Kya mein aayurvid treatment lu ya nahi Mera mauth khul nahi raha sirf 2ungli itnahi khulta hai.
Ask Free Question
Hi Lybrate-user. Apki problem ok oral submucous fibrosis kehete hain. Gutka khane se humare gaalo ki maans pechiya fibrosis ki wajaf se tight ho jaati hai aur pehle ki tarah flexible nahi rehti. Isse pehle jitna muh khulta tha wo nahi khul pata. Har baar aisa nahi hota par kayi baar aage jaake ye bahot dangerous sabit ho sakta hai. Muh ka cancer bhi ho sakta hai. Muh bilkul khulna band ho sakta hai. Sirf liquid diet pe jana pad sakta hai. Oral Medicine ke MDS degree doctor ke paas ja kar pehle checkup karwaye. Agar test ki zarrorat pade to hichke nahi. Gutka poori tarah chodne ke baad doctor aur dawayi ki madad se aap behtar mahsoos karenge. Apne doston ko bhi gutka khane se roke. Hum Manushya sansaar mein sabse best life being ka example hain. Hume ye kooda nahi khana hai.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors