Manovikas Clinic
Multi-speciality Clinic (Psychiatrist & Sexologist)
About Hospital
Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Addiction Psychiatrist, Adolescent And Child Psychiatrist, Health Psychologist, Mental Health Psychologist...read more
Hospital Timing
Hospital Location
Hospital Images
Videos
Hi,
I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist, Mumbai. Today I will talk about homosexuality and gender identity disorder. Isko samjhane ke lia humein kuch chizen samajhna bahut jaruri hai. Sabse phli chiz sexual identity, general identity and next is sexual orientation. Sexual identity kya hoti hai. External sexual organs apna sexual identity btate hain. Isko internally chromosome ko check kra ke pata lagaya ja sakta hai. Next is gender identity kya hoti hai. Jaise ladka and ladki bade hote hain vo gender identify karne lagte hain.
Sexual orientation mein as a male mai kis ki taraf attract hota hun. Mujhe ladki pasand hai ya ladka ya dono pasand hain. Sexual orientation 4 types ke hote hain. Heterosexual sabse common hai. Ladke ko ladki pasand aana and vice versa. Homosexuality mein same gender pasand aata hai. Jab ladke ko ladka pasand hota hai toh use kehte hain gay and ladki ko ladki pasand ho toh use lesbian bolte hain. Next is bisexuality jismein dono gender pasand aa sakte hain. Next is an asexuality jise kisi mein interest nahi hot hai. Ismein se koi bhi orientation galat ya sahi nahi hai.
Bahut baar hum bisexual logon ki taraf ache se nahi dekhte. Aisa lagta hai ki koi abnormality hai. Mai nahi decide kar sakta ki mujhe kya banna hai. Ye bhagwan deta hai and naturally aap ke maann mein aata hai. Jaise aap ka complexion aap ke haath mein nahi hai vaise hi sexual orientation aap ke haath mein nahi hai. Aap ko kisi se bhi hate nahi karna hai kyuki koi chah ke bhi is chiz ko change nahi kar sakta hai. Jaise skin color and eyes color change nahi ho sakta hai.
Homosexuality koi bimari nahi hai. Aap kisi ke pass bhi chale jaiye par iska ilaj nahi ho sakta hai. Dusri chiz hai sexual identity disorder. Ismein kabhi kabhi patient ko feel hota hai ki vo galat body mein fus gaye hain. Unhein feel hota hai ki mai male body mein fus ho gaya hun toh agar mai female body mein hota toh jyada acha hota. Same females ke sath bhi aisa hota hai. Ladki ko ladkon vali chizen karna acha lagta hai. But fir bhi ladki ko sab samajhate rehte hain ki aise mat raho. But vo bhi chahti hai ki kash mai ladkiyon jaisa reh paati lekin aisa nhi ho paata hai. Kyuki jo uske sath hota hai natural hai not by choice.
Iska ilaj kya hai friends. Bahut sare log sexual surgery karate hain and hormonal treatment lete hain. Log apna sex change kara lete hain and apni life ache se nikalte hain. Purane zamane mein bahut sari chizon ko abnormal mana jata tha. Lekin ab aap ko bhi pata hai ki population kitna badh gaya hai. Aur ab time aa gya hai ki is population ko control kia jaaye. So, aise sare log population control karne mein help hi kar rahein hain. Unko galat nazar se dekhne mein, gussa karne mein koi point nahi hai. Ye sab natural hai. Just vo humse thode alag hain toh aap unko galat nazar se mat dekhiye. For more information, consult me through Lybrate.
Thank You.
Hi,
I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist. Aaj hum baat karenge exams stress ke liya. Ye bahut bada topic hai. Ismein aaj mein general stress management, diet, sleep ye sari chizen nahi cover karenge. Ye bahut common chiz hai. Jaise winter mein common cold hota hai vaise exam mein stress hota hai. Stress lena bura nahi hai. Limited stress lena success ke liya bahut important hai. Problem tab hoti hai jab stress hadh se jayada badh jata hai. Stress kam kaise kiya jaaye? Stress ka karan samajhna bahut jaruri hai. Aaj mein 3-4 things cover karunga. Pehla karan hai improper study planning. 2nd is improper studies technique. 3rd stress ko pehchan kar usko overcome karna. 4th is apna value samajhana. Inadequate study planning. Bahut baar aisa lagta hai ki time kam hone se mai thik se padhayi nahi kar paa raha hun. But aap ke pass jo bhi time hai agar aap uske according plan karoge toh aapke liya acha hoga. Aap ko dekhna hai ki aap ke haath mein kitne din hain. Exams se pehle fir aap ko revision time rakhna hai. Ab aap ki study technique kya honi chahiyai?
Bahut baar bache padayi karte hain lekin results nahi aate hain. So, aap ka active recall hona chahiyai. Isliya topic padne se pehle aap apne sawal tayar rakho. Next aap notes banayein lekin book close kar ke. Is se aap ka brain sharp rahega. Aap flash cards banayein. Jab aap padayi karte hain and difficlt chizen aap ko yaad nahi rehti toh aa flash cards mein alag alag techniques se yaad rakhne ki kohish kar sakte hain. Revision aap ka specific time mein hona chahiyai. Bahut sare log ek hi topic pure din revise karte rehte hain but ye technique achi nahi hai. Isliya aap ek h chize ko daily and time to time revise karein jise aap ko vo chiz bhulegi nahi. Important points aap underline karein. Fir aap book ko close kar dein and notes nikal lein. Fir 5 minutes notes revise karien. Is se short term memory long term memory mein convert ho jaati hai. Ye dekhne mein mushkil lagta hai and lamba procedure lagta hai but agar aap aisa karenge toh aap ko tpic revise karne mein time kam ho jayega. Jo time aap ko jyada lagta hai vo time dheere dheere kam ho jayega. Toh ye itna mushkil nahi hai jitna lagta hai.
Aap ko apne negative thoughts control karne hain. Bahut kam baar aisa hta hai ki exam ke time pe 100% syllabus khatam ho. Hota kya hai ki aap ko lagta hai ki 20-30% syllabus reh gaya hai and exam mein agar us mein se kuch aa gaya toh kya hoga. Is anxiety ki vajah se aap padahyi mein focus nahi kar paate hain. Aur fir jab aap exam dene jaate ho toh aap question paer padte hi sochte ho ki kya kya chori hai or kya nahi. Lekin agar aap aisa socte rahenge toh aap thik se exam nahi kar paenge. But jo aap ne 70% padha hai use pe focus kar ke exam denge toh aap ache numbers se pass ho paoge. Isliya humesha pehle vo questions karein jo aap ko aate hain. Aur aap ko jo topic nahi aata hai uske baarein mein bhi aapkuch na kuch likh kar aaoge. Is se aap ke pass hone ke chances bahut jyada badh jaate hain. Last point is know your value. Bahut baar hum apna value exams ke results ke upar lagate hain. Aap ka valuse bahut jayada hai. Ek xam aap ka value kam ya jyada nahi karti hai. Eaxms aap ke learning ke liya hoti hain. Leaning is a life long process. Jiska ek step exam hai. Aap ko aap ke success mein bhi sikhna chahiyai and failure mein bhi sikhna chahiyai. Life mein failure insan ko sabse jyada sikhta hai. Jo bhi aaj life successful hain ye life mein bahut baar fail bhi hue hain. Inhone apne failure se kuch sikha hai. So, failure is the first step to success. Mujhse se contact karne ke liya lybrate.com ke through consultation lijiye.
Thank You!
Hi,
I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist. Today I will talk about dhat syndrome. Ye koi badi bimari nahi hai. Isko bohut baar hum galatfamio ki bimari samjhte hain. Toh ye dhat syndrome hai kya? Dhat syndrome mein patient ko lagta hai ki mujhe weakness aa raha hai semen bahar jaane ki vajaha se, mujhse thakan aa rahi hai, sex mein issues aa rahein hain. Mera sex power kam ho raha hai. Aisa isliya lagta hai ki dhat bahara jaane ki vajaha se ho raha hai. Ye syndome hota kyu hai. Aisa puran garanthon mein bhi likha hai ki ek boond dhat se 100-200 boond khoon banta hai.Sabko pata hai ki khoon takat deta hai. Isliya logon ko lagta hai ki dhat nikalne se weakness aati hai. 4 tarike se dhat sharir se bahar jaata hai. Masturbation se dhat bahara aata hai.
Patient ko lagta hai ki itne time se mene maturbate kiya hai toh uska khamiyaza kabhi na abhi toh bhugatna padega. Isliya shadi se pehle and baad mein tension mein aa jata hai. 2nd hai nightfall. Agar aap dhat ko bahar nahi nikalte hai sex and maturbation ke through toh ye sharir mein banta rehta hai. Isliya dhat raat ko sote time bahar aa sakta hai. Tisra tab ye aap ke sath ho sakta hai jab aap letrine ke liya jaate hain. Indian style mein baithne se pressure aata hai. 4th agar vo sex ya fir masturbation mein involved nahi hain toh bhi unhein imagination mein hi dhat aa jata hai. Kuch logon ko lagta hai ki jyada sex karne se kamjori aati hai. Ye sari galat dharna hai. Asliyat kya hai? Dhat banta hi isliya hai ki vo body se bahar jaaye. Dhat ka bahar aana bohut jaruri hai and agar ye kafi dino tak bahar nahi aya toh dhat kabhi bhi pane aap bahar aa sakta hai and ye sote time bhi ho sakta hai.
Night fall ko sawapndosh bolte hain. Ye actual body ka kam hai jismein dhat bahar aata hai. Ye dhat bahar kyu ata hai? Ek tanki mein aap agar continously paani bharte raho and niche ka nal band rahe toh tanki overflow ho jayegi. Aise hi dhat overflow ho jata hai. Ye koi syndrome nahi hai. Dhat janne se patient worried jayada ho jaata hai but aisa nahi hona chahiyai. Patient ko anxiety or stress ho sakata hai. Anxiety and depression mein weakness ana sawabhavik hai. Aise mein sex ki desire kam hona bhi sawabhavik hai. Log iske liya medicines bhi lete hain. Agar aap ko anxiety or depression ho toh hi medicines len. Dhat syndrome ke liya aap ko dharna change karni ki jarurat hai. Myths se bahar aane ki jarurat hai. Isliya iske baare mein janiye. Aap ke bohut sare dost and family members bhi aisa sochte hain. Isliya sabo scientific reasons iske pata hone jaruri hain. Mujhse se consult karne ke liya aap Lybrate pe ja sakte hain.
Thank You!
Hello Friends!
I am Dr. Vikas Deshmukh. Aaj hum bat krenge addiction ke bare me. Ise internet and gadget addiction kehte hain. Aaj hmara topic hai internet addiction disorder. Addiction fulfil krne ke 4 chizen hoti hai. 1st hai pleasurable things, jisse insan ko khushi mile. 2ns is tolerance. Khushi milne ke lia jo time period hai vo badh jata hai. 3rd is withdrawal. Jab use ye sab addiction krne ko nhi milta hai to patient irritate hota hai, restless hota hai. 4th is incapable of doing day today activities. Patinet ko regular work me disturbance hota hai. Iske symptoms kya hai? Aise patient ko pta nhi chalta ki vo internet pe kitna time spend kar rha hai.
Patient multiple apps use karta hai jise se uska din nikal jata hai. Agar in sab chizon ko roko to patiant ko gussa ata hai. Kbhi kbhi aise patients neend bhi bhul jate hain. Neend compromise krte hain. Patient ko in sab reasons se fatigue and weakness feel hota hai. Patient apne kam me focus nhi ho pata hai. Patient jaise hi pana kam khatm krega vo internet pe vapas aa jayega. Patient apna time faltu ki chizon me jyada spend krega. Ab ye addiction bhut common ho gya hai. Ab question ye hai ki aap iski manage kaise kar skte hain. Best way hai ki aap psychiatrist se consult kren. Home remedies aap kya kar skte hain isko overcome krne ke lia? 1st hai digital detox.
2nd is digital nutrition. Gradually internet usage ka time kam krna. Jaise aap start kar rhe ho to 1 hour per day se start kro. Mobile statck kr ke puri family ka ek side pe rkh do. Intially ye ideas apko help krenge. Slowly and steadily apko ye time increase krna hai. Game khelne se acha hai ki aap newspaper pe focus kren. This is called digital nutrition. It means faltu chhizon pe focus kr ke aap research pe focus kren. Baki ki information ke lia aap mujhse Lybrate ke through contact kar skte hain.
Thank You!
Hello Friends!
I am Dr. Vikas Deshmukh. Aaj me apko btaunga bipolar mood disorder ke bare me. Ye kya hota hai. Aaj hum bipolar ke 2 types ke bare me baat krenge. Bipolar 1 and 2. Bipolar 1 2 types ka hota hai: Mania and depression. Isme kbhi apko bhut khushi hoti hai or kabhi bhut gum. Mania me patient bhut jyada over-confident hota hai. Aise patient ko stop krna mushkil hota hai agar ye baat krna start kar de. Aise patients jyada paise kharch krte hain. Patient ko neend ki jrurat kam aati hai. Aise patients bade bade plans bnate hain. Agar aap aise patient ko oppose krenge to unhe kafi gussa ata hai. Depression me patient bhut hi udaas rehta hai.
