Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Sexology In Harmony

Sexology In Harmony

Sexologist Clinic

3/16, Gokul Niwas, Building No. 3, Ranade Road
4.5
482ratings
23 Reviews
1 Doctor
₹ 1,500 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our mission is to blend state-of-the-art medical technology & research with a dedication to patient welfare & healing to provide you with the best possible health care....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
10:00 AM - 04:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Know More About Female Sexual Problems
Know More About Female Sexual Problems

Hi all,

Mai sexologist Dr. Shirish Malde Mumbai se aap sabhi ko pranaam karta hoon. Langik samasya, yon samasya ke bare mein hum jo jankari aapko de rahe hain isme aaj main aapko ek aise vishye ke bare mein jankari dena chahunga jo ab tak jyada discuss nahi hota tha. Aksar 20-25 saal pehle streeyon mein bhi sexuality hoti hai, mahilaon ki bhi sex samasyaein hoti hain yeh manne ko koi taiyar hi nahi hota tha. Lekin mitro ab samya badal gaya hai, stree aur purush dono ek saman hai ye vigyan mein aur samajik roop se bhi yeh baat prasthapit ho chuki hai. To streeyon ki bhi jo langik samasya ya yon samasya hoti hai iske bare mein hum aaj jankari lenge. To sabse pehle main bataun streeyon mein langik samasya hoti kya hai? Agar clinic se judi huyi baat main agar aapse kahun toh sabse jyada jo samasya nazar aati hai vo streeyon mein samasya yeh hai ki unhe climax ka anubhav nahi hota yani ise anorgasmia kehte hai. Orgasm yani sex ki charam seema ka anubhav karna or anorgasmia yani yeh charam seema ke anubhav se vanchit hona. To yeh streeyon mein number 1 samasya payi jati hai.

Doosri samasya hai kafi common hai aur voh hai painful sex yane sex sambandh ke dauran dard ka mehsoos hona. Bahut saare kaaran ho sakte hai mansik roop se kayi bar stree mein agar darr ki bhavna hai to bhi use dard mehsoos ho sakta hai ya kabhi shareerik roop se stree ko jaise yoni mein yogya straav nahi aata hai to sookhepan ki vajah se bhi use dard ho sakta hai. Lack of sexual desire yani sex ki ichcha hi na hona. Bahut saare kaaran ho sakte hai yeh har ek samasyaein ek ek alag se iske upar video hum banayenge lekin jyadatar streeyon mein dekha gaya hai ki voh emotional oriented hote hain. Streeyon mein jo sex ka relation hai yeh emotion se kafi juda hua hai agar kisi tarah se stree emotional disturbed hai, usko partner ko ke sath ke relation mein agar voh comfortable mehsoos nahi karti hai tab voh sex ki ichcha gawa baithti hain. Kabhi streeyon mein arousal problem hoti hai yane sex ki ichcha hoti hai lekin uttejna mehsoos nahi karti hai.

Aksar hum dekhte hai ki kafi bhartiye purush streeyon ke nazdeek jab vo intimacy banate hai tab apni shareerik swachchta ka dhyaan nahi rakhte hai, smoke ya gutka mawa kha kar ke jab vo partner ke pass jate hai tab agar yeh partner agar vo smoke ki smell se ya mawa ki smell se agar use takleef hoti hai to vo uttejna bhi mehsoos nahi kar pati hai us samya. Aise bahut sare kaaran hai jise stree ki kame-ichcha par asar aajata hai or sabse ahem jo ek issue hai vo hai dono partner ke beech ke relation ke upar. Relation jitna smooth hota hai, jitna open hota hai utna sex relation asaani se hota hai. Agar husband wife ka general relation kahi theek nahi hai, communication ka kafi gap hai, dono mein apas me samanjasya nahi hai aisi paristhiti mein dono ki sex life bhi kafi achi nahi rehti hai.

Aksar aapne dekha hoga ki purusho ke liye baazar me ton ke hisab se dawaiyan uplabdh hai viagra ho ya sialis ho yeh bahut sari dawaiyan purushon ke liye bani hai lekin streeyon ke liye koi bhi dawa aap baazar me nahi dekhte. Uski vajah yahi hai ki streeyon ki jo sex ki bhavna hai yeh dawaiyon mein ya is tarah ke kisi nuskhe se theek nahi hoti hai. Unko treatment ke liye stree ke sath jyada se jyada counselling ho, unke samasya ke mool tak jaye, jo bhi chikitsak unke treatment karta hai voh sirf upar se superficial treatment na dete huye samasya ke mool tak jane ki koshish kare. Husband wife ke relation mein kahan kami hai, kahan problem hai agar vo identify kar lete hain to yeh treatment kafi hadd tak successful rehti hai.

Dhanyavad!


Loss Of Libido
Loss Of Libido

Hi All,

Mumbai se Dr. Shirish Malde, sexologist ka pranaam. Langik samsya ya yon samsya ke bare mein jab hum baat karte hain tab ek ahem samsya jo aksar hamare clinic mein jo aati hai vo hoti hai sex ke bare me ichcha nahi hona ya bahut kam hojana. Stree or purush dono mein hi yeh samsya dekhi jati hai halaki purusho mein sex ya performance oriented hota hai jabki streeyon mein yeh jyadatar emotional oriented hota hai. Isiliye jab vyakti apne life mein kahi bahut hi disturb hua hai tab sex ki ichcha kam hona swabhavik hota hai khaskar ke purush jab bahut hi stressful situation se gujarta hai, tanaav kafi rehta hai mansik roop se ya fir agar use koi aur yon samsya hai jaise ki agar ling mein uphaan hona yane ling mein jo kadakpan nahi aana ya bahut jaldi veere-patan hojana aise samsyaon se jab purush lambe arse tak peedit rehta hai tab dheere dheere voh apna atmavishwas gawa baithta hai aur sex ke bare me uski ruchi kam ho jati hai. Aksar smoking, alcohol ya kisi aur drugs ka sewan agar karte hain yeh sari adatein bhi sex ki ichcha kam hone mein ahem bhumika nibhati hain.

Aksar jo hamare lifestyle diseases hai jaise ki obesity, diabetes yeh samsya bhi sex ki ichcha kam karne mein ahem bhumika nibhati hai. Streeyon mein jaise humne kaha ki yeh agar disturb emotions rehte hain tab stree ki ichcha turant hi kam ho jati hai sex ki jo bhavnaye hain vo mrat ho jati hai. Obesity, diabetes ye streeyon mein bhi mayna rakhta hai aur jadatar hormonal imbalance particularly menopause ke waqt yeh streeyon mein bhi kafi mayna rakhta hai. Lakshan bilkul saaf hai. Ya to sex me bahut lambe interval hojate hai ya fir sex kam enjoyable hojata hai aise logo ke liye. Treatment bahut hi type ke treatment hamare pass uplabdh hain. Medicine kayi bar kam istemal ho aur counselling agar jyada istemal ho to kafi caso mein bahut hi acha positive result dekha jata hai. Medicines ka role supportive hota hai jabki relationship ke jab issue hote hain husband-wife mein agar vo issue ko bhi agar sahi mayne me identify kiya jaye aur agar kuch samsya hai husband-wife ke relation mein aur voh samsya ko jab suljhayi jati hai marital counselling ke jariye tab bhi yeh samsya mein result bahut jald aur ache dekhe jate hain.

Dhanyavad!


Sexual Problems And Modern Lifestyle Diseases
Sexual Problems And Modern Lifestyle Diseases

Hi All,

Mumbai se sexologist Dr. Shirish Malde ka sadar pranaam. Aaj hum baat karenge yon samasya aur modern lifestyle diseases. Modern lifestyle diseases kya hai? To naam jaise batata hai modern lifestyle diseases yeh hai ki jo aapko apne lifestyle se diseases milte hain. To mitro aap samajh gaye honge mai baat kar raha hoon diabetes yane high blood sugar aur hypertension yane high blood pressure. Diabetes aur hypertension yeh do 21vi sadi ke rog hain jo logo ko apne stressful life ya lifestyle ke jariye milta hai. Vigyan ke avishkar ke sath hamari life kafi comfortable huyi hai jahan hum kheton mein pehle shareerik shram karte the vaha hum ghar mein AC ke mahool mein rehte hain, fir hum AC car me drive karke office pe aate hain, vaha bhi hum AC mein rehte hain aur na hum koi shareerik shram karte hain na kahi hum khuli hawa mein jate hai aur na hi kahi hum dhoop mein expose hote hain. To mitro yeh saari cheezon ka ek apna disadvantage bhi hai hamari life mein jisse hum normal life se vanchit rehte hai. To yeh modern life jo hai hamari stress, hurry, worry or curry yeh teen cheez isme additional damage karti hai aur iska asar jo hai seedha sex life ke upar aata hai.

Diabetes, high blood sugar jo hai yeh 5-10 saal ke baad ek research ke hisab se takreeban 50% logo ko apni sex life me baadha create karta hai aur high blood pressure jab control mein nahi hai to yeh bimari bhi kafi logo mein ling ke uththaan yane penile erection mein problem create karte hai. Ek survey ke hisab se kam se kam 60% logo ko yeh dono bimari erectile dysfunction jaisi sex problem create karti hai yane jitne patients sexual problem ke dekhe jate hain usme se 60% logo mein yeh 2 samasyein payi jati hai. To akhir hai kya yeh dono samasyaein. To sabse pehle mitro yeh samajhte hai ki diabetes jo hai ye blood mein high sugar rehne ki vajah se metabolic disease hai aur ye ek silent killer hai. Agar aapko koi lakshan nahi hai, diabetes ke koi chinha nahi hai iske bawjood bhi ye androoni shareer ko khokla banati hai, aapki blood vessels yane khoon ki naso ko aur majyatamto yane nerves ko ye kamzoor banati hai.

Similarly, hypertension jo hai ye high blood pressure aksar logo ka blood vessels ki elasticity kam kar deti hai jis vajah se erection ke waqt jo blood flow badhna chahiye vo badh nahi pata hai kyunki blood vessels elasticity kam hone ki vajah se expand nahi hoti hai. Ye dono samasyaein turant nahi lekin kuch saalo ke baad samasyaein create karti hai toh isse bachna mumkin hai. Iske liye aapko ek bahut hi achi behtareen lifestyle maintain karni hoti hai. Dawaiyon ka istemaal to apni jagah par aayega agar koi vyakti iss samasya se sex mein kuch problems mehsoos karti hai to dawaiyon ka to istemaal aayega hi lekin sath hi mein ye lifestyle disease mein correction lana bhi bahut zaroori hai, vyakti ko aisa kaha jata hai ki 24 ghanto mein se ek ghanta vo apni body ko maintain rakhne mein agar deta hai to uss vyakti ko lifestyle disease jyada problem create nahi karenge. To mitro jyada waqt nahi lunga bus itna kahunga lifestyle disease ko control mein maintain rakhiye aur agar sex ki samasyaein fir bhi agar create hoti hai to uska sahi doctor ke paas jakar ke sahi ilaaj karvayein aur apni niji sex life ko tandurast aur healthy aur joyful rakhiye. Thank you. Aur adhik jankari ke liye aap mera sampark kar sakte hai lybrate.com iske upar mai available hoon jankari le sakte hain.

Dhanyavad!


Sexuality In Older Age
Sexuality In Older Age

Nameshkar mitro!

Me Dr. Shirish Malde, sexologist, Mumbai based hun. Aaj hum ek aisi samasya ke barey mein baat karenge jisse humari kafi population pareshan rehti hai. Humara vishaye rahega sexuality at aging. Barhti hue umar ke sath sath sex ke mayne kaise badalte hain ya sex samasiyaen kia kia asakti hain uske barey mein hum jaankari lenge. Tau doston sabse pehle tau yeh batadun ke umarab barhna yeh koi sex ke liye badhya nahi hai. Yeh ek natural process hai agr barhti hue umar mein bhi kisi bhi viqti chahe who sitri ya purush agr uske sex ki ichcha agar barkarar rehti hai tau yeh bilkul normal hai. Halanke agar ichcha nahi hai tau unko fiqar kerne ki zarurat hai. Jaise umar barhti hai sharer mein kafi badlao atay hain mansik badlao bhi atey hain tau aise mein yeh badlao kia ayenge iske barey mein agar ap koi jankari hogi tau ap jau kabhi kabhi jau fiqar hoti hai jau kabhi kisi cheez ki anxiety hoti hai use bach sakte hain. Umar barhti hai waise purushon mein jau badlao jau dekhe gae hain us mein yeh hota hai ke erection aney mein thora lamba samey lagta hai, uktejana ki ziada zarurat hoti hai, aur us viqti ko apne female partner se bhi uktejina milne ki buhat ziada zarurat mehsoos hoti hai. Istrion mein halanke yeh dekha gaya hai ke unki bhi sex ki ichcha barqarar rehti hai aur jau sharerrak badlao atey hain who kafi had tak hormones ke related hote hain.purushon mein yeh hormones jab kam hote hain particularly androgens jisey mainly testosterone jau hormone hai yeh kam hone se viqti mein ek jau samsya nirmaan hoti hai jisey andropause kehte hain yeh istrion mein jau menopause hota hai uske barabar ka shabd hai. Is mein kam hue hormones ke chalet chalet viqti mein chirchirapan,thakan jaldi mehsus kerna, kaam kaaj ke doran use phurti na hona aur sex mein erection thek se na ana ya jau sex ki ichcha hai kamik ichcha mein kam hona yeh parmokh lakhshan hain. Istion mein bhi mood change hona yeh menopause ka eke ham laqshan hai. Uske sath sath shareerak badlao jau hote hain usme lubrication ka kam hona jae mah se jau discharge ata hai usme kam hona yeh parmokh lakhshan hain. Is wajah se unhe kabhi kabhi kuch sex ki samasyain sata sakti hain. Uske elawa life mein jau barhti hue umar ke sath jau 40-45-50 saal ki jab hum baat kerte hain tab insan ki life mein kafi badlao ata hai. Jaise who profession mein ziada responsible position per puhanchta hai chahe job ho,yah business ho uska apna khudka tau wahan per jau demanding nature hai who ziada hojata hai kion k eek position si hoti hai insan ki uss waqt ki tau uske pas zimedarian kafi hoti hain. Sath mein hi domestic front pe uske ghar pe bachay barhe hue hote hain 20-22 saal mein uska jau education ke waqt uska ek ahem bhomika hojati hai aur usi ke sath sath unke parents jau 60s-70s ki age mein puhanchte hain unke samasyain bhi kafi rehti hain. Tau yeh insan 40s-50s mein ek aise cross road per aker ke khara hai jahan per usko apni niji life aur apne parewar jinon ki health parewar jinon ka education yeh sab cheezon ke barey mein uske liye sochna buhat zaruri hojata hai. Tau aise mein insan kafi kabhi stress mehsus kerta hai kafi tanao mehsus kerta hai, sath hi mein usko apni fitness ka bhi buhat hi dehan rakhna zaruri hai. Kyun ke yeh who umar hai jahan per diabetes, blood pressure,cholesterol jaise life tell diseases bhi apna sar uthati hain aur insan ki apni health mein kafi diqatein paida ker sakti hain. Tau aise mein apko sirf yehi kahunga ka umarab jaise barhti hai 50-55 ke agey bhi jaise sex ka ichcha hona bilkul normal hai yeh ghalat bilkul nahi hai. Halanke ek soch hoti hai insan ko abhi vanabparastam yani 50 saal ki umar mein yeh sab chor ker ke bhagwaan ke naam mein ziada vaist rehna chahye. Me tau yeh kahunga ke bhagwan ke naam mein apko pehle se hi vaist tehna hai sirf 50 ke baad nahi. Lekin jau sharer ki jau zaruratein hain,mann ki jau zaruratein hain uske oper hum drulaksh nahi kersakte hain. Who bhi utna hi importance rehte hain humari life mein tau uska bhi jaisey jaise mauqa milta hai jaise husband aur wife ko niji ek privacy rehti hai who bilqul barqarar rakhni chahye aur sexual relation qaim rakhna chahye. Ek common saying hai “use it or lose it” yeh saying humare sharer ke pushton ke liye sharer ke sab organs ke liye hi utna hi lagu hota hai ke jis organ ka apne istemaal kerna band kerdiya tau who organ apni shamta gawah bethta hai. Tau mitron yeh buhat zaruri hai ke hum fitnessmaintain karen ta ke hum achi health guzar saken, bimarian aone nazdeek na hun aur ap apni life ka jau anand hai who sahi tarah se utha sakte hain kion ke wigyan ne kafi taraqqi ki hai umrab barhne ke sath sath agar apnki joints mein taqleef hoti hai, had se ziada taqleef hojati hai tau ap joints replace kerwate hain, dant agar gir jate hain tau ap dant naye bithate hain,sar mein agar baal pak jate hain ya gir jate hain tau aap wig lagate hain,moti bindu mein hum lens change kerwate hain waise hi sex life mein bhi zarurat parhne per hum dawayon ka istemaal kerke humari sex life ko barqarar rakh sakte hain. Tau mitron yeh baat dehan rahe barhti hue umar humari sex life mein bilkul badah nahi dalti hai, badah agar dalti hai tau woh humari soch hai. Kisi ne theek kaha hai ke insan shareerak roop se bura pehle nahi hota hai mansik roop se apni soch se pehle bura hota hai. Tau aye humein apni soch badalni hai hum forever young rahenge aur forever young mehsus karenge.

Aur kisi ki jankari ke liye ap mera contact ker sakte hain ya appointment fix kersakte hain Lybrate yeh app ke zariye. Yeh Lybrate ka health app hai yeh kafi useful apko sabit hosakta hai. Dhanewaad!


Addiction To Pornography
Addiction To Pornography

Doston! Dr. Shirish Malde, sexologist Mumbai ka ap sab hi ko namashkar.

Hum aksar dekhte hain ke jau technology hai jis tarah se barhti hai humein kia kia naye ayaam dikhati hai.

Ab hum baat ker rahe hain internet ki. Ek zamana tha jab internet buhat bari luxury hua kerti thi aur ajwaqt hai ke internet har sab hi ki pocket mein apke unglion ke sparsh ke oper available hogayahai aur who bhi unlimited data ke sath.tau doston yeh cheezon ka humari niji life per buhat hiasar parhta hai aur khas ker ke hum agar sex life ki baat karen tau data available hone ke sathsath pornography bhi buhat easy available hogae hai. Han! Aur who bhi sab ko apni apni privacy apni niji space mein. Tau iska humare sex life per tau asar parhega hi tau hum dekhenge yeh kistarah se parh raha hai. Aj dekheye pornography viewing mein humara desh Hindustan panchwain number per hai. Aur yeh kafi had tak kafi log iska istemal kerte hain, isko dekhtehain, kuch log kam kuch log ziadadekhte hain aur iski asar tau rahegi hi humari sex life ke operjis tarah se logon ke sawal atey hain iske oper se humne yeh kuch findings bataye hain.particularly humare desh mein pornography itni kyun popular hai? Tau iska sabseimportant ek jawab yeh hai ke humare yahan formal sex education yani jise hum yawn shikshankehte hain uski kami hai. Ab jis cheez ki kami ho, jis cheez ka knowledge na ho, knowledge hotabhi hai tau apne friendon se mila hua tuta phuta knowledge hai aur yeh jau half knowledge haiyeh humein kafi taqleef mein rakh sakta hai. Tau isi wajah se log jau kehte hain na “forbiddenfruit is always more tasty” waise jis cheez ka partiband hai who cheez humein ziada akarshidkerti hai. Aur isi ko le ker ke yuva verg khas ker ke pornography ke peche kafi samay viyat kerta hai. Ab iska asar hota yun hai ke log isey sex education ka ek zariya samajh bethte hain. Halan ke bilkul aisa nahi hai. Yeh mera spashmat hai pornography hai yeh ek sirf uttay jina nirmand kerneke liye agar dekhi jaye usko sirf casually dekha jaye tab tak thek hai lekin jab ap isko ek limit kebahar jaise ap chale jate hain tau yeh khatre ki ghanti bajata hai apke liye. Khas ker ke us waqtjab ap isey sex education ka zariya samajhte hain. Kyunke pornography mein jau yeh dikhatehain yeh sab hi cheezain qanoonan tor pe mumkin nahi hoti hain khas ker ke child pornography, violent sex, animal sex yeh sari cheezain qanoonan partiband hain aur naytik roopse bhi yeh sari cheezain ghinoni hain. Aksar isey ap education tool samajh ker ke agey barhtehain tau kafi taqleef mein asakte hain. Khas ker ke who yuva jau pornography mein dikhate hain who actors ke jau angupang hain usko dekh ker ke apne ap mein kafi hindbhawana mehsoos kerte hain. Ek parkar ki inferiority complex mehsoos kerte hain jaise ling ka akaar hai ya sambuqka jau samay dikhaya jata hai isko le ker ke logon ke mann mein kafi brahmanain paida hoti hainaur who apne apko inferior samajhne lagte hain aur aise cases kafi manokchikat ke liye atey hain. Waise dekhye jaye tau dekhye yeh ek industry hai jahan per modelling ek vayosaye haiyeh aise models ko choose kerte hain jau is industry ke liye fit hote hain. Tau isko dekh ker kesab hi logon ko apni tulna nahi kerni hai aur khuan ma khuan inferiority complex nahi bananahai. Dusra pornography apko addict banata hai, yeh aisi cheez hai jau apko bar bar dekhne permajboor kerta hai ap isme apna kafi qeemti waqt vastvayat kerte hain aur kafi apki education,job mein kafi pichrey reh sakte hain.apna niji personal life bhi is mein kafi disturbhota hai aur sab se mehtapurne baat hai ke isme forceful sex dikhate hain, violent sex dikhatehain yeh kafi had tak samaj mein yeh forceful sex ko uttayjit bhi kerta hai tau humein isko bilkulhi education tool ke hisab se nahi lena hai. Aur jaise hi yeh pornography ka humein addictionbhi nahi rakhna hai uske badley humein apne apko ziada se ziada productive work mein involvekarye. Internet available hai tau isey ap achi jankari prapt karye, kafi achi jankari apko mil sakti hai aur na ke pornography dekh ker kea p yeh sab ghalat fehmiyan nikalen. Doston! Mera apsenumra amurad rahega keh pornography kea p balli nahi banye, usko excitement ke roop se apdekh ker ke lightly lijeye aur uska anand utha sakte hain baqi usko academic tool mat banayega.

Ap is barey mein aur kuch jankari janna chahte hain ya appointment fix kerna chahte hain tauap Lybrate yeh app ke zariye contact ker sakte hain. Dhanewaad!


Male Reproductive Organ
Male Reproductive Organ

Mitron!

Sexologist Dr. Shirish Malde Mumbai se ap sab hi ko namashkar. Aj hum is mudday per baat karenge jau hum humare Lybrate app per questions ka samna kerte hain. Samajh lijeaye humare 50% jau sawal hain who inhi common samasiyoun ke liye humein pochay jatey hain.Tau hum buhat hi quickly hum in common questions se jau frequently asked questions hainuske barey mein hum jankari denge. Sab se agar ziada sawal ate hain tau ate hain Penis ke yanipurush ke shish ke lambae aur chorea ke barey mein. Tau doston ek simple me apko answerdunga ke agar kisi bhi viqti ka ling uthay ki tavasdha mein 3 inch ya uske oper hai tau us viqti kaling normal size hai waise viqti ke anushaar jaise uska qadd kam ziada hota hai uski height kamziada hoti hai waise ling ki bhi size kam ziada hosakti hai. Lekin 3 inch ke oper hai uthay kitavasdha mein tau yeh norma lmana jata hai us viqti ke liye bhi aur uske partner ke liye bhi.Kyoun ke sambuq ke waqt size does not matter. What actually matters is the sctual skill of love making and time duration. Mitron second most common samasya hoti hai shigar patan yapremature ejaculation ki, tau doston ek baat yaad rakheye sambuq mein kuch standard timenahi hota hai. Apke sawamann mein sawal ayega ke minimum kitna hona chahye. Tau jawabyeh hai ke dono ki santushti ho tab tak. Iske liye apko ghari mein dekhne ki zarurat nahi hai aurwaise ek baat ka yaad rakheye ke jab samboq naya hota hai jaise young generation hai unka jabfirst initial sex hota hai tab uttayjina buhat taizi se barhne ki waja se veere patan jaldi hojata hai.Phir kuch log aise hain jau samboq ka jau hai unhe chance buhat kam milta hai tau aise logon mein bhi jaisay lambay arse ke baad samboq hota hai kabhi kaam kaaj ke, krobar ke waja se,ghar se durr rehne wali viqti jab ghar lotti hai us waqt bhi who uttayjit hoker bhi buhat jaldi veerepatan hojata hai , yeh ek aam samasya hai normal hoti hai. Shigarpatan tau sabsecommon samsya hai hi lekin uske sath sath uski other side yani delayed ejaculation, kuch viqtiko samboq mein buhat late veere patan hota hai ya hota hi nahi hai. Aksar aise log bhi hote hainjau infertility ke samasya ke liye dhanto ki pareksha dene who laboratory mein jate hain aur who masturbation ker ker ke apna dhanto nahi de pate hain unka veerepatan hota hi nahi hai.Tau doston yeh sari samsyaen kafi had tak mansik samsya se jurri hue hoti hain aur iske operachi tarah se control develop kerna yeh seekhne wali cheez hai. Jaise insan gari chalana seekhna hota hai ya pani mein tairna seekhna hai who regular practice ke zariye hi seekh patey hain.Waise hi shigarpatan ke oper bhi control bhi ek regular exercise se hi seekh sakte hain. Aur absab se ziada jau mahaz samsya logon ko satati hai yeh hai hans matun ke sath sath unke mannmein jau hazaron sawal rehte hain aur veerepatan se hone wale nuqsan ke barey mein unke mann mein hazaron duwedhaiyen rehti hain kyoun ke aksar kafi had tak yeh neem hakeem duwara yeh phelaye gae ek yeh brahmina hoti hai keh hans matun kerne se falan hojata haihans matun kerne se dikna hojata hai. Halanke hans matun ko vigyan ne ek normak kareyamana gaya hai even humara jau purana kamashastara hai vashtun doshtri ka likha hua haiunhon ne bhi isey pani metrun yani pani yani sankrit mein hath tau hans matun ek normal kiryahai yeh humare vastayan ke kamasutrye mein bhi dikhaya gaya hai tau yeh ek normal kirya hai isse sharer ka oper koi bhi viper prenaam nahi hota . tau young doston ya dost jinke pas partner available nahi hai who hans matun ka preyok ker ke apne apko ya apni sex ki ichcha ko normalrakh sakte hain yeh bilkul normal cheez hai. sharer mein jau veere uska nirman utserjin ke liyeyani bahar nikalne ke liye hi kiya gaya hai na ke sharer mein rehne ke liye. Is liye agr veeriyast kautsarjan hojata hai veeriyast khalan hojata hai tau bhi sharer ke oper koi viprit prenam nahihota yeh baat ap dehan rakhen.

Tau mitron yeh samsyaein ya isse milti julti aur bhi buhat sarisamasyain hun ya duwedha paida kerne wale koi preshant hun tau ap mera contact lybrate yeh health app ke dujerye ker sakte hain aur appointment bhi book ker sakte hain.

Dhanewaad!


Vaginismus Problem
Vaginismus Problem

Treatment for Vaginismus


Erectile Dysfunction
Erectile Dysfunction

Causes and treatment for Erectile Dysfunction

Namaskar mitron! Main Dr. Shirish Malde Mumbai se sexology mein specialize karta hu aur aaj jo hum ye video ke dwara jo jaankari lenge ye humari jo sabsi badi samasya hoti hai, erectile dysfunction, ya isse impotence bhi kaha jata hai, iske baare mein hum jaankari lenge. Aap dekh rahe hai ki erectile dysfunction ye ek kaafi hadh tak ek samasya hai jo young age se lekar bade umar tak kisi bhi wyakti ko bhi ho sakta hai. Waise ling mein kadakpan aur uthaan aana, ling mein erection aana, ye wyakti ke marzi ke hisaab se nahi hota hai. Jaise hum apni marzi se paseena nahi nikaal paate, ye paristithi ke upar nibhar karta hai, waise hi ling mein uthaan aana ye bhi paristithi ke upar aur wyakti ke utejna ke upar nibhar karta hai.

Jab kisi wyakti ko ling mein uthaan lane mein ya lambe samay tak tikane mein takleef hoti hai wo asamarth hota hai, tab isse erectile dysfunction ya impotence kaha jata hai. Normally iski do wajah hoti hi; psychogenic yaani maansik kaarano se aur dusra hota hai physical yaani shaaririk shamta ke abhav se ye samasya nirmaan ho sakti hai. Toh hum short mein dekhege ye samasya kaise nirmaan hoti hai. Jaise hum kahege psychological problem toh kuch wyaktiyon ko lack of knowledge yaani sahi jaankari nahi hoti hai ya unhe fail hone ka darr bana rehta hai, kabhi kabhi couple mein communication thik nahi hone ke wajah se ya relationship disturb hone se bhi ling mein uthaan aane mein takleef hoti hai. Kayi baar wyakti bore hai ya stress hai, kabhi usko adequate rest nahi milta hai ya depression hai ya anxiety hai, aisi samasyaon se bhi usko jis waqt wo chahta hai us waqt uske ling mein uthaan nahi laa paata hai. Isko psychogenic problem kehte hai.

Aur ab dekhoge ke kuch organic problems hote hai, physical problem jaise diabetes, aur hypertension, ye bahut hi common rog hai jisse ling mein tanaav lane mein difficulty hoti hai us wyakti ko. Kuch medicines bhi hai jaise diabetic aur hypertension ki medicines hai jiske side effects ke chalet bhi ling mein tanaav aana mushkil ho jata hai. Toh ye hua kaaran ke wajah se, ab aap dekhoge ki impotence ya erectile dysfunction ke tests kya hai. Aksar ache doctor detail history lete hai aur ussi se unhe pata chal sakta hai ki ye samasya kis wajah se hai lekin kuch cases mein jaha diagnosis ke liye test ki zarurat hoti hai tab ye tests behadd zaruri hoti hai. Sabse pehli test hoti hai Intracavernosal Injection Vasoactive Drugs yaani penile Doppler test bhi keh sakte hai isse. Isme wyakti ki ling ki jo raktovayiniya hai uski rakht paribhraman kitna ho raha hai ye check kiya jaata hai. Ye test mein chota sa injection ling mein diya jaata hai aura aage chal ke aap dekhoge ke sonography se ye graph dikhta hai jisse blood flow ka velocity check kiya jaata hai.

Aur ek test hai Penile Angiography yaani agar rakhtvayiniya mein koi samasya nirmaan hume nazar aati hai toh angiography ke zariye wo block kaha par hai wo exactly hum pata kar sakte hai. Aur ek test isme use hoti hai wo hai NPT Scan Monitor yaani Nocturnal Penile Tumescence Test, isme wyakti ki puri raat mein aane wali erection machine dwara record ki jaati hai aur dusre din ye graph nikaala jaata hai. Normal wyakti ka graph aisa hota hai jaha pe wo teen se chaar episode erection ke usko aate hai aur ye aise wyakti ka graph hai jaha koi bhi erection nahi aaya hai raat ko. Toh isse unke bloof flow mein samasya hai ya nahi ye usse pata chal sakta hai. Abhi treatment ka jaha tak sawaal hai, aap dekh rahe hai ke treatment mein sabse ahem bhumika hoti hai counseling or sex education ki, jaise maine bataya tha ki kuch log darr se ya sahi jaankari na hone ke aabhav se peedit hote hai, unke liye ye bahut zaruri hoti hai. Kuch conditions mein oral drug dena zaruri hota hai yaani medicines ki zarurat hoti hai aur kayi case mein jaha medicine kaam nahi karti hai waha self-injections jo humne dekhe the wo de sakte hai, vacuum erection device bhi isme useful ho sakta hai aur last mein surgery ke dwara bhi ye problem solve ki jaa sakti hai.

Surgery mein Penile Prosthosis yaani penile implantation hota hai. Ab ek ke baad ek hum dekhege ke kuch medicines hai jo Sildenafil, Vardenafil, Tadalafil, ye wyakti ko erection lane mein kaafi helpful hote hai. Ye Intracavernosal Injection jaha wyakti khud hi apne aap ko injection de sakta hai mein aur 2-5 minute mein acha erection haasil kar leta hai. Next hai ye vacuum pump ke zariye bhi ling mein erection paaya jaa sakta hai aur last mein ye penile prosthesis jo silicone rods hote hai jo ling mein bithaye jaate hai jiske zariye wyakti ling mein tightness paa sakta hai. Toh aap ne ye dekha is video mein ki ling mein tightness lane ki jo samasya hai ye kaafi aam, young age se lekar old age tak sabhi vyaktiyon ko ye samasya kabhi na kabhi life mein ho sakti hai. Lekin agar sahi jaankari ho aur yogya maarg darshan mile toh is samasya se aap humesha ka chutkaara paa sakte hai aur puri tarah se ye treat kar sakte hai.

Iski aur adhik jaankari ke liye aap mujhe contact kar sakte hai lybrate.com ke zariye. Dhanyawaad.


Premature Ejaculation
Premature Ejaculation

Get rid of Premature Ejaculation

Namashkar Mitron! Main Dr. Shirish Malde, sexologist, Mumbai se. Aaj apko purusho ko satani wali ek sabse badi samsya ke barey mein kuch maarg darsan dunga. Yaun sambandh mein yeh ek common samasya kahi jaati hai, yeh hai premature ejaculation yah shighra patan. Iska definition aap agar dekhogey toh thoda sa lambi chaudi hogi lekin agar short mein kahey toh premature ejaculation uss samasya ko kehte hai jaha vyakti ka virya skhalan who jab chahta hai ussey jaldi ho jata hai aur uss wajah se woh vyakti ka aur uske partner ka yaun samadhan nahin ho pata hai, isss samasya ko hum premature ejaculation kehte hai. Waise iss samasya kko agar hum thoda detail mein janna chahey toh clinically hum iss samsya ko 3 bhaago mein divide karte hai,

Grade 1 hai orgasm before entry, orgasm yani ki virya skhalan hona. Kuch vyakti o ki yeh samasya itni badi hoti hai ki yoni se prabesh karne se pehli hi skhalit ho jatey hai.

Grade 2 mein aisi vyakti hoti haijinka virya skhalan yoni prabesh ke baad turant ho jata hai.

Grade 3 mein aisi vyakti hotey hai jo yoni pravesh kar patey hai thoda sa thrusting bhi hota hai lekin who zyada samay tak virya ko nahin rok patey hai aur skhalan ho jata hai.

Yeh teeno catagry mein vyakti ka samadhan nahin hota hai naa hi unka partner ka samadhan hota hai. To hiss tarah se vyakti agar kabhi iss samsya ko lekar ke humarey paas aati hai toh hum detail History mein jaan kar ki who kaunse grade mein hai yeh pehle pata karte hai phir usko ilaaj ke liye bataya jaata hai. Aksar hum dekhte hai kaafi log iss mein apne taraf se kuch na kuch treatment karne ki kosish krte hai, yaani kuch logo ne dekha hai ki koi cream yah spray use karte hai jissey thoda sa faida hota hai. Yeh cream anesthetic cream, gel yah spray hota hai jissey ling ka bahari hissa sunn ho jata hai wahan koi sensation mehsus nahin hota hai. Iss wajah se kuch logo ko faida hota hai.

Kuch log sambhog ke samay dhyan ko dusri taraf khichte hai taa ki unke uttejana kam ho jaye. Kuch log alcohol ka use karte hai ta ki alcohol ki affect se uttejana mein thodi kami ho jati hai. Kuch log sambhog se pehle hasth maithun ka upyog karte hai. Aur kuch log sambhog ke waqt condom ka istemaal karte hai, taki ling ka direct contact na ho aur uttejjana kam ho jati hai. Toh yeh sab aisa treatment hai jo hamesha upyogi nahin hoti hai. Kabhi kabhi ksii vyakti ko thoda sa faida agar de deti hai lekin kayam swarup se faida nahin de paati hai, toh yeh sab treatment yeh samsya ke liye mein koi zyada faida nahin krti hai.

Aksar yeh samsya ke liye koi test ki zarurat nahin hoti hai, koi laboratory investigation ki zarurat nahin hoti hai, aur iss mein control develop karna yeh vyakti ke liye ek seekhne wali cheez hai. Aksar kuch log jab kaafi arse ke baad sex karte hai, jaise job ke liye kahin bahar rehna, parivar se door rehna aise vyaktio mmein bhi shuru mein premature ejaculation ki samasya reh sakti hai, lekin jab niyamit roop se partner ke sath raha jata hai tab yeh samsya nahin rehti hai. Kuch log vivah ke purv laingik sambandh banate hai unlogo ki kabhi kabhi yeh samsya hoti hai. Kyun ki agar privacy sahi nahin hai aisi tension wali paristhitio mein bhi vyakti ka premature ejaculation ho jana swavabik hai. To hiss samsya ke do karan hai ek ling mein samvendanshilta zyada hona, yah vyakti ka threshold kam hona yani who sex ki uttejna zyada der tak bardast nahin kar pata hai aur thodi si uttejna mein hi usko virya skhalan ho jata hai.

Abb hum treatment mein dekhengey, toh iska treatment medicine se bhi sambhab hai, aur medicine se agar accha response milta hai, vyakti ka samay badh jata hai toh behavioral therapy ke zariye lambe arsey tak control develop kar pata hai. Medixine mein kuch log anesthetic gel yah spray ka istemaal karte hai, kuch medicines hai jo vyakti ko virya skhalan rokne mein madad deti hai yah rare cases mein ling mein lene waley injections se bhi faida ho sakta hai. Yeh hum dekh rahey hai behavioral therapy hai (displays on computer screen). Jissey stop and start technique yah squeeze method kaha jata hai. Iss mein vyakti kya karta hai ki jaise hi uttejna purn paristhiti nirmaan hoti hai vyakti ko beech mein yah toh stop hona hai, yah squeeze de kar ke uttejna kam karni hai ta ki uska virya skhalan ka samay badh sakey. Toh yeh jo shighra patan yah premature ejaculation ka samsya hai iss mein medicine ke zariye yah behavioral therapy ke zariye iss mein control haasil kiya jaa sakta hai.

Iss ke barey mein adhik jaankari ke liye aap mujh se Lybrate.com par sampark kar sakte hai. Dhanyabaad.
 


Male Infertility
Male Infertility

The causes, symptoms and Homeopathic treatment for Male Infertility

Namaskar main Mumbai se Dr Shirish C Malde. Aaj aapko male infertility yaani purusho mein hone wali baanjhpan ki samasya ke baare mein aapko kuch batana Chahoonga.

Aksar Hamare samaj mein pehle se hi ek aisa ravaiya raha hai ki Jab bache bache Paida nahi hote Kisi couple ke to hamesha hi istri ki taraf ungli uthaayi jaati hai. Uski treatment, investigation saare istri k hi karaye jaate hai. Kai case me baccha nahi hone k kaaran purish dusri shaadi bhi kr leta hai. Or kabhi kabhi aise case me samasya jyo ki tyo rhti hai. Kyunki aise case me samasya istri me ni lekin kabhi kabhi purusho mein bhi hoti hai. Ye samasya ko purusho ki wajah se Hone Wale baanjhpan ya male infertility Kaha Jata Hai. Iski mukhya teen Wajah hoti hai. Ya Sambhog ke dauran Purush Apna veerya istri ke Sharir Mein barabar aaropan nahi kar pata hai.

Ya kabhi kabhi Purush ke shukra jantu me yaani veerya mein kuch kharaabu hoti hai, Jis wajah se wo Baap Nahi main samarth nahi hota toh sambhog mein agar koi takleef hai Jaise ling Main barabar Khadapan nahi aata hai ya veerya patan bahut hi jaldi ho jata hai aise cases Mein Hum Pehle bhi dekh chuke hain ki kya treatment leni chahiye. Uske liye aap dusra video Mera dekh sakte hain. Abhi hum jo hum Dekhenge Ki veerya Mein jo Kami hai ya pareshani Nazar Aati Hai to usse Kaise Hal Kiya jata hai. Treatment Mein sabse phle Pehle pursho ki poori Jaanch hoti hai. Uske biolangik abhiavavya ang hai uski tapaas hoti hai. Agar andkosh ka sahi se Vikas nahi hua hai toh kyu nahi Hua Hai Iski Bhi jaanch ki jati hai.

Kuch cases mein hormones ki bhi investigation Hona zaroori hai aur sab se mahatvapoorna Veerya ka laboratory testing karna. Aap Ko Yeh jaankar hairaani Hogi ki striyo mein bahut si testing Ki Zaroorat hoti hai aur Akshar Kafi test mein hospitalization bhi zaroori Hota Hai. Jab ki purusho mein aisa nahi hai. Purusho mein takreeban 80 percent investigation semen analysis yani Veerya ki tapaas se ho jati hai aur wahi par khatam ho jati hai. Agar Purush jo veerya dene Jata Hai laboratory me tab bhi usse kuch Baatein Dhyan mein rakhni chahiye. Kai baar pressure ki wajah se matlab maansik pressure ki wajah se woh laboratory Mein Dhatu nahi de pata hai. Toh aise case Mein Hume usse sahi dhngse guidance Dena zaroori hai. Jab wo apna sample deta hai wo laboratory Mein To Shaam ko jab report Uske Haath Mein Aati Hai, Tab us report mein kuch do teen cheez hoti hai Sabse pehle hai shukranu ki sankhya aur doosri sukranu ki gatishilta Kaisi hoti hai. Ye dono hi cheeze bde maine rakhti hai, prusho ki unki jo capacity hai, fertility capacity Woh in cheezo ka dhyaan rakhti hai. 2 sperm count jo hai World Health Organisation ke manual ke hisab se 20 million yani 2 crore per ml of semen Hona zaroori hai. Agar count is se kam hai Toh us Purush ko aur kuch test ki shayad jarurat pad sakti hai Kyunki come Count me baccha karna Mushkil Hota Hai aur dusra hota hai shukranu ki gatishilta.

Takriban 50 pratishat sukranu ki jo gatishilta hai vo acchi hone chahiye Aur Yeh forward progressing hone chahiye. Agar gatishilta kaam hai aur mrit shukranu jyada hai ya bilkul movement nahi karne wale sukranu jyada hai Toh aise case maybe kuch aur tapaas Ki Zaroorat hoti hai aur Jaise Karan Milte Hain us hisaab se treatment Hona zaroori hai. Physical examination Mein Ek Aur baat dhyaan ki Jati Hai Wo hoti hai varicocele. Kuch purusho ki jo shukranalikaaye hoti hai wahan or rakt purotak krne wali jo nalikaaye hoti hai, rakt vahini hoti hai wo kabhi kabhi fool jaati hai. Jis wajah se andkosh Ke Aas Paas ka tapman Bad jata hai aur wahan par Bhi sukranu ki sankhya Mein ya gatishilta mein kami Aati Hai aur Aisa kuch paya jata hai to uska Doppler test Kiya jata hai Aur Us hisab Se Purush ko kabhi kabhi Ek chota sa surgery karna padta hai Jahan Par fooli hui nase Hai Woh bandhi Jati Hai Taki Jo badne wala temperature Woh normal Rahe. Is vericocele operation ke baad takriban 50 pratishat Purusho mr count me vridhi aur gatishilta may bhi vriddhi Aati Hai. Kabhi kabhi Aise Bhi cases aate hai jaha par sukranu Sabhi mrit Hote Hain ya kabhi kabhi Aise Bhi cases hote hain Jahan veerya me shukranu ki sankhya 0 hoti hai. Isse azoospermia Kehte Hai. Azoospermia do Tarah Ke Hote Hai medical azoospermia aur Surgicals azoospermia.

Surgical azoospermia me shukranu ka jo pathway hai woh Kahi na Kahi block Hota Hai Jis Se Shukranu andkosh me taiyar Hote Hai Lekin bahar nikal nahi paate hain. Aur aise kaise Mein Ek Choti si surgery operation hoti hai Jis Se Ek bypass banaya jata hai jaha par rukawat ho aur Is Tarah Se Rasta open kia jata hai jisse shukranu Bahar Aa Jaye Aisa treatment Kiya jata hai. Dusri jo samasya Hoti Hai medical azoospermia Jis me sukranu Sharir Mein Banta Hi Nahi Hai aur Issi wajhe se Woh Bahar Nahi Aate Hain Kyon Ki Banti Nahi Hai. To Aise case me bhi us couple ko doctor ko mil kar ke is Samay aur aage kya karna chahiye uski Jankari leni chahiye.

Aajkal technique or facility Itni achi ho rahi hai ki aise Mein Logon Ko Mandir ja kar ke Mannat Hai Karna 1 apne aap Mein Shraddha ka Vishay hai lekin uske saath mein hai medically bhi unhone poore test Karke kaaran kya hai bachcha nahi karne ki iska test karna chahiye aur Khaas Karke purusho ko Apna ego side mein rakh Kar Ke is test ko Lekar ke aage badhne chahiye Kyuki purusho ki jo samasya hoti hai vo kai baar bahut hi kam kharch Main Aur bahut hi jaldi sulajh Jati Hai. Aur Aisa Na Ho ki Purush ki samasya ke liye bahut Baar stri ko test or investigation ke liye Jana pad raha hai aur isliye gents couple ko bachcha nahi theherta Hai shadi ke 1 saal paschaat bhi normal Sambhog hone ke bawjud bhi bacha nahi theherta hai toh unko sabse Pehle Purush Ka tapass hona chahiye.

Agar koi problem hai to usse Jaldi Hi clear kar sakte hain. Uske bawjud bhi bachcha nahi theherta Hai Toh Phir Stri ka tapass karne chahiye. Yahi Sahi protocol Hoga aur couple ko isme bahut hi jaldi safalta prapt Hogi. Is topic par aap kuch aur Jana chahte hain toh aap mujhse Sampark kar sakte hain www.lybrate.com. Ye ek mobile mein app bhi hai aur platform par available hai ya phir website par aap visit Karke aap aur Jankari de sakte hai aur mujhse baat cheet kar sakte hai. Dhanyawad.


Doctor in Sexology In Harmony

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Sexology In Harmony

doctor-profile

Dr. Shirish C Malde

Sexologist31 Years Exp.
MD, BHMS
₹ 1,500 at clinic
400 online
See all timings

Patient Review Highlights

Well-reasoned

15 reviews

Caring

9 reviews

Saved my life

6 reviews

Very helpful

59 reviews

Thorough

2 reviews

knowledgeable

52 reviews

Professional

6 reviews

Helped me improve my health

5 reviews

Sensible

5 reviews

Prompt

2 reviews

Inspiring

4 reviews

Practical

6 reviews

Nurturing

1 reviews

Sexology In Harmony Reviews

J

Jay

Aug 12, 2020

Dr. Shirish C. Malde provides answers that are very helpful. Thank you sir

V

Verified

Dec 24, 2019

very good

A

Abhimanyu

Jan 08, 2017

Dr Shirish C Malde is not just friendly, but also is very motivating. The Rosepetal Nurshing Home was equipped with various facilities. Thanks to him that the erectile dysfunction he gave me has given brilliant results. The erectile dysfunction was increasing day by day. One of my cousin's refer...read more

J

Jaisukh

Apr 25, 2017

I was panicked, because I never thought I will suffer from hiv aids like this. One of my cousin's referred to Dr Shirish Malde. He is not just highly qualified, but has years of experience in handling high risk cases. The hiv aids treatment has helped me greatly and now I am perfectly fine. My prob...read more

A

Abhiraj

Jun 16, 2017

I was worried about my curved penis issue. I consulted many doctors but nothing came into use. Later I visited to Rosepetal Nurshing Home where I met Dr Shirish C Malde . He is a famous sexologist in Mumbai. He helped resolve my problem within short time. i really thank him for the suggestions he ga...read more

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Sexology In Harmony
Your feedback matters!