Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Female Infertility

Profile Image
Dr. Pradnya AptikarAyurvedic Doctor • 29 Years Exp.B.A. Sanskrit, BAMS, M.A. Sanskrit, MS -Gynaecology Ayurveda
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Pradnya Aptikar, Ayurveda, Arya Clinic, Thane. Today I will talk about female infertility. Vaise toh female infertility ke karan bahut hote hain. Lekin aaj kal jo karan dekhta hai vo hai low level of AMH. Toh hum pehle jankari lete hain ki AMH kya hai? AMH: anti mullerian hormone. Ye hormone humein btata hai ki stree ke sharir mein eggs kitne hain. Ye ovarian reserve ka spot hota hai. Jaise jaise mahillon ki umar badhti jaati hai vaise hi eggs ki quantity kam ho jaati hai. Aaj kal hum jaise dekhte hain ki padhayi jyada karne se ladkiyan jyada busy ho gayi hai, time bhi ab kafi aage nikal gaya hai. So, late age of marriages leads to late conceptions.

Toh ye baat jo hoti hai agar mahillaon ki age 35 ke upar chali jaati hai toh usmein eggs ki quantity kam ho jaati hai. Toh ye humein AMH ke marker ke through pata chalta hai. Agar mahilla infertility ke treatment ke lia aati hai toh unmein hum AMH ki matra check karte hain. Agar 35 saal se upar ka age hai and AMH 0.3 se kam ho toh usmein conception hone mein time lagta hai. Lekin agar unki age 35 se kam ho aur AMH bhi kam ho toh humein reults jyada ache milte hain.

Eggs ki matra badhane mein ayurveda humein bahut help karta hai. Ayurveda ke through hum rasayan chikitsa karte hain and panchakarma karte hain jis se hum eggs ko stimit rakh sakte hain. Usse hum aur kam nahi hone dete hain. Iske sath sath hum diet regimens bhi btate hain jismein eggs ki quantity badhe ya fir stimit rahe aur kam na ho. Is tarike se hum kam karte hain toh humein mahilon mein infertility treatment karne mein help mil jaati hai.

Agar aap ko is se jyada information chaiye toh you can contact me through Lybrate.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details