Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
Mother & Child Care Center

Mother & Child Care Center

Pediatric Clinic

Shop No. 1a/1b Maxblis Grand Wellington sector 75
4.7
825ratings
1 Reviews
1 Doctor
₹ 1,200 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our medical care facility offers treatments from the best doctors in the field of Pediatric Nephrology.Customer service is provided by a highly trained, professional staff who look after y...read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
06:30 PM - 08:30 PM

Clinic Location

Videos

Urinary Tract Infection
Urinary Tract Infection

Hello,

Me Dr. Amit Agarwal, Pediatric Nephrology. Aaj me apko urinary tract infection ke bare me btaunga jo bache kabhi na kbhi face krte hain. Iska mtlb hai urine me infection. Urine me infection ek early sign hai. Ye btata hai ki bache ke urinary me kuch problem hai ya ho skti hai. Humne urinary infection ko 3 parts me divide kia hai. Agar ye 1st year of life me ho rha hai to hume ise bhut serious lena chaiye. Quki kisi bhi infant ko urinary tract infection usually nhi hota hai. Iske evaluation ke 3-4 tools use kia jate hain. Jisme sabse pehla ultrasound hai. Lekin ultrasound 100% proof nhi deta hai. Iske lia hmare pas or modalities hain jaise MCU, DTPA. MCU se dekha jata hai ki urine bache me upar ki traf to nhi ja rha hai. Bachon ko anti biotic bhi dia jata hai jis se ki baar baar infection na ho. Constipation ko prevent krna sabse important chiz hai.

Agar constipation hai to sabse pehle use treat krna chaiye. Hume ye bhi dhyan rkhna pdta hai ki jab ise diagnose kia gya tha to iska sample kaise collect kia gya tha. Agar bacha puri trha se toilet krne ke lia trained nhi hai to catheter daal ke urine ka sample collect krna chaiye. Parent darte hain ki hum catheter daal ke sample kaise collect krenge. Lekin ye simple method hai. Jo urine apne test ke lia rkha hai, use ghar pe na rkhen. Immediately lab me de. Agar ye ghar me rkha rhega to contamination ka chance badh jata hai. Iske lia hume decide krna hota hai ki kis type ka treatment better hai. Isme surgery ka role bhut kam hai. Surgery kidney failure ko prevent nhi kregi.

Hmara target prevention of infection hona chaiye so that bacha normally grow kre. Iska treatment 10-14 days chalta hai. Prevention constipation ko avoid kr ke hi kia ja skta hai. Is problem ka shi ilaj krna chut jruri hai. Bache ko pura evaluate krayein.

Thank You!


Nephrotic Syndrome
Nephrotic Syndrome

Hello,

I am Dr. Amit Agawal, a pediatric nephrologist. Bachon ki kidney disease ka me treatment deta hun. Aaj me apko btaunga nephrotic syndrome ke bare me. Isme bachon ke urine me bhuut sara protein ane lgta hai. Protein ki kami ho jati hai and swelling ho jati hai. Bache ka cholesterol bhi badh jata hai. Ye disease 2-12 saal ke bachon ko effect krti hai. Ye 1 time disease nhi hai. Ye disease baar baar aati hai. Steroid iska treatment hai. Hume iske lia dusri medicines ka use krna chaiye. Parent ko hum sikhate hai ki urine me protein ko kaise measure kia jaye. Ye islia important hai taki swelling hone se pehle hum ise pick kr len. Isme kam se kam 50 bache relapse krte hain.

Bachon me steroid ke side-effects aane shurur ho jate hain. Hum parent ko regular eye check up ke lia bolte hain. Quki cataract and glucoma bhut common hai in bachon me. Isme blood pressure bhi badh jata hai. Agar bache ko normal life spend krne me problem aa rhi hai to hume or tests ki jrurat hoti hai. Hum swelling ko medicines se temporary kam krne ki koshish krte hain. Isme steroid ka response most important hai. Agar steroid ka response aa rha hai to kidney khrab nhi hogi. Dusri chiz hum dekhte hain ki bache ko steroid ke side-effects na aye. Aise bacho ko oral polio, varicella vaccine nhi dena chaiye. Vo medicine rukne ke bhi 6 weeks tak hume wait krna chaiye.

Agar kbhi bache ko koi or problem hota hai like chickenpox to hume doctor se jrur milna chaiye. Kisi bhi disease ko steroid se lightly nhi lena chaiye. Ahar koi side-effects hain to it means hum kuch galat kar rhen hain. Dusri important chiz patient ka contribution hai. Side-effects permanent nhi hote hain. Isme 3 months me ek bar check-up krana hota hai. Bachon ka height and weight ka test kia jata hai. Baki is bimari se darne ki koi jrurat nhi hai. Is treatment ko thoroughly len and doctor se discuss kren. Agar koi complications hota hai to pediatric nephrologist se consult kren.

Dhanywad!


Common Kidney Problems In Children
Common Kidney Problems In Children

Hello,

I am Dr. Amit Agawal, a pediatric nephrologist. Me bachon ki kidney ka specialist hun. Aaj me bachon me general kidney disease ke bare me btaunga. Kaise aap pehchan skte hain and kaise prevent kar skte hain. Normally 1-5% pregnancies me kidney kisi na kisi tarike se affected hoti hai. Like kidney me swelling ho. In sab ko lightly nhi lena chaiye. hume iska evaluation krana chaiye delivery hone ke baad me. Jitni jldi is disease ka pta chalega utna acha hi uska outcome hoga. Ek bar kidney fail ho gyi to hare pas kidney transplant ke alwa koi or option nhi hoga. Kidney disease ke koi normal signs and symptoms nhi hote. Kidney disease ke lia swelling hi sabse bda sign hai jise apko ignore nhi krna chaiye. 6 months tak iska evaluation krana chaiye. 3rd trimester me agar kidney disease detect hogi to vo jyada severe hogi. Urinary infection ko lightly nhi lena chaiye.

Har urinary infection ka proper evaluation hona chaiye. 15 age ke bich ke bachon me most common disease nephrotic syndrome hota hai. Isme bachon me eyes pe swelling aa jati hai. Kam urine hota hai and usme protein niklta hai. Generally bachon me kidney stones nhi bante unless koi intrinsic defect ho. Agar vo pehle hi diagnose nhi kia gya to kidney khrab hone ke chances hote hain. Agar bacha 5 saal se bada hai, to bache ke urine me blood ana common hai. Iske lia doctor se salah leni chaiye. Jaise jaise obesity badh rha hai vaise hi blood pressure bhi badh rha hai. Bachon ka routine blood pressure check hona chaiye. Hume dhyan rkhna chaiye ki bache ko or koi preshani na ho.

Bacho ki kidney disease ke lia aap hmesha pediatric nephrologist se hi consult kren quki adult ke doctors ka spectrum totally different hai. Agar serum ka keratin badha hai to it means kidney ka function chala gya hai. Rickets hai jo vitamin-D ke baad heal hi nhi ho rha hai to apko pediatric nephrologist se milna chaiye. Iske symptoms bache me hain dehydration, excessive urine, bedwetting after 5 years of age. Agar bache ko kidney me koi bhi dikkat hai to apko pediatric nephrologist se milna chaiye.

Dhanywad!


Doctor in Mother & Child Care Center

Get Help
Reviews
Services

Doctor in Mother & Child Care Center

doctor-profile

Dr. Amit Agarwal

Pediatrician20 Years Exp.
MD - Paediatrics, MBBS, FISPN & FISPN - Pediatric Nephrology
₹ 1,200 at clinic
1,500 online
See all timings

Patient Review Highlights

Very helpful

53 reviews

Thorough

3 reviews

knowledgeable

16 reviews

Well-reasoned

5 reviews

Professional

3 reviews

Helped me improve my health

1 reviews

Sensible

6 reviews

Prompt

4 reviews

Practical

5 reviews

Nurturing

1 reviews

Caring

3 reviews

Mother & Child Care Center Reviews

C

Chee

Dec 25, 2018

Dr. Amit Agarwal provides answers that are very helpful. Thank you so much

View More Reviews

Submit Feedback

Submit a review for Mother & Child Care Center
Your feedback matters!