Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Nov 30, 2019
BookMark
Report

Blepharoplasty - Things To Know!

Profile Image
Dr. Ajaya KashyapCosmetic/Plastic Surgeon • 42 Years Exp.American Board of Plastic Surgery, , American Board Of General Surgery, MS - Dermatology, M.B.B.S
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Ajaya Kashyap, Cosmetic/Plastic Surgeon, Delhi. Today I will talk about blepharoplasty. Iska matalb hai eyelids ko rejuvenate karna. Aksar waqt ke sath sath jo humara eyelid ka fat hai vo aankh ke charon taraf se bahar aane lagta hai. Humari aankh ball ki tarah hai aur haddi socket ki tarah hai jo usi ke anadar ghumti hai. Vo fat kayi baar bahar aane lagta hai. Aankh ko dabaya jaaye toh fat bahar dikhta hai. Niche vale lid mein fat ki 3 pockets hoti hain. Upar vale mein 2 hoti hain. Kabhi kabhi ye bahar aane lagti hain and aankhon ki ajib si look ho jaati hai. Aisa lagta hai ki insan ki umar jyada hai ya fir log puchte hain ki kya aap drink karte hain. Ya aap stress mein rehte hain. Jo fat chick ka hota hai vo niche chala jata hai. Fir line and fat milke aankhon ko budhappe ki look dete hain. Agar dekhne mein dikkat hoti hai toh log aankh ko upr utha kar dekhte hain. Jis se yahan pe bhi jhuriyan aa sakti hain.

In sabko thik karne ke lia blepharoplasty ka operation dia jata hai. Ye minor operation hai. Ismein experience jyada chaiye hota hai kyuki kayi sari chizen involve hoti hain and ye aankh ke pass hota hai. Iske baad insan kuch ghanton mein ghar vapas jaa sakta hai. 3-4 din mein patient apna kam start kar sakta hai. Agar aap ko spots dikh rahein hai toh aap specs laga sakte hain jo ki kuch dinon mein chale jaate hain. Kuch stitches bhi aate hain jo hafte bhar mein nikal dia jaate hain. Ye procedure karne ke lia ek chota sa cut dia jata hai. Eyelid ko uthaya jata hai au jo lose part hota hai use cut deke thik kia jata hai. Ye cut thode dino mein chala bhi jata hai. Skin kafi lose and patli hoti hai aur jaldi heal ho jaati hai. Aankh ke andar se bhi fat pockets nikale ja sakte hain. Upper eyelid ka fat nikal kar bhi ise thik kia jata hai. Agar aankh band karne vali muscles dhilli ho jaati hai toh use bhi tight kia jaa sakta hai. Kabhi kabhi is cut se face ka upar vala part bhi lift kia ja sakta hai. Agar skin ko thik se upar na utha jaaye toh aankh niche bhi aa jaati hai. Aisa mat samjhiyega ki aankh choti ho jaati hai. Aankh apni sabhavik shape mein chali jaati hai. Insan kam thaka hua aur khubsoorat lagta hai.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Blepharoplasty treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details