Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Female Infertility - How Can Ayurveda Help?

Profile Image
Dr. Pradnya AptikarAyurvedic Doctor • 29 Years Exp.B.A. Sanskrit, BAMS, M.A. Sanskrit, MS -Gynaecology Ayurveda
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Pradnya Aptikar, Ayurveda. Today I will talk about female infertility ke baare mein. Vaise toh iske karan bahut hote hain. Lekin aaj hum baat karenge thin endometrium ke baare mein. Jaise bache daani ka cover jo hota hai andar ka use endometrium kehte hain. Agar vo badh nahi pata hai toh mailayein pregnant nahi ho paati hain. Jin mahillaon mein ye satar 7mm se bhi kam ho use thin endometrium kehte hain. Iske karan bhi bahut se hote hain. Jaise kisi ko TB ho ya fir bahut saalon se PCOD ho jismein aanda sahi tarike se nahi banta hai ya ir jiska lifestyle alag ho, stress ki shikayat jyada ho, aise bahut se karan hai jinmein endometrium badh nahi pata hai. Toh aisi mahilaon mein thin endometrium hone ki vajah se bacha implantation nahi kar pata hai. Aise case mein mahillayein baar baar IUI karti hain. Ismein IVF ka bhi use kia jata hai.

Fir bhi unhein success nahi milta hai. Aise case mein Ayurveda ache se help kar pata hai. Ismein hum ayurvedic medicines dete hain aur panchakarma chikitsa karte hain. Ismein uttarvasti naam ki treatment rehti hai. Jismein hum ayurvedic medicines ke kadhe rehte hain. Us se ghee banaya jaata hai. Vo hum sterlize karke gharbahshaye ke andar dalte hain. Is se thickness badhne mein madad milti hai. Aur endometrium receptivity badh jaati hai. Aur aise bhi bahut se ayurvedic medicines hain jo hum ismein use karte hain. Iske sath sath hum diet ka suggestion bhi dete hain jis se endometrium ki growth ache se ho sake. Iske baare mein agar aap ko aur koi jankari chaiye toh aap mujhse contact kar sakte hain lybrate ke through.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infertility treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details