Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre

Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre

Ayurvedic Doctor Clinic

Opposite Ashok Mill, SBI Bank, Near Damodar Park, LBS Marg, Ghatkopar West
4.3
4ratings
1 Reviews
1 Doctor
₹ 400 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to provide a compassionate professional environment to make your experience comfortable. Our staff is friendly, knowledgable and very helpful in addressing your health and fina...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
Sun
11:00 AM - 03:00 PM

Clinic Location

Videos

Panchakarma - Know More About It!
Panchakarma - Know More About It!

 

Hello

Mera naam Dr. Varsha Gupta hai. Aaj main aapko panchkarma ke bare mein kuch batana chahti hoon. Ayurved mein ham do tarah se bimariyon ka ilaaj karte hain ek saman chikitsa, ek shodhan chikitsa. Aaj main aapko shodhan chikitsa ke bare mein kuch batati hoon. Shodhan chikitsa matlab sharir ki shuddhi, sharir ki shuddhi ham ayurved mein panchkarma ke dwara karte hain. Panchkarma jaise naam suggest karta hai 5 karm ismein hain. Panchkarma ke panch karm hai vaman, virechan, basti, nasya & rakthamoksha. Ismein sabse pahle main aapko vaman ke bare mein batati hoon, jab sharir mein cough dosh ki vriddhi ho jaati hai ya badh jata hai tab ham usmein vaman chikitsa karte hai, vaman yani ulti ya vomiting jise ham kehte hain usse ham cough dosh bahar nikal kar ke sharir ki shuddhi karte hain. Jismein badha hua cough bahar nikalta hai usse cough dosh hone wali bohot sari bimariyan theek ho jaati hai. Dusra panchkarma hai virechan, virechan pit dosh ke shant karne ke liye kiya jata hai.

Pitt dosh ka isse ilaaj hota hai, pit dosh se hone wali bimariyon mein ham virechan chikitsa karte hain, virechan matlab loose motion ismein sharir mein bada hua pitt virechan ya loose motion ke dwara ham bahar nikalte hain jisse pitt hamara sharir mein sam avastha mein aata hai to usse hone wali bimariyan shant hoti hai. Teesra kahenge ham basti, basti vaad dosh ke liye, vaad dosh ka chikitsa ham basti dwara karte hain, basti matlab enema, ismein ham karhe ya medicated oil ki basti dete hain jisse vaad dosh shaant hota hai aur vaad se hone wali bimariyan theek hoti hai. Chautha hamare pass ham karte hain nasya, nasya mein ham naak ke dwara dwaayi ya medicated oil dalkar usse sar mein hone wali bohot sari bimariya jaise migraine, sinus ka ham ilaaj karte hain.

Paanchva panchkarma ham kahate rakthamoksha, rakthamoksha- rakt yani blood se hone wali bohot sari bimariyan ham rakthamoksha ke dwara theek karte hain ismein ham 10 se 20 ml blood nikal kar ke usse rakt dosh ko theek karte hain jisse rakt se hone wali bohot sari bimari theek hoti hai. Panchkarma ek bohot hi effective therapy hai, ayurved ka part hai joki aajkal popular ho raha hai dheere-dheere per ye panchkarma ke paanch karm hai jisse ham sharir ke sabhi dosho ko sam avastha mein lakar ke swasth rah sakte hain. Jo ayurved ka siddhant hai swasth sharir ki raksha karna aur bimariyon ka ilaaj karna ye dono hi iske uddeshya ayurved ke panchkarma ke dwara ham purn kar sakte hain.

Thank you


Doctor in Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre

doctor-profile

Dr. Varsha Gupta

Ayurvedic Doctor18 Years Exp.
BAMS, DRCH
₹ 400 at clinic
Unavailable Today

Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre Reviews

A

Arun Shamji Dayma

Feb 19, 2022

visited Dr.Varsha clinic for ayurvedic treatment and it was very good experience and ayurvedic massage treatment was very good and relaxing in body pain.Now i m feeling very relaxing and improved.\nThank you Dr. Varsha....read more

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Herbal Ayurvedic & PanchKarma Centre
Your feedback matters!