Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic

Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic

Ayurvedic Doctor Clinic

No.568, Harsaon Enclave, Opposite J - 64, Govindpuram, Hapur Road, Ghaziabad
4.5
80ratings
5 Reviews
1 Doctor
₹ 300 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

The best Ayurvedic clinic is within your reach Ayurvedic treatment is the root of Indian medical science. With the advent of technology, it becomes more popular among the people who are se...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
Sun
04:30 PM - 08:00 PM
10:00 AM - 02:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Fistula-In-Ano - In Detail About The Ailment!
Fistula-In-Ano - In Detail About The Ailment!

Hello,

Welcome friends, mein Dr. Naveen Chauhan, ksharsutra specialist for piles, fissure, fistula diseases. Aaj humara discussion ka topic hai vo hai fistula in ano jisko hum samanya language mein, hindi language mein bhangandar bolte hai uske baare mein thoda charcha kareinge. Fistula in ano ek aisi beemari hai jisko jo vyakti hai, jo sufferer hai usko jaldi se samajh nahi pata isme mukhya jo lakshan hai vo aap ka jo anast region hai uske aas paas ek funsi ya foda jaisa kuch niklega boil jaisa kuch niklega usko aur uss se dheere dheere pass ka discharge ho sakta hai ya fir swelling aisi ho sakti hai vo painful ho sakti hai kaafi agar vo nahi fut’ti hai toh, fut jata hai toh uss se pass ka discharge hota hai. Toh ye pass ka discharge off and on hota rahta hai patient jo hai pareshan rahta hai, anti-biotic aas paas ke kisi doctor ko dikha ke ya self-medication se anti-biotic dawaiya ya pain killer leta hai lekin uss se ye thik nahi hota hai. Fistula ka concept ye hai ki jo disease hai vo uski shuruwat jo hai vo anal canal ke andar hoti hai, ye ek bacteria ka infection hota hai basically aur bacteria poora travel karke bahar ek boil ki shakl mein, funsi ya fode ya shakl mein vo fut jata hai aur uss se pass ka discharge hota hai jo ki painful bhi hota hai kai baar, aur ye, chunki andar se shuruwat hoti hai beemari ki isliye ye dawaiyo se thik nahi hota.

Ab dawa se thik nahi hota toh kaise thik hoga? Do options hote hai ya toh hum usko open karke open surgery jo method hai, waise method aur bhi hai open surgery ke alawa. Halaki Ayurvedic dawaiya hai jis se iske progress ko kuchh hadd tak roka ja sakta hai but puri tarah thik karna isko sambhav nahi hota hai, toh dawaiyo se fistula ka treatment almost impossible hai. Surgery mein, agar open surgery karte hai fistula ki toh ek low type ka fistula hota hai jiski internal opening neeche ki side hoti hai, andar humare anal canal aur ractom ke beech mein ek structure hota hai jisko hum ano ractal ring bolte hai, agar uski internal opening uss ring se neech hai toh low type fistula bolte hai, agar uski internal opening ring se upar chali gayi hai toh usko high type fistula bolte hai. Toh low type fistula mein toh jo apki lay open wali surgery hai vo kaafi hadd tak successful hai, safal hai, lekin jo high type fistula hai ya fir jin fistula mein branching hai track ki, yani jo rasta hai uski branch bani hui hai toh usme aloplased surgery hai vo kamyab nahi hai aur usme recurrence dobara hone ke bahut jyada chances rahte hai. Toh isme humra jo treatment hai ayurved ka usko hum ksharsutra chikitsa bolte hai jo ki ek authentic method hai scientifically proven method hai isko jo hai discover toh Acharya Sushrut jo ayurved ke mahan grandfather of surgery bolte hai, khoj toh unhone kari thi lekin iska jo standardisation hai aur ispe jo further research hui hai vo BHU, ICMR aur AIIMS New Delhi mein jo hai mein hua hai. Toh ksharsutra mein basically jo fistula ka jo track hai usme dawa laga hua dhaga usse andar dalte hai, aur uss track se vo suko dheere dheere cut karta hai aur dheere dheere usko drain karta hai, uski jo gandagi hai, pass wagair jo bhi hai, usko vo drain out karta hai. Toh iss se vo dheere dheere, week by week fistula ka track cut hota jata hai aur simultaneously uski healing hoti jaati hai, toh iss tarike se yepoora dheere dheere karke jo track hai vo heal ho jata hai humara. Aur aise karke fistula dheere dheere thik ho jaata hai. Fistula se hi milti jhulti ek beemari hai jisko hum pilonidal sinus kahte hai, isme jo log jyada baithate hai, aur jinke shareer pe baal jyada hote hai unn logo ko jyada hoti hai. Isme jo hai apka kamar ke nichle hisse mein funsi ban jati hai, anus se vo connect nahi hoti, usme pura ek rasta sinus ban jata hai, uska bhi khsarsutra treatment jo hai vo treatment of choice hai, kyunki usme bhi recurrence kaafi ho jati hai agar open surgery se usko thik karne ki koshish karte hai. Ksharsutra se usme excellent result hai aur kshaarsutra fistula aur pilonidal sinus, anoractal aur bhi beemariya piles, fissure ek rambaan ki tarah kaam karta hai aur ye minimul invassive, matlab jisme kam se kam kaat peet hoti hai, ye aisi surgery hai. Toh mera apse ye nivedan hai ki agar kisi ko iss tarah ki samasya hoti hai, toh aap qualified ayurved doctor se consult karke iss treatment ko le.

Thank you!


Piles & Fissure - All You Must Know!
Piles & Fissure - All You Must Know!

Hello,

Mein Dr. Naveen Chauhan. Aaj mein apke samne kuch pile and fissure, inn do beemariyo ke baare mein discuss karunga, sankshep mein. Piles jo hai hum sab iss baare mein waquif hai ki piles ek aisi beemari hai jo bahut kashtkari hoti hai logo ke liye aur iske kaaran aur symptoms aur iska treatment ke baare mein charcha karne ja rahe hai. Piles jisko hum samanya bhasha mein bavasir bhi bolte hai, ye ek aisi beemari hai jisme mareej ko letring karte samay takleef hoti hai, ya toh dard hota hai ya toh bleeding hoti hai, bleeding piles ka main symptom hai jo dard wala jo hai vo dusri beemari hoti hai jisko fissure bolte hai vo uska main symptom hai. Toh ye jo hai aniyamit khaanpan ki wajah se, jo fast food, junk food jyada khate hai unko jyada hoti hai, aur jo neend kam lete hai aur jinka lame time tak sitting hai matalb sedentary life hai, exercise wagaira nahi karte toh ye ek karan hai jiski wajah se digestive system weak ho jata hai aur ayurved ki bhasha mein isko kahe ki agni mand ho jaati hai toh uss se ye piles develop ho jaate hai anal region mein uske masses hote hai, veins hoti hai basically vo swell kar jati hai aur uss se bleeding hone lagti hai ruk ruk ke, agar vo pain ke sath bhi ho sakti hai aur painless bhi ho sakti hai toh jyadatar piles ki jo bleeding hoti hai vo painless hoti hai.

Toh iski agar hum treatment ki baat karein piles ki toh ayurved mein iska bahut acha treatment available hai. Ayurved mein humare paas aisi aushadhiya, dawaiya humare paas available hai jo piles ko, bleeding ko control karti hai rok sakti hai. Uske alawa digestion ke liye humare paas bahut sari dawaiya hai jaise chitrakadi vati, agnitundi vati aur peit thik karne ke liye trifla churn wagaira hai, panchstab churn, abhyarisht wagaira hai. Vo shuruwati awaathao mein unko dete hai toh unko bahut ache parinam milte hai. Piles ki alag alag degrees hoti hai, 1st degree, 2nd degree 3rd degree, 4th degree. Normally second degree tak piles jo hai vo dawaiyo se thik ho jata hai, aur gar kisi ka aur advanced stage pe hai ya purana ho gaya hai toh hume surgery ya ksharsutra chikitsa ki jarurat padti hai. Ksharsutra chikitsa jo hai vo ayurved ki ek chikitsa hai, ek dawai ka sutra hota hai, dhaga hota hai usko ayurvedic dawaiyo ka lep karke taiyar karte hai hum aur vo unn naso mein ek ek karke bandh diya jaata hai 5-7 din mein vo apne aap kat ke nikal ke gir jata hai. Toh post operating thoda care karni padti hai. Lagbhag 15-20 din lagte hai, patient poori tarah thik ho jata hai. Toh ye piles la sankshep mein hua, mein aap sabse discuss ek baar jarur kahna chahunga ki agar apko kabhi iss tarah ki problem hoti hai toh aap quack ya fir jo non-qualified doctors hai unke paas na jaake aap qualified ayurved doctor ke paas jayein, taki apko iska sahi tarike se nidan aur chikitsa apko mil sake.

Thank You!


Doctor in Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic

doctor-profile

Dr. Naveen Chauhan

Ayurvedic Doctor17 Years Exp.
Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), P.G.C.R.A.V. (Kshara Sutra)
₹ 300 at clinic
500 online
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

7 reviews

Thorough

1 reviews

knowledgeable

4 reviews

Well-reasoned

2 reviews

Professional

1 reviews

Sensible

3 reviews

Inspiring

3 reviews

Practical

1 reviews

Caring

1 reviews

Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic Reviews

V

Verified

Dec 31, 2019

Good experience

V

Verified

Sep 21, 2018

Good

K

Kashish Prajapati

May 15, 2018

I found the answers provided by the Dr. Naveen Chauhan to be inspiring. Thanks for helping me

V

Venkata Sreekanth

May 09, 2018

I found the answers provided by the Dr. Naveen Chauhan to be very helpful. Thank you

A

Anand Sharma

Feb 01, 2018

Good

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Shri Dhanwantari Piles-Fistula-Fissure Clinic
Your feedback matters!