Hi, Kya fistula ke patient raat bhr jaag k padh skte hain raat bhr jagne me koi problem to nhi hogi, koi aisa upay btaye jisse raat me jagne se fistula ki dikkt aur na bdhe.
Ask Free Question
Hi Lybrate-user, Padhne keliye rat bhar jagnaa health keliye bhut khatarnak hai. Isee padhaayi se dimag kaa alertness bhee theek nahi hogaa.
Ask Free Question
Agar pain na ho to kare, kintu jayada der tak baithne per sujan bhi aa sakti hai.
Ask Free Question
Raat bhar jagane aur padhai karne se fistula mein koi problem nahi hoti. Is problem mein guda marg ke aas pass ke area mein pus ikattha hone se swelling aati hai aur pain hota hai. Pus discharge ho jane ke baad pain aur swelling khatam ho jate hain. Kuchh samay baad phir se pus banati hai, swelling aati hai aur pain hota hai. Is prakar yah cycle chalata rahata hai aur fistula aur deep tak penetrate kar jata hai. Fistula ke liye aksar surgery advise ki jati hai par fistula ke liye; surgery sahi option nahi hai kyinki surgery ke baad lagbhag 25% cases mein fistula dobara ho jata hai aur kai baar shincter damage ho jane ke wajah se stool rokne ki takat prabhavit hoti hai aur patient stool (specially liquid) rok nahi pata. Jabki yah problem graded ksharsutra treatment ke dwara completely treatable hai. Indian council of medical research (icmr) dwara aiims new delhi aur pgi chandigarh mein kiye gaye clinical trials mein yah prove ho chuka hai ki anal fistula ke rogiyon mein ksharsutra treatment; surgery se jyada effective aur jyada suvidhajanak hai. I streatment ke bed rest ya hospital mein admit hon eki aavashyakata nahi hoti. Aap apna daily routine ka kaam treatment ke dauran bhi aaram se kar sakatin hai.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors