Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
OM Ayurveda Eye Care Center

OM Ayurveda Eye Care Center

Ayurvedic Doctor Clinic

Plot No. 1093, Sector 40, Near Unitech Cyber Park
4.5
14ratings
3 Reviews
1 Doctor
₹ 300 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our entire team is dedicated to providing you with the personalized, gentle care that you deserve. All our staff is dedicated to your comfort and prompt attention as well....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
10:00 AM - 04:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Ayurvedic Treatment For Eye-Related Problems
Ayurvedic Treatment For Eye-Related Problems

Hello,

I am Dr. Bharat Bhushan Ayurveda-ophthalmology. Dekha jata hai ki aankhen thik nahi ho paati hain major cases mein and dheere dheere roshni bhi kam ho jaati hai like in diabetic retinopathy, optic nerve, glaucoma jismein roshni chali jaati hai ya fir inflammation hote rehna, recurrent uveitis, keratitis, allergies ya fir dry eyes hona, aisi bahut si samasyein badhti ja rahi hain. Aisi situations mein ayurveda bahut acha result provide karta hai. Mujhe 8 years ka experience hai. Maine alag alag hospitals mein kam kia hai. Pure vishwa mein dekha jaaye toh 239 millions ke aas pass log blind hain. Ismein India ka bahut bada population hai. 8-10 million people India mein blind hain. Pichle kuch varshon mein agar aap dekhein toh roshni kam hoti jaa rahi hai.

WHO ka result agar hum dekhein toh avoidable blindness kafi jyada hai. Aap dekhte hain ki glaucoma 2nd largest blindness ka case hai. Iske alwa diabetic retinopathy hai jismein dheere dheere roshni chali jaati hai. Bahut jyada inflammations hain. Iske lia ayurvedic bahut achi chikitsa hai. Pehle bhi ayurveda humari parchin chikitsa mein se ke raha hai. Triphala ek bahut hi achi rasayan hai, amla hai jo sardi mein bahut log use karte hain. Agar aap dekhenge to lifestyle bahut disturb ho gya hai. Sone ka time kuch pata nahi hai. Mobile, TV, computers ka misuse bhi bahut ho raha hai. Agar aap khan paan dekhein toh kuch log toh aise hain jinka nashta company mein hi hota hai, dopahar ka bhojan and ratri bhojan bhi office mein hi hota hai.

Aap samajh sakte hain ki bhojan ki kitni gudvatta unhein milti hai. Packaged food ke bahut sare side-effects hain eyes pe. Humne ye bhi dekha hai ki alag alag akaran se logon ki roshni bhi chali jaati hai. Iske alawa bhi aap dekh sakte hain ki aur bhi bahut se karan hain ya myopia hai jismein din pratidin roshni jaati hai patient ki. Toh ab ayurvedic dawaiyan hain jismein syrups and tablets hain, eyedrops hain. Hum patient ko ilaj deke ke achi drishti dete hain. Mitron aaj meri yahi ek aap logon se discussion hai ki agar kisi ko bhi aankhon se related koi problem hai toh use ignore na karien kyuki ye badi problem bhi ho sakti hai. Immediately apne nazadiki chikitsak se milein. Aur agar jyada difficulty hai toh ayurveda ki salah lein. Mai Lybrate pe hamesha available hun. Kisi bhi jankari ke lia aap mujhse contact kar sakte hain. Aankhon ki bimari se darein na. Ye kisi bhi bade karan se bhi ho sakti hai. Apni ankhon ka dhyan rakhein and inko bacha ke rakhein. Kyuki prevention hi cure hai. Kyuki aankhon ki roshni ek baar kam hone ke pashchat use vapas regain karna mushkil hai. Maintain good lifestyle, food style, do yoga, pranayam, keep away from stress. Hari sabziyan jyada khayein. Mobile, computer and TV ka correct use karein. Jo mujhe shiksha mili hai mai use ankhon ke lia use karta hun.

Dhanyawad.


General Eye-Related Problems
General Eye-Related Problems

Hello,

I am Dr. Bharat Bhushan (Ayurveda-ophthalmology). Humara center aankhon ki chikitsa ke lia specialised hai. Ye ayurveda se chikitsa karne ka ek unique center hai. Humare reception pe patient aake registeration bhi karata hai and medicines bhi leta hai. Humare pass medicinal garden hai jahan pe bahut sari aushdiyan hoti hai aur ye aankhon ki chikitsa ke lia use kia jaate hain. Flowers, petals, patiyan, jadein, ashwagandha, tulsi, sadabahar, japa, gulab, ashok, chui mui, ye sab hum aankhon ki chikitsa ke lia use karte hain. Registration ke baad patient waiting area mein aa jata hai. Humein ye area AC se cover nahi kia hai kyuki aankhon ke treatment mein koi problem nahi aani chaiye. Humare pass PAN Inda ke patients hain. Admitted patient ke lia humare pass awaz garahaye ki suvidha bani hui hai. Jo log IPD ke patients hain unko treatment ke baad alag alag rooms dia jaate hain like deluxe, semi-deluxe, AC, non-AC rooms.

Ye Dr ka OPD room hai jahan Dr patient ko check karte hain. Netra ke lia ek patient ka kriyakalp chal raha hai. Netrabhangayam kuch aushdiyon ko mila kar kia jata hai. Yahan dusre patient ko hum trapanaya ek procedure hai jo kia ja raha hai. Jaia ki aap dekh paa rahein hai ki humnein urad and gehun ke aante ki layer ki boundary banayi hai and uske anadar hum grith aushdhi rakhte hain. Tisra kriya kalp jisko alag alag bimari ke lia kia jata hai. Patient ko alag alag aushdiyon se ye treatment dia jata hai. Kuch kuch patients ko triphala and alag aprkar ki aushdhiyon se treatment dia jata hai. Abhi aapne 3 types ke treatments dekhein hain. Iske alwa bhi alag alag types ke treatments hum dete hain. Iske alwa pindi hai, putpak hai, vidalak hai ya iske alwa antltnam hai, pushpa bandhnam hai, shirodhara hai, shirovasti hai. Iske alwa aur bhi alag alag types ke treatments hain jo dia jaate hain. Ek hum tatvadhara dete hain. Aap dekh sakte hain ki dhara ke roop mein ek treatment dia jaa raha hai. Ye procedure neurological diseases ke lia dia jata hai.

Ye retinal bimariyon ka ilaj karne ke lia dia jata hai. ISke alwa aur bhi jo inflammatory diseases hain, unke lia ye treatment dia jata hai. Toh jo hum natra parkshalan karte hain ye bahut tarah ki jo vatavayadhiyan hain ya degenerative vayadhiyan hain, dry eyes, glauc oma, optic eyes issue hai ya diabetic retinopathy hai ya fir acute inflammation hai, toh aise mein kafi labh milta hai. Iske alawa jo apne dusra treatment dekha, aise ankhon ki problems mein bahut ache treatments available hain. Cornea ki degenration ke lia bhi humare pass ache treatments available hain. Toh aise degenerative diseases mein bahut ache results hain. Lazy eyes, dry eyes ya fir ankhon ki muscles weak ho jaati hai, iske alwa agar koi dusri problems hain.

Toh aisi samasyaon ke lia bahut ache treatments hain. Iske alwa jo pindi hai, acute inflammations hain, aise mein kafi ache results dete hain. Agar vision mein issue hai toh ye treatments aap ko use karte hain vision ko improve karne mein. Anjanam alag alag inflammations mein use kia jata hai. Kuch pre-procedures bhi hote hain jo patient ko help karte hain. Hum shirovasti, shirodhara, shirdhara, aise treatments netra rogon ke lia bahut ache hain. Aise sare treatments ko hum perform karte hain. Mera staff netra rog chikitsa hi deta hai and unhone training li hai and certified hain. Iske alawa inhein 4-5 years ka experience bhi hai. Treatment dete time hum hygiene ka pura dhayan dete hain.

Thank You.


Frequently Asked Questions Related To Eye Health!
Frequently Asked Questions Related To Eye Health!

 

Hello,

Mera naam Dr Bharat Bhushan hai. Main 2 varshon se aankhon ka ilaaj kar raha hoon, iske pehle bhi mein practice karta tha to total 8 varshon se mein aankhon mein Ayurvedic paddhti se ilaaj kar raha hoon. Patient : Doctor sahab ye glaucoma kya hota Hai? Doctor : Glaucoma ek kafi khatarnak aankhon ki bimari hai jismein ki jo aankhon ka jo roshani hai wo jaane ka khatra hota hai. Isko silent thief of sight bhi bolte hain ki pata bhi nahi lagta hai ki dheere-dheere hamen blindness aati jaa rahi hai aur sansar ke andar ye second leading disease hai joki blindness ya andhtaa ko karne ka karan hai, pratyek varsh jo hai wo 10 lakh se jyada patient jo hai apne Bharat varsh mein wo glaucoma se grasht hote hain joki dhire-dhire roshni dhire-dhire kamjor hoti chali jaati hai. Glaucoma optic nerve ek problem hai jismein ki aankh ko jo naas hai wo dhire-dhire kamjor hoti jaati hai, aankh ki naas yani ki optic nerve jo retina ke signals ko brain tak le jaane ke kaam karta hai jisse ki ham logon ko dikhta hai to glucoma ke karan se aankh ki jo naas hai hi wo dhire-dhire kharab ho jaati hai.

