Mujhe anal fistula hai usme pus bhi niklta h aur drd bhi hota h mai homeopathy medicine nitric acidum 200&aloe socotrina 200 le rhi kya homeopathy se fistula puri Tarah thik ho skta h.
Ask Free Question
Fistula ki problem sirf dawaiyonkey khane se theek nahi hoti - homeopathic/ ayurvedic/ ayurvedic kisis bhi tarah ki medicine se. Isliye fistula mein aksar surgery ki salah di jati hai. Par surgery bhi; fistula ke liye sahi choice nahi hai kyonki surgery ke baad lagbhag 20-25 % cases mein fistula dobara se ho jata hai aur surgery mein sphincter damage ho jane se stool rokne ki takat par bhi prabhav pad sakata hai. Jabaki graded ksharsutra treatment ke dwara fistula ka complete treatment sambhav hai. Aiims new delhi aur pgi chandigarh mein kiye gaye clinical trials mein bhi yah paya gaya ki fistula ke case mein ksharsutra treatment surgery se jyada kargar aur jyada suvidhajanak hai. Is treatment mein hospital mein admit hone aur bed rest ki aavashyakta nahi hoti. Treatment ke dauran patient apna daily routine ka kaam aasani se kar sakata hai. Treatment sambandhit adhik jankari aur appointment ke liye aap sushruta ano rectal institute mein reception par baat kar lein.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors