Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Sneha Hospital

Sneha Hospital

General Surgeon Clinic

Chaya Building, Navghar Rd, near Shreeram Jewellers, Bhayandar, Shiv Kripa Chawl, Bhayandar East
4.5
3ratings
1 Doctor
₹ 300 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Anorectal Surgeon, Breast Cancer Specialist, Colorectal Surgeon, Colorectal Surgeon & Proctologist, Genera...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
05:00 PM - 07:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Anorectal Diseases
Anorectal Diseases

 

Hello,

My name is Doctor Bharat Chaudhary, I am General laparoscopic surgeon. Aaj ham log discuss karenge normally jo sandas ki jagah per jo bimariyan hoti hai jiske karan logon ko takleefe hoti hai. Ab log bohot confuse hai ki bawasir ho gaya, bhagandar ho gaya, ki nasur ho gaya. Log bohot confuse ho jaate hai. Normally teeno alag-alag bimari hai ab usko janne ke liye ham thoda sa discuss karenge. Sabse pahle bawasir, bawasir kaise bol sakte hain khooni bawasir bolte hain koi bolte hain ganth aagyi, ganth matlab kya hota hai usmein sandas ki jagah se chhoti-chhoti ganth aa jaati hai jo bahar ki taraf hath lagane mein bahut dard hoti hai, usko bolte hain external hemorrhoids, matlab external piles. Usmein bohot dard hota hai aur dard ke saath sujan bhi aa jaati hai. Dusra bawasir hota hai aap jab laterine ke liye jaate hain us time hi sirf khoon nikalta hai baaki time kuchh nahin hota hai, dono ka treatment alag hai normally surgery hota hai par dono alag tarike se surgery ki jaati hai.

Ab dusri cheez hai jisko bolte hain ham fissure, fissure bohot log mujhe bolte hain ki mujhe piles ho gaya hai kya taklif hai, bolte hain wahan par dard hota hai aur baaki kuch nahi khoon nahin girta, fissure mein normally kya hota hai jab bhi aap latrine jaate hain use time aapko use jagah per dard hota hai aur itna dard hota hai ki latrine aap jana rokte hai usme . To iske liye ham usko mainly bolate hain fissure jismein khoon girta nahin hai ya khoon girta hai jab bhi aap latrine jaate hai uske sath mein khoon girta hai yo latrine se chipka hua rahata hai khoon usko bulate hain fissure. Aur kisi-kisi ko fistula hota hai, fistula matlab kya hota hai laterine ki jagah par ek chhoti si ganth ho jaati hai jismein thoda sa mawad nikalta hai, thode din nikalta hai, band ho jata hai, aap bolate hain mujhe bimari theek ho gayi baad mein vahi taklif aapko fir thode din bad hoti hai jisko bolate hain fistula.

Yeh teeno cheez alag-alag tarike se hoti hai to iska treatment bhi alag rehata hai. Agar aap sahi samay par starting main jab bhi aapko yeh taklif ho us time hi aakar aap kisi surgeon ko dikha dijiye to aapko uska aisa ilaaj dega jisse aapko surgery ki jarurat nahin padegi aur sab se jaroori hai ismein khan-peene ka, log bolte hain mujhe aisa kar do ki mujhe bhavishya mein kabhi na ho, nhi agar aap khane-peene ka dhyan rakhenge to aapko yeh bimari kabhi nahin hogi. Yeh operation durbin se bhi hota hai jisko bolte hain ko bina cheere ke aur open technique jo ekdum best technique hai, purani technique wo cheez se hoti hai. Lybrate mein aap iske bare mein aur kuch jankari chahiye to kabhi bhi mujhse connect kar sakte hain lybrate mein.

Thank you.


Laparoscopic Cholecystectomy - Know More About It!
Laparoscopic Cholecystectomy - Know More About It!

 

Hello,

My name is Bharat Chaudhary, I am general laparoscopic surgeon. Aaj aaj ham log laparoscopic cholecystectomy matlab durbin se jo pit Ki thaili nikaalte hain sske bare mein baat karege aur pitt ki thaili nikalni kyun hoti hai bahut se log confuse hote hain ki kyon nikalni hoti hai, uska main karan hota hai ki pit ki thaili ke andar pathri ho jana Uske bahut sare karan hai keval mujhe hi kyun pathri ho gai, nahi yeh bohot common hai gents ke andar hoti Hai female ke andar hoti hai lekin female ke andar bohot common hoti hai agar samjhenge 10 logon ko pit ki thaili mein pathri hui hai usmein se 8 auraten hogi aur 2 aadami hogi Abhi ruko main aapko uske bare mein detail mein Bata deta hun ki pitt ki thaili mein pathri kaise hoti hai, normally pitt ki thaili mein jaise ki aap diagram dekhenge yeh pit ki thaili hoti hai aur yeh liver ke niche hoti hai iska main kaam hota hai jo liver se jo pit nikalta hai usko gada karna normally pit kaisa hota hai patla pani se halka hota hai aur pitt ki thaili ke andar jakar ghada ho jata hai ghee ki tarah. Normally ham jo bhi khate hain ghee-tel bohot common ho gaya hai bahar ka junk food khana, ghee-tel kuch bhi khate hain wo usko pachane ke liye pitt ki thaili se ghada pit nikal ke usko pachata hai.

Agar samjho iske andar pathar ho gaya jab bhi pitt ki thaili sikoorti hai pitt nikaalne ke liye to usmein pain hota hai isliye bolte hain log main kuchh bhi kha leti hun bahar ka mujhe pet mein dard hota hai upari bhaag mein dard hota hai, gas hota hai, picche kamar mein dard karta hai ya pure shareer mein dard karta hai ab iske liye ham logon ko pitt ki thaili nikaalni padati hai purane time mein log kya karte the ek bahut bhara bada cheera kam se kam itna bada cheera markar pitt ki thaili katkar bahar nikal dete the aaj bhi vahi treatment karte hain ham pitt ki thaili katkar bahar nikalte hain aaj bahut chhote cheere se Jahan se chhoti si patali si pen ka nishan, kitni patali hoti hai jiise ki durbin andar jaye aur do teen jagah aur jisse ham instrument dal kar uska operation Karein. Uske liye ghabrane ki jarurat nahin hoti hai uske liye main aapko ek chhota sa photograph dikhata hun usse aap samajh jayenge ki kaisa karna hota hai uska ye jo photograph dikh raha hai iske andar bataya hua hai ki ham durbin daalte hain aur do chhote port hote hain jahan se ham uske andar operation karte hain iske liye team lagti hai akela doctor nahin kar sakta teamwork hota Hai jisse ham pitt ki thaili ko us raste se nikal lete hain.

Yeh badi surgery nahin hoti daycare bol sakte hain samjho agar patient ek dam fit hai, koi issue nahi hai morning mein humne surgery kiya sham ko apne ghar per ja sakta hai kal se apna kam kar sakta hai yhi usmein benefit hota Hai mainly. To iske liye koi badi cheez nahi hai, Haan bohot log bolte hain bohot chhota operation hai, nahi chhota operation nahi hai agar expert ne kiya to bohot accha operation hai kahin baar bohot saare complications bhi ho jaate to uske liye ghabrane ki jarurat nahi hoti expert ke hath mein ho to kuch ghabrane ki jarurat nahi hai yeh hai durbin se operation karne ka tarika Ham yahan par hamare centre mein durbin se operation karte hain, baaki bohot sari cheezon ka operation karte hain. Hamare saath orthopedic doctor bhi hai jo iske andar operate karte hain yeh jo hamne bataya hai iske alava or detail mein malum karna hai to aap lybrate site par jakar find out kar sakte hain.

Thank you 


Doctor in Sneha Hospital

Get Help
Services

Doctor in Sneha Hospital

doctor-profile

Dr. Bharatkumar D Chaudhary

General Surgeon16 Years Exp.
DNB (General Surgery), MBBS
₹ 300 at clinic
200 online
See all timings

Submit Feedback

Submit a review for Sneha Hospital
Your feedback matters!