Patient : Doctor sahab ye glaucoma kyon hota hai? Doctor : Glaucoma vaise to kya hai ki abhi tak iska exactly karan maloom nahin hai ki ye glaucoma kyon hota hai lekin fir bhi agar aap risk factor dekhe to family history hai koi jinko glaucoma hai, unko glaucoma ho sakta hai, 40 sal ki age ke bad mein generally African Americans ko check karna chahiye ki unko glaucoma hone ke chances hai, high myopics hai unko glaucoma hone ke chances hota hai, cornea jinka patla hai jinka thin cornea hai unko glaucoma hone ka chances ho sakta hai, jinko diabetes hai, high blood pressure hai unko aankh ka pressure jada hone ka chances ho sakta hai. Stressful life aajkal ka jo disturb lifestyle hai usko glaucoma hone ka chances hota hai, smoking, alcohol ye karan to nahi hai but risk factor ho sakte hain ki jo log in ko jyada upyog karte hain to unko glaucoma hone ka chances hota hai to ye sab risk factors hai lekin abhi tak exactly nahi pata hai ki glucoma exactly kyon hota hai. Patient : Glaucoma ke lakshan kya-kya hote hain? Doctor : Glaucoma vaise maine aapko bataya ki glaucoma silent thief of sight hai ya isko silent blindness ka karan hai, pata nahi lagta hai ki dheere-dheere roshni kamjor hoti chali jaati hai.

To ya to kisi ko lakshan ho nausea, vomiting, sar-dard jyada ho raha hai to pressure check karke pata lagta hai ki uski aankh ka pressure jyada hai ya incidently patient agar dikhane ke liye ya apna vision check karane ke liye aaya hai to doctor usko dilate karke optic nerve test karta hai to pata lagta hai ki optic nerve mein kharabi agyi hai to bohot majority of the cases mein accidentally pata lagta hai hamen glaucoma hai. Patient : Doctor sahab glaucoma ka ilaj kya hai? Doctor : Glaucoma ka ilaj abhi tak hamara jo aadhunik chikitsa paddhati hai to usmein to sirf aankh ka pressure ko kam karne ke liye antiglaucomatic drops hai us tarah ki jo hamara dusra allopathic mitra hain jo eye doctors hai jo patients ke liye use karte hain aur iske alava kuch-kuch patients mein lasers hai peripheral iridotomy karte hain ya kabhi-kabhi window operation hai jisse ki aankh ka pressure ko bypass karke usko pressure se bachane ke liye koshish karte hain but abhi bhi tak safalta purvak koi bhi iska ilaaj abhi takb sambhav nahi hai. Jahan tak ham log ayurvedic chikitsa karte hain to ham log bhi usko aisa nahi bol sakte hain ki ye purntah theek ho sakta hai lekin jo uska optic nerve dhire-dhire degeneration hota ja raha hai, dheere-dheere kharab ho raha hai ya aankh ka pressure bhi jyada hai to us pressure ko kam kar sakte hain apna ayurvedic treatment se aur pressure kam karne ke sath-sath mein uski optic pressure nerve ko strengthened kiya ja sakta hai ya optic nerve jo kharab ho raha hai usko kharab hone se roka ja sakta hai, aise bhi kuchh patient rahe jinko complete optic atrophy ho gaya ya advance optic atrophy ho gaya.

To aise cases mein bhi kuch positive result dekhne ko mila hai ki jinko vision jaane ke bad bhi thoda vision aaya hai ya peripheral vision usko thoda improve hua hai. To usko ham log as a cure to nahi bol sakte hain but lekin management of glaucoma is possible in the ayurved ya ayurvedic ke netri-chikitsa se glaucoma ko manage kiya ja sakta hai taki patient jo hai apna pura jindagi jo hai safalta purvak nirvaha kare aur apna vision ko accha rakhe. Patient : Doctor sahab glaucoma ke roktham ke liye kya kuch batayen ? Doctor : Roktham ke liye jaisa maine abhi bataya aapko ki glaucoma ke jo risk factors hai usko kam karen agar high myopic hai to apna myopia jyada na bade usko dekhne ka upay karen, regularly apna check up karayen, cornea kamjor hai to cornea ka ilaaj bhi lagatar karayen, sugar hai to sugar control rakhen, sugar ke sath-sath mein glaucoma na hone paye iska upaye karen, blood pressure hai blood pressure ko control rakhen, lifestyle ko theek rakhen, jaldi soye, bohot stressful life na rahe, regular exercise karen, physical exercise hai ya yog, pranayam regular karen, ek aisa ek study abhi AIMS mein hua tha abhi ismein kuch glaucoma patients ka meditation kiya gaya and ye publish bhi hua hai ki meditation se jo eye pressure hai wo down hota hai, iske alava bhi jitna caffeine agar jadaa use karte hain to caffeine ko kam karen, na use karen, alcohol band karen, smoking jyada na karen.

