I am 25 year old woman. I want to ask about my last period date was 27 December and my period cycle was 25 days and muje 28 january ko halka blooding hui h .m pregnancy conceive ku ni kr pati ya mai pregnant hu .meri shadi ko march m 1 saal hoga pls help me.
Ask Free Question
1) kyonki period barabar nahi aaya pahle pregnancy ki test blood test serum hcg-beta karva lo. 2) agar pregnancy nahi hai- pregnancy mahine ke ek hi din rah sakti hai jab anda phut ta hai. Vo din ke aaspas intercourse important hai. Kyonki mahine ke ek hi din pregnancy possible hoti hai isliye yeh din ke aaspas jab 12 se 24 mahina bina family planning intercourse hota hai aur phir bhi pregnancy nahi rahti hai tab gynecologist ya to infertility specialist ke paas jana hota hai. Jinka periods regular 28 din pe aata hai unko pregnancy rahne ka chances jyada hota hai jab intercourse 11 se 16 din ke aas paas hota hai. Counting period ke pahle din se hota hai. Agar periods alag hai to alagse counting karna padta hai kyonki ovulation agle aanevale period se 14 din pahle hota hai. 3) jinko bachha chahiye aur apne aap nah hota hai, unko gyncologist ya infertility specialist ke paas jana hota hai, jahan bahut sare reports nikalane padte hai aura alag alag treatment ka prayatna karna padta hai jisme vakt lagta hai. Isliye jisme vishwas ho unke paas dhiraj se jana chahiye.
Take help from the best doctors
Ask a free question
Get FREE multiple opinions from Doctors