Bariatric Surgery
Hi, I am Dr. Deepak. Rathi, Ayurveda Specialist. Aaj mein aap ko piles ke bare mein bataunga. Is problem mein patient ko bohot pain hota hai. Ismein patient ko bleeding, pain or kabhi-kabhi masse bhi bahar aane lagte hain. Ismein swelling aa jati hai. Ismein wound ho jata hai and bleeding bhi hoti hai. Ye external and internal problem hoti hai. Ismein aap medicines le sakte hain ya fir surgery kra sakte hain ya fir ayurvedic sharsutra therapy le sakte hain. Is therapy se is disease ko manage and control kia ja skta hai. Ismein bleeding and pain ki problem 7-10 days mein hi control ho jati hai. Ismein internal masse shrink bhi ho jate hain. Surgery major hoti hai jismein aap ko anesthesia diya jata hai.
Logon ke liya ye ayurvedic therapy boon hai. 3-4 days mein ye thread shed off ho jata hai. Ayurvedic medicines se roots bhi khatam ho jati hain is disease ki. Is disease ko control karne ke liya aap constipation ko control rakhen. Iske alwa pani jayada piyein. Fibre rich diet len. Fruits and vegetables jayada len. Fast food and maida kam khayein. Fried chizen na khayein. Agar aap ko koi information chaiye to aap mujhse Lybrate ke through contact kar sakte hain. Thank You.