Low-energy rehta hai. Patient ko fatigue ka complaint rehta hai, hopeless feel krta hai. Patient ko suicidal thoughts aate hain. Choti choti baatein uske lia kafi chinta ka matter ho jata hai. Driving uske lia easy hoga lekin jab vo depression me hoga to driving usko bhut bdi bat lgegi. Islia ye dono disease kafi gap me patient ko effect krti hai. Bipolar 1 and 2 me kya difference hai. Isme mania and hypomania rehta hai. Hypomania me patient kafi energetic lgta hai. Lekin psychitry se patient ko easily diagnose kia ja skta hai. Iska mtlb ye nhi hai ki bipolar 2 disorder kam dangerous hai. Quki patient ke relatives ko kabhi kabhi uski harkatein nhi smjh aati hai or vo in chizon ko normally lete hain.
Patient ghar ke saman jaise purani gaddi bech di and new car le li and vice-versa. Patient khi flat book kar lega. Jaise hi patient ka hypomania ka time khtm hota hai or depression start hota hai to patient ko dukh hota hai apni last investments ko dekh ke. Ye disorder ek psychitrist ke paas jake thi ho skta hai. Patient ko medicines di jati hai. Kuch patients ko kafi time tak medicines bhi leni pdti hai. Iske bare me or information lene ke lia aap mujhse Lybarte ke though contact kar skte hain.
Thank you!
Hello Friends!
I am Dr. Vikas Deshmukh. I am a psychiatrist and sexologist practicing in Navi Mumbai. Friends aaj hum baat krenge dementia ke baare me. Ye aksar old age logon me aya jata hai. Ye bimari kya hai? Ye ek bhulne ki bimari hai. Isme aadmi ki memory effect hoti hai. Is vjha se uska pura lifestyle impact hota hai. Demetia ke bhut sare types hain jinme se 2 bhut important hain. Alzheimer's and vascular. Or kbhi kbhi in dono ka mix dementia bhi paya jata hai. Kuch reversible dementia bhi rehte hain. Jaise hypothyroidism, depression, vitamin deficiency.
Dementia me exactly kya hota hai. Generally ye apko 50-60 years ki age ke baad hota hai. Dementia me mukhye complaint rehti hai ki patient baar baar bhulta hai. Kbhi kbhi close relatives ke naam bhulna, chizen kha rkhi hain vo bhulna. Example ke lia dementia ka patient kbhi kbhi keys ko freeze, oven me bhi rkh skta hai. Close relatives ke face bhulna. Apne relations ko bhulna. Apne ghar ka address bhi bhul skte hain. Kisi bhi chiz ka istemaal kaise krna hai vo bhi patient bhul skta hai.
Planning and organisation me jaise chai bnani hai, to patient ko ye chizen bhut complicated lgti hain. Patient ko confusion rehta hai ki konsi chiz pehle or konsi chiz baad me krni hai. Patient kbhi kbhi apne khud ke ghar me bathroom/room ka direction bhul jata hai. Iska basic karan kya hai. Thyroid hona, vitamin B12 ki deficiency hona. Alzheimer's Dementia ka karan hai, kuch proteins bante rehte hain jo patient ke dimag se saaf hone chaiye, vo nhi ho pata hai ya vo procedure slow ho jata hai jis vjha se protein ka collection hona shuru ho jata hai.
Vascular dementia me blood flow kam ho jata hai. Dementia ka treatment kya hai? Sabse pehle doctor ke pass leke jaiye patient ko. Alzheimer's dementia me patient ko cure nhi kar skte ho aap but memory loss ka speed aap kam kar skte ho. Aap patient ka quality of life treatment se badha skte hain. Patient se aap simple language me baat kro. Keep the sentences simple.
Keep one liner sentence for the patient. Aap baar baar ghar ke saman ko ya unko position change mat kriye. Unse jyada communicate kriye. Agar patient kisi game me interested hai like playing cards to aap unke sath vo game play kren. Ye cognitive exercises dementia ko delay krne me help krti hain. Aap kaise dementia ko prevent kar skte hain? Aap exercise, diet and cognitive exercise for brain kriye.
