Anal Fistula
Hello Friends, We welcome you to Sushruta Ano-Rectal Institute. I am Dr. S K Singh, medical director at Sushruta Ano-Rectal Institute.
Aaj hum baat karenge Anal Fistula ke baare mein. Is bimari ka kaise pata chalta hai. Iska symptoms hai pimple around the anal area. Isme se kabhi kabhi pus or water discharge hota hai. Isme swelling and pain bhi ho sakta hai. Isko hum MRI fistulogram, x-ray ke through diagnose karte hain. Uske baad decide kiya jata hai ki isko kaise treat kia jaaye.
Kuch cases mein fistula dobara bhi ho jaata hai. Patient ka motion control weak ho jaata hai. 15-20 cases me ye dobara bhi ho sakta hai. Treatment hai kshar sutra. Ye ayurveda me kaafi important treatment hai. Ayurvedic treatment me bhi surgical speciality treatment hota hai. Isme hum ek thread use krte hain. Isme different type ki medicines use ki jati hain. Is thread ko anal ke andar place kia jaata hai. Ye 15-30 minutes ka procedure hai. And procedure ke 30-40 minutes baad patient apna normal activities kar sakta hai.
Ye procedure weekly kiya jaata hai. Jaise track clean hota hai vaise healing bhi hone lagti hai. Isme 6-8 sitting leni hoti hai. Isme dobara hone ke chances nahi hote hain. Logon mein iska awareness zyaada nahi hai. Log surgery karane ke baad bhi ye treatment karate hain quki kai cases mein surgery fail ho jati hai. Is ke baare mein aap or logon ko bhi batayein so that logon mein awareness ho. Thank You.