Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Soukhyam  Ayurveda  Center

Soukhyam Ayurveda Center

Ayurvedic Doctor Clinic

Kshitij Bunglow , Plot No D-42 , Near Gokhale School , Sector 12 , Kharghar
4.6
119ratings
16 Reviews
1 Doctor
₹ 500 at clinic
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
06:30 PM - 09:00 PM
11:00 AM - 02:00 PM

Clinic Location

Clinic Images

imageviewer
imageviewer
imageviewer

Videos

Ayurvedic Management Of Amavata (Rheumatoid Arthritis)
Ayurvedic Management Of Amavata (Rheumatoid Arthritis)

Hello Viewers!

Welcome to our channel. Me Dr. Priyanka Suneet Shende aap sab ka is channel pe swagat karti hun. Pichle video me humne jana aahar kya hai. Ise kis tarike se hume lena chaiiye. Aahar me hume kis sabzi ko importance dena chaiye, vo sab humne jana. Humne virudh aahar ke bare me bhi jankari li. Aaj hum is virudh ahar se utpan hone vali ek mehtavpuran bimari ke bare me janenge. Jiska name hai amavat. Amavat ko agar hum kisi modern science me compare karna chahenge to vo ho skta hai rheumatoid arthritis. Ji han rheumatoid arthritis ka mul karan modern science me btaya nhi gya hai. Ise autoimmune disease kha gya hai. Lekin ayurved iska mul karan bhi btata hai or ise jad se nikalne k lia bhi paryas krta hai.

To ye ama kya hai? Ana means immature essential nutrients which form into the stomach due to the indigestion or due to the sluggish digestion which goes to the circulation as in immature form which stored into the cells. Its neither digested nor flushed out and it clogs all our channel nutrients in our body. So, ama ek apachit ahar hai jo hmare body me apachit tarike se jama ho jata hai. Jhan jhan pe cavity hai, jhan pe joint hai ya fir lungs hai, heart hai, vhan pe ye store kia jata hai. Or apachit hone ki vjha se na hi ye digestion me ata hai or na hi hum ise nikal bahar kr skte hain. Islia aise hi body me ye jama rehta hai. Or dhirghkalin aajar utpan krta hai. To iske primary symptoms kya hai.

Isese pehle hum iske hetu k bare me jante hain jaise mene pehle btaya virudh ahar age ka main hetu hai vo kya hai virudh ahar, aap pichle video me dekh skte hain. Iske sath me agar hum heavy exercise krne ke bad oily food intake kr lete hain to bhi ye Gambhir bimari hume utpan ho skti hai. Iske primary symptoms kya hai. Primary symptom me main symptom hai fever, fever k spike ana, heaviness in the body, heaviness in the head or joint pe swelling aa jana. Anorexia, tastelessness ya fir constipation. Ye sab iske primary symptoms hain. Agar is condition ko humne treat nhi kia, it goes into the next worst condition which is difficult to treat. To iske next symptoms kya hai jisme main hai joints pe swelling aa jana. Sabse mehtavpurn symptoms hai ki subha joints me stiffens aa jata hai jiksi vjha se patient joint move nhi kr pata, uth nhi pata hai. Itna severe usme jakdan ati hai. To morning stiffness is the first symptom jisko hum other disease se differentiate kar skte hain. Isme ek typical type of pain rehta hai.

Jisko hum vrishchik dumshvat vedana. Mtlb just like scorpion sting. Bichu ke katne ke jaise dunk marta hai. To agar humne ye primary symptoms treat nhi kia then it goes into the next worst condition, which is difficult to treat. Morning joint stiffness ko agar hum garam pani se seke to ye khul jati hai. Main joint jo rehta hai hand and foot ke, elbow joint, hip joint, ya fir hmara knee joint, ye main joint ke upar swelling rehti hai. Redness rehta hai. Ye bhi ek typical sign hai. Uske sath me excessive salivation, excessive urination hota hai. Indigestion rehta hai. Constipation rehta hai. To ye sab iske main symptoms hai. Iske sath me hum kya kya test kar skte hain jisme first ESR hum kar k dekh skte hain or C-reactive protein, ye hum kr k dekh skte hain.

Dusra rehta hai isme x-ray ya MRI bhi kar skte hain. Isme baar bar apko thirst lagna, chakkar ana. Isko agar treat nhi kia to it goes to a next difficult level jhan pe pure joint me vakrata mtlb joint pure tede ho jate hain. Jisko treat karna bhut hi jyada difficult ho jata hai. Modern science ke according isme symptoms ke according treatment dia jata hai jisme NSER, DSER, anti-inflammatory, anti-pain killer ya for steroid, iska istemal kia jata hai. Jiski vjha se pain kuch samay k lia kam ho jata hai. Lekin disease as it is vhan pe rehta hai. Ayurved me iska mul karan pta hai. Iske lia isko jad se nikalne k lia bhi paryas kia jata hai. Lekin it takes time. 3-6 mahine ka time isme jata hai hmare treatment me. 5 main treatment isme hum kar skte hain jisme lunghan yanike fasting. 21 days ka fasting ka schedule ata hai jo apko doctor provide krte hain. Swedan mtlb oil ka massage ya fir steam nhi de skte hain. Oil ka massage se ye pain bhut jyada badh jata hai.

To yhan p hum lavan potli ya fir valukapotli ka swed dia jata hai jisko hume 21 days lena hai jis se swelling and stiffeness kam ho jati hai. SIke sath me aata hai virechan. Virechan krna must hai ye disease me. Iske satn me ata hai lepum. Jhan jhan pe joint pain hai vhan pe hum oil massage nhi kar skte lekin hum dashang lep, aerunpata, anti-inflammatory, jo bhi patte hain, usko hum lep ki trha laga skte hain. SIke satn me ata hai basti. Castor oil iska ram ban upaye hai. Isme hum diet kya kya le skte hain. Diet me hum kudetka le skte hain. Kudet yani horse gram aata hai, uska soup bana skte hain. Moong daal ka soup, green gram soup hum bana ke le skte hain. Isme sabse jyada agar kuch kam krta hai to bajare ki roti isme hum prefer krte hain. Bajare ki roti ko hum ginger, coriander, lasan ke sath chatani bna ke , suke sath hume lena chaiye. Iske bad me khana khan eke bad thoda ajwain lena jyada faydemand rehta hai. Kya nhi khana chaiye. To cold water nhi peena chaiye.

Thande pani me hume turant hath nhi dalna hai. Jab bhi thanda Mausam ayega to aap panchakarma pehle se hi start kr den. Iske alawa apko kuch bhi thandi chizen nhi khani chaiye. Uske sath me cheese hai, curd hai von hi lena chaiye. Banana, apple, pineapply, ye sab fruits hume avoid krne hain. Jack fruit bhi avoid krna chaiye. To ye sab ho gya aamvata or auske diet k bare me. Yhan p hum ayurvedic treatment krte hain. Hmare 2 center hain. Ek nehrul me hai or ek khargar me. Agar aap chahe to hmare center pe visit kar skte hain. Dhanyawad. For moe information, kindly consult with me through lybrate.com. Yhan pe aap humse sawal puch skte hain.

Even though some of the best ayurvedic treatment for rheumatoid arthritis are mentioned here, it is better to take proper advice from your ayurveda practitioner, as the dosage and frequency must be decided by your doctor only based on the symptoms and your medical history.


Ayurveda Treatment
Ayurveda Treatment

Hello viewers, welcome to our lybrate youtube channel. Mein Dr Priyanka Shende aap sabhi ka iss channel pey swagat karti hoon. Meine BAMS TTCM yoga kiya hai 7-8 saal ka mera ayurved ka experience raha hai, aur meine sukham Ayurveda centre k naam se mera 2 clinic hai ek sector 23. Nerul east mein hai aur dusra sector 12 kharbar nagar navi Mumbai mein hai. Doston aaj kal apne health ko leker, apne diet ko lekar bohot conscious ho chuke hai, lekin iss diet k bare mein mein apko ache se iss channel ki video mein bata deti hoon.

Ayurveda bohot prachin hai 5000 saal purana iska itihas raha hai. isme Ayurveda ayur means life and veda means science basically its science about life or knowledge about a life. Ye ek eisa ved hai jisme hamari jivan shaili ka varnan kiya hai .jo byakti swast hai uska swast banaye rakhne k liye Ayurveda mein dinacharya rudracharya vasayan vajikaran ittadi ka varnan dikhai deta hai aur jo vyadi se pirit hai uss vyadi ko swmul nasht karne k liye ilaaj bhi bataya gaya hai. Lekin swast vyakti kaun hai ye abb hum jante hai. Swast vyakti usse kaha jata hai jinke dosh rehte hai hamare sharir mein, vata pitta kafa aur agni, ek jatt agni aur ek sapta dhatu agni uske sath mein dhatu rasa rakta mansh meda asti maja shukra ye hamere sarir k andar 7 dhatu hote hai, aur jab ye sab balance rehte hai to wo individuals swast kehlata hai. Uske saath mein hi hame hamara atma means soul mann means mind aur senses means indriya agar prasanna rahe ya happy rahe toh wo vyakti swast kehlata hai iska matlab, Ayurveda sharir aur mann dono ka bare mein sochta hai aur usko swasth rakhne k liye kuch niyam sikhata hai.

Doston ayurved k 3 upastamb bataya gaya hai ahaar matlab proper diet, nidra means proper sleep brahmachari, ye teen Ayurveda k upastambha hai aaj hum isi mein se ahaar k bare mein janenge. Hum aajkal bohot busy ho chuke hai aapne lifestyle maintain karne k liye hamein kabhi kabhi chahte hue na chahte hue bahar ka khana khana parta hai, isme se ahaar matlab kya hai?  Ayurveda main ahaar ek bhesachvi bataya gaya hai. Veshachvi matlab aushadhi k tarah kaam karta hai aur usikobhi bishivi bhi bola jata hai kyunki hamere sarir mein job hi rog utpanna hote hai wo issi ahaar k wajah se hote hai isiliye hamein hamara diet proper lena zaruri rehta hai, isme se ahaar hum kisse kehte hai? Jo ache mann se banaya gaya ghar mein banaya gaya jo ahaar hota hai wo proper hamare sarir ko ball deta hai varna deta hai strength deta hai hamare immunity ko bara deta hai. Isiliye aajkal hum nonstick pan mein khana babate hai jo ki bohot toxious hote hai aur usse cancer bhi utpanna ho jata hai sarir mein. Isiliye hame ghar mein banaya hua ache mann se banaya hua khana khane chaiye.

Kabhi kabhi hum dekhte hai hum tv dekhte samaye ya mann mein kuch sochte samaye hum khana bante hai aur wohi saab khane mein uttar jate hai aur phir poore poshan na milne k wajah se bachon ko bahar se phir annya brand ka powder doodh mein milaker dete hai. Aisa nehi hota poorana zamane mein shlok bolte hue khane banana ka vidi bataya gaya tha kyunki ache mann se banaya hua khana hi acha parinaam dikhata hai. Ahaar ka parimaan desh k anusaar matlab hum jiss country mein rehte hai uss k anusaar ritu k anusaar matlab weather keisa hai uske anusar aur hamara age kya hai iske upaar aur hamare digestive power k uppar nirbhar rehta hai. Yaad rakhiye, digestive power jiska acha hai, wo moods aur foods dono ko pachak karr sakta hai. Iske liye hum sochenge ki ahaar kesa hona chaiye usse kabb khana chaiye. Jesa abhi meine bola k sabka appetite alag alag rehta hai sabka jatharan alag alag rehta hai. Toh jatharagni agar prakrut rehega toh hum job hi khayenge uska ache se pachan ho jaega ye jatharagni prakrut rehne k liye humein 2-2 ghante k baad khana khana chaiye. Raat k antaral k baad mein subha breakfast karna bohot hi zaruri hai. Yaad rakhiye dosto hum 9-5 baje k schedule mein rehte hai toh hum utna diet proper nehi le pate hai subha k breakfast hum skip kar dete hai lekin ye bohot hi hanikarak hai. Hamari sarir ko breakfast ki utni zaroorat rehti hai isiliye 10 baaje se pehle hume appna breakfast kar lena chaiye. Jo bahar hai wesa he apna sarir k andar chal raha hota hai jeise jeise sooraj tez hojata hai uske dhoop tez hojati hai wesehi hamare sarir mein jatharagni pradipt ho jati hai, isiliye 12-2 baje k beech mein hamein apna lunch kar lena chaiye, ho sake toh raat k 8 baje se pehle apna khana kha lijiye warna wo digest nhi ho pata hi. Agar usse late hota hai toh aap supachyak ya halka ahaar hi preffer kijiye. Ye hogaya hamein khana kabb khana chaiye aur ek baat mein yahan batana chahungi ki jatharagni agar pradipt nhi hai matlab hamein bhook nhi laagi hai lekin phir bhi kuch log aapna time ho chukka hai ya phir hamara regular diet 3 chapati katori bhar roti ka ya rice ka hain toh utna hi lete hai to ye cheez achi nehi hai kyunki haar samaye hamara jatharagni badalta rehta hai ritu k anusaar badalta hai hamare age k anusar badalta hai to uska bhi hamein dyan rakhe diet le lena chaiye.

Ahaar keisa hona chaiye?

Ahaar atraasatmak hona chaiye doston jisme madhur amla lavana katu tikta kasai ye poore 6 k 6 rass hone chaiye. Jese meine pehle hi bataya sharir panch mahabhooton se bana hai aur ye jo abhi hamne rasa bole wo bhi panch maha bhoot se hi bane hai isiliye usi kram se hamein usse khana chaiye. Hum aksar dekha karte hai ki hum jab shadi mein jaate hai ya partyion mein jaate hai toh desserts hamesha hum last mein khate hai jo ki galat hai isiliye kyunki hame madhur ahaar ko sabse pehle kha lena chaiye. Hume kabhi bhi khana khane k 2 ghante k baad ya khana khane se 1 ghante pehle vyam ya maithun nahi karna chaiye doston ye toh hogaya ahaar k baare mein.

Ab hum sochte hai humein paani kabb peena chaiye?

Hum agar khana khane se pehle paani pee lete hai toh wo hamare sarir mein ajirna paida karte hai matlab ki indigestion utpanna karta hai, jirne vari balapradam khana khane k ek ghante k baad mein agar aap water intake kar lete ho to wo proper aapne diet ko pachane mein madat karta hai. Bhajanecha amrutam matlab bhojan karte samay hamein sip sip water le sakte hai. Water k jagah dopahar k khane mein hum chhas le sakte hai subhah k khane mein juice le sakte hai, toh ye water part ho jata hai. Khana hamesha adha pet khana chaiye 1/4th part uska water k liye chhorna chaiye aur adha hamein hawa k liye chhorna chaiye doston. Ye toh hogaya khana khane k bare mein lekin hamein khana khate samay ek baat ka vishesh dhyan rakhna hai, aksar hum khare khare ya bhagte dawrte khana khate hai wo bilkul galat hai kyunki khane ka ek niwale ko zada se zada chaba lijiye matlab chew kar lijiye usse kya hota hai hamara saliva usme mix hota hai aur wo jatharagni mein jaake jaldi se pach jata hai. Jinka metabolic rate bohot slow hai wo ye baat achi tarah se samajh le. Aksar hum dekhte hai ki jiska wajan bada hai unke pet k niche k charbi bohot badi hui dikhti hai , agar wo isko follow karenge ki eke k niwale ko barik tarah se kha lenge toh wo charbi kamm ho jaega. Abhi paani ko khana khane k ek ghante ka baad mein hi khana hai usse pehle agar hum khane khane k baad mein kulla kar sakte hai garam paani se, agar koi byakti chakkar aa raha hai ya kuch dehydration ho raha hai toh wo paani pee sakta hai. Ye hogaya hamein paani kabb peena chaiye .

Doston, hamarein Ayurveda mein virudhahar ka ek varnan milta hai jismein hamein ye bataya jata hai ki kaunsi chizon ko hamein ek saath nehi khana chaiye, jese k doodh aur daahi ko kabhi ek saath nehi khana chaiye, doodh aur namkeen cheezon ko ek sath nehi khana chaiye, doodh aur kisi bhi amla padarth ko ek sath nehi khana chaiye, uske saath mein kabhibi machli ya mooli khane k baad gurr nehi khana chaiye, machli khane ka baad mein ya kathal khane ka baad mein hamein doodh nehi peena chaiye. Hum jabhi poochte hai toh doodh machli k baad hum doodh toh peete nehi hai lekin non veg food humne kha liya hai toh uske baad hum ice cream zaroor khate hai toh wo bhi ek milk product hai toh usko hamein nehi khana chaiye. Iske saath mein hi shahed aur ghee ko kabhi equal proportion mein mix karke hamein nehi khana chaiye wo andar jaake vish saman kariya karta hai. Ye sab cheezein hum eksaath kha lete hai toh hamarein sarir mein Psoriasis ya eczema jeise skin disease utpanna ho jaati hai. Isiliye isko hamein ek saath nehi khana chaiye, chai k baad thanda paani nehi peena chaiye ya phir garam khana khane k baad thanda ice cream nehi khana chaiye. Toh ye saab hum virudh ahaar karenge toh vyadi se toh pirit hum ho hi jaenge. Ye hogaya virudh ahaar k barein mein abb saahi diet kya hai.

Doston hum toh thora aware ho chuke hai lekin phir bhi mein aapko bata doon, gehu jo rehta hai purana zamane mein wo chapta aur lamba jeisa milta tha but abhi k zamane mein wo milna possible nehi hai. Isiliye gehu mein glutamine namak ek tatwa paya jaata hai jo hamarein andaar jaake inflammation peida kar sakta hai isiliye usme gehu ka aate mein aap methi ka dana aur soya bean mix kar k usse roti bana lijiye toh ye pachne mein thora halka ho jaega. usi ke saath mein bajri jawar rachri means rahri isko mix karke agar aap roti banate hai wo bohot hi healthy rehega. Uske saath mein hi daal mein kya khana chaiye toh moong daal sabse sresht batayi jaati hai kyunki moong daal pachne mein bohot hi halki rehti hai isiliye hum moong daal ki khichdi bimari byakti ko dete hai kyunki wo agni pradipt karne mein madat karti hai. Toor daal aur chane ka daal ka sevan ho sake utna kaam kijiye kyunki ye acidity badati hai, pittakarak byakti ko isse zada takleef hoti hai. Uske saath mein hi hamein sabzian kaunsi khani chaiye toh job hi lambi sabzi rehti hai jeise ki snake gourd bottle gourd drumstick jisko hum bolte hai sevga , parwal dhorka Marathi mein hum jisse bolte hai wo cheezein humein khane mein zada se zada khani chaiye. Batata matlab potato brinjal aur matar jeise jo product food hai wo gases utpanna karte hai. Sabzion mein hamein sirf lambi wali sabzi khani chaiye jeise ki snake gourd bottle gourd wagara aur hamein 3 poisons bataya gaya hai Ayurveda mein ek sugar hai dusra maida hai teesra namak hai in cheezon jitna ho sake utna kaam khaiye aur swast banaiye.

Yaad rakhein doston jobhi hum khate hai usse pachit ghatak ya toxin paeda hoti hai aur wo hamarein sarir mein store kiye jaate hai aur ussise illness body main paeda hota hai issi toxins ko bahar nikal ne k liye Ayurveda mein panchakarma therapy ka ullekh aya hai. Isse hum internal cleansing karte hai aur jo toxin material hai usko bahar nikal dete hai. Isiliye agar possible ho sake toh doctor k salah se aap saal mein ek baar ya do baar panchakarma kaewa lijiye. Sahi khaiye swast banaiye. Hamarein iss channel ko subscribe karein like karein share karein aur phir ek baar mein agli baar aapke samne hazeer hongi ek naya health video k saath mein.

Thank you .


Doctor in Soukhyam Ayurveda Center

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Soukhyam Ayurveda Center

doctor-profile

Dr. Priyanka Suneet Shende

Ayurvedic Doctor15 Years Exp.
Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), T.T.C.M Yoga
₹ 500 at clinic
250 online

Patient Review Highlights

Well-reasoned

7 reviews

Caring

4 reviews

Very helpful

22 reviews

Saved my life

1 reviews

Thorough

3 reviews

knowledgeable

14 reviews

Professional

4 reviews

Helped me improve my health

2 reviews

Sensible

2 reviews

Prompt

2 reviews

Inspiring

3 reviews

Practical

1 reviews

Nurturing

2 reviews

Soukhyam Ayurveda Center Reviews

M

Merlin Varghese

Dec 08, 2018

Dr. Priyanka Suneet Shende provides answers that are very helpful. Please answer my this question too. I had my last period on September 22nd

A

Anupama

Aug 10, 2017

Due to my skin rash my daily activities were suffering. I had lost hope, but the skin rash given by Dr Priyanka has helped me regain my confidence. I'am almost on the path to recovery, Thanks to her for the perfect advice. Whatever tests she prescribed, were very correct and the gave they gave us an...read more

N

Nitin Bansal

May 18, 2017

I found the answers provided by the Dr. Priyanka Suneet Shende to be very helpful. Doctor i dnt take any type of junk food or fried food, i left these types of food from near about 6months, i daily eat juicy fruits and only chapatties with any simple dish but it also does not digest properly, i dnt...read more

M

Mandira

Mar 15, 2017

I am so happy that I chose Dr Priyanka Suneet Shende for my treatment as now I am perfectly fine. She is not just highly qualified, but has years of experience in handling high risk cases. The nurses at the Soukhyam Ayurveda Centre were really helpful. She never gets frustrated, even when I ask a nu...read more

A

Amirdeswaran

May 15, 2017

I am really grateful as her dysuria treatment has give me a ray of hope. I never get sick, but then last year i started developing these symptoms. I was shocked to experience dysuria. The nurses at the Soukhyam Ayurveda Centre were really helpful. My previous experiences were not so good, but Dr.Pri...read more

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Soukhyam Ayurveda Center
Your feedback matters!