Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Diabetes Treatment

Profile Image
Dr. Arun Kumar SinghEndocrinologist • 18 Years Exp.MD - General Medicine, DM - Endocrinology, MBBS
lybrate_youtube

Aap sabhi ko mere namaskar. Mai Dr. Arum Kumar Singh bol rha hun. Mai endocrinologist and diabetologist hun. Delhi or Faridabad me practice krta hun. Is video ke madhyam se me diabetes ke treatment me recent developments hui hain, unke bare me bat krunga apse. Aap sabhi ko pta hai ki diabetes ek aam samsya ho gyi hai hmare desh me. Aur kayi sare logon ko diabetes hai. Aur kayi sare treatment ke options hain, tablets hain, injections hain. Par pichle kuch salon me kayi sari nyi developments hui hain. Treatment me bhut sari taraki hui hai. Agar purani tablets ki bat kren jo diabetes ko control krne k lia hai, pehle kuch tablets se side-effects hote the. Sugar low ho jana, weight gain hona. To ab aisi dwaiyan aa gyi hai diabetes k lia jinse sugar control to hogi par kbhi low nhi hogi. Bilkul safe hain aur kbhi bhi hypoglycemia nhi hota hai in tablets se. Dusra hai weight gain hona.

So, ab aise bhi dwaiyan hai, jinse actually weight gain nhi hota. Kuch tablet or injections se weight loss hota hai. Quki diabetes k kayi sare patients motte hote hain or unka vajan adhik hota hai. To especially un marizon k lia bhut ach dawaiyan hai, inse weight ya to na badhe ya ho ske to kam ho jaye. Agar convenience ki bat kren to kayi patient hai jinko kayi saal se diabetes hai unko insulin injection lena pdta hai. Kuch patient ka ek injection se sugar control ho jata hai. Kayi sare patients ko kayi injections lene pdte hain jaise din me 3-4 injections. Ab insulin pen aa gyi hai, jo ready made device hoti hai. Bhut hi shi tarike se usko dial kr k shi dose lgaya ja skta hai.

Aur is technology ki vjha se injection lgana bhut hi asan kam ho gya hai. Dusra jinko kayi sare injections lagte hain din me, unke lia insulin pump hai. Insulin bhut hi chota sa device hota hai mobile pump ki trha. Pocket me leke hmesha carry kia ja skta hai. Aur usme bhut hi patli se catheter hota, pipe hota hai. Jis s insulin lgatar flow hota rehta hai. Apko injection nhi lgana pdta hai or 24 hours insulin delivery hoti rhegi. Aur har bar aap har ghanta k lia dose set kar skte hain. Is s ek or fyada hota hai ki sugar low hone ka khtra kam ho jata hai. Aur nyi nyi devices hain jo apko alarm deti hain, sugar high ho ya low ho. Insulin pump khud hi off ho jayega apka sugar low hone se pehle.

Aur kuch or bhi nye treatments hain jaise week me ek injection diabetes control krne ke lia. So, jo log din me 2-3 injection lgate hain, uske badle week me ek injection hi lgana pdta hai quki uska ek hafte tak asar rehta hai. Aur us se bhi weight loss hota hai. Aur safety ki bat kren to kayi sare diabetes ke patient ko heart ka problem hota hai, kidney ki samsya hoti hai. Aur jo nyi dwaiyan aayi hai diabetes ki, unme se kuch heart k lia bhi faydemand hain. Kidney k lia bhi faydemand hain. In fact, agar heart failure ki bat kren especially, kuch nyi tablets diabetes control ke sath sath heart failure se bhi bacha ja skta hai. Aisa dekha gya hai ki jin patients ka heart weak hai or diabetes hai jinko ye dwaiyan di gyi, to unka diabetes to control hoga hi sath me, unki heart failure ki bhi samsya kam ho gyi. Aur bhi kayi sari new developments hain. Apko agar ki or query hai ya koi sawal hai to aap mujhe directly contact kar skte hain website ke madhyam se.

Thank you!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Diabetes treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details