Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Book Appointment
Treatment
Ask a Question
Plan my Surgery
Health Feed
clinic-icon

AYURMANTRA CLINIC

Ayurvedic Doctor Clinic

Above Thakur Enterprises, Opposite NandiBaba Mandir Near D-Mart & Asher Enclave, Kolshet Road
4.6
1158ratings
1 Doctor
₹ 400 at clinic
See all timings
facebooktwitterlinkedin

About Clinic

Our goal is to offer our patients, and all our community the most affordable, trustworthy and professional service to ensure your best health....read more

Clinic Timing

Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
Sun
10:30 AM - 01:00 PM
05:30 PM - 09:00 PM

Clinic Location

Videos

Know More About Ayurvedic Treatment
Know More About Ayurvedic Treatment

Hi all,

I am Dr Vikas Mahajan Lybrate ke sabhi darshkon ko ya customers ko ya viewers ko mera namaskar. Mera education hai post graduation, MD in Ayurveda aur Ayurved Treatment and Panchakarma Specialist. Mere clinic mein Jo alag-alag ayurvedic treatment hoti hai uske bare mein aapko introduce karana chahta hoon jo totally herbal ya ayurvedic ya hum bole sakte hain ki natural way se treatment hai. Sabse pahle main sexual problems ke bare mein batana chahunga, jaise hum metro cities mein rehte hain, Mumbai main.

To proper lifestyle na hona ya khan-paan mein sahi tarike se nahi hona, stress, tension in cheezon se male ho ya female dono mein sexual problems bohot sari aane lagi hai jiske karan infertility bhi hone lagi hai to male sexual problems mein jaise erectile dysfunction means ling mein tanav na aana ya premature ejaculation, dhaatu ka jaldi nikalna ya nightfall ya fir sperms ki kami hona. Waise hi females mein sex ki, libido ki kami hona and jo alag-alag iske karan hain jaise maine lifestyle ke bare mein bataya to ye totally herbal medicine se hamare yahan uska treatment hota hai ayurvedic way se treatment karte hain aur Khan-pan ka bhi advice karte hain. jiske karan ye treatment sahi ho pata hai aur jinko bacche nahi ho rahe in problems ke karan un mein bhi iska accha result milta hai, acchi chikitsa hoti hai. Agla jo problem hai major cities mein ki diabetes jo lifestyle ke related hai, high blood pressure, high blood sugar ye jo lifestyle diseases hai uska bhi ayurvedic treatment mere yahan hota hai.

Teesra major hai digestion ke related problem means hyperacidity, constipation, gases ki problem, IBS (irritable bowel syndrome) ye bohot common aaj kal ho gaya hai to uska bhi sahi tarike se ayurvedic treatment aur uske sath-sath panchakarma treatment means detoxification ye yadi karte hain to ye problems hundred percent solve ho jati hai. Next hum jayenge problems jaise ki mental disorders jaise stress, tension iske liye bhi mere yahan ayurvedic treatment hoti hai uske sath-sath panchakarma treatments ka bhi usme labh hota hai. Hamare yahan yoga ki classes bhi hum conduct karte hain to jis ka labh mental conditions ho ya diabetes ho ya obesity ho, weight loss isme bhi iska fayda hota hai.

Next problem hai arthritis means jodo ki problem, neck pain, knee joint pain, back pain ya all joint pain, rheumatoid arthritis, arthritis, gout iske related bhi ayurvedic treatment hoti hai jo 100% pure natural treatment hai aur panchakarma treatment bhi hamare yahan saree hoti hai jisme massage, shirodhara,vamana, vierchana jo detoxification aapki body ka karti hai aur aapko jo bhi problems hai ya diseases hai usse aap ko relief milta hai. To ye alag-alag treatments hamare yahan hoti hai hundred percent to aap jarur hamare yahan aake iska labh uthayiega aur hamare yahan jo bhi sabhi treatments hai ya ayurvedic chikitsa hai uska reasonable cost hai har kisi varg ko ye jyada mehnga padega nahi har koi ye treatment kar sakta hai. To mera aagrah rahega ki lybrat se jo log jude hue hain ya lybrate se mere paas aana chahte hain to wahan par apna aap online booking ya directly call karke bhi aap apna appointment leke mujhe consultation ke liye aa sakte hain ya call kar sakte hain.

Dhanyavad!


Ayurvedic Treatment
Ayurvedic Treatment

HI all,

Myself Dr. Vikas M Mahajan, MD in Ayurveda. Me 18 years se ayurveda practice kar rha hun. Mere clinic: Ayurmantra Ayurvedic Panchakarma Yoga Clinic, Thane West me hai. Me apko male and female sexual problems ke bare me btaunga. Common sexual problems hain erectile dysfunction, pemature ejaculation, loss of libido inme ayurveda kafi beneficial hai. Iske koi side-effects bhi nhi hai. Female bhi jaise loss of libido hai to uska ayurveda me kafi acha treatment hai. Logon ko digestion ka problem rehta hai. Hyperacidity, constipation, indigestion, IBS, loose motion. Ye apki lifestyle related problems hain. Like unhealthy lifestyle, diet and stress. Islia ayurvedic treatment ke sath hi hum panchakarma ka treatment dete hain. Isme

vaman, virechan and basti ke through apko treatment dia jata hai. Iske koi side-effects nhi hai. Digestion kafi common problem hai. Joint problem old age ke sath sath young age me bhi ab dekha jata hai. Isme neck, back, knee pain, neck and lumbar spondylitis. Jo apka 7-8 hours office me sitting ka kam hai, inse ye sari problem apko hoti hai. Unnecessary pain-killers lene se acha hai ki aap ayurvedic treatment len. Oral medicines ke sath potli massage len. Ye

Diabetes bhi ek lifestyle disease hai. Jruri nhi hai diabetes hereditary rhe. Quki aaj kal ka lifestyle kafi stressful hai. Ye ab kisiko bhi ho skti hai. Young generation me bhi is problem ko dekha gya hai. In treatments ke sath yoga and meditation bhi required hai. Ye sab chizen diabetes ko control krne ke lia helpful rehti hai. Mere clinic me panchakarma treatment dia jata hai. Isme vaman (vomiting k through toxins nikalna), virechana (motions ke through toxins nikalna), basti (anema ke through toxins nikalna). Body massage aap le skte hain jis se apki muscles relax hoti hai. Hum yoga ki classes bhi conduct krte hain. Ek problem hai infertility. Male and female infertilit. Female me PCOS ka problem hona. Time pe periods na hona. Heavy and painful periods hona. Jin patients ko IUI and IVF se success nhi mila, unhe ayurveda me detox ke through treatment leke benefit hua hai. treatment ke lia aap mujhe directly or lybrate.com ke through contact kar skte hain.

Thank You!


Doctor in AYURMANTRA CLINIC

Get Help
Services

Doctor in AYURMANTRA CLINIC

doctor-profile

Dr. Mahajan Mahajan

Ayurvedic Doctor26 Years Exp.
BAMS, MD - Ayurveda
₹ 400 at clinic
500 online
See all timings

Patient Review Highlights

Well-reasoned

7 reviews

Caring

7 reviews

Very helpful

105 reviews

Saved my life

3 reviews

Thorough

8 reviews

knowledgeable

59 reviews

Professional

13 reviews

Helped me improve my health

6 reviews

Sensible

5 reviews

Prompt

9 reviews

Inspiring

6 reviews

Practical

10 reviews

Nurturing

1 reviews

Submit Feedback

Submit a review for AYURMANTRA CLINIC
Your feedback matters!