Vo games jyada kheliye jisme budhi ka istemaal jyada ho. New books read kriye. New games kheliye. Jitna aap new things sikhte hain utna aapka synaptic formation strong hota hai. In sab activities se aap dementia prevent kar skte hain. Thank you very much for listening. For appointments, please visit lybrate.com.
Thank You.
Hello Friends!
I am Dr. Vikas Deshmukh. I am a psychiatrist and sexologist practicing in Vashi, Navi Mumbai. Aaj hum baat krenge erectile dysfunction due to performance anxiety. Performance anxiety kya hota hai? Jab apke dimag me sex krne ke alwa koi chinta ya or koi thought ata hai ki apka performance kaisa hoga? Aap apne partner ko satisfy kar payenge ya nhi? Is chinta ki vjha se uska erection lose ho jata hai. Islia usko erection nhi aata hai. Me sare patient se puchta hun ki sex ke lia konsa organ sabse jruri part hai? To bhut sare patient ka answer hota hai - penis or ling. Lekin me sabse important part unko bolta hun - Brain.
Agar apke brain me sex ka vichar aat hai to hi apko erection aata hai. Yadi aap khin pe bhi baithe hain or sexual video ya message padh rhen hain to apko errection aa skta hai quki us time aap apne dimag me sex ke bare me soch rhen hain. Vahan apke partner nhi hota hai lekin sex ke vichar aapko aa rhen hain. Kabhi apko aise vichar bhi aa skte hain ki aap apne partner ko satisfy kar payenge ya nhi. Kabhi misconception bhi apke dimag me rehte hain ki apka penis ka size chota hai. Aap bhut jyada masturbation krte the jiski vjha se uska side-effect ho rha hai. Agar aisa anxiety apko rehta hai to erection apko nhi aata hai or aise hi next time bhi apka confidence loose hota hai.
Is darr ki vjha se aap sex pe focus nhi kar pate hain. Acha sex krne ke lia sex ke vichar maan me chaiye. Meri partner kitni achi dikhti hai. Sex ke time pe apke all 5 senses involve hone chaiye. Ab erection na aane k lia hum kya kar skte hain? Aap kisi psychitrist ya sexologist se milen. Agar or koi reason hai to rule out kriye. Kuch investigation apke doctor krenge. Aap apni sexual life ko enjoy karen. Involvement of other partner is also very important in this case. Agar apka partner isko smjhta hai to is chiz se bhut farak pdta hai. Agar aap apne partner se apni problem chupaoge to miscommunication badhega.
Agar apka partner smjhta hai apko to vo apki anxiety kam kar skta hai. Next technique hai relaxation. Before sexual activity, apko relax krna chaiye ya apni body ko rest dena chaiye. Ye apke doctor apko sikhayenge and apko ye 10 mins tak krna hai. Aap apna mind bhi divert kar skte hain jaise music, fantasies. Ye sari chizen aap performance anxiety se deal krne ke lia kar skte hain. So friends, Than you so much for listening. Meri or videos dekhne ke lia lybrate.com pe login kijiye. Mujhe aap contact kar skte hain Lybrate ke through.
Thank you very much.
Hello Everyone! I am Dr. Vikas Deshmukh. I am a consultant psychiatrist at Manovikas Clinic, Vashi, Sec-17.
Aaj hum baat krne vale hain ek naye disorder ke bare mei jiska naam hai obsessive-compulsive disorder (OCD). OCD ek psychological disorder hai, ek mansik bimari hai. Jisme patient ko ek hi tarha ke vichar baar baar aate hain. Aur vo vichar kam krne ke liye ek hi tarha ke action ko vo baar baar krte rehte hain. Ye disorder ki vjha se bahut sare patients ki life kafi hadd tak kharab hoti hai. Kafi hadd tak unka quality of life bigad jata hai. Bahut saare patients pareshan rehte hain. To aaj is disorder ke baare mei thoda detail me jaante hain.
OCD mein 2 chizen bahut common hoti hai. Ek naam mein hi hai obsession or dusra compulsion. Obsession yani bar bar ek hi tarha ka vichar aana. Compulsion yanike patient vo vichar kam krne k lia kuch action leta hai ya koi behavior dikhata hai. Use compulsion bolte hain. Jaise obsession hai dirt ke bare mei. Ki bar bar mere hath gande hue hain, mera ghar ganda hai, mera body ganda hai. To aise me patient ke dimag mei aata hai ki saaf nhi hai mera hath. Is obession ki vajha se compulsion ye ho jata hai ki patient bar bar jake hath dhoyega.
So, din mei 10-50 bar haath hi dhote rehta hai. Fir bhi uska ye thought kam nhi hota hai. Uske mann mei soch ayegi or vo hath dhoyega, relax lgega or fir hath jake dhoyega. To isi cycle me patient atka rehta hai. Dusra obsession rehta hai sexual content. Patient ko apne bare mei, apne close relative ke bare mei, jaise mummy, daddy, behan, unke bhagwan, unke bare mei kuch buri soch aati hai. Patient iss chiz se bhut disturb ho jata hai. Aur is se disturb na ho, iske liye patient ke mann mei apne aap ek thinking start hoti hai, mai aisa krunga to mujhe us chiz ka paap nhi lgega. Jaise mai 10 baar bhagwan ko namaskar krunga ya 3 bar namaskar krunga to mai kisi bhi side-effect se bach skta hun. 3rd is checking. Baar baar aisa lgta hai ki mene kahin gas ka button khula to nhi chora. Mene ghar ka darwaza lock krna to nhi chora hai. Mere computer ka button off to nhi kiya hai. OCD mei 10 bar har chiz check krne ke baad bhi doubt rehta hai. Kyuki vo satisfaction nhi aata hai. 4th is perfection, chizen arrange krna. Unko hmesha lgta hai ki ye table thik se arrange nhi hai.
Ye thoda sa teda hai. Aur us thought ki vjha se bar bar usko thik krne mei lage rehte hain. To kafi sara quality time, energy ye sab compulsions mei jata hai jo bilkul bhi fruitful nhi rehta. Meri ek patient hai jo bartan dhone baithti hai to baar baar unhi bartan ko dhoti rhegi quki use lgta hai ki ye saaf nhi hai. Use ye satisfaction hi nhi hota tha ki bartan clean hue hain. To OCD ka ek cycle rehta hai. Unhe baar baar anxiety aata hai. Baar baar ye kam krne se unke haath me changes dikhayi dete hain. Dusra agar adults rahen to unhe lagta hai ki ye unnecessary thoughts hain. Mujhe inko control krna chaiye. Lekin bahut baar bachon mei ye samjh nhi aata hai.
As a parent, or as a teacher, aap bachon ko samjhayein. Generally ye common rehta hai teenage me. 14-30 ki age me. 30 ke baad start hona thoda sa uncommon hai. Generally 30 se pehle ye bimari start hota hai. Kam se kam 2 saal ke bachon mei bhi paya gya hai. Bahut sare mere patients hain jo 5-7 saal ke bhi hain. Iske genetic kaaran hain. Apne relatives se ye bimari aap mei payi jati hai. OCD ka ek genes rehta hai jo parents ke through apne mei aay rehta hai. Stressful environment ki vajha se bhi kbhi kbhi OCD rehta hai. Biological matlb brain changes. Serotonin chemical hai jo vo satisfaction deta hai. Agar serotonin level kam ho jaye to satisfaction kahin na kahin nhi milta hai. Jiski vajha se baar bar vo vhi kam krta hai ki use satisfaction mile.
Kabhi infections ki vajha se bhi OCD ho skta hai. To treatment iska kya hai. Treatment iska 3 tarike ka hai. Ek hai pharmacological treatment. Medicines jo doctor denge or is se bahut hadd tak OCD control kiya ja sakta hai. Dusra hai psychotherapy Psychotherapy mei cognitive behavioural therapy bahut important hai. Aur ye OCD mei bahut ache tarike se kaam karta hai. Teesra jo hum doctors nhi kar sakte but aap log kar skte ho hai family support. Kabhi aisa na bole ki itna ganda tu kaise soch skta hai. Aise vichar tere maan mei kaise aate hain. Patient ye jaan bhuj ke nhi krta hai. Ye bimari hai. Jaise typhoid aane se aapko fever aa skta hai. Vaise OCD hone se uski soch ho sakti hai.
To aapka support is treatment ke liye bahut zaruri hai. Agar aap ache se usko samjh lenge or ache se support krenge, to aise patients ke chances thik hone ke dugne ho jate hain. So, thank you very much for your patient listening. Mere bare mei aur janne ke liye ya fir appointment book karne ke liye, kindly go through Lybrate website. Thank you very much.
Hello Everyone!
