I'm 28 years mera 6 saal pehle ek baccha abort hua tha fir uske 3 saal bad meri shadi hui main apne husband ke sath 6 months rahi humne koi precautions use nhi kiya bt main pregnant nhi hui aur hamara sexual relationship na ke barabar tha, kyuki unka penis mere vagina me thik se andar nhi jata tha, fir mera divorce ho gya mere x husband ki shadi 1 year pehle hui h aur ab usko baby hone wala h pehle baby abort ke bad hi mujhe thyroid ho gya tha bt ab 3 years se mera thyroid level normal' hai ab aap mujhe ye bataiye ki kya mere me kami h ya main kabhi maa ban paugi ya nhi ,ya mujhe test karwana chahiye kyuki aaj se thik 4 months bad meri shadi h main bhut dar gai hu.
Ask Free Question
Agar abhi aap sexually active ho aur pregnancy abhi chahiye to- pregnancy mahine ke ek hi din rah sakti hai jab anda phut ta hai. Vo din ke aaspas intercourse important hai. Kyonki mahine ke ek hi din pregnancy possible hoti hai isliye yeh din ke aaspas jab 12 se 24 mahina bina family planning intercourse hota hai aur phir bhi pregnancy nahi rahti hai tab gynecologist ya to infertility specialist ke paas jana hota hai. Jinko bachha chahiye aur apne aap nah hota hai, unko gyncologist ya infertility specialist ke paas jana hota hai, jahan bahut sare reports nikalane padte hai aura alag alag treatment ka prayatna karna padta hai jisme vakt lagta hai. Isliye jisme vishwas ho unke paas dhiraj se jana chahiye.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors