Kasturmahal Poly Clinic
Urologist Clinic
About Clinic
Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more
Clinic Timing
Clinic Location
Videos
Hello,
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat, Urologist. Today I will talk about kidney stones. Sabse pehle mai bataunga ki kidney stones ka rate 10-12% hota hai. India mein 100 mein se 12 logon ko kidney stones hain. Jismein se 50% logon ka kidney kharab ho jata hai. Sahi samay pe agar ilaj na kia jaaye toh ye problem hoti hai. Ab iska karan kya hai?Iske 2 factors hain. Ek factor hai jo humare body ke andar hai jisko hum change nhi kar sakte. Dusra hai bahar ke factors jisko hum kuch hadd tak badal sakte hain. Kuch age range hain jaise 20-45 ki age mein stones jyada hote hain. Male mein females se jyada stones hota hai. Plus ye hereditary bhi kam karta hai. Next hai aap ka climate, water intake, toh ye bhi affect karte hain. Iske symptoms kya hote hain?
Agar 2mm ka stones hai toh jyada problem nahi hoti hai agar vhi vo 6mm se jyada ho gaya toh aap ko pain hota hai. Agar stones bada hai jo kidney ko block kar deta hai ya fir chota stone ureter ko block kar deta hai toh aap ko severe pain hota hai. Vomiting hoti hai aap ko pain ke sath and emergency mein aap ko hospital jana padta hai. Ismein aap ko injection ke through medicine di jaati hai. Kabhi kabhi yadi vhi ureter ka stone aap ignore kar dete hain timely treatment nahi karate hain toh us se infection hota hai. Jiski vajaha se aap ko thand lagti hai and bukhar hota hai. Plus ye infection blood mein jata hai. Agar aap ko aisi problem ho rahi hai toh aap ko kisi na kisi urologist ko dikhani chaiye. Aur vo aap ko sahi salah denge. Dusri baat hai ki iska treatment kaisa kia jata hai. Ab latest technology ke according agar aap ke stones ka size up to 15-20 mm hai toh kidney mein surakh kia peshab ke raste se plastic ka durbin daal kar nikalate hain. Ye treatment mein deta hun.
Ab dusra point hai ki agar aap ne ilaj kar dia toh uske baad kya karna hai. Iske baad hum stones analysis karte hain. Hum aap ko salah dete hain ki aap ko kya karna hai ki stones formation na ho. Stones na form hon iske lia sabse badya dawayi hai paani. Paani ki matra badhayein. Jis se aap ka urine clear hoga. Is se stones banne ke chances kam ho jaate hain. Jisko ek baar stone hua hai use 1 saal ke anadar hi 5-10% stones dubara banne ke chances hote hain. Iske lia humein paani ki matra badhani chaiye. Kidney stones ko kabhi bhi ignore na karein kyuki jab vo chota hota hai toh use nikalana asan hota hai. Kabhi kabhi log puchte hain ki kya y apne aap dissolve hota hai? Aisa nahi hai. Koi bhi kidney stones apne aap dissolve nahi hota hai.
Surgery ki jarurat bhi tabhi padti hai jab stones bada hota hai. Aap ko medicines di jaati hai 3-4 weeks ke lia urologist ke dwara. Yadi bukhar aa raha hai ya fir pain hai toh use nikalna padta hai. Kab kab stones nikalna jaruri hai. Agar aap diabetic hain, ureter stones hain toh wait na karein aur treatment lein. Agar aap ko ek hi kidney hai toh use endoscopic technique ke dwara stones nikalana jaruri hai. Prevention is better than cure. Isliye adhik matra mein paani pijiye. Red meat kam khayein. Namak kam lein. In sabko karne se aap ko stones ki samasya fir se nahi hogi. Asah karta hun ki aap ko meri baat samajh aayi hogi.
Thank You.
Hi,
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat, Urologist. Aaj mai aap ko blood in urine ke baare mein btaunga. Agar aap ko ye problem hai toh ise andekha na karein. Urine mein blood aane ke kayi reason ho sakte hain. Agar aap ka age 40 above hai aur aap ko urine mein blood aa raha hai and pain bhi nahi hai toh aap urologist se suggestion lein. Agar aisa hota hai toh aap ko kidney ke aas pass kahin tumor ho sakta hai and cancerous sabit ho sakta hai. Agar aap ko aisi problem hai toh without fail urologist se consult karein. Kyuki jab bhi koi tumor initial stage mein hota hai toh iska ilaj asan hai and kafi successful hai.
Urine mein blood aane ke kayi karann hain. Aap ko prostate ho sakta hai, dusra peshab ke thaile mein tumor ho sakta hai, kidney stone ho sakta hai ya fir aap ko kidney ya fir kidney ki naali mein TB bhi ho sakta hai. Toh mai aap ko yahi salah dunga ki agar aap ko urine mein blood aya hai toh isko ignore na karein. Infection ho sakta hai, tumor ho sakta hai jo cancerous ho sakta hai, stone ho sakta hai and TB ho sakta hai. Isliya aap ko aisa kuch bhi dikhta hai toh aap jaldi ho urologist se consult karein. Peshab ke thaile ka cancer, kidney ya kidney ki naali ka cancer, ye bimariyan cigrette peene vale ya fir die factory mein kam karne valon mein jyada dekha gaya hai. Isliye aap urologist se consult jarur karein. Agar aap initial stage pe hi consult karte hain to durbin se bimari ka ilaj asani se kiya ja sakta hai. Treatment ka outcome bhi patient ke liya acha hota hai. Mai umid karta hun ki aap ko meri baat samajh mein aayi hogi.
Thank You.
Hi
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat hai. Aaj hum aapko kidney failure ke bare mein kuch batana chahte hain. Jo kidney failure ke 2 mukhya karan hain. Diabetes aur high blood pressure. India mein diabetes ka incidence bohot jyada hai aur India ko world ka diabetic capital bola jata hai. Ab main aapko thoda bohot diabetes ke bare mein bataun jo aaj kal humare jeevan ki shaili jo hai hum Jyada gaadi use karte hain, paidal kam chalte hain, jo hamara khane peene ka Jo lifestyle hai usme kafi change ho gaya hai. Hum chalte nahi hain, hum exercise bhi nahi karte hain, junk food khate Hain, tel-gheei Jyada kehte hain aur sabse badi baat hai ki aaj kal ka jo jeevan hai wo kaafi (stressed) tanavpurn ho gaya hai to hum diabetes se kaise bache. Sabse pahli baat ki aap santulit khana khayein, aap Jada urja wala khana nahin khaya, jaise ki aapke khane Mein salaad hona chahiye aadhe sex adhik aur carbohydrate kam hona chahiye aur tel-ghee barabar kamm matra mein hona chahiye.
Jo kidney failure hota hai uske do mukhyatar Karan hain, madhumeh Ki bimari aur ucch rakt chaap(Diabetes aur high blood pressure). To hum diabetes ko control rakhen aur high blood pressure wale jo bhi marij hain wo niyamit roop se dawai lein aur namak kam khaye aur jo sabse jaroori cheezein hain wo hai vyayam. Aadmi ko physical activity karni chahi kam se kam aap Saptah(week) mein 4 Din 45 minutes brisk walk karen aur aapko ye dhyaan rakhna chahiye ki aapki Jo kaamr hai aur aap ka jo pet hai, kamar Se Jyada pet ki motayi nahi honi chahiye. Dusra hai diabetes. Diabetes ke liye bhi Jin logo ko diabetes hai madhumeh hai usko diabetes ki dawa niyamit roop se leni chahiye. Blood pressure niyamit roop se janch karni chahyie aur aapko Kidney failure se bachne ke liye aapko apne doctor ki salah leni chahiye aur koi bhi bina salah ke koi bhi dawai nahin khaye. Ab Jo kidney failure hai uske mukhya kya karan hote hain?
Mukhya karan maine aap ko bataye madhumeh ki bimari aur ucch eakt chaap. Iske lakshan kya hai? Shuru mein Jab kidney bimari hoti hai, kidney failure Ki bimari hoti hai to uske bohot lakshan najar nahin aate hain to kaise maloom hoga ki jo patient ko high blood pressure hai aur diabetes ki bimari hai uska kidney failure to nhi develop ho raha unko? Uske liye bohot aasan screening test hai. Blood test karte hain usme serum creatinine dekhte hain, proteinuria dekhte hain proteinuria mein protein to nahin aata hai. Serum creatinine badh to nahi raha hai aur samay samay par ultrasound karte hain kidney ka uski andruni bnawt dekhte hain ki usme koi changes to nahi aa rahe hain, yadi aapka creatinine normal hai, urine mein protien nahi aa raha hai to aapka kidney sahi hai. Kidney failiure ke Mukhyta jo lakshan hai, aapke chehre par sujan aana jo aakh ka eye lid hai usme bhi sujan aata hai, pairon me sujan aata hai, aapko bhukh Lagna kam ho jata hai aur aapko peshab ki matra bhi kam ho jati hai. To is tarah ka yadi lakshan hai to aap kidney ke chikitsak se milen jisko nephrologist bolte hain aur nephrologist ki salah lein aur kuch haad tak kidney failure ko roka ja sakta hai. Nephrologist ki salah se.
Jab aapko kidney failure ka lakshan najar aane lage to aap kidney ke physician ki salah lete hain aur dheere-dheere uska ilaaj karte hain. Lekin ek samay aisa ataa hai ki jab aapka kidney permanently fail ho jata hai usko bolte hain CKD stage 5 aur usme aapka kidney ka jo kam karne ki shmta Hai vah 10% se bhi kam ho jata hai us samay aapko dialysis ki jarurat padti hai. Dialysis ki jarurat Kabh padti hai yadi aapka saans full raha hai, aapke shareer mein potassium ki matra jyada ho gayi hai aur aapke poore body mein sujan ho gaya Hai. Is tarah ke lakshan jo hote hain usme dialysis ki jarurat padti hain. Dekhiye dialysis ki jarurat aap temporary dialysis kar sakte hain. Jo Kidney failure ka last stage hai uska end stage renal disease ya CKD 5 stage bolte hain. Uska jo best treatment hai wo kidney transplant hai, Gurde ka pratyaropan. Ab mai ye batana chahta hoon Ki dialysis aur kidney transplant mein kya antar hai. Dekhiye dialysis se aap sirf khoon ki safai karte hain lekin jo transplant hai usme aapko ek normal kidney aap ke shareer mein lagaya jata hai kyunki blood filtration ke alawa kidney jo blood ko saaf karne ka kaam karta hai uske alawa kidney se khoon banne mein bhi sahayata hoti hai.
kidney se ek hormone bhi release hota jisko erythropoietin bolte hain wo khoon banne mein sahayata karta hai, fir vitamin D ke synthesis ko bhi madat karta hai kidney aur kaafi saare cheezein hai jo ki aapki normal kidney se nikalta hai. To normal kidney or dialysis mein bohot fark hai. Yadi aap dialysis par rehte ho toh aapko hafta-hafta khoon banne ka injection diya Jata hai aur fir vitamin D ki goli khani padti hai aur dialysis ke liye aapko hafte mai 3 bar hospital jana padta hai aur aapke saath ek adami hota hai. Jiska bhi kam apna rojgar band karke aapke sath hota hai. To dialysis ka jo kharcha hai kaafi jyada hota hai mahine mein kam se kam to 30,000 rupaya jata hai ek admi ko dialysis karne mein kyunki aapko injection lagta hai aur aap ka jana aana aur aap ke saath jo aadmi jaate hain unka bhi jo kaam hota hai wo kaam band karke jana padta hai. Yadi aap dialysis par rehte hain jo diabetic patient hai usme dialysis mein logon Ko 4 ya 5 saal ya 6 saal mein logon ki death ho jati hai. Kafi logon ki kam se kam 30% se 40% logo ki death ho jati hai aur jo transplant hota hai usko karne ke 2 tarike hote hain.
Ya to aapke family member, aapke mata, pita, bhai, behen, aapki patni aapko ek gurda de se agar wo normal hai to. Normal kahane ka matlab ki jo donor hai jo aapko gurda dena chahte hain unko diabetes ki bimari nahi honi chahiye, high blood pressure hai to bhi de sakte hain to bhi gurda de sakte hain bas shart hai ki unka end organ damage nahi hai. End organ damage ka matlab hota hai unko aankh mein retina mein koi bimari na ho, urine mein protein na aa raho ho aur yadi aap ECG karte hain ya echo karte hain to usme heart mein koi soojan nahi ho, left ventricular hypertrophy bolte hain wo nahin hona chahiye aur aapka blood pressure ek single medicine par control hai to aap kideny de sakte hain. Abhi aapke pass 2 kidney hai or koi bhi adami, normal aadmi jiski umar 18 se 65 saal tak hai apni 1 kidney donate ker sakta hai isko bolte hai live related kideny transplant aur dusra tarika hota ha dusra hota hai cadaveric transplant iska matlab hua ki yadi kisi bhi vayakti ka road-traffic accident mein head injury hota hai ya kisi ko brain hemorrhage ki wajah se behosh ho jata hai aur vah ICU main admit rehta hai aur usko neurosurgeon intensivist sab log braindead ghoshit kar diya jata hai.
Braindead ka matlab hua ki aap bina life support ke ventilator ke aur blood pressure maintain karne wali dawa ke bagair aap nahi raha sakte hain aap ka jo saans ki parkriya hi nahi chal rahi hai aur aap ka blood pressure nahin maintain ho raha hai to us patient ko braindead bolte hain. Uske liye hum log apnea test karte hain aur yadi ye test positive hota hai to usko braindead declare karke aur unke family walon se unki consent ya sehmati karke aapka kidney transplant ho sakta hai Jisko cadaveric transplant bolte hain to mai yahan par kafi transplant karta hoon, cadaveric bhi karta hoon aur live related bhi karta hun aur sabse badi baat hai ki jo donor nephrectomy hai, mai laproscopic method se nephrectomy karta haun jisme ki marij ko pain kam hota hai aur 3 din se 4 din ke andar uski chutti ho jati hai aur kafi accha patient ki recovery hoti hai Kafi achha hota hai.
To jo transplant hota hai, transplant karne ke baad aapko 3 se 4 din ICU mein rakha jata hai. Transplant ICU mein aur dheere-dheere aapka jo serum creatinine hai. Urine output sab measure karte hain, blood pressure monitor karte hain aur aap haft-din mein chutti hoke ghar chale jate hai. To transplant ke kitne fayde hain ki aapko dialysis se chutkara mil jata hai aur ek normal zindagi vyatit karte hain to kidney transplant ke bohot fayde hain lekin Yehi hai ki aapko zindagi bhar immunosupression wali dawa Di jati hai jisko khana padta hai aur Iske alawa dialysis aur kidney transplant mein kafi difference hai. Mai yahi samajhta hoon ki kidney transplant jo hai kidney failure ke liye sabse best ilaaj hai sabse uttam ilaaj hai aur logon ko kidney transplant ke liye aage aana chahiye aur jo aapki family hai unko acche se council karke ek gurda de sakte hain normal aadmi usme koi takleef nahi hoti hai logon ko.
Ek aur mahatvapurna baat batana chahta hoon ki India mein kaafi saare patient kidney transplant ke hote hai jinko ki organ nahi milta hai ya to unke family mein diabetic patient hote hain aur kyunki aajkal to jo family ka size hai kafi chhota ho gaya hai wife, husband, ek ya do bacche to jyadatar live donor milne mein takleef hoti hai isliye mera ye aapse nivedan hai ki aang-daan kare aap 1 organ donor bane jisse ki aap 5 se 6 logo ka jeevan bacha sakte hain aur logon ko jeevan daan de sakte hain yadi bhagwan na kare kisi road traffic accident mein aapko head injury ho aur apka bachana mushkil ho jaaye to us condition mein aap 1 organ donor bane aur un logo ko jeevan daan dein. To kidney failure se bachne ke liye kya upay hai main aapko shortcut mein, bohot brief mein batana chahta hoon ki aapko yadi diabetes hai to diabetes yani blood sugar ka control kare. Regular apna routrin urine dekhte rahe, blood urea, serum creatinine check karte rahe aur BP (blood pressure) ko control rakhe aur koi bhi aadmi yadi dard ki dawa regular khate hai to ek isko nonsteroidal anti-inflammatory Jaise combiflame hua, ibuprofen hua, diclofenac hua ye sab dawa khaane se bhi kidney par bhi iska nuksandeh asar hota hai aur mera to yahi sujav rahega ki jab aapko jod aur ghutne ka dard ho to bina doctor ki salah se dawa na khaye aur apna blood urea, creatinine hamesha karte rahe. Apne man se kabhi bhi dard ki dawa naa lein adhik matra mein kyunki wo aapke gurde ke liye hanikarak siddh ho sakti hai. Main asha karta hoon ki meri baat aapko samajh mein aayi hogi.
Thanks!
Hi,
I am Dr. Suresh Kumar Bhagat, Urologist. Aaj hum aap ko kidney stone ke baare mein btayenge. Kidney stones ko kabhi bhi andekha na karein. Agar aap ki kidney mei 4-5mm ka stone hai toh pani jyada peejeye lekin ek baar urologist ki salah jarur lein. Yadi vahi stone ureter mein aake fus jata hai toh vo aap ke gurde ko nuksan phucha sakta hai. Jyadatar yahi dekha gaya hai ki 6mm se chote stones nikal jaate hai. Stones ka problem jyadatar un logon mein dekha jaata hai jo bahar kam karte hain and paani kam peete hain ya fir patient ki family mein vo bimari run kar rahi hai ya fir unmein ye problem hoti hai jo mountains ya fir desert jaisi jagaha mein rehte hain. Isliya main aap ko ye suggest karta hun agar aap ko stones hai toh urologist se consult karein. Unse khaane peene ke baare mein puche ki kya khana chahiyai and kitna paani peena chahiyai.
Agar aap ka stine 5-6 mm se bada hai toh stones ki problem aap ke liya dangerous ho sakti hai. Aur agar aisa stone hai toh aap ko niklvana chahiyai kyuki aise case mein apne aap stones nikalne ka instances kam hota hai. Aise stone ko ignore nahi karna chahiyai. Jarur urologist se consult karein kyuki agar aap ko fever ho raha hai ya vomiting ho raha hai toh aap ko kidney mein infection ho sakta hai. Isliya aapke ureter ka kam karna kabhi bhi band ho sakta hai. Logon ko lagta hai ki ayurveda medicines lene se stone dissolve ho jata hai. Agar stone 4-5 mm ka hai toh stone dissolve ho jayega lekin aap ko diabetes nahi hona chahiyai, single kidney nahi hona chahiyai, aap ko fever nahi aana chahiyai.
Aise condition mein aap 2-3 weeks wait kar sakte hain. Paani piyein and Dr se consult karein. Agar aap ka stone nahi nikal raha hai toh use nikalne ka bahut hi easy method hai. Endoscopy method se nikala jaata hai. 6mm se bade stone ka apne aap nikalne ka chance bahut kam hota hai. Isliye urologist ka suggestion leke use nikalwayein. Aur puchein ki aisa kya karna hai ki kidney stones aap ko baar baar na ho. Sabse easy way hai ki paani jyada lein. Aap ko kaise pata chalega ki aap pani sahi matra mein le rahein hai. Aap ka urine color paani jaisa hona chahiyai. Main aasha karta hun jo maine aap ko kidney stones ke baare mein bataya hai vo aap ko samajh aaya hoga.
Thank You.
Doctor in Kasturmahal Poly Clinic
Doctor in Kasturmahal Poly Clinic
Dr. Suresh Kumar Bhagat
Patient Review Highlights
Very helpful
5 reviewsknowledgeable
3 reviewsSensible
1 reviews