo ko bhi zapt mein le rahi hai. is nayaab diabetes control aushidi se hazaron logo ko faida hua hai aur diabetes jaisi jaan lewa bimaari le rokdhaam mein laabh bhi unhone ne paya hai. aur aaj wo sab ek swasth jeevan jee rahe hai. diab clinic purnty Ayurvedic aur surakshit hai, isme kisi bhi tarah ka heavy metal jaisa para ya sheesha ya atyadi ka upyog nahi hua hai. isme engomedic extraction dwara jaani maani surakshit jadibutiya aur aushidiya tatva ka composition liya gaya hai. diabetes mein kya khana chahiye, kya nahi khana chahiye chaliye ye jaante hai dietician meenakshi dubey se.
diabetes mein logo ko diet is prakaar honi chahiye ke jisme carbohydrate kam aur proteins aur fibers zada ho. Par main aisa bilkul nahi kahugi ke aap carbohydrate pra hata de, yah ape humare lifestyle modification ka role aata hai. diabetics ko diabetes control karne ke liye aawashyak hai ki diabetes ke liye prakartik wa sampoorna upchaar apnaye.
Diab clinic diabetes ke liye prakartik wa sampoorna upchaar hai diab clinic se apni sugar ghataye yaani apni umar badhye.
Doctors in Dr.Tanuj Veerbhan
Doctors in Dr.Tanuj Veerbhan
Dr. Tanuj Veerbhan
Dr. Tanuj Veerbhan
Patient Review Highlights
Saved my life
3 reviewsVery helpful
16 reviewsknowledgeable
12 reviewsWell-reasoned
5 reviewsProfessional
2 reviewsHelped me improve my health
5 reviewsSensible
1 reviewsPrompt
2 reviewsPractical
1 reviewsCaring
4 reviewsDr.Tanuj Veerbhan Reviews
Verified
Nov 24, 2018Good