My name is Dr. Aparna Deshmukh. I am a consultant psychiatrist sexologist. Today I will be talking on postpartum depression or postnatal depression. Postpartum depression is a mood disorder which is characterised by depressive symptoms in the period that follows childbirth in either of the parents. More commonly in mothers. It is important to know about postpartum depression because no.1 is common. About 15% of women suffer from postpartum depression in the postnatal period. Secondly, not only it is important from the point of view mother’s mental health but mother who suffers postpartum depression is unable to care for her infant effectively.
And it leads to profound effect, mental health and well-being of the child in the future too. And thirdly, in postpartum depression in its severe form which is postpartum psychosis, the mothers may have thoughts of harming their infants. And they may actually act upon this thought leading to actual harm to an infant and in some cases even death. So how do patients with postpartum depression presents. The postpartum depression onset is usually 2 weeks to 1 month after delivery or sometimes even miscarriage. Some professional even diagnose it after 1 year of child birth. Here the patient typically presents with behaviour and cognitive symptoms. The emotional symptoms include the patient saying that they are sad, sometimes they feel empty inside.
Some patients are irritable, and they get angry on trivial issues. On the other hands. Some patients become lethargic and complaint of low energy or loss of pleasure, loss of interest, loss of enthusiasm. And some patients become withdrawn, non-communicative. In different towards their infant. And in general, they have this fear and worry that they would not be able to care for their infant which leads to a feeling of inadequacy. And sometimes inappropriate guilt and sheen. Many patient’s complaints about a loss of concentration, poor memory that they are not able to take their decisions. The decision-making capacity has been reduced. Or they are unable to think clearly. Some have thoughts of hopelessness or helplessness. And even worklessness. And some patients in their severe illnesses may also have thoughts of humming themselves or even others.
The relatives might notice that the patient has either become withdrawn or non-communicative or they may feel that the patient is overwhelmed and anxious. They may notice that the patient is very lethargic. Or some patients, they sleep a lot. Mostly the whole day. And some patients do not sleep at all. So, sleep patterns may vary depending on the patient. Even the appetite changes are noticed in some patient. The severe form of postpartum depression that I was saying formally postpartum psychosis. Now in postpartum psychosis other than these symptoms, there is also presence of psychotic symptoms. These includes suspiciousness towards family member that they will harm them which leads to an agitative and aggressive behaviour of the patients. Sometimes the patient hallucinates i.e. the hear of voices that are inaudible to others. And the relatives may notice that the patient muttering to self, talking to self. Sometimes patient may also have excessive physical activities. Or they may talk excessively or there is the running of thoughts in their mind. So, these symptoms may also be the part of postpartum psychosis.
Another entity, that needs to be differentiated postpartum depression is postpartum blues or baby blues. Now this entity is more common. But fortunately, it is a milder form. And the depressive symptoms are milder. Patient may complaint of depressed mood, fluctuating moods, irritability, change in sleep and appetite pattern. But the good thing is that it is self-limiting. However, in some cases postpartum blues may progress to postpartum depression. So, how common is postpartum depression? Like I said 15% of women in their postnatal period suffer from postnatal depression. However, postpartum psychosis is rarer. Postpartum blues on the other hand much more common. Affecting 50-70% of the women in the postnatal period. What causes postnatal depression?
There are multiple factors: biological, psychological, social factors. Usually it is an interplay between these factors. Sometimes the combination of these factors that leads to postpartum depression. So, the hormonal changes that occur during and after pregnancy, the sleep deprivation, the emotional and physical stress of childbirth, the added responsibility of the child and poor social and family support can lead to postpartum depression. So, how do we treat postpartum depression? In mild cases, like psychotherapy like counseling helps but modern to severe cases the anti-depressants are the main stay of treatment. In postpartum psychosis. Antipsychotic medication is also prescribed. In severe cases, electroconvulsive therapy is also recommended.
Psychotherapy can be combining with the biological therapy. Mainly cognitive behavioral therapy and interpersonal therapy helps. Counseling and peer support group are also recommended. So, these were the some of the basic questions that I tried to answer about postpartum depression.
For any more information or to book an appointment with me, please contact me through lybrate.com
Hello everyone,
I am Dr. Vikas Deshmukh consultant psychiatrist and sexologist, I am working in Manovikas Clinic at Vashi, Navi Mumbai, Sector 17.
