Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Gallbladder Stone

Profile Image
Dr. Nitin JhaGeneral Surgeon • 24 Years Exp.FAIS, FIAGES, MS - General Surgery, MBBS, MHCD
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Nitin Jha. Main Senior Consultant Surgeon hoon laproscopic. Aaj hum log baat karenge gallbladder stone disease ke bare mein bahut common disease hai normally logo ko initially simple acidic gas ke sath present karta hai so sabse jyada jo ilaaj log yahi karte hain ki pahle rantac ya zantac type of kuch antiacid treatment lete hain kuch din unse kaam chal jata hai par aur uske baad ek situation aisi aati hai jab pain jyada hota hai, discomfort jyada hota hai. Finally ultrasound karte hain to usme pata lagta hai ki gallbladder mein stone hai. So in short yeh hai ki kabhi bhi agar aapko acidity ya gas ki jyada takleef lage to definitely pet ka ek baar ultrasound jarur karen usse hamein pata lagega ki kahin gallbladder ko koi stone to cause nahi hai ye sabh problems ka.

Anyway jab ye ek bar detect ho jata hai uske baad hame kya karna chahie, jabhi bhi gallbladder me stone hoga uska ilaj hamesha ek hi hai uska surgery hai. Aapko bahut saare information milenge koi stone ko galane ki dawai batayen ge koi aur aisi koi dawai duniya mein exist nahin hoti hai ise sirf hamara time waste hota hai, aapka money waste hota hai aur obviously jo sada simple disease tha starting mein simple ek uncomplicated gallbladder disease jo bolte hain bina koi khaas complications ke wahi cheez baad mein bigadh ke aur badi ho jati hai usme phir hamein aur 2-3 cheez karna padta hai kyunki simple agar initially hum karte to ek hi simple cheez se kam chal jata. Isko samajhne ki koshish karte haiin iske liye main ek chhota sa diagram banaya hai ye apna liver hai, yeh bile duct bolte hain isko yeh jo bile yahan se banta hai wo is duct ke dwara neeche aata hai aur ye ek theli type ki cheez jisko hum pit ki theli bolte hain, ye pit ki theli mein pit thodi der jama hota hain aur uske baad fir wahan se wo neeche release hoke small intestine mein aa jata hai.

Ab kisi karan se ye pit ki theli ki jo peeckne wali property hoti hai wo khatam ho jaati hai jiske karan pith iske ander phas jata hai aur kyunki wo nikal nahi pa raha hai to pit ke ander kuch aisi cheez hoti hai jisko hum bile salt, cholesterol, bile pigment bolte hain ye sabhi initially liquid form mein thi but kyunki yahan per pit fass gaya to ye bahar nahi nikal pati to isliye wo solidify hoke stone ban jaate hain aur wo chahe stone ek ho, do ho, hazaar ho koi fark nahi padta chahe wo stone to 2mm ka ho ya 20mm ka ho koi fark nahi padta, chhota stone alag pareshaan karta hai, bada stone alag pareshaan karta hai par Itni surety hain ki dono hi stone aapko pareshan karenge. Ab initially kya hota hai yeh sirf pit initially to infact kahi baar asymptomatic rehta hai agar aap koi dusre karan se janch karna chahte ho to aapko pata chalta hai ki gallbladder mein stone bhi pada hua hai ya kahi baar aap health checkup mein jate ho ultrasound ke liye tab tab aapko dikhta hai ki stone pada hai tab tak wo aapko koi pareshan nahin kiya hota usne lekin koi bhi initially choti hoti hai dheere-dheere apna wo kharab roop dharan karna shuru karti hai waise hi ismain jab second asymptomatic phase raha uske baad jo next phase aata hai usko hum bolte hain dyspepsia matlab thoda sa gas jyada ban na, khatte dkaar aana, kadwa pani ka muh mein aana ye sabhi initial symptoms hote hain jisko log confused karte hain ki simple acid hai ya gas hoga jiske karan hum log digene or rantac type tablet se kaam chalane ki koshish karte hain kuch salon ke baad fir wahi pain jo hai wo pain shuru hota hai ye usually pain is area mein jo pet ke upar ka hissa hota hai aur kabhi-kabhi isike piche jo back hota hai usme jata hai.

Initially pain chota aur kam hota hai dheere-dheere obviously or badhna shuru ho jata hai isko hum bolte hain cholecystitis matlab pit ki theli ka infection karna shuru karta hai wo ab kuch saal ke baal kabhi-kabhi aapne suna hoga appendix main pus ban jata hai, appendix fat jata hai waise hi iske ander bhi pus ban jata hai that is called as empyema gallbladder usi mein kabhi-kabhi stone jo hai iske neck par, mouth par fassh jata hai to aapka pain or dugna ho jata hai us situation main aapko aur takleef jehlani padhti hai par anyway yahan tak bhi agar hum usko timely correct kar lete hain to is problem se hum hamesha ke liye chutkara paa lete hain lekin suppose kisi karan se ye stone jo hai slip karke yahan bile duct mein ya pit ki nali jo bolte hain usme fass jata hai tab aapki pareshani or double ho jati hai us situation mein aapko aur simple pit ki theli ke operation se kaam nahi chalega aapko fir hamein endoscopy karke ERCP ek process bolte hain wo pehle muh se ek durbeen jayegi, durbeen pet mein aake yahan small intestine mein aake pahle is nali ko saaf Karega aur uske baad phir hamein surgery karni padegi matlab jahan pahle simple kaam tha wo aapka 2 kam ho jayega.

Anyway kabhi-kabhi yahi stone jo hai ye yahan par pancreatic duct bolte hain usme fass jata hai us situation mein wo pancreatitis karne ka bhi power rakhta hai. So in short ye hai ki bimari Ko itna badhne kyon dena jo sada simple bimari hai usko sada simple hi rehna chahiye aur pahle isi ko hamein operation itna bada cheera marke karna padta tha jise hum open surgery bolte the to abh jo ye hai laparoscopy se hota hai isme 3-4 chhote-chhote ched hote hain usi mein pura operation ho jata hai, usi ko agar ander bahut bad condition nahi hai to usko hum ek cut se hi kar lete hain usko bolte hain single incision laparoscopic surgery us situation mein aap bina, matlab koi aur cheera faadi karte hue nabhi ke ek chhota sa ched hota hai usi mein jo pura operation hai wo ho jata hai so that is called single incision.

So jo kaam aaj shayad ek cut se hojaye ya ho sakta hai ya do ya teen cut Lage uske liye pura pet kyon kholne ki jarurat padni chahiye. So that is why it's all depend on us ki hum koi bimari ko kitna bura karke fir hum wohi ilaaj karate hain ye jab starting mein jab sada simple hota hai usi samay ilaaj karate hain. Starting mein hamein takleef bhi kam hoti hai, jhanjat kam hota hai, pain kaam hota hai, operation bhi simple rehta hai, Jaise-Jaise kahani aur bigadti hai to utna hi pain ya takleef jo hai patient ko jyada jhelna padta hai aur obviously surgeon ke liye bhi pareshani badhti hai because wo operation utna hi difficult hota jata hai. Isliye mera simple sujhav rahega ki kabhi bhi agar aapko gallbladder mein stone rahe to isko turant dikhayen surgeon ko jaake iske bare mein aur jankari le aur iske bare mein jo uchit ilaaj hota hai wahi karen unnecessary bina koi logic ke treatment ke chakkar mein na fasse aur kuch janna chahte hain to aap mujhe mere clinic mein aakar mil sakte hai.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Gallstones treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details