To ye sare ke sare jo risk factors hai, fatty hai, obesity fatty hai to thoda exercise karen to ye sabh thoda dhyan rakhen ki jisse ki glucoma agar family history hai kisi ko glaucoma se to usko apna regular investigation karana chahiye aur glaucoma ko rokane ke upaye karne chahiye, agar ham log bhojan mein dekhen to hari sabjiyan jitni bhi sari ki sari hai ya peele faal jo hai jismein ki carotene jyada rehata hai is tarah ki cheezon ko jaise vitamin A, jaise ki shigru hai ya sehajan ki falli jo bolte hain usmein bohot adhik matra mein vitamin A hota hai. Is tarhan ki cheezon ka upyog karen aur acchi bhojan shaili rahe to jitna ho sake to injuries kam se kam ho aankhon mein, jo regular injuries agar rehti hai to usko bhi glaucoma hone ke chances jyada rehte hain to ye sab rokne ke upaye karen aur agar kisi ko glaucoma pata lag gaya hai to apne najdeek jaldi se jaldi najdeek mein aankh ke doctor ko dikhayen, check karayen, aankh ke pressure ko kam karne ke liye ilaaj karayen, aankh ki naas aage kharab na ho uska ilaaj karayen, chahe wo ayurvedic chikitsak hai ya allopathic chikitsak hai unse dikhayen aur Ayurved chikitsa karne se yeh fayda hai ki uske pressure ko jaldi hi theek kiya ja sakta hai,

kal bhi ek patient ko dekha tha usko pehle pressure jyada tha aur usko surgery advice kiya gaya hai lekin ham logon ne usko kuchh dawai, kuchh din upyog kiya hai to pressure down ho gaya hai aur usko surgery karne ka avashyakta nahin hai aisa AIMS mein jo HOD madam hai unho ne unko bola hai to is tarike se pressure ko kam kiya ja sakta hai ya jo aankh ki naas jo kamjor ho raha hai ya kharab ho raha hai to bohot sari ayurvedic davaiyan hai jinko upyog karke aankh ki naas ko majboot jiya ja sakta hai ya kharab hone se roka ja sakta hai iske alava jo ham therapy karte hain yahan hospital mein pindi hai, vidalak hai ya shirodhara, takradhara ya netradhara, akshiprashalan to itne ye sab inko ham log karen to mujhe lagta hai ki ham log patient ko glaucoma usko nuksan na pahunchaye uski aankh ki naas ko kharab na kare aur jivan jo hai safalta purvak nirvaha kare. To jitna jaldi ho sake usko theek karne ka koshish karna chahiye, apna lifestyle ko healthy rakhen pehle to koshish karen ki na ho agar ho gaya hai to Ayurved netra chikitsa mein glaucoma ka safal ilaaj hai usko theek roop se maintain kiya ja sakta hai quality of life, quality of vision, kyunki netra ke paripeksh main jo quality of vision hai wo patient ko maintain kiya jaa sakta hai jaise ki hamara moto bhi yahi hai ki bharat sarve bhadrani pashyantu sabko achcha dikhna chahiye to uske liye glucoma ko bhi ilaaj karne ke liye bhi Ayurved netra chikitsa mein bohot safal ilaaj sambhav hai.

Thank you.


Doctor in OM Ayurveda Eye Care Center

Get Help
Reviews
Services

Doctor in OM Ayurveda Eye Care Center

doctor-profile

Dr. Bharat Bhushan

Ayurvedic Doctor18 Years Exp.
BAMS, CRAV - Ophthalmology
₹ 300 at clinic

Patient Review Highlights

Very helpful

1 reviews

OM Ayurveda Eye Care Center Reviews

V

Verified

Sep 13, 2022

Amazing doctor

V

Verified

Jul 04, 2022

Best Eye doctor in North Delhi As I consulted many eye doctors but didn't get any relief .Dr Bharat Bhushan is very confident and we are highly satisfied with his treatments. People from all across India visit om ayurveda eye care centre. Thanks a lot Dr Bharat Bhushan ji....read more

P

Pukhraj Varshneya

May 21, 2019

Superb very kind soft spoken and knowledgeable doctor Shri Bharat Bhushan!

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for OM Ayurveda Eye Care Center
Your feedback matters!