Friends aaj hum log baat karne wale hain aphrodisiac ke baare mein, toh aphrodisiac any sexual desire badane wali medicine ya davaiyan, ya foods unko aphrodisiac bolte hain. Generally hazaro saalon se bahut sara khana food, beverages, peene ki bahut pai ya jaise bolte hain woh log, herbs, medicine, ayurvedic dawaiya saree cheezo ko kafi acche log use karte hain aphrodisiac bolke yani sexual power badane wala bol ke. But kya in sab cheezo ka scientific evidence hai agar scientifically dekha jaye toh isme se bahut hai kam almost na ke barabar hi medicines or khane food ka, beverages ka scientific reason hai. Isme se kuch kuch davaiyan, kuch kuch herbs toh nuksan bhi karti hai, aur wo kafi mehngi bhi hoti hai lekin phir bhi blindly sab log woh lete jaate hain. Toh bahut sare examples oyster, banana, dates even aapka watermelon, vanilla, chocolate even toh kuch kuch cultures mei toh giraffe tongue, penis tiger ye funny cheeze bhi aphrodisiac bol ke use ki jati hai. Lekin inter scientific evidence nahi hai, isme se kuch cheeze feel good serotonin level badati hain aur serotonin level brain mein badne ki wajah se feel good effect aata hai, aur woh feel good effect ki wajah se aapke sexual desire kabhi kabhi badte hai, aapka interest badta hai toh uski wajah se aapka desire bade aisa lag sakta hai. Dusra, kuch kuch patients bolte hain ki nahi sir kuch kuch divaiyan bahut acche se kaam karti hain, toh uska ek reason hai koi bhi cheez agar mehengi dawa hai ya koi bhi ek accha doctor hai jiske upar aap pura belief karke aap koi cheez kharidte ho aur khate ho aur purey belief ke saath khate ho, toh ek placebo effect hota hai, placebo matlab aapka man n, aapka psyche, aapka body, us hisab se kaam karta hai acche effect ke liye aur us tarike se bhi kuch effect dikhta hai usko bolte hain placebo effect aur yeh ek scientific phenomena hai. So friends phir aap log bologe ki sabse accha product ya sabse accha sexual power badane wali cheeze ya kya kar sakte hain apne body ke liye ki hamara sexual power achha rahe, mere khayal se sabse acchey aphrodisiac hai aapka well rested body, relax state of mind thik hai, conductive monument activity jahan par koi dar nahi hai aapko aaram see aap sex kar pao, love for your partner, sexual attraction for your partner these are the best aphrodisiac. Second, most important aphrodisiac in your body is your health, agar aap physically health hain diabetes nahi hai, hypertension nahi hai, koi cardiac disease nahi hai toh aap ki sexual health acchi ho jaegi, agar aap mentally ill nahi hai no anxiety, no depression, mind relax hai toh aapka sexual desire badega so that is the best aphrodisiac. Bahut sarey patients bolte hain ki phir khana kya chahiye kya khaye hum, jo bhi cheez jo aapke heart ke liye, body ke liye healthy hai wo aapke penis ke liye aapke sexual activity ke liye healthy hai. Toh dates, banana yeh sari cheeze aapki body ke liye healthy hain toh aapki sexual activity ke liye bhi utni hi healthy hai, toh iska matlab ye nahi hai ki alag se sexual desire badati hai. Koi bhi ad dekhte ho bus stand pe, local mein, newspaper mein ki yeh medicine, ye dawai aisi hai jo sexual power badati hai yeh bahut mehngi hai aisa hai, toh kisi bhi ad ke upar believe na kare kyonki inn sabka koi bhi scientific evidence nahi hai. K oi bhi cheez scientific evidence ke hisab se dekhna chahiye toh bahut jyada in cheezon ke upar paise, time apna kharch na kare.
Mujhe sunne ke liye dhanyavad, aur jankari ke liye please lybrate.com se mujhe contact karne ki koshish kare.
Thank you very much.
Amenities
Parking
Waiting Lounge
Credit Card
Online Appointments
Reception
Doctors in Manovikas Clinic
Doctors in Manovikas Clinic
Dr. Vikas Deshmukh
Specialities
Sexology
Psychiatry
Network Hospital
Patient Review Highlights
Very helpful
8 reviewsThorough
3 reviewsknowledgeable
3 reviewsProfessional
3 reviewsHelped me improve my health
3 reviewsInspiring
1 reviewsPrompt
1 reviewsCaring
3 reviewsManovikas Clinic Reviews
Verified
Sep 07, 2018Good
Verified
Aug 09, 2018Nice very humble
Ankur Panja Roy
Dec 17, 2017Good and Co-operative.
Kajol Rajani
May 19, 2018Excellent experience
Verified
Aug 09, 